23-10-2026, 11:06 AM
(This post was last modified: 23-10-2026, 11:29 AM by Greenwood. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.
Edit Reason: Spelling mistake
)
Update 08
Bengaluru ki shaam apni raftaar se dhal rahi thi.
Sadak par gaadiyon ka shor, aasman mein halki si laali aur hawa mein baarish aane ki khushboo thi. Reyansh office se lautte hue apni car mein ek haath steering par rakhe, doosre haath se music system ki volume kam kar raha tha.
Phone car ke Bluetooth se connected tha.
Arshad: deviyo or sajjanon main amitabh bachan bol raha hu, koi nahi hai crorepati se
Reyansh: maa ka bhosda... Aagggg
Reyansh hans deta hai lekin Arshad character me rehta hai
Arshad: hey salaa.... Subah se sham tak kamai rokda or yeh bol raha hai teri maa ka beep beep...
Reyansh hans pada.
Reyansh: “Teri shakal dekhne se achha hai bhoot ban jaun.”
Arshad: “Meri shakal se itni problem hai toh roz mujhse baat kyun karta hai?”
Reyansh: “Free entertainment.”
Arshad: “Ek din entertainment band ho gaya na, tab meri value samajh aayegi.”
Reyansh: “Us din main Netflix ka subscription le lunga.”
Arshad kuch pal chup raha.
Arshad: “Saale, dosti ke naam par itni beizzati! Khair, ghar pahunch kar phone kar. Ek kaam tha.”
Reyansh: “Kaam hai toh message kar de.”
Arshad: “Nahi, phone par hi bataunga.”
Reyansh: “Kyun? Message mein sharam aati hai?”
Arshad: pura din to apni ungli ghista hi jaan, ab tu bhi yeh karega...
Call kat gayi.
Reyansh muskurate hue aage badh gaya.
Uski zindagi mein abhi sab kuch apni jagah par tha. Office, ghar, Shalu ki roz ki baatein, Arshad ki bakwaas, family ke phone aur kabhi-kabhi Neha ke messages.
Aur ab pados mein Jheel bhi thi, jiske saath uski baat abhi sirf halki-phulki jaan-pehchaan tak pahunchi thi.
Zindagi chal rahi thi.
Lekin har kahani mein kuch aise kirdaar hote hain, jo entry lene ke liye darwaza nahi khatkhatate tod ke ghus jate or
Woh bas saamne aa jaate hain.
Aur phir unke aane se poore mahaul ka temperature badal jaata hai.
Reyansh ne apartment ki parking mein car lagayi. Engine band karke woh kuch seconds seat par hi baitha raha.
Din bhar ki meetings ke baad use bas ghar pahunchkar kapde badalne the, kuch khana tha aur thodi der apne dimaag ko chhutti deni thi.
Woh car se nikla hi tha ki parking ke doosre kone se ek ladki ki tez awaaz sunayi di.
“Maine kaha na, meri gaadi ko haath mat lagaiye!”
Reyansh ne awaaz ki taraf dekha.
Woh Gungun thi.
Is building mein rehne wale log usse achhi tarah jaante the. Reyansh bhi uske attitude aur gusse se anjaan nahi tha. Gungun khoobsurat thi, stylish thi aur apne looks ko lekar kaafi confident bhi. Lekin uske saath baat karte waqt log aksar soch-samajhkar bolte the, kyunki kab uska mood kharab ho jaaye, koi bharosa nahi tha.
Aaj bhi woh apni car ke paas khadi thi. Black fitted top, blue jeans, stylish sunglasses jo ab uske sir par tikey hue the, khule baal aur chehre par aisa gussa jaise kisi ne uski personal property nahi, uski poori izzat par attack kar diya ho.
Uske saamne security guard khada tha.
Guard: “Madam, main bas aapko batane aaya tha ki gaadi thodi line se bahar hai. Doosri gaadi ko nikalne mein dikkat ho rahi hai.”
Gungun: “Toh doosri gaadi wale ko bolo na! Meri gaadi hi kyun?”
Guard: “Madam, aapki gaadi ke peeche hi toh woh gaadi khadi hai.”
Gungun: “Toh usko aage karne bolo!”
Guard ne ek pal ke liye aankhein band ki. Shayad woh apne andar ke saare sabr ko ek jagah jama kar raha tha.
Guard: “Madam, unki gaadi ke aage bhi gaadi khadi hai.”
Gungun: “Toh phir aap log kar kya rahe ho yahan?”
