Yesterday, 06:51 AM
Chapter 47
Rohit aur Rishabh apas mein behas kiye jaa rahe they. Time ka toh unhe yahan koi andaza nahi tha par behas kafi lambi khich chuki thi.
Rishabh poore josh mein bola - Nahi toh fir aapki kya explanation hai, aap batayo!?
Rohit - Mere paas koi explanation nahi hai filhaal! Par jo tumne explanation di hai woh koi sense hi nahi banati.
Rishabh - Nahi par aap soch kar toh dekho!
Rohit ne gusse mein ek gehri saans chhodi - Agar tumhari explanation sahi hai toh main soch kaise raha hoon!
Rishabh - Pata nahi... shayad aapke organs hai mere andar, isliye?
Rohit - Nahi! Ye bas ek nonsense sa sapna hai! Ek baar fir bahar jaakar dekhte hain.
Rishabh - Theek hai, main jaakar dekhta hoon!
Rohit - Nahi! Main jayunga.
Rishabh - Yeh body meri hai toh mind bhi mere control mein hona chahiye na.
Rohit ko gusse bhari hasi aa gayi - Abhi hume kuch nahi pata.
Rishabh - Hume pata hai! Aap marr chuke ho!
Rohit ne Rishabh ko ghoora aur Rishabh ko turant apni kahe shabdon ka ehsaas ho gaya.
Rishabh - I am sorry... mera woh matlab nahi tha. Main bas kehna chah raha tha ki agar meri theory sach hai toh.... toh... aapko yahan nahi hona chahiye. Yeh mera shareer hai.
Rohit - AGAR... AGAR... Agar... Agar tumhari theory sach bhi hai na... toh mere sacrifice ki wajah se hi tum aaj zinda ho. Aur is body mein mere bhi hisse hain!
Rishabh - Aise thodi na hota hai! Ek dimaag aur shareer mein do log kaise reh sakte hain!
Rohit - Yeh tumhara dimaag hai? Tabhi itna khaali hai?
Rishabh ka muh ek dam se utar gaya.
Rohit - Joke... Joke! (Doctor ki tone mein) Relax Relax! Waise yeh jagah hai bhi kya?
Rishabh - Maine ek film dekhi thi jab main chhota tha... usme woh ladka hota hai... aur use woh kaala aadmi aise hi koi jagah lekar aata hai.
Rohit ko kuch samajh nahi aaya ki woh kya keh raha tha aur usne haath ke ishaare se pucha ki woh kya kehna chahta tha.
Rishabh - Areee woh wali movie... jisme woh... end mein... goliyaan chalti hai... aur hero aise... slow motion mein peeche jhuk kar goliyon se bachta hai... aur fir end mein goliyon ko haath se rok leta hai.
Rishabh acting karte karte peeche jhuk gaya tha.
Rohit - Matrix!
Rishabh - Haan haan! Wohi Wali! Ye mera dimaag bilkul us kamre jaisa hai jahan kuch bhi ho sakta hai.
Rohit ne apni hasi dabate hue apna sar na mein hilaya - Unbelievable ho tum! Khair... main jaa kar aur pata karta hoon.
Rishabh - Agar aapko jaana hi hai toh... meri advice rahegi... ki... aap bas aankhen band kiye lete raho... kuch react mat karna. Nahi toh woh nurse fir se mujhe injection de degi... Ouchhhhh... bohot dard hota hai.
Rohit - Bas leta rahu?
Rishabh - Haan... unhe lagega ki aap behosh ho... par aap sab kuch clearly sun payoge.
Rohit - Hmmm... idea bura nahi hai... par Mom? Mujhe Mom ko dekhna hai...
Rohit ki aawaz end mein thodi udaas si ho gayi.
Rishabh ne dheemi aawaz mein kaha - Main... main samajh sakta hoon... par abhi filhaal please... hame bas meri theory confirm karni hai.
Rohit ne haan mein sar hilaya - Theek hai... main ready hoon.
Rishabh - Aap... pareshan mat hona... sab theek ho jayega.
Rishabh ko yeh bolte hi laga ki kaise theek ho jayega. Agar Rohit sach mein marr chuka tha toh sab kaise theek ho sakta tha.
