17-11-2026, 05:21 AM
UPDATE :- 2
Bhubaneswar ke ek khoobsurat high society area mein Deepshikha apne chhote bhai, Riyans, mummy aur papa ke saath rehti thi.
Unka family kaafi modern aur open-minded tha. Ghar mein har kisi ko apni life apne tareeke se jeene ki poori freedom thi. Mummy-papa apne bachchon ki choices aur personal space ki respect karte the. Chahe Deepshikha ka modelling career ho, uska glamorous lifestyle ho ya Riyans ka swimming passion, dono ko apne dreams follow karne ki poori azaadi thi. Yahi wajah thi ki unke ghar kaa mahol hamesha khoosiyan, pyaar aur apnapan se bharpoor tha.
Deepshikha 22 saal ki ek khoobsurat, modern, Sexy aur bold ladki thi. Use stylish outfits, bold dresses pehenna, aur apne glamorous andaaz se sabka attention attract karna behad pasand tha.
Wahin uska chhota bhai Riyans, 19 saal ka ek energetic ladka tha. Use swimming ka bachpan se hi bahut shauk tha.
Ek shaam Riyans ghar mein atey hi excited hoke jor se chillaya..
Riyans: “Didi, tumhe pata hai? Hamare swimming institute mein ek naya trainer aaya hai!”
Deepshikha sofa par aaram se baith ke apne phone scroll kar rahi thi.
![[Image: 808573617_1000484024.png]](https://img3.pixhost.to/images/7226/808573617_1000484024.png)
Bina nazar uthaye usne jawab diya—
Deepshikha: “Achha! Toh ismein itna excited hone wali kya baat hai? Roz koi na koi naya trainer aata hi rehta hai.”
Riyans : “Arey Didi! Tum pehle poori baat toh sunlo. Ye koi normal trainer nahi hai. USA se aaya hai… International-level gold medalist hai! Aur uski swimming skills toh next level hain!”
Deepshikha ne phone se nazar uthayi aur Riyans ki taraf dekhte hue smile ki.
Deepshikha : “Achha ji! Toh aakhir naam kya hai tumhare iss mahaan trainer sahab ka?”
Riyans ne bade proud aur excitement ke saath jawab diya—
Riyans: “Jack! Jack Okford!”
Deepshikha ek second ke liye ruki, phir apni hansi control karte hue boli—
Deepshikha: “Jack Okford! Wah bhai wah! Naam bhi poora Hollywood movie ke hero jaisa hai. Bas ab entry ke time background music bajna baaki hai!”
Riyans: “Didi, tum har baat ka mazaak kyun banati ho? Sach mein bahut talented hain woh!”
Deepshikha: “Achha baba, maan liya! International gold medalist hain, USA se aaye hain, swimming ke superstar hain… Aur kuch reh gaya ho toh woh bhi bata do!”
Riyans ne aankhein badi karte hue kaha—
Riyans: “Haan! Aur woh dikhte bhi kaafi handsome hain!”
Ye sunkar Deepshikha zor se hans padi.
Deepshikha: “Ohooo! Ab samjhi main! Tum trainer ki swimming skills se zyada unki personality se impressed ho!”
Riyans: “Kuch bhi Didi! Main seriously bol raha hoon.”
Deepshikha: “Haan haan, samajh gayi. Achha, ab jao… ap fresh ho jaao !”
Dono kuch der tak hanste rahe. Deepshikha ne phir apna phone uthaya aur baat ko mazaak mein taal diya. Riyans fresh hone chala gaya aur Deepshikha wohi sofe pe let ke phone chalane lagi.
![[Image: 808574896_1000483979.png]](https://img3.pixhost.to/images/7226/808574896_1000483979.png)
Bhai ke saamne toh Deepshikha ne Jack ke naam ka khoob mazaak udaaya, lekin andar hi andar uski curiosity kuch aur hi direction mein badhne lagi thi.
Woh dobara apne phone mein busy hone ka natak karne lagi, lekin dimaag mein Jack Okford ka naam ghoom raha tha.
Woh mann hi mann sochne lagi—
“Hmm… USA se aaya hai, International-level gold medalist hai aur handsome bhi! Interesting… Aakhir janab dikhte kaise honge?
Itna famous athlete hai toh Instagram par bhi achhe-khaase followers honge.” Uske chehre par ek shararti smile aa gayi.
“Chal influencer Deepshikha, zara pata toh laga ki ye Mr. International aakhir hain kaun!”
Bahar se woh bilkul normal thi, lekin andar hi andar Jack ko lekar uski dilchaspi badhne lagi thi.
Jack ke bare mein sunke uske andar Jack ko aur kareeb se jaanne ki curiosity bhi badhne lagi thi.
Lekin Jack Okford ka naam uske dimaag mein kahin na kahin register ho chuka tha.

![[+]](https://xossipy.com/images/bootbb/collapse_collapsed.png)