Reyansh ne apni car lock ki.
Usne man hi man socha, Bhai, parking ka issue hai ya United Nations ki emergency meeting?
Woh bina kuch bole lift ki taraf chalne laga.
Lekin tabhi guard ki nazar us par pad gayi.
Guard: “Reyansh sir, aap hi samjha dijiye madam ko. Aap toh yahin rehte hain.”
Reyansh ke kadam ruk gaye.
Usne dheere se guard ki taraf dekha.
Reyansh: “Mujhe kyun?”
Guard ke chehre par madad ki ummeed thi.
Guard: “Sir, aapki baat shayad maan jaayein.”
Gungun ne turant Reyansh ki taraf dekha.
Uski nazar pehle Reyansh ke chehre par gayi, phir uske office bag par aur aakhir mein uske jooton par.
Jaise kisi insaan ko dekhne ke bajaye uski poori appraisal report taiyar kar rahi ho.
Gungun: “Aap in-charge hain yahan?”
Reyansh: “Nahi.”
Gungun: “Toh phir?”
Reyansh: “Main bhi yahin rehta hoon.”
Gungun: “Toh aapko beech mein bolne ki kya zaroorat hai?”
Reyansh kuch seconds use dekhta raha.
Phir usne bilkul shaant awaaz mein kaha.
Reyansh: “Aapne hi toh poochha tha.”
Gungun: “Maine poochha tha ki aap in-charge hain. Maine yeh nahi poochha ki aap apni commentary shuru kar dein.”
Reyansh ne guard ki taraf dekha.
Guard ki aankhon mein ab ek hi sawaal tha: Sir, main naukri chhod doon?
Reyansh ne wapas Gungun ko dekha.
Reyansh: “Fair enough.”
Woh mudkar lift ki taraf badh gaya.
Uske peeche Gungun ki awaaz phir sunayi di.
Gungun: “Aur haan, meri gaadi ko koi touch nahi karega!”
Reyansh ne bina peeche dekhe haath utha kar ek chhota sa thumbs-up kar diya.
Gungun ka chehra aur bigad gaya.
Use shayad umeed thi ki saamne wala usse behas karega, safai dega ya kam se kam uske gusse ko serious lega.
Lekin Reyansh toh jaise uske gusse ko bhi ek unnecessary office email samajhkar ignore kar chuka tha.
Lift ka darwaza band hua.
Reyansh ne apna sir deewar se tikaya aur halki si saans chhodi.
Reyansh (khud se): “Ghar jaa raha hoon ya reality show mein aa gaya hoon?”
Lift upar badhne lagi.
Aur parking mein Gungun ab bhi security guard ko samjha rahi thi ki apartment ki management ko apne standards improve karne chahiye.
Uske hisaab se problem parking mein nahi thi.
Problem baaki sab logon mein thi.
Reyansh ne flat ka darwaza khola toh kitchen se bartan rakhne ki awaaz aa rahi thi.
Shalu ka kaam lagbhag khatam ho chuka tha. Woh dining table saaf kar rahi thi.
Shalu: “are itni jaldi Aa gaye aap?”
Reyansh: “Nahi, abhi kaha.
Shalu ne uski taraf dekha.
Shalu: “Aapko roz ek hi joke milta hai kya?”
Reyansh: “Tum roz ek hi sawaal poochhti ho.”
Shalu: “Achha, toh aaj se nahi poochhungi.”
Reyansh: “Theek hai.”
Shalu ne table par rakha kapda uthaya aur uski taraf dekha.
Shalu: “Khana kha liya aapne?”
Reyansh ne apna bag sofa par rakh diya.
Reyansh: “Yeh toh poochhna padega. Nahi poochhogi toh mujhe bhookha rehna padega.”
Shalu: “Aapko bhookh lage toh aap khud bhi kha sakte hain.”
Reyansh: “Itni independence achhi nahi hoti.”
Shalu: “Aapke liye toh bahut achhi hai. Isiliye aap shaadi ke baad bhi akele reh rahe hain.”
Baat kehne ke baad Shalu khud hi ruk gayi.
Reyansh ne uski taraf dekha.
Shalu ko turant samajh aa gaya ki usse shayad yeh baat nahi kehni chahiye thi.
Shalu: “Sorry. Mera woh matlab nahi tha.”
Reyansh ne koi khaas reaction nahi diya. Usne bas fridge khola aur paani ki bottle nikaal li.