Rohit ne apni aankhen band kari aur ek-do pal ke baad apne aapko usi shareer ke control mein paaya. Usne apni aankhen band rakhi par apni ungliyaan halke se hilayi.
Saath mein rakhi machine ekdam se beep beeep beep bol padi, aur Nurse fir se harkat mein aa gayi. Par usne dekha ki Rishabh ki aankhen abhi bhi band thi.
Doctor Saxena jaldi se kamre mein daakhil hue - Kya hua? Woh sound? Patient jag gaya hai kya?
Nurse - Kuch nahi doctor... woh abhi bhi so raha hai.
Doctor - Ok...
Doctor ne darwaze par khadi aurat ki taraf dekha - Shreya ji... aap ghar chali jaiye... aapko hospital aaye hue bhi bohot ghante ho chuke hain.
Shreya - Nahi... main yahin theek hu... hum ise kab tak aise... behosh rakhenge. Main baat nahi kar sakti kya usse?
Doctor - Hosh mein aate hi patient kafi unstable ho raha hai. Hume lagta hai abhi yehi better hai.
Shreya - Mujhe abhi bhi kuch samajh nahi aa raha... woh kabhi kehta hai ki woh Rishabh hai... aur kabhi mujhe Mom kehkar bula raha hota hai.
Doctor Saxena - Doctor Singh ko lagta hai bas temporary hai... body adjust kar rahi hai.
Shreya - Aapko kya lagta hai?
Doctor Saxena - Shreya ji... main aapki umeed samajh sakta hoon... aap ek mother ho. Par hume scientific facts toh manne hi padenge na. Rohit... I am sorry to say this... Rohit ab is duniya mein nahi hai. Par Rohit ki yaadein hamesha aapke aur uske loved ones ke saath rahengi.
Doctor sab bol toh raha tha par Shreya ki nazrein andar bed par pade Rishabh par tiki thi. Use andaza bhi nahi tha ki unki yeh conversation Rohit sun paa raha tha.
Rohit ne woh shabd sune par woh uske andar utre nahi. Woh bahar hi atke rahe, jaise woh kisi aur Rohit ki baat kar rahe hon.
Rohit ab is duniya mein nahi hai!
Woh toh yahin tha. Woh apni aankhen aur muh khol kar chilla kar kuch kehna chahta tha. Par pata nahi kyun aisa lag raha tha jaise sach mein yeh shareer uska na ho, aur woh is shareer par se apna control kho raha ho, bilkul bejaan padh raha ho. Kya jo woh sun raha tha woh sach tha? Kya woh sach mein marr chuka tha? Fir woh yahan kaise tha?
Uske seene mein jiska bhi dil tha woh tezi se dhadakne laga aur usne apni mutthi kas li. Shayad Rishabh ki theory bilkul theek thi, yeh uski body nahi Rishabh ki body thi. Uski aankhon se ek aansu ki boond nikal kar side mein tapka. Usne apni aankhen aur kas ke band kar li. Aisa laga jaise woh andhkaar mein jaa raha ho.
Tabhi aisa laga jaise use koi hila raha ho. Usne aakhen kholi toh saamne Rishabh tha, wahin us safed kamre mein.
Rohit ne aakhen kholi toh uska chehra poora safed pada tha.
Rishabh - Rohit... Rohit bhaiya... aap theek ho?
Rohit poori tarah lost tha - Hhh... haan... nahi... pata nahi...
Rohit ki shakal dekh kar Rishabh ko realize ho gaya ki Rohit sach confirm kar chuka tha - I am sorry...
Rohit abhi bhi kahin shoonye ki taraf dekh raha tha, woh samajh nahi paa raha tha woh kaisa mehsoos kare. Marna toh sabko ek din hota hai, par use toh apni maut tak yaad nahi thi. Sab kuch unreal sa lag raha tha.
Woh bas chup chaap us safed zameen par baith gaya. Usne apne aakhri yaad ko pakadne ki koshish ki. Mom ka birthday. Ghar roshniyon se bhara hua. Mom white aur golden saree mein, cake kat raha tha, uska haath pakde. Naina ne jaane se pehle Mom ko gale lagaya tha, aur use ishaare se bye bola tha. Usne socha tha ki bas ab kuch galat nahi ho sakta tha.
