13-10-2026, 09:32 PM
Steering wheel par meri ungliyan be dhiyaani mein chal rahi thin, aur AC ki thandi hawa seedhe mere chehre par lag rahi thi. Bahar Mumbai ki dhoop thi.Andheri Link Road ka wahi roz ka traffic, rickshaaon ke horn aur hawa mein udti hui mitti. Par gaadi ke andar ek ajeeb si be-chaini thi, jo meri nahi thi.
Woh bechaini mere bete Asad ki thi.
Asad passenger seat par aise baitha tha jaise uski seat ke neeche aag jal rahi ho. Bahut hi excited tha. Aaj academy mein pahla din jo tha uska. White cricket uniform, naye knee pads jo usne gaadi mein hi pehan liye the, aur haath mein uski nayi Duke ball, jise woh lagataar haath mein ghumaye ja raha tha. Chamde aur seam ki wahi teekhi khushboo poori gaadi mein phaili hui thi.
“Mummy, aapne Google kiya unhe?" Asad ne achanak pucha, uski awaaz mein excitement thi.
“Kise?” Maine simply pucha.
"Coach Arjun ko? Unhone Ranji mein ek match mein aath wickets liye the. Aath! YouTube par unka video hai, bas unka shoulder kharab ho gaya warna woh pakka India ke liye khelte."
Sach bataun to uski cricket ki baaton se main bore ho rahi thi ab. Subah jab se utha tha bus cricket hi cricket kiye jaa raha tha.
Maine rearview mirror mein khud ko dekha. Mere curly Baal hamesha ki tarah tight pins se baandhe hue the. Ek bhi curl maathe par nahi girna chahiye, mere shohar Arif ko bikhre hue baal pasand nahi the. Mere oopar ke hont ke kone par ek chhota sa til tha, jise maine subah foundation lagate waqt chhupane ki koshish ki thi aur hamesha ki tarah nakaam rahi thi.
"Asad, aaram se baitho," maine halki si irritation ke sath kaha, gear badalte hue. "Aur Ball neeche rakho please, dashboard par lag jayegi."
"Lekin Mummy, aap samajh nahi rahi hain!" Usne ball ko back seat par patka aur meri taraf ghooma.
"Venkatesh Sir hume bas defensive shots sikhate the. Boring! Sab keh rahe hain ki Coach Arjun bilkul alag hain. Woh fast bowlers ko khaufnaak banate hain aur spinners ko flight dena sikhate hain. Aaj mera pehla session hai unke saath... agar unhone mujhe squad mein select nahi kiya toh?"
"Tum acchi bowling karte ho, beta," maine kaha, mera dhyan sadak par tha.
"Tumhari leg-spin kisi se kam nahi hai. Aur sir coach hain, koi qasai nahi jo pehle din hi reject kar denge."
"Aapko nahi pata, Mummy," Asad ne aah bharte hue kaha, aur khidki ke bahar dekhne laga. "Cricket mein pehla impression hi sab kuch hota hai……"
Woh bole jaa raha tha. Uske shabd mere kaan mein to pad rahe the but main sun nahi rahi thi ya sunna nahi chahti thi.
"Mummy! Right turn lijiye, ground aa gaya!" Asad ki awaaz ne mujhe jagaya.
Maine gaadi academy ke bade gate ke andar mod di. Lal mitti ka maidaan, charon taraf lagi jaaliyan, aur beech mein hari ghaas ki strip. Subah ki dhoop mein maidaan chamak raha tha. Kuch ladke pehle se running kar rahe the, aur boundary rope ke paas cement ki benches par kuch parents chhaon mein baithe aapas mein baatein kar rahe the.
Maine gaadi park ki aur engine band kar diya.
Asad ne darwaza khola aur apna kit bag utha kar bahar kood gaya. "Mummy, aap chhaon mein baithiye! Main ja raha hoon!"
"Asad! Paani ki bottle le jao!" Maine aawaaz di.
Usne mud kar bottle li, ek baar mujhe gale lagaya jaldi mein, jaise doosre ladke dekh na lein aur bhaag gaya nets ki taraf.
Main gaadi se bahar nikli. Mumbai ki garm hawa ne foran meri saans roki. Maine apna dupatta theek kiya, sunglasses aankhon par lagaye aur bag se apna laptop nikaala.
Main ek multinational digital marketing company mein senior content creator and editor ki post par thi. Achi khasi salary thi.
Kyonki cricket mein mujhe koi khas interest nahi tha, main apna laptop le kar aai thi taki thoda kaam kar ke timepass kar sakun.
Main dhoop mein chalte hue boundary rope ke paas aayi. Benches par baithi kuch auraton ne mujhe haath hila kar bulaya.
Maine unhe dekh kar sirf sar hilaya, lekin unki taraf nahi gayi. Main apna laptop lekar ek khali bench par baith gayi.
Aur maine ground ki aur dekha.Center pitch par, jahan players semicircle bana kar khade the, ek shakhs unhe bowling action samjha raha tha.
Uncha kad aur strong body.Usne sleeveless t-shirt aur track pants pahni thi. T shirt ke sleeves se uske Biceps dilh rahe the. Thoda sa shyam rang. Chiseled face.
Usne ball ko haath mein pakda, do qadam peeche gaya, aur jab usne jump liyan mera dil ek pal ke liye ruka. Uski body ka har ek muscle ek seedh mein move hua, smooth, bilkul bina kisi jhatke ke. Ek fast bowler ka follow-through, jo batata tha ki yeh aadmi kisi zamane mein aag phenkta tha.
Usne ball phenki nahi, bas action dikha kar team ko samjhaya. Uski awaaz maidaan ke is paar tak saaf aa rahi thi-bhaari, dheemi, jaise mitti par patthar ghis raha ho.
"Seam seedhi nahi hogi toh ball hawa mein drift nahi karegi," woh Asad se keh raha tha. Usne Asad ki ungliyon ko ball par adjust kiya. "Finger position dekho. Zor lagane se kuch nahi hota, release perfect hona chahiye."
Asad ne sar hilaya, aankhon mein aisi chamak jaise use koi khazana mil gaya ho.
Maine apna phone nikala. Camera zoom kiya aur snap liya.

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)