Reyansh: “Koi baat nahi, Shalu. Har baat ko serious lene lagunga toh tumhari aadhi baaton par mujhe roz meeting karni padegi.”
Shalu ke chehre par halki si rahat aayi.
Shalu: “Waise, neeche aaj bahut tamasha hua.”
Reyansh ne paani peete-peete use dekha.
Reyansh: “Tumhe kaise pata? Tum toh yahan thi.”
Shalu: “Main nikal rahi thi toh lift ke paas Mrs. D’Souza mil gayi thi. Unhone bataya.”
Reyansh: “Mrs. D’Souza ko toh CCTV ki naukri milni chahiye.”
Shalu: “Unhone kaha, building mein kuch bhi ho, unhe pata chal hi jaata hai.”
Reyansh: “Unhe bata dena, agle hafte se main unhe building ka news channel subscribe kar raha hoon.”
Shalu hans padi.
Shalu: “Lekin woh gungun sach mein bahut gusse mein thi.”
Reyansh ko parking ka scene yaad aa gaya.
Reyansh: “Haan. Mujhe laga tha gaadi ke saath uska emotional attachment hai.”
Shalu ne apna bag uthaya.
Shalu: “Achha, main chalti hoon. Khana fridge mein rakh diya hai. Garam kar lena.”
Reyansh: “Ji, chef sahiba.”
Darwaze tak pahunchkar Shalu ek baar phir mud gayi.
Shalu: “Waise aapko pata hai, woh hamari building mein hi rehti hai.”
Reyansh ne aankhein band kar li.
Reyansh: “Bas. Ab yahi khabar sunni baaki thi.”
Shalu hanskar chali gayi.
Reyansh ne darwaza band kiya aur kuch seconds wahin khada raha.
Phir usne apne aap se kaha.
“Koi baat nahi. Building badi hai. Roz saamna thodi hoga.”
Zindagi ko uski is baat par shayad hansi aa gayi thi.
Agli subah Reyansh ki neend kisi alarm se nahi, balki corridor mein ho rahi behas ki awaaz se khuli.
Pehle usne takiye mein munh chhupaya.
Phir awaaz dobara aayi.
“Aapko samajh kyun nahi aata? Maine online order kiya hai, toh delivery mujhe hi milegi na!”
Reyansh ne aankhein kholi.
Kuch seconds tak chhat ko dekhta raha.
Reyansh: “kyu yaar, aaj kya naya hai?”
Usne phone uthaya. Time dekhkar uska chehra bigad gaya. Use taiyar hokar office ke liye nikalna tha.
Woh bistar se utha, baal theek kiye bina bedroom se bahar aaya aur darwaze ke paas pahunch gaya.
Bahar nikla toh corridor mein delivery boy khada tha. Uske saamne Gungun thi.
Aaj usne white fitted top, black trousers aur bade sunglasses pehne hue the. Ek haath mein phone, doosre mein chhota sa handbag.
Delivery boy apne phone ki screen dikha raha tha.
Delivery Boy: “Madam, app mein address Flat 304 hai, lekin aap keh rahi hain ki parcel kisi aur ko dena tha.”
Gungun ne use ghoora.
Gungun: “Maine address sahi dala hai. Tum logon ko kaam karna nahi aata toh delivery kyun karte ho?”
Delivery Boy: “Madam, main bas confirm kar raha hoon.”
Gungun: “Mujhe confirmation nahi chahiye. Mujhe mera parcel chahiye.”
Reyansh ne apne flat ka darwaza khula chhod diya aur unke paas aa gaya.
Reyansh: “Good morning.”
Delivery boy ne use dekha aur jaise kisi apne aadmi ko dekhkar rahat mehsoos ki.
Gungun ne Reyansh ki taraf dekha.
Gungun: “Aap phir?”
Reyansh: “Ji. Main phir.”
Gungun: “Aapko har jagah dikhna zaroori hai?”
Reyansh: “Nahi. Lekin mera flat yahin hai. Agar aap chahein toh main doosri building mein shift ho sakta hoon.”
Delivery boy apni hansi rokne ke liye neeche dekhne laga.
Gungun ne use ghoora.
Gungun: “Aapko funny lag raha hai?”
Delivery Boy: “Nahi madam.”
Uski awaaz se saaf pata chal raha tha ki use bahut funny lag raha hai.
Reyansh ne parcel par likha address dekha.
Reyansh: “Flat 304. Aapka hi hai na?”
Gungun: “Obviously not"
Reyansh: “Toh parcel bhi aapka nahi hai.”
