02-01-2019, 07:45 PM
Next day
main shahnaz ke sath college gayi sardi bahut zabardast ho rahi thi nursery se class 12 tak ke sabhi college band ho chuke the sardi ki wajah se
College me parhayi ke naam par bas thandhak ka hi maza liya ja raha tha
college ke bad main ghar laut aayi laut kar hum logon ne lunch kiya sham ko main bahar gayi
aur seema aur aunty ko apne ghar bulaya maine kaha ki aaj dinner hamare sath kariyega main ghar aa gayi aur dinner ka ahtamam kiya
Fir main lounge me aakar baith gayi aatish dan me lakariya sulag rahi thi aur shahnaz kursi par baithi aag ke pas baithi thi main bhi aakar us ke pas baith ggayi
shahnaz aag ke pas bathi hone ke bawajood kanp rahi thi
Tum ko bhut sardi lag rahi hai aag ke pas baithi ho fir bhi – main boli
Han bibbi main insane hun is liye – wo boli
Kya matlab hai aap ka – mein ne pucha
Aap KO to sardi lagti nahi hai is liye aap samajhti ho sardi hi nahi ho rahi – wo boli
8 baje ke kareeb aunty aur seema aayin main aur shahnaz aag ke pas hi baithe hue the wo dono aakar bhi aag ke paas baith gayi
Main ne uth kar ek choti table beech me rakh dii aur main moongfali le ayi aur table pe rakhi aur hum log khane lage
Ye kya hai bibbi aap moongfali layi ho – shahnaz boli
Haan jee sardi me aag ke pas baith ke mongfali khane ka apna hi maza hai – main boli
Bahut sahi kaha bibi tumne – aunty moongfali torte hue boli jab main apne ganv me thi to wahan to khet me hi moongfali hoti thi
aur sardi me ag jalakar hum log ghar me hi bhoonte the bahut maza aata tha – aunty ne kha
Moongfali to bahut khayi hai lekin iski dawat pahli baar dekhi hai – seema boli
Seema aur shahnaz dono hansne lagi
Haan har chiz ka pana maza hai is mausam me to moongfali ka kya kahna -aunty ne kaha aur bibi tum bhi na har chiz ko bahut ache se pakarti ho shahar me aane ke baad to in sab baton ka khyal hi nahi raha – aunty boli
Haan aunty kyunki khush hone ka koi khas mauka nahi hota hai khushi ko to bas dekhna parta hai aaj kal har insan itna busy hai ki wo bhool gaya hai
ki khush kaise hote hain aur badi khushi ke peeche bhata firta hai aur choti choti khushiyon ko nazarandaz kar deta hai ab agar har insane choti choti khushiyon ko lekar hi khush ho jaye to pareshan rahna bhool jayega – main boli
Bahut nek baat kah rahi ho tum – aunty boli