Fir kahan aur kaise yeh sab ho gaya tha. Usne kab ghar chhoda aur kab uski maut ho gayi.
Dimaag mein hazaro khayal chal rahe they. Mom... woh kaisi thi... uski death ne toh unhe buri tarah tod diya hoga. Kahin woh kuch... galat na kar baithe... nahi nahi... woh usse kafi jyada strong thi. Naina... kya woh use miss karegi?
Rishabh ne dheere se Rohit ke kandhe par haath rakha - Bhaiya... aap theek hai na.
Rohit ko realize hua ki Rishabh bhi wahin tha, ya shayad woh wahan tha Rishabh ke andar.
Rishabh - Main... main bhi pehle mara nahi... toh pata nahi kaisa feel hota hai... matlab... aapko kaisa feel ho raha hai.
Rohit ne Rishabh ki taraf ek tirchi nazar daali aur is ajeeb si jagah par is khaufnaak si news ke baad bhi use ek halki si hasi aa gayi - Pata nahi... mera bhi first time hi hai. Par haan... tumhari theory bilkul sahi thi.
Rishabh - Par abhi bhi samajh nahi paaya ki aap yahan kaise... shayad yeh mera dimaag hi hai... khaali sa...
Rohit ne kandhe uchkaye, uski aawaz mein abhi bhi ek khokhlapan tha - Pata nahi... shayad hum jo sochte hai life aur death ke baare mein, waisa real mein nahi hota... pata nahi...
Rishabh - Par ab kya? Ab kya karenge hum?
Rohit - Karenge kya? Yeh tumhari body hai... tum apni body par control le lo.
Rishabh - Aur aap?
Rohit - Pata nahi... aisa kuch heaven ya hell jaane ka raasta toh dikh nahi raha... main bas yahin baitha rahunga... chup chaap.
Rishabh - Hmmmm...
Rohit - Aur kahin jaa sakta toh chala jaata... par agar mujhe mare hue teen din se jyada ho chuke hain toh shayad unhone ab tak meri body bhi...
Rishabh - Hmmmm... shayad koi aur tareeka ho... kuch...
Rohit - Rishabh... please... mujhe thodi der akela chhod do... kabhi socha nahi tha ki apni hi death ki news ko process bhi karna padega.
Rishabh - Ji... main samajh sakta hoon... matlab nahi bhi... main jaata hoon.
Rishabh ne Rohit ki taraf dekha aur kuch palon baad woh use wahin akela baitha chhod kar apni body ka control le chuka tha. Usne ek gehri saans bhari aur apni aankhen nahi kholi. Use nahi pata tha ki bahar kaun tha. Par apne sar par ek behad soft sa haath mehsoos hua.
Usne apni aankhen dheere se kholi toh apne theek upar ek udaas sa dhundla sa chehra nazar aaya. Shreya Ma'am ka haath uske sar par tha.
Rishabh ki aankhen khulte dekh Shreya ne ekdam se apna haath peeche kheench liya par is baar machine ka zor zor ka shor nahi ho raha tha.
Shreya fusfusate hue mudi - Main Doctor ko bulati hoon.
Rishabh - Ma'am... nahi... rukiye...
Shreya ne palat kar Rishabh ki taraf dekha. Use shayad Ma'am ki jagah Mom sunna tha, aur uski aankhen bhar aayi thi.
Shreya - Rishabh... tum... tum theek ho...
Rishabh - Ma'am... ahh... main... aap theek hain?
Shreya ne na chahte hue bhi halke se haan mein sar hilaya.
Rishabh - Ma'am... Rohit...
Rohit ka naam sunte hi Shreya ke aansu uski aankhon se tapakne lage they.
Rishabh - Ma'am.... Rohit... yahin hai... mere andar...
Shreya ki aankhen fati ki fati reh gayi. Usne woh shabd toh Rishabh ke muh se sune they, par use unka matlab nahi samajh aa raha tha.

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)