30-10-2026, 12:14 AM
Chapter 9
Mummy ne meri plate mein ek aur parantha rakha.
Main - Mummy main aur nahi kha sakti... please..
Mummy - Kha le na... fir pata nahi kab mere haath ka khana khane ko milega.
Main lagbhag do ghante pehle hi apne ghar par pag fere ki rasam ke liye pahuchi thi. Aditya raat ko mujhe lene aane wale they. Yeh rasam isliye bani hoti hai ki ladkiyan shaadi ke baad apne mayke jaakar apne gharwalo se khul kar baat kar sake, woh jaan sake uske sasuraal mein sab theek tha na.
Par jabse main ghar wapas aayi thi kafi bujhi hui si thi par Mummy ne mujhse sasural ki zara bhi baat nahi chhedi thi. Main unse kal raat jo hua uske baare mein baat karna chah rahi thi par samajh nahi aa raha tha baat ko kaise chhedu.
Mummy - Bata fir... Aditya ji ko kya acha lagta hai... wohi banwa lenge...
Main - Hmmm... nahi pata...
Mummy - Baaki sab bhi aa rahe hai na saath mein? Teri dono nanad... aur badi nanad ke husband...
Samar... Samar naam hai unka... main bolna chahti thi par ruk gayi.
Main - Nahi pata...
Mummy - Pata kya hai tujhe fir? Wahan bhi aisi khoyi khoyi thi kya? Kya sochenge tere sasuraal wale?
Main - Mummy...
Mummy bas apne mann ki baat bole jaa rahi thi - Chehakti hui kitni pyaari lagti hai tu... ghar ki bahu ke chehre par agar muskaan ho toh ghar ke sab log khush rehte hain...
Main - Mummy.... suno na...
Mummy - Pata nahi tere Papa bhi kahan busy ho gaye? Aaj ke din bhi business... beti ghar aayi hai...
Maine aakhir thoda zor se bola - MUMMY! Mujhe aapse baat karni hai.
Mummy meri tez aawaz sun kar ek pal ke liye hairaan reh gayi - Baat toh kar rahi hun... bol?
Main - Mmm... aise nahi... andar kamre mein chalkar baat karte hai na...
Hamare ghar ke naukar aas paas hi they aur mujhe yahan khule mein woh sab bolne mein sharam aa rahi thi.
Mummy - Dekh abhi bilkul time nahi hai... woh log 2 ghante mein aa jayenge...
Main kafi helpless sa mehsoos kar rahi thi - Mummy...
Mummy - Beta... bol na tu...
Main thoda sa hichkichayi - Woh... mmmmhhh... aapne mujhe bataya kyun nahi?
Mummy - Kis baare mein?
Main - Unki... unki woh rasam... pehli raat ki...
Mummy ne meri baat puri tarah ansuni kar di aur kitchen mein jaate hue kuch le kar aayi - Yeh le... yeh achar acha hai...
Ab mera paara badta jaa raha tha - Mujhe nahi chahiye achar! Aap meri baat toh suno... aapko pata tha woh sab aur fir bhi aapne...
Mummy - Dekh Suhani... woh tere sasural ki pratha hai... usme mera bolna nahi banta... aur jo kuch bhi hai woh sab tere aur Aditya ki bhalai ke liye hi hai...
Main - Bhalai? Aapko pata bhi hai... main kaisa mehsoos...
Paas se ghar ka ek naukar guzar ke gaya aur main chup ho gayi.
Mummy - Ab woh tera sasural hai... aur achi ladkiyan apne sasural ki baat idhar udhar nahi karti...
Mujhe unki baat kafi chubh rahi thi, woh aise kaise bol rahi thi, jaise unhe koi parwah hi na ho - Par mummy...
Mummy - Nahi Suhani... mujhe is baare mein koi baat nahi karni... aur tu bhi is sab ke baare mein na soche na baat kare toh behtar hai. Ab tu us ghar ki bahu hai... aur teri responsibility hai apne ghar ki izzat apne haath mein rakhna.
Main gusse mein bhaari saansein le rahi thi. Fir se lecture.
Mummy - Wahan ki baatein wahan bhool jayo... aur yahan ki baatein yahan... aur sabko khush rakhne ki koshish karo.
Main plate ko gusse mein sarka kar apne kamre mein jaane lagi... mera kamra... mere ghar ka kamra. Sab kuch abhi bhi waisa hi tha jaisa main chhod kar gayi. Ek din hi toh hua tha abhi... par fir bhi sab kuch kitna ajeeb sa lag raha tha.
