22-09-2026, 04:28 PM
...............
Jaswant_ to ab mukabla suru karte hai..
Akhade ke beech mitti par main akela khada tha.
Jaswant_ Jeevan Singh, Nirbhay aur yaha mojud sabhi kaa sahas bahut bad gyaa hai, iss bachche ki wajah se..
Isne mere salo se khade kiye dar ko kam karne ki gustakhi ki hai..
Ab me ise chodunga nhi..
Tujhe kyaa laga tha jay, tujhse me ak ak karke ladwaunga apne in khunkhar pahalwano ko..
Teri takat aur kushti ki kala janne ke bawjud...
Me_ tujhse aur ummeed hi kyaa kar sakta hun..
Jaswant_ Baldev Singh, tu khud ko bahut bada pahalwan manta hai naa, aur wahi tune apne iss pote ko sikhaya hai naa..
Dadaji_ Jaswant, ye karne ki gushtakhi mat kar..
Jaswant_ Aaj ak ke khilaf 6 ladenge..
Jaswant ke itna bolne ki der thi, ki 6 ke 6 Pahalwan, Mere saamne aakar khade ho gye..
Bhairav.
Gajraj.
Rudra.
Dalpat.
Karanveer.
Aur Shamsher.
Haveli ke aangan mein maujood har shakhs ki nazar hum par tiki hui thi.
Jeevan Singh ne apne parivaar ki taraf dekha.
Jeevan Singh_ Koi bhi beech mein nahi aayega. sab apni apni jagah sthir rahenge, fir chahe jo parinam ho mukable kaa..
Dadaji ne meri taraf dekha.
Unki aankhon mein chinta thi, lekin bharosa usse kahin zyada.
Baldev Singh_ Jay... apni saans aur apna santulan kabhi mat khona.
Maine dheere se gardan ghumai.
Me_ Ji, Dadaji.
Jaswant_ Dekh Baldev, tere pote ko jeevan ne akela chhod diya marne ke liye..
Tu jiska sath dene aaya tha, usme khud himmat nhi hai..mere aadmiyon aur Mera samna karne ki..
Samne Bhairav ne apni ungliyan chatkayi.
Bhairav_ Chalo bachche... dekhte hain tera hausla kitni der tikta hai.
Maine apna stance neecha kiya.
Dadaji_ Jay, ak bhi apne pairo per nhi jana chahiye..
Ye sun kar sab dang reh gaye..Ki dadaji ye kyaa bol rhe hai..
Mere samne 6 khatarnak khunkhar pahalwan khade the, jo mujhse kad kathi aur anubhav me kafi aage the...
Aur sabse badi baat, sab ke sab nirdayi the.koi niyam nhi manne wale..
Dadaji_ Jay inke liye koi niyam nhi hai, iss liye aaj koi niyam nhi....
Mene dadaji ko dekh kar haa me sir hila dia..
Me_ Ek saath aao.
Jaswant ke chehre par muskaan aa gayi.
Jaswant_ Sun liya tumne?
Chhe pehalwan ek doosre ki taraf dekhe.
Phir—
DHAM!
Sabse pehle Dalpat meri taraf lapka..
Uska poora sharir ekdum se mere upar toot pada.
Maine side step liya.
Dalpat ka haath mere kandhe ko chhoo kar nikal gaya.
Maine uski kamar pakdi.
Ek pal ke liye uske pair zameen se uthe.
Aur agle hi pal—
DHADAAAM!
Maine use mitti par patak diya.
Aangan ki mitti hawa mein bhar gayi.
Lekin mujhe sambhalne ka waqt nahi mila.
Peeche se Bhairav ne meri kamar jakad li.
Uski pakad lohe ki tarah thi.
Bhairav_ Ab dekh meri pakad!
Usne mujhe peeche kheench liya.
Meri saans ek pal ke liye ruk gayi.
Lekin maine apna pair jamaya.
Phir poori taqat se apna sharir ghuma diya..
Bhairav ka balance bigda.
Maine uski kalai pakdi, uska kandha मोड़ा aur use apne aage kheench liya.
DHAM!
Bhairav bhi mitti par tha.
Lekin tabhi Gajraj saamne aa chuka tha.
Usne mujhe seedha seene se takkar maari.
Main kai kadam peeche fisal gaya.
Mere hoth ke kone se khoon ki ek patli dhaar nikli.
Aangan mein khade sabhi log ek pal ke liye sann reh gaye.
Gajraj muskuraya.
Gajraj_ Ab samjha meri taqat?
Maine apne hoth se khoon saaf kiya.
Phir uski taraf dekha.
Me_ Ab meri baari hai.
Main bijli ki tarah uski taraf badha.
Gajraj ne mujhe rokne ke liye dono haath badhaye.
Maine uski kamar pakdi.
Apna poora wazan neeche kiya.
Aur—
DHADAAAM!
Gajraj zameen par tha.
Woh turant nahi utha.
Ranvijay ki aankhen phail gayin.
Ranvijay_ Ek... do... teen!
Balram_ Ye ladka rukne wala nahi hai.
Lekin Rudra pehle hi meri taraf aa chuka tha.
Uska movement baaki sabse alag tha.
Ek jhatka.
Ek feint.
Phir achanak meri taraf attack.
Maine uska pehla move padha.
Doosra bhi.
Lekin teesre move mein uska haath mere chehre tak pahunch gaya.
Mere gaal par zor ka vaar laga.
Main ek kadam peeche hua.
Rudra ne turant dobara attack kiya.
Is baar maine uska haath beech mein hi pakad liya.
Uski aankhon mein pehli baar hairani dikhi.
Me_ Timing achhi hai tumhari.
Maine uska balance bigada.
Me_ Tumhari ummid se jayada achchi timing hai..
Ek zor ka throw.
Rudra mitti par ja gira.
Uske maathe par mitti ke saath khoon ki ek lakeer ubhar aayi.
Shakuntala Devi ne ghabra kar Rajeshwari ka haath pakad liya.
Shakuntala_ Hey Bhagwan...
Rajeshwari ki aankhen sirf mujh par tiki thi.
Rajeshwari_ Jay...
Tabhi Karanveer meri taraf dauda.
Woh sabse tez tha.
Ek pal mein woh mere paas tha.
Usne meri kamar pakadne ki koshish ki.
Maine uska haath hata diya.
Woh dobara ghooma.
Maine uska raasta roka.
Dono ke beech kuch pal tak zabardast takkar hoti rahi.
Karanveer ki speed kamaal ki thi.
Lekin dheere-dheere uski saans bhaari hone lagi..
Aur meri nahi..
Karanveer ne ye mehsoos kar liya.
Karanveer_ Ye mumkin nahi hai...
Me_ Kya?
Maine uska haath pakda.
Me_ Ki tum thak rahe ho... aur main nahi.
Agle hi pal maine use kandhe ke upar se uchhaal diya.
DHADAAAM!
Karanveer mitti mein ja gira.
Ab chhe mein se paanch zameen par the.
Sirf Shamsher khada tha.
Usne dheere se apni gardan ghumayi.
Shamsher_ Mujhe pata tha... aakhir mein mera hi number aayega.
Main uski taraf badha.
Me_ Toh aa.
Shamsher ne achanak apna stance badla.
Kabhi woh paas aata, kabhi peeche hota.
Kabhi attack karta, kabhi ruk jaata.
Main uske moves padh raha tha.
Phir ek pal mein usne meri gardan pakadne ki koshish ki.
Maine uska haath rok liya.
Hum dono ki aankhen mili.
Shamsher_ Tu sach mein khatarnak hai.
Me_ Ab pata chala?
Maine uska balance bigada.
Shamsher ne sambhalne ki koshish ki.
Lekin is baar main nahi ruka.
Ek zor ka throw.
DHADAAAM!
Shamsher bhi zameen par tha.
Main seedha khada ho gaya.
Mere kapdon par mitti thi.
Chehre par khoon ki patli lakeeren.
Saans tez thi.
Lekin main ab bhi khada tha.
Jaswant ke pahalwan uth kar ak ke baad ak mujh per hamla karte rhe aur me unhe jamin per utha utha ke patakte raha...
......
Lakin un che kaa irada mujhe harane kaa nhi tha, ab wo mere sarir ko damage karna chahte the..
.......

![[+]](https://xossipy.com/images/bootbb/collapse_collapsed.png)