Thread Rating:
  • 3 Vote(s) - 4 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Meri USA wali Muh Boli Behan aur Meri Zindagi
#6
Next update:


Agli subha Sultan store par ata hai aur nawaz ko apne office mai bhulata hai...


Sultan: aja nawaz baith.
nawaz: kuch kaam tha sir?
Sultan: nawaz tujhe ab 15 din se uper hogaye hai kaam karte, toh yeh le tera 15din ki payment..


Sultan eik envelope nawaz ko deta hai..nawaz woh envelope leta hai aur ander se paise nikal kar dekhta hai...ander 1500dollar the, 100dollar ki note ki 15 note thi...


nawaz: arey 15 din k itne sare paise sir?
Sultan: yeh tumhari mehnat ke paise hai nawaz.
nawaz: bhot bhot shukriya sir. aaj phali bar mujhe lagta hai k mujhe meri mehnat ka phaal mila hai..shukriya sir.
Sultan: koi baat nahi nawaz, jao kaam shuru kardo.



phir nawaz kaam mai lag jata hai..dekhte dekhte dophar ke 3 baj jate hai...Sultan ghar nikalne wala hota hai..achanak nawaz Sultan ko rokta hai...


nawaz: sir sir, eik minute apse kuch kaam tha.
Sultan: kya kaam hai bolo nawaz,
nawaz: sir pichey office mai chaleyge 1 min k liye..
Sultan: ha chalo..


office k kamre mai akar...


Sultan: bolo kya baat hai nawaz.

nawaz apne pant ki jeb mai se woh paise nikalta hai...

nawaz: sir mujhe apse eik favor chaiye tha..
Sultan: ha bolo nawaz.
nawaz: sir mujhe yeh 1000dollar mere ghar india bhejne hai meri family ko..
Sultan: main kaise bhej sakta hu?
nawaz: mere paas unki bank details hai sir, aap apni bank se unko transfer kardo. please.
Sultan: ha woh main kar sakta hu. tum eik kaam karo unki bank details mujhe msg kardo.
nawaz: thik hai sir. main apko msg kardouga. aur sir yeh 200dollar aap meri taraf se madam ko gift dedena..
Sultan: arey assa kyu nawaz?
nawaz: sir, main roz apke ghar ka itna acha acha khana khata hu, madam itni pyaar se itna acha khana banati hai toh yeh mere taraf se madam k liye gift hai. please sir.
Sultan: ok main tumhari madam ko dedouga likin agar usney mana kiya toh wapis lelena. aur kuch kaam hai?
nawaz: aur sir yeh baki ke 300dollar aap apne ghar par rakh dena. kyu k mujhe toh paiso ki koi zarurat nahi hai.
Sultan: thik hai chalo main ghar jata hu.



phir Sultan ghar chala jata hai...ghar akar..jaise hi Sultan ghar k ander ata hai...


Shabana: aaj phirse jaldi, lagta hai aaj se roz roz jaldi aoge ghar..
Sultan: kya karo, nawaz ne meri adaat kharab kardi hai, woh sara kaam sambhal leta hai..
Shabana: chalo acha hai issi bahane aap ghar jaldi toh aogey. mujhe akele akele bore nahi hona padega..


phir Sultan fresh hokar ata hai aur sath mai baith kar khana khata hai...khana khate khate baatien hoti hai..


Sultan: suno, aaj mainey nawaz ki payment kardi.
Shabana: chalo acha hai. woh khush hua tha..?
Sultan: bhot khush tha..likin..
Shabana: likin kya ...?
Sultan: nawaz ne mujhe 1000dollar diye uski family ko india transfer karne hai..
Shabana: 1500 mai se 1000 family ko bhejne hai. wah kya baat hai. yeh toh sach mai eik acha ladka hai. apni family ka kitna khayal itna khayal karta hai.
Sultan: yeh toh kuch nahi. yeh loo 200dollar nawaz ne tumko diye hai..
Shabana: 200dollar mujhe kyu?
Sultan: arey usney bola k madam itna acha acha khana banati hai aur roz roz mujhe khana milta hai isliye gift hai tumhare liye.
Shabana: asey koi gift nahi leta Sultan,
Sultan: mainey bhi usko mana hi kiya likin usney zidd kar raha tha..bola k yeh eik gift hai madam k liye..
Shabana: arey yaar.
Sultan: ha aur yeh baki ke 300dollar uske apne ghar par rakhne hai. usko paiso ki zarurat nahi hai usney bola..
Shabana: yaar yeh kya ladka hai, sara ka sara payment dediya. uske paas kuch bhi nahi rakha..
Sultan: nahi na...shayad usko faltu kharcha karne ki adaat nahi hongi aur usko uski family ko support karna honga na..
Shabana: ha wohi honga, warna aaj kaal k ladke toh paiso ko udha dete hai..family ka koi khayal nahi karta hai. aur uper se mujhe 200dollar diye hai. bhot acha ladka hai.
Sultan: wohi na Shabana. lagta hai nawaz bhot sharif aur pariwarik ladka hai..
Shabana: sach mai. chalo uski marzi. main eik kaam karti hu, main yeh 200dollar bhi uske 300dollar k sath rakh deti hu. kya bolte ho.
Sultan: ha acha idea hai. assa hi karo. hamare paas waisey bhi itne paise hai toh hum kya kareyge..
Shabana: ha wohi na.
Sultan: aur kaal subha tum zara yeh 1000dollar uske india ki family ko transfer kardena na.
Shabana: thik hai main apne bank account se transfer kardougi.