Maine darwaza band kar liya aur dheere dheere subak subak kar rone lagi. Mummy ne meri baat sunni bhi nahi chahi. Koi nahi samajhna chah raha tha ki main kaisa mehsoos kar rahi thi.
Apne kamre ke palang par kuch der meri aankh lag gayi. Aur fir aisa laga agle hi pal Mummy mujhe utha rahi ho.
Mummy - Suhu... Suhaniiii.... Aditya ji aa gaye hain... baaki sab bhi... uth jaldi se...
Maine apni aankhen malte hue muh banaya - Kya hua... mujhe nahi jaana...
Mummy - Chal jaldi se apne baal aur kapde theek kar aur bahar aa jaa...
Isse pehle main kuch aur kehti kamre mein ek chehakti hui aawaz aayi, Drishti ki. Shayad woh Mummy ke peeche peeche andar tak aa gayi thi.
Drishti - BHABHI!!!! Kaisi ho aap... aree aap toh fir se so gayi...
Mummy - Aa jayo Drishti beta... apni Bhabhi ko jagayo zara...
Drishti - Wow... yeh aapka kamra hai... itne saare soft toys... aapko ache lagte hain?
Main uth kar bed par baithi, Drishti mere kamre ki har cheez ko gaur se dekh rahi thi.
Mummy - Tum dono baat karo... main bahar dekhti hoon.
Drishti muh banate hue boli - Bhabhi.... pehle aap so gaye they... fir yahan aa gaye... fir ab bhi baat nahi kar rahe... naraaz ho kya mujhse?
Main - Nahi... aisa kuch nahi... bas thoda tired hoon...
Drishti - Yeh Bhaiya bhi na! Ek hi raat mein aapko itna thaka diya... honeymoon ka hi wait kar lete... par waise shayad wait karna mushkil hota hai na shaadi ke baad.
Main bas halke se muskurayi, samajh nahi aa raha tha Drishti ko kya jawab du.
Drishti mere paas aakar baith gayi - Bhabhi... sorry agar aapko meri baatein annoying lag rahi ho toh... bas meri saari friends ki bhabhi hain... aur woh unse sab kuch share karti hain... saari baatein karti hain... toh mujhe laga...
Kafi innocent si thi Drishti, aur main usse gussa nahi reh sakti thi - Sorry ki zaroorat nahi hai, tum mujhse bhi khul kar saari baat kar sakti ho...
Drishti ka chehra turant chamak utha - Saari... acha... poochu fir main...
Main has padi, aur kisi tarah apne emotions chhupate hue boli - Well... lagbhag saari... main kal raat ke baare mein tumhe kuch nahi batane wali...
Drishti ne disappointed hone ka natak kiya par turant hi woh mujhe apne doston aur yahan wahan ki saari baatein batane lagi. Mujhe uski baaton mein koi interest nahi aa raha tha, par jaise Mummy ne kaha tha, mera kaam tha apne chehre par ek muskaan rakhna. Main beech beech mein sawaal puchne ki koshish karti taaki use lagta ki mera interest bana hua hai.
Thodi der baad meri Mummy ne aakar kaha - Suhani... Drishti... tum log bhi bahar aa jayo... naashta laga diya hai...
Drishti turant khadi ho gayi aur maine khade ho kar apni saree aur baalon ko mirror mein dekh kar theek kiya aur fir uske saath bahar aa gayi.
Bahar aakar maine dekha ki hamare living room mein Aditya aur Jiju ek saath baith they. Mere wahan aate hi dono ki nazrein meri taraf gayi. Maine eye contact hote hi doosre taraf dekha, jahan Prachi Didi baithi hui thi.
Prachi mujhe dekhte hi - Lo... Suhani bhi aa gayi... Suhani... maine Drishti ko mana kiya tha andar jaane ke liye... par yeh bas bhaag kar andar chali gayi...
Main halke se muskurayi - Koi nahi Didi...
Prachi Drishti ko dekhte hue dhamki di - Mummy ko batayungi main is sab ke baare me.
Drishti ne bas Prachi ko jeeb chidha ke dikha diya.