Gungun: “Aapko yeh sab batane ki zaroorat nahi hai.”
Reyansh: “Bilkul. Main bas parcel ke emotional journey ko samajhne ki koshish kar raha tha.”
Delivery boy ke chehre par phir muskurahat aa gayi.
Gungun ne parcel uske haath se le liya.
Gungun: “Thank you. Ab ja sakte ho.”
Delivery boy bina doosri baar poochhe wahan se nikal gaya.
Gungun ne parcel khola, andar dekha aur phir aise chehra banaya jaise duniya ne uske khilaaf koi naya conspiracy plan kar diya ho.
Reyansh: “Ab parcel mein bhi problem hai?”
Gungun: “Aapko apne kaam se kaam rakhna chahiye.”
Reyansh: “Main toh wahi kar raha tha. Aapki awaaz ne mujhe complimentary update de diya.”
Gungun parcel leke dhad dhad sidhiya chadh kar upar floor par chali gayi
Lekin chadhne se pehle usne ek baar phir Reyansh ko dekha.
Gungun: “Aap bahut bolte hain.”
Reyansh ne muskurakar jawab diya.
Reyansh: “Aapke saamne toh kam hi bola hai.”
Reyansh kuch pal us darwaze ko dekhta raha.
Phir usne apne flat ki taraf dekha, jahan uska office bag, shirt aur breakfast uska intezaar kar rahe the.
Reyansh: “Amazing. Kuch log subah coffee peete hain. Mujhe pados mein free blood pressure milta hai.”
Woh apne flat mein wapas chala gaya.
Uske chehre par gussa nahi tha.
Bas ek halki si hansi thi.
Use Gungun pasand nahi aayi thi. Uska attitude use irritating laga tha. Aur uski baaton ka andaaz toh bilkul bhi nahi.
Lekin Reyansh ki ek aadat thi.
Woh logon ko pehli mulaqat mein hi apni zindagi ka hissa nahi banata tha.
Aur na hi unhe apni zindagi ka villain.
Uske liye Gungun bas ek gusse wali padosan thi.
Filhaal.
Office ke liye nikalte waqt Reyansh ne flat lock kiya aur lift ka button dabaya.
Lift aayi toh andar Jheel khadi thi.
Haath mein ek chhota sa lunch bag aur kandhe par handbag.
Jheel: “Good morning.”
Reyansh: “Good morning.”
Woh lift mein aa gaya.
Kuch seconds tak dono chup rahe.
Phir Jheel ne uski taraf dekha.
Jheel: “Aaj aap jaldi nikal rahe hain?”
Reyansh: “Haan. Office mein ek presentation hai.”
Jheel: “All the best.”
Reyansh: “Thank you. Aapka bhi koi important kaam hai?”
Jheel: “Bas kuch personal kaam hain. Phir ghar se thoda kaam karna hai.”
Reyansh: “Work from home?”
Jheel: “Haan, kuch aisa hi samajh lijiye.”
Reyansh ne sir hila diya.
Lift neeche pahunchi.
Dono bahar nikle. Jheel reception ki taraf jaane lagi aur Reyansh parking ki taraf.
Phir Jheel ko kuch yaad aaya.
Jheel: “Waise, kal raat aapke floor par kaafi awaaz aa rahi thi.”
Reyansh ne use dekha.
Reyansh: “Mere floor par toh awaaz roz aati hai. Kabhi pressure cooker, kabhi Prakash Bhatia ji ka lecture.”
Jheel hans padi.
Jheel: “Nahi, main aapke saamne wale flat ki baat kar rahi thi.”
Reyansh: “Oh. Gungun?”
Jheel: “Shayad.”
Reyansh: “Haan, unka normal volume hai.”
Jheel ne hansi rokne ki koshish ki.
Jheel: “Aapko unse problem hoti hai?”
Reyansh ne kuch socha.
Reyansh: “Problem tab hoti hai jab unki awaaz mere ghar tak aati hai. Warna main doosron ki personal life mein interfere nahi karta.”
Jheel: “Achhi baat hai.”
Reyansh: “Aap bhi yahi policy follow karna. Building mein zindagi aasaan rahegi.”
Jheel ne muskurakar sir hila diya.
Dono apni-apni raahon par badh gaye.
Reyansh ne car start ki.
Jheel ki baat yaad karke use phir hansi aa gayi.
Usne socha, Kam se kam Jheel normal toh hai.
