8 hours ago
Chapter 4
Prachi Didi ke jaane ke baad mujhe kamre mein akele baithe hue aur 10-15 minute ho gaye they. December ke mahine mein poora kamra barf jaisa thanda lag raha tha, aur main buri tarah kaanp rahi thi. Par pata nahi woh kampan kitni thand se thi aur kitni bechaini se.
Maine apne haathon ko apni taangon par kas ke lapeta hua tha taaki woh kaanpti hui hile na. Har pal meri saans bhaari si lag rahi thi, par dheere dheere andar ki subki shaant si ho rahi thi.
Tabhi darwaze par ek aahat si hui aur darwaza khula. Mera jism turant akad sa gaya aur aankhen mere theek saamne bistar par gadh gayi. Mujhe mehsoos ho raha tha ki koi aadmi andar chalta hua bistar ki taraf aa raha tha, par meri himmat nahi ho rahi thi upar dekhne ki.
Woh kadam aakar theek bistar ke paas ruke aur fir kuch pal baad kamre ke doosri taraf gaye. Meri himmat nahi ho rahi thi us taraf dekhne ki, par ek halki si khhhrrrkkk ki awaaz aayi, jaise unhone khidki ke parde theek kiye ho. Achanak se laga jaise kamre mein jo thandi si hawa aa rahi thi woh thodi kam ho gayi thi.
Fir woh wapas aaye bistar ke doosri taraf, kuch pal khade rahe, aur fir dheere se bistar ke sirhane par baith gaye. Meri nazrein bistar ke us kone ki taraf gayi, shayad hamare beech ke faasle ko naapne ke liye. Woh kafi door baithe hue they, mujhe par unka ghutna dikhayi de raha tha, jahan unhone ek safed pyjama pehna hua tha.
Kuch der main waise hi apne taangon ko pakde baithi rahi. Mujhe nahi pata woh kahan dekh rahe they, ya kya soch rahe they. Par mere muh se halki si kaanpne ki aawaz nikalne lagi.
Tab achanak se mere kaano mein unki aawaz padi, bilkul spasht - Suhani...
Unke muh se apna naam sunkar mera dil beech mein atak sa gaya. Aawaz mein ek narmi bhi thi aur ek thehraav bhi. Aaj poori shaam kisi ne mera naam is tarah se nahi liya tha. Maine apna honthon apne muh ke andar daba liye taaki meri aawaz na nikle. Par mera jism abhi bhi kaanp sa raha tha.
Unki aawaz fir se kamre mein goonji - Suhani... aap thand se kaanp rahi hai... ya darr se?
Mere muh se koi aawaz nahi nikli par kandhe halke se uchak gaye, jaise main dono cheez ke liye haan kar rahi hoon.
Jiju fir se khade hue aur kisi kapde ki khulne ki aawaz aayi. Jab woh wapas aaye toh unhone apna ghutna bistar par rakha aur ek shawl meri peeth par lehrate hue rakh diya. Ek pal ke liye aur bhi kaanp gayi ki kahin woh mujhe jakad na le, par woh turant hi thoda peeche hatt kar baith gaye.
Maine Shawl ke kinaro ko pakadte hue apne aap ko ache se dhak liya aur uski garmahat meri kampan ko kam karne lagi. Kuch pal kamre mein chhupi rahi. Fir ek sarsarahat ki aawaz hui jaise woh apni jeb se kuch nikaal rahe ho.
Unhone ek chhota sa dabba mere aage kar diya - Yeh... main aapke liye laaya hoon... chhota sa kuch...
![[Image: 456721.jpg]](https://i.postimg.cc/tTV4yH7N/456721.jpg)
Us chhote se jewelry box ke andar ek diamond ki ring thi. Meri saans ek pal ke liye ruk gayi. Jiju mujhe yeh ring kyun gift kar rahe they. Maine suna tha yeh toh husband apni wife ko pehli raat par gift karte hain.
Main ring lene se mana karna chahti thi par mere muh se bas ek halki si aawaz nikli - Mmmmhhhh....