Meri nazar wapas Aditya ki taraf gayi, woh ek smart si shirt aur jeans pehne hue they, kafi smart lag rahe they. Par unke theek barabar mein baithe Jiju formal shirt pant mein they, jaise kisi business meeting se aaye ho. Saath baithe baithe pata chal raha tha ki Jiju Aditya se lambe chaudhe they. Shirt ke andar se hi unke strong arms saaf pata chal rahe they.
Mummy - Suhani... ab tu hi khila sab ko... koi kuch le hi nahi raha hai...
Main beech ki table ke paas jhuki aur sabki plates mein snacks laga kar serve karne lagi. Maine pehle plate laga kar Prachi Didi ko diya aur fir Drishti ko, aur fir Aditya ko, aur fir aakhir mein Jiju ko. Unko serve karte waqt main kisi tarah bas apne haathon ko kaanpe se rok rahi thi. Unki nazrein meri choodiyon par tiki hui thi.
Prachi - Tum bhi lo na Suhani... aur yahin baith jayo... Aditya ke paas...
Main ek plate lekar Aditya ke barabar mein baith gayi. Drishti khadi ho kar hum dono ki saath mein pic lene lagi.
Drishti - Wow Bhabhi... aap itni pretty lag rahi ho!
Aditya - Aur main? Main acha nahi lag raha...
Drishti - Bhabhi jitne nahi! Aur Jiju aap toh aaj bilkul ghar ke bade buzurg ki tarah lag rahe ho...
Jiju - Areee... itna bhi buddha kyun bana rahe ho mujhe... tum logon ki age ka hi hoon yaar...
Drishti - Aap itna chup chup jo baithe ho aaj... aur meri age ke toh bilkul nahi ho!
Jiju - Acha ji... toh kya age hai meri?
Drishti - Mmmm.... bhabhi se guess karwate hai pehle... Bhabhi aap batayo na...
Maine bauhein uchkate hue Drishti ko dekha - Main kaise.... nahi please...
Drishti - Aree bas guess hi toh karna hai... please... come on...
Aditya - Come on Suhani... just guess?
Main sochte hue boli - Nahi pata... 32...
Un mein se koi bhi yeh guess nahi kar sakta tha ki mera dil kitni tez dhadak raha tha.
Drishti ne aankhen meechte hue sar hilaya - Cloooseee... not quite...
Jiju - Aree.... bilkul sahi toh bataya hai... 32 hi hai...
Drishti - Aap na... rehne do Jiju... aap jitne young dikhte ho na... utne ho nahi...
Jiju - Abhi toh keh rahi thi ki main ghar ka bada buzurg lag raha hoon... aur ab keh rahi hai ki young... apna mind bana le...
Drishti - Main aapse gussa hoon... ab se bas bhabhi aur meri team hai... aur aap usse out...
Jiju - Mujhe kyun team se out kar diya? Mujhe bhi toh team mein rakh na...
Drishti - Nahi... ab aap poori tarah out ho...
Jiju - Acha... toh theek hai fir main aur Suhani milkar ek nayi team bana lenge... Kyun Suhani?
Mere gaal ekdam sharam se laal ho gaye. Us kamre mein Drishti ko chhod kar sabko pata tha ki mere aur unke beech kal raat kya hua tha, fir bhi Jiju aise lightly mujhse baat kar rahe they!
Drishti - Bhabhi... ab aap chun lo... ya toh main ya Jiju?
Mere liye iska jawab dena bilkul mushkil nahi tha, aur maine jaldi se kaha - Ofcourse tumhari team!
Drishti khushi se koodne lagi - Yayyy!! Go Team Hottie!
Ufff... kitna bachpana tha is ladki mein. Team Hottie! Aisa naam kaun deta hai, aur woh bhi itne saare logon ke saamne. Sab log has rahe they, Jiju bhi.
Jiju ne meri taraf dekhte hue kaha - Oho... Suhani ne bhi dhoka de diya... mujhe aisi umeed nahi thi...
Aditya has ke bola - Koi nahi Jiju... hum apni nayi Boys team bana lenge...
Prachi - Acha... fir main kahan jayungi?
Sab log hasne lage. Kuch pal baad kisi aur topic par aapas mein hasi majak hone laga, is baar driving par, aur kaun kitna kharaab driver tha. Main bas chup chaap muskurati hui sab kuch sun rahi thi aur agar koi kuch bol deta toh beech mein kuch kuch bol deti. Teeno bhai behen mein kafi pyaar aur closeness thi, bilkul waisi family jaisi mujhe chahiye thi.
Bas... kaash... kal raat... woh sab na hua hota.