Phir agle hi pal usne khud ko tok diya.
“Har insaan ka comparison mat kiya kar. Bas office ja.”
Woh khud hi apni baat par muskuraya aur car aage badha di.
Office mein presentation theek rahi.
Client ne kuch changes maange, Neha ne do points note kiye aur Reyansh ne agle din tak revised plan bhejne ka commitment de diya.
Meeting khatam hote hi Neha uske desk ke paas aayi.
Neha: “Tum aaj bade khush lag rahe ho.”
Reyansh: “Main roz khush lagta hoon.”
Neha: “Nahi. Roz tum normal lagte ho. Aaj aisa lag raha hai jaise tumne kisi ko irritate karke aaye ho.”
Reyansh hans pada.
Reyansh: “Tumhe meri personality ka itna detailed analysis karne ke liye extra salary milti hai?”
Neha: “Nahi. Lekin tumhari shakal padhne ka experience kaafi hai.”
Reyansh: “Toh suno, aaj subah building mein Gungun se mulaqat hui.”
Neha: “Mulaqat hui ya unhone tumhari class li?”
Reyansh: “Dono ke beech ka kuch tha.”
Reyansh ne parking aur delivery wale incident ka short version sunaya.
Neha beech-beech mein hansti rahi.
Neha: “Tumne kya kiya?”
Reyansh: “Kuch nahi. Bas do-chaar baatein.”
Neha: “Tumhare do-chaar ka matlab dus logon ko offend karna hota hai.”
Reyansh: “Main toh bahut polite tha.”
Neha: “Haan, tum toh duniya ke sabse polite insaan ho.”
Woh muskurate hue apne desk ki taraf jaane lagi.
Phir rukkar boli.
Neha: “Waise, kabhi-kabhi log gusse mein isliye bhi hote hain kyunki unhe lagta hai ki unki baat koi sunta hi nahi.”
Reyansh ne uski taraf dekha.
Reyansh: “Ho sakta hai. Lekin iska matlab yeh thodi hai ki woh har kisi se badtameezi karein.”
Neha: “Bilkul nahi. Bas keh rahi hoon, har insaan ko samajhna zaroori nahi hota. Kabhi-kabhi usse door rehna hi kaafi hai.”
Reyansh: “Is advice ka bill bhej dena.”
Neha: “Interest ke saath bhejungi.”
Woh chali gayi.
Reyansh ne laptop khola aur kaam mein lag gaya.
Uske liye baat wahin khatam thi.
Usne Gungun ke baare mein aur kuch nahi socha.
Aakhir use kaam bhi toh karna tha
Shaam ko Reyansh ghar lauta toh lobby mein Prakash Bhatia ji khade the.
Haath mein register, chehre par serious expression aur paas mein do residents.
Reyansh ne unhe dekha aur apni chaal thodi tez kar li.
Lekin Bhatia ji ki nazar us par pad chuki thi.
Bhatia ji: “Reyansh beta, ek minute.”
Reyansh ruk gaya.
Reyansh: “Ji, boliye.”
Bhatia ji: “Gungun se tumhari baat hui hai?”
Reyansh ne ek pal ke liye unhe dekha.
Reyansh: “Aapko kaise pata?”
Bhatia ji: “Security ne bataya. Subah kaafi argument hua tha.”
Reyansh ne man hi man socha, Is building mein news channel bhi hai aur uska official spokesperson bhi.
Reyansh: “Bas parcel ki delivery ka issue tha.”
Bhatia ji: “Dekho, main kisi ki personal life mein nahi padta. Lekin building mein discipline hona chahiye. Kal parking, aaj delivery boy. Residents ko cooperate karna chahiye.”
Paas khade ek uncle ne turant kaha.
Uncle: “Bilkul sahi keh rahe hain. Aajkal logon ko society mein rehne ka tareeka hi nahi pata.”
Reyansh ne dono ko dekha.
Uska mann hua ki abhi unke budhe tatte ukhad de.
Lekin usne apni zubaan ko control kiya.
Reyansh: “Bhatia ji, agar koi official complaint hai toh aap unse directly baat kar lijiye. Main toh bas padosi hoon.”
Bhatia ji: “Haan, haan. Bas tum samajhdaar ho, isliye keh raha tha.”
Reyansh: “Ji. Samajh gaya.”
Woh lift ki taraf badha.
Peeche se Bhatia ji ki awaaz aayi.
Bhatia ji: “Aur beta, kal maintenance meeting bhi hai!”