Jiju ne dabba mere saamne palang par rakh diya - Achi nahi lagi?
Maine bas halke se naa mein sar hilaya.
Jiju ne softly poocha - Toh fir... gussa ho mujhse?
Maine apne aapko bolne se nahi rok paayi, aur meri dheemi si aawaz bahar nikli - Main kyun gussa hungi aap par?
Jiju meri aawaz sunkar muskuraye - Toh aap bolti bhi hain!
Maine yeh sunte hi turant apna sar jhuka liya par ek halki si muskaan mere chehre par aaye bina nahi reh paayi. Unse in zara si baatcheet ne mere bechain mann ko bas zara sa halka kar diya tha.
Jiju - Naraaz toh mujhe hona chahiye aapse?
Meri chanchal aankhen turant unki taraf uth gayi - Kyun??
Jiju apni kalai ko masalte hue bole - Aapne yahan naakhun jo maara tha mere. Kafi tez hain aapke naakhun.
Pata nahi kyun unke is meethi aawaz ka main jawab diye bina nahi reh paa rahi thi - Itni bhi nahi lagi thi...
Jiju wahin baithe rahe, unki aakhen mere chehre par tiki hui - Maine toh poori koshish ki thi aapko jitane ki. Par aap fir bhi naraaz hai... gharwalo ki wajah se?
Aditya aur uske gharwalo ke baare mein sochte hi main thoda aur bechain ho gayi. Aaj jis tarah Aditya aur uski mummy ne mujhse baat ki thi maine kabhi socha nahi tha ki aisa kuch hoga. Par maine koi jawab nahi diya.
Jiju meri chhupi ko shayad samajh gaye. Woh kuch nahi bole, bas shaant baithe rahe, nighahen thodi jhuki li. Jaisa Prachi Didi ne mujhe kaha tha, waisa toh mujhe kuch nahi lag raha tha.
Mujhe apne dil ki baat kisi se toh share karni thi is waqt.
Aakhir maine himmat karke dheere se kaha - Sabko pehle se pata tha... Meri mummy ko, yahan sabko, Aditya ko bhi.... Sirf mujhe nahi pata tha. Agar pata hota toh main yeh shaadi kabhi nahi karti.
Jiju ne ek gehri saans li, unki nazar angoothi par jakar tik gayi thi - Haan... yeh theek nahi tha.
Maine chaunk kar unki taraf dekha. Ab tak kisi ne yeh nahi kaha tha. Mummy ji ne, Prachi Didi ne, Aditya ne, sabne meri baat sune apni baat samjhane ki koshish ki thi. Bina yeh soche ki main kaisa mehsoos kar rahi thi. Aur ab jis aadmi ko mere kamre mein mere saath raat bitane bheja tha, wohi meri baat sun raha tha.
Meri aankhon aur lafzon mein shikayat bhari padi thi - Aapne bhi toh nahi roka unhe.
Jiju - Mere rokne se woh rukte nahi. Aapki tarah main bhi yahan bahar ka hi hoon. Mere mana kar dene se unhe koi aur dhoondna padta, shayad koi aisa jo is sab ko sach mein karna chahta.
Unke muh se nikla har shabd mujhe hairaan sa kar raha tha. Main ek aise insaan ke saath apna dil halka kar rahi thi jisse aaj se pehle shayad hi meri ek-do baar baat hui ho. Shayad woh sach keh rahe they, woh bhi toh meri tarah bahar ke they, is ghar ke damad. Aditya ke gharwale toh uski dulhan ke liye ye sab pehle se soch kar baithe they.
Maine thodi aur himmat karke pucha - Toh... aap... yahan nahi aana chahte they?
Jiju ek pal ke liye ruke, shayad unhone is seedhe sawal ki umeed nahi ki thi - Nahi... pehle toh nahi aana chahta tha...
Main unke jawab ka matlab samjhne ki koshish kar rahi thi. Meri aankhen unse unka sentence poora karne ke liye keh rahi thi.
Jiju - Par... is poori situation mein shayad... aapko mujhse behtar saathi nahi mil sakta tha.
