02-01-2019, 07:08 PM
Next was –
unhone kaha dard dene se mohabbat badhti hai
Ye sunkar maine unki ungli darwaze me daba di
Wo bole –AAAAhhhhhhhhhh
Maine kaha aur badhao muhabbat
Ye msg parhkar main muskuraye bina nahi rah saki
Aur uske bahut sare msg ke jawab me maine koi msg nahi bheja
Maine shanaz ko jagaya aur us ke baad maine chuzi ko phone kiya ab wo thik thi lekin maine kaha abhi aram karo college mat aana
Chuzi apne aap me ek ajeeb kirdar hai jab wo pas hoti hai to dimagh kharab kar deti hai har koi chahta hai ki chali jaye lekin jab wo chali jati hai to bas sirf uska hi zikar karte hain
Lekin main us se kafi ghul mil chuki thi jabki uska nature mere nature bilkul ulta tha lekin fir bhi ab uski maujoodgi mujhe achi lagti thi
Fir hum dono ne nashta kiya aur college chale gaye
Aur isi tarah waqt ka phiye ghumta raha aur kuch din beet gaye chuzi bhi college nahi aa rahi thi is liye wahan bhi kuch acha nahi lagta tha aur wo msg wale sahab ka kayi bar phone aaya lekin main baat nahi kar payi ab unka wajib amal ho gaya tha mujhe sms karna
Good morning se lakar good night tak ke wo mujhe msg karte the aise hi uske kuch masg aye
Kaise mumkin tha kisi aur ke wasele se ilaj ae Ghalib
Ishq ka rog tha Ammii ki chappal se hi aaram aaya
Aaye ,.' amii ki chappal
Next was..
Hum ne us zameen ko chuma jahan jahan unke qadam pare
Aur wo bewafa hamare ghar aake Ammi se boli
Aunty ap ka larka mitti khata hai
Ek aur msg tha...
Sadak pa agar koi mil jayega – ghame etohi se qubus nahi ayega
Maklool ki fitrat hai ye kafir – dimagh fat jayega par ye sher samajh me nahi aayega
Waah kya msg hain tum chahe jitney pakau masg bhejo lekin mai reply nahi karungi pata nahi kahan kahan se AA jate hain – main barbarayi
Sunday ka din tha din bhar ke kaam ke baad main thak kar so gayi aur sham ko uthi to dekha shahnaz apne camera liye puri chat pe udham macha rahi thi
Sham ka waqt tha suraj apni din bhar ki chamak ko khokar madham madham chal se
chalta hua ja chukka tha raat ki tareeki ke parde charon taraf chane lage the main bhi chat pe aakar baithi hui dekhne lagi
raat ki tareeki ke parde tairon ki ankhon ke samne bhi numaya ho chuke the aur wo apne aashiyano me aseer hone ja rahe the
apne aashiyano me aane par tairon ki awazen kuch achi lag rhi thi aisa lag raha jaise unke bache isteqbal ke liye hi baithe hue the is dil kash nazaron ko dekhte hue main kahin kho si gayi thi mujhe pata h nahi chala ki shahnaz mere peeche akar mere kadhon pe hath rakh ke khari thi
uski awaz sunkar meri sochon ka daira toota jo kuch gaa rahi thi
Dil na ummeed to nahi – nakam hi to hai
Lambi hai gham ki sham - magar sham hi to hai
Ye safar bahut hai kathin magar ye safar bahut hai kathin magar na udas ho mere hamsafar
Hai safar bahut hi kathin magar na udas ho mere hamsafar
Wo mere peeche se aakar mere kadmo me baith gayi thi aur mujhe bolne ka ishara karte hue gaa rahi thi
Main boli—nahi rahne wali ye mushkilen --ke hain agle mod pe manzilen
Meri baat ka tu yakeeeeen kar --- meri bat ka tu yakeen kar
Na udas ho mere hamsafar – ye safar bahut hai kathin magar ye safar bahut hai kathin magar na udas ho mere hamsafar
Tabhi mere mobile pe ring hui aur hamara gana khatam hua
Gulnaaz jee ka ye ranga rang karykaram yahi samapt hota hai – shanaz bolte hue uth gayi

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)