18-10-2026, 07:18 PM
(This post was last modified: 18-10-2026, 07:20 PM by Jay Thakur. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
4. Chhoti Mosi Ka Aakhri Jawaab
Ab sirf chhoti Mosi bachi thi.
Maine unhe phone lagaya. Is baar call uthte hi maine bina der kiye apni haalat batani shuru kar di.
Main: "Mosi, please meri baat poori sun lena. Main bahut mushkil mein hoon. Mere paas na rehne ki jagah hai, na paise. Main subah se kuch kha bhi nahi paaya hoon."
Doosri taraf kuch pal ki khamoshi rahi.
Mujhe laga, shayad wo meri baat samajhne ki koshish kar rahi hain.
Lekin phir unka jawaab aaya.
Chhoti Mosi: "Tumhari Maa ko jab apne bhai-behen ki zaroorat thi, tab unhone apni marzi ko sabse upar rakha. Ab humse ummeed mat rakho."
Main: "Mosi, main aapse koi hisaab nahi maang raha. Main bas apna samajhkar phone kar raha hoon. Mujhe nahi pata ki Maa aur aap logon ke beech kya hua tha. Lekin main aapka bhanja hoon."
Chhoti Mosi: "Toh ab apne aap hi apni pareshani suljhao. Mujhe is maamle mein mat ghaseeto."
Main: "Mosi..."
Chhoti Mosi: "Dobara phone mat karna."
Call kat gayi.
Main kuch der tak wahi baitha raha.
Mere chaaron Mama-Mosiyon mein se kisi ne bhi meri baat sunne tak ki zaroorat nahi samjhi thi.
Kisi ne nahi poochha ki mujhe kitni chot lagi hai.
Kisi ne nahi poochha ki maine kuch khaya hai ya nahi.
Aur kisi ne ye bhi nahi kaha ki beta, ghabrao mat, hum hain na.
...........


![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)