18-10-2026, 07:16 PM
3. Badi Mosi Ka Tiraskaar
Ab maine apni badi Mosi ko phone lagaya.
Maa ke saath unke rishte pehle se hi kharaab the. Phir bhi mujhe laga ki shayad wo apni behen ke bete ke liye thoda sa apnapan dikha dein.
Phone uth gaya.
Badi Mosi: "Haan, kya baat hai?"
Main: "Mosi, main Jay bol raha hoon. Main bahut pareshani mein hoon. Mujhe aapki madad chahiye."
Badi Mosi: "Ab kya hua?"
Maine unhe apni haalat batai. Lekin meri baat sunkar unka lehja aur sakht ho gaya.
Badi Mosi: "Tumhari Maa ne apni marzi se apna parivaar chhoda tha. Ab tum humse kis rishte ki ummeed lekar phone kar rahe ho?"
Main: "Mosi, aap meri Maa se naraaz ho sakti hain, lekin main toh aapka bhanja hoon. Maine aapka kya bigaada hai?"
Badi Mosi: "Mujhe purani baatein yaad mat dilao. Main tumhari koi madad nahi kar sakti. Apna maamla khud dekho aur aage se phone mat karna."
Main: "Mosi, meri baat toh poori sun lijiye..."
Lekin tab tak call kat chuki thi.
Main kuch der tak mobile ko dekhta raha. Mere paas kehne ke liye bahut kuch tha, lekin sunne wala koi nahi tha.
........

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)