Phir kuch din asey hi nikal jate hai...wohi same routine hota hai..Nawaz store par sota tha aur usko 2 time ka khana bhi mil jata tha..eik din dining table par Shabana aur sultan baithe baatien kar rahey the..


Shabana: tum bhot kismat wale ho jo tumko assa kaam karne wala worker mila hai. aaj kaal asey ladke milna muskil hai, uper se itna mehnati aur dil laga kar kaam karta hai..
Sultan: sach, uski wajase mera kitna kaam kum hogaya hai..
Shabana: bas mujhe eik baat ka dar hai, kahi roz roz kaam karne se woh tang na hojaye aur kaam chod de..
Sultan: mujhe bhi yehi dar laga rahta hai..
Shabana: aap eik kaam kyu nahi karte, usko Sunday ki chutti diya karo. takey usko bhi aram mil jaye na..
Sultan: arey wah kya idea hai shabana. mujhe bhi lagta hai usko eik din hafte mai chutti milni chaiye. takey usko aram mil jaye..main kaal hi usko bol deta hu.
Shabana: thik hai..



Phir agley din Sultan kaam par jakar Nawaz se baat karta hai..

Sultan: suno nawaz, tum na abse hafte mai eik din ki chutti liya karo, sunday ki. aur aram karna uss din.
Nawaz: sir mere liye koi aram nahi, mujhe kaam karna acha lagta hai. aap assa kyu bol rahey ho.
Sultan: woh islliye takey tumko thoda aram mil jaya karey.
Nawaz: mujhe aram hi hai sir, meri fikar mat karo aap.
Sultan: main jaisa bol raha hu woh karo nawaz.
Nawaz: thik hai sir jaisa apko thik lagey.


Phir Woh log apne apne kaam mai lag jate hai...Asey hi din nikalte gaye..nawaz haar mahine apni family ko 1000dollar bhejta aur 200dollar Shabana ko deta aur 300dollar Jama karta Sultan k ghar jaise koi bank mai karta ho...asey hi 4 mahine nikal gaye..nawaz ko kaam karte, aur ab sultan ko kafi aram tha. eik din shabana sultan ko bolti hai...


Shabana: suno, nawaz hamare itna bharose wala ladka hai, sara kaam karta hai, hamare family member jaisa ban gaya hai.
sultan: ha woh baat toh hai, bhot hi nek, sharif aur eemanadaar ladka hai.
shabana: kyu na hum usko iss sunday ko khane par bulaye? usko ghar se khana toh jata hi hai.
sultan: ha woh baat bhi sahi hai, woh itne mahino se hamare yaha kaam kar raha hai, acha idea hai, main usko bol douga, aur usko sunday ko lekar aoga ghar par. uske paas toh car nahi na.
shabana: thik hai.


Phir Sunday ka din ata hai...

Subha subha shabana kitchen mai khana banati hai...aur sultan tv dekh raha hota hai..

Shabana: suno main aaj biryani bana rahi hu. aur sath mai kheer.
Sultan: thik hai..
Shabana: aap usko kitne baje lene jarahey ho?
Sultan: mainey usko 1 baje ka time bola tha, takey woh ghar akar aram se baithey baatien karey, phir khana khayege.
Shabana: yeh apne acha kiya, issi bahane woh apna ghar dekh lega.


kuch der shabana khana banati hai aur abhi khana ban hi raha hota hai..biryani dum par rakhi thi...shabana hall mai sofe par ati hai jaha sultan baitha tv dekh raha tha...


Shabana: aap bas pura din tv dekhte ho, kuch help bhi kardiya karo kitchen mai.
sultan: tumko pata hana mujhe kitchen mai jana acha nahi lagta.
shabana: pata hai mujhe. acha sunoo, main konse kapde pahano?
sultan: kapde pahane toh hai tumne..
shabana: arey mera matlab hai nawaz araha hana toh uss waqt kapde change karougi na, toh konse kapde pahano..
sultan: koi bhi pahanlona konsi kisi ki shaadi hai hahaha
shabana: acha mainey soucha tha saree pahanlo hahaha
sultan: nawaz ki shaadi nahi, woh khane araha hai bas..assa hai toh indian salwar kameez pahanlo.
shabana: kitne saalo se salwar kameez nahi pahani hai. try karti hu agar hogayi toh sahi hai warna phir wohi normal tshirt pant pahan lougi.
sultan: thik hai baba, tumko jo sahi lagey.
shabana: tum nawaz ko lakar ao tab tak..
sultan: thik hai..

phir sultan apni car lakar nawaz ko lene jate hai aur store se nawaz ko pickup karta hai aur apne ghar par lakar ata hai..nawaz aur sultan car se utar kar ghar ki taraf ate hai...