Reyansh ke kadam ruk gaye.
Usne dheere se palatkar dekha.
Reyansh: “Kal?”
Bhatia ji: “Haan, notice board par laga hai.”
Reyansh ne ek pal ke liye aankhein band ki.
Reyansh: “Theek hai. Dekh lunga.”
Lift ka darwaza khula.
Woh andar gaya aur button dabaya.
Usne phone nikala aur Arshad ko message bheja.
Reyansh: Mujhe apni building se nikaal le.
Arshad ka reply turant aa gaya.
Arshad: Rent kitna hai?
Reyansh: Mere flat ka nahi, meri mental peace ka sawaal hai.
Arshad: Uska toh market mein rate hi nahi hai. Tu barbaad ho chuka hai.
Reyansh hans pada.
Reyansh: Teri dosti bhi ek din complaint register mein likhwaunga.
Arshad: Pehle spelling seekh le, phir complaint likhna.
Reyansh ne phone lock kar diya.
Lift upar pahunch chuki thi.
Flat mein aakar Reyansh ne bag rakha, shirt badli aur kitchen mein chala gaya.
Fridge khola.
Andar sabzi, doodh, bread aur kuch bachi hui cheezein thi.
Usne anda nikala aur pan gas par rakh diya.
Omelette banate waqt uska phone vibrate hua.
Arshad ka call tha.
Reyansh: “Bol, kya kaam tha?”
Arshad: “Pehle bata, building se bhaaga kyun nahi ab tak?”
Reyansh: “Mere paas ek dost hai jo mujhe rent par jagah dene ke bajaye meri beizzati karta hai.”
Arshad: “Main emotional support de raha hoon.”
Reyansh: “Tera emotional support aur traffic signal ka red light, dono ek jaise hain. Bas rokna aata hai.”
Arshad zor se hans pada.
Phir dono kuch der apne din ki baatein karte rahe. Arshad ne apni agency ke ek client ka kissa sunaya, jo har tagline mein apni company ka naam daalna chahta tha.
Arshad: “Bhai, usko tagline nahi chahiye. Usko apni company ka naam billboard par chaar baar likhwana hai.”
Reyansh: “Kar de. Paise de raha hai na?”
Arshad: “Tu brand manager hai ya businessman?”
Reyansh: “Main practical hoon.”
Arshad: “Tu practical nahi, tu aalsi hai. Jo kaam jaldi khatam ho, usi ke favour mein decision leta hai.”
Reyansh: “Aur tu overthink karta hai.”
Arshad: “Koi toh karega. Teri zindagi mein toh thought bhi appointment lekar aata hai.”
Reyansh ne hansi ke saath call khatam ki.
Usne khana khaya, kitchen saaf kiya aur sofa par baith gaya.
TV par koi purani comedy film chal rahi thi.
Kuch der baad corridor se halki si awaaz aayi.
Lift ke darwaze ke band hone ki.
Reyansh ne TV ki volume kam ki.
Ek pal ko use Gungun yaad aayi.
Usne remote uthaya aur volume badha di.
Reyansh: “Mujhe kya. Apni zindagi, apna attitude.”
Woh film dekhne laga.
Doosri taraf, apne flat mein Gungun bedroom ke mirror ke saamne khadi earrings utaar rahi thi.
Usne phone par kisi ka message padha, ek chhota sa reply kiya aur phone dressing table par rakh diya.
Phir use subah ka woh aadmi yaad aaya.
Woh jo bina dare usse jawab de raha tha.
Usne mirror mein khud ko dekha.
Gungun: “Kitna irritating insaan hai.”
Ek pal ruki.
Phir apne baal theek karte hue boli.
Gungun: “Aur samajhta kya hai apne aap ko?”
Uske chehre par gussa tha.
Lekin us gusse ke peeche koi gehri baat thi ya nahi, yeh abhi kisi ko nahi pata tha.
Na Reyansh ko.
Na building ke logon ko.
Aur na hi un dono ko khud, ki aane wale waqt mein ek hi corridor kitni baar unki mulaqat karwayega.
Filhaal, dono ke liye ek-doosra bas ek pareshani the.
Reyansh ke liye Gungun ek aisi padosan thi jisse door rehna behtar tha.
Aur Gungun ke liye Reyansh ek aisa aadmi tha jise uski baaton ka jawab dene ki aadat chhod deni chahiye thi.
Lekin zindagi mein har baat hamari marzi se thodi hoti hai.

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)