Mera dil ekdam se zor se dhadka. Dimaag mein unka woh "Saathi" Shabd ghoom raha tha - Prachi Didi... woh bhi kaafi naraaz lag rahi thi.
Jiju halke se muskuraye - Haan... woh bhi aapki tarah is sabko nahi maanti... kaafi mushkil hai uske liye bhi yeh sab karna. Par hum sab parivaar aur prathayon se bandhe hue hain na. Kuch cheezen farz samajh kar karni padti hain.
Mera mann abhi bhi nahi maan raha tha - Kehna kafi aasan hota hai par karna nahi. Maine socha tha yeh raat main aur Aditya... hum dono baat karte hue bitayenge... ek doosre ko ache se samjhenge.
Apni suhaagraat ke sapne Jiju ko describe karna ajeeb bhi lag raha tha, par jaane kyun nahi bhi lag raha tha.
Jiju ne meri taraf dekha jaise kuch kehna chah rahe ho par apne aap ko rok liya - Aap kafi dilchasp hain... aur aapki chah toh usse bhi jyada.
Main - Kaise?
Jiju - Woh aapko abhi nahi bata payunga.
Meri aawaz thodi si ruansa ho gayi - Aap aise suspense kyun create kar rahe hain.
Jiju - Aap toh mujh par aise bhadak rahi hai jaise main Adi hoon.
Mera chehra poori tarah flush ho gaya - Nahi toh!
Jiju - Waise aap ghabraye nahi... jaisa aap kahengi waisa hi hoga... main yahan neeche carpet par so jayunga.
Maine ek pal rahat ki saans li. Par jaane kyun mere mann mein koi cheez muh bana kar baith gayi, jaise woh kuch aur chahne lagi ho.
Main - Agar... maine mana kar diya toh?
Jiju - Toh... kuch nahi. Rasam adhoori reh jayegi, ho sakta kuch bhi na ho. Par shayad na aapko chain milega... na mujhe.
Mera gala thoda sookh sa raha tha - Nahi... sabko pata chal jayega... sab kafi gussa ho jayenge mujh par.
Jiju - Aapko sabse darr lag raha hai?
Maine bilkul innocently kaha - Haan... thoda sa...
Jiju mujhe chidhate hue bole - Toh fir... neeche sone ka plan cancel?
Mujhe unki is baat par gussa aana chahiye tha, par jaane kyun unke saath yeh nokjhok bohot hi khatti meethi si lag rahi thi. Bilkul waise hi jaise maine socha tha ki Aditya ke saath hogi.
Jiju mera jawab sune bina has pade - Aap sach mein bohot hi pyaari hain. Mujhe yaad hai jab hum log aapko dekhne aaye they, aapki nazrein hi nahi uth rahi thi.
Mujhe aisa laga jaise woh mujhe chidha rahe hain - Main us din ghabra gayi thi.
Jiju - Aur aaj?
Main ek gehri saans lete hue Jiju ki taraf dekha. Pata nahi mere andar yeh kya ajeeb sa ehsaas hone laga tha.
Main - Aaj bhi... wahin hoon.
Jiju - Lagta toh nahi... kuch hi der mein aapki aawaz nikalne lagi hai, gussa bhi hone lagi hain, muskaan bhi shayad wapas aane lagi hai... Aap kab badal jayengi, aapko ehsaas hi nahi hoga.
Main - Aapko kaise pata? Aap toh... jaise sab jaante hain na!
Jiju halke se hase - Aapko lagta hai mujhe sab pata hai? Waise aap bhool rahi hain ki jaise aapki yeh pehli rasam ki raat hai, mere liye bhi yeh rasam pehli baar hi hai is situation mein.
Mere muh se ekdam se nikal gaya - Par aapko toh yeh sab acha lag raha hoga na!
Jiju - Aapke saath jise acha na lage woh shayad hi koi mard hoga. Par baat yeh nahi ki main koi aur kya chahta hai, baat yeh ki kya aap is sab ke liye tayyar hain ya nahi.
Unke is aakhri line ne achanak se mere shareer ki garmi badha di. Mera lengha achanak se kafi tight sa mehsoos hone laga tha, jaise mera shareer thoda aur bhaari ho gaya ho. Aisa lag raha tha jaise mere kaan jal rahe hon.
Jiju ne mera chehra padte hue angoothi utha li - Toh fir... main aapko yeh angoothi pehna du?
Maine aankhen jhuka li aur bohot hi halkaaa sa haan mein sar hilaya. Shayad main bhi nahi samajh paayi thi ki is sab mein meri haan kab ho gayi thi.
Jiju ne angoothi uthayi aur mera kaanpta hua haath apne haath mein gently liya aur angoothi meri ungli mein pehna di. Mera rongte khade se ho gaye aur andar ek ajeeb sa shor ho raha tha.
Jiju - Yeh lijiye... aaj raat ke liye aap hamari hui.
Unki aawaz mein softness ke saath saath itna adhikaar tha ki mujhe lag raha tha mere saamne mera pati hi baitha ho.
Mujhe ekdam se Prachi didi ki baat yaad aa gayi aur main ghabra gayi - Prachi Didi ne kaha tha... ki... aapko... na sunna...
Jiju has pade - Prachi toh bas aise hi kuch bhi bolti hai. Aap abhi bhi mujhe mana kar sakti hai. Par ek baar rasam shuru ho gayi toh khatam kiye bina na aapko chain aayega aur na mujhe.
Unki aankhon mein ek chamak si aa gayi thi, aur meri sharam badti jaa rahi thi. Unhone saara faisla jaise mujh par chhod diya tha. Bas ek raat ki hi toh baat thi. Agar maine mana kar diya toh kal kya hoga, mujhe kafi darr lag raha tha. Jiju ke saath... shayad... sab theek hi ho jayega. Mere andar bhi kuch ajeeb sa jagne laga tha.
Maine halke se haan mein sar hilaya par andar hi andar mera dil zor se dhadak raha tha. Andar ki subki poori tarah shaant ho chuki thi, aur thand bhi lagni band ho gayi thi. Balki ab poore shareer mein ek ajeeb si garmi lagne lagi thi, jaise mere chehre par paseene aa gaye ho.
Jiju - Waise muhurut nikle jaa raha hai par... ghabraiye nahi... hum sab kuch dheere dheere karenge... koi jalbaazi nahi hogi.
Unhone apna haath palang par bilkul mere pair ke paas rakha aur aage ki aur jhuke. Ab tak hamari aankhon ke beech mere ghunghat ki patli si parat thi.
Jiju - Suhani... main aapka ghunghat utaar sakta hoon?
Mera gala bhar aaya. Ghoonghat, jo hum dono ke beech ek aakhri parda tha ab utarne wala tha, aur woh bina kisi rok tok ke meri khoobsurat aankhon ko dekh payenge.
Mere honthon se ek halka sa "haan" nikla.
Unka haath dheere se aage bada, koi hadbadahat nahi, unhone mere ghoonghat side se pakda aur bohot dheere se upar kar diya. Kapde ki sarsarahat bhari aawaz jaise mere jism mein goonj uthi. Main tez saansein lete hue neeche ki taraf dekh rahi thi.
Unhone apna angootha halke se meri thodi par rakha aur mera chehra zara sa upar kiya. Maine apni aankhen band kar li, par fir kuch pal baad dheere se kholi. Saamne unki aankhon mein ek muskurahat chhupi hui thi.
Jiju - Aapki aankhen... itni khoobsurat hain! Kafi lucky hai Aditya.
Aditya ka jiqr hote hi main aur bhi sharamsaar ho gayi.
Jiju - Par aaj ki raat aap mujhe apna saathi samajhiye, aur jis pyaar ki aap haqdaar hain, main poori koshish karunga ki aapko aaj raat woh mile.
Hum dono kuch pal ke liye ek doosre ko dekhte rahe. Fir meri nazrein jhuk gayi, par is baar jhukne se pehle mere honthon par ek chhoti si muskaan bhi aa gayi.

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)