Nawaz: sir apka ghar kafi bada hai..bhot acha ghar hai..
sultan: ha nawaz, bas yeh sab mehnat se bana hai. itne saalo ki mehnat aur business se..
nawaz: sach baat hai sir, mehnat se sab kuch milta hai.
sultan: chalo ab ghar k ander,



woh log ghar k ander jate hai...aur ghar k ander khane ki khusboo hoti hai haar jagah..


nawaz: wow sir, kya khoosboo hai khane ki.
sultan: ha aaj tumhari dawaat ki hana. phir shabana dekho nawaz aya hai..
shababa: ha main kitchen mai hu.


kitchen jo tha woh hall k paas hi tha toh hall main baithne jane se phaley kitchen se hokar jane padta hai...jaise hi sultan aur nawaz kitchen k paas ate hai...

[Image: U1.png]

kitchen mai shabana khadi khadi dosri taraf muh karke khane ki taiyari mai lagi thi..aur woh nichey mud kar dekhti hai..aaj phali bar nawaz se shabana ko dekhta hai aur shabana ne nawaz ko paas se dekha tha...shabana nichey mud kar sultan ko dekh kar bolti hai..


Shabana: arey aap log agaye..nawaz ao ao..please baitho sofe par aap log tab tak main khana taiyar karti hu..


Nawaz ne bas eik halki si jalak se shabana ko dekha aur jaldi se dosri taraf muh kardiya..sharam ki wajase..

Sultan: ha agaye..tumhara khana abhi tak taiyar nahi hua..kitni der hongi?
Shabana: bas abhi table par lagati hu khana..


phir shabana ne khana table par lagaya...aur kitchen se awaz deti hai..


Shabana: chalo ajao khane..table par laga diya hai..
Sultan: chalo nawaz khane..


phir nawaz aur sultan uth kar dining table par jakar baithte hai..

Sultan: Shabana chalo tum bhi baith jao..
Shabana: jee..


phir shabana sultan k paas baith jati hai...aur sab khana shuru karte hai...bich bich mai nawaz aur sultan dono store ki baatien kar rahey the...aur shabana sab baatien sun kar bore horahi thi..shabana ne notice kiya k nawaz apni nazar nichey karke khana kha raha tha...shayad sharam ki wajase..


Shabana: aap log bas hamasha store ki baatien karte rahte ho..aur koi baatien nahi kiya kaam k elawa..
Sultan: wohi kaam ki baatien hana hamare liye toh..


yeh baat bolte waqr sultan ki nazar shabana par jati hai...

[Image: U2.png]

Sultan dekhta hai ke shabana kaisi baithi thi..uska dupatta uper karke aur mumme aur mummo ki thodi darar nazar arahi thi..sultan forum shabana ko ishara karke apne dupatte ko sahi karne ko bolta hai..shabana dekhti hai aur forum se apna dupatta sahi karke pahanti hai..phir kuch der baad..khana khakar sultan aur nawaz sofe par baithe baithe baatien kar rahey the..aur shabana kitchen mai saaf safai..phir shabana kaam khatam karke sofe par akar sultan ke paas baithi aur tv dekhne lagi..aur bich bich mai sultan aur nawaz ki baatien sun rahi thi..likin woh koi baat nahi kar rahi thi..woh bich bich mai nawaz ko dekhti thi..likin woh apni nazar dosri taraf ya sultan ko hi dekhta tha..


Asey hi shaam hogayi..shabana kitchen mai kuch kaam kar rahi thi..


Nawaz: sir, ab humko chalna chaiye. kafi der hogayi hai..
sultan: ha chalo main tumko chod deta hu.
Shabana: arey ruko..raat ka khana pack karke deti hu nawaz ka.
sultan: arey hai nawaz raat ka khana lakar jao.
nawaz: thik hai sir..


phir shabana khana pack karke sultan ko pakda deti hai..


sultan: chalo nawaz.
nawaz: jee sir.


phir nawaz aur sultan nikal jate hai...aur sultan nawaz ko store par chod kar ghar ata hai..sultan ghar par akar dekhta hai k shabana kitchen mai kuch kaam kar rahi thi...

[Image: U3.png]

sultan: abhi tak tum kitchen mai kya kar rahi hu?
shabana: saaf safai aur kya, aap toh meri koi help karte nahi toh mujhe hi sab kaam karna padta hana. nawaz ko store chod diya?
sultan: ha chod diya..
shabana: waisey yeh nawaz ne kuch bola nahi khana kaisa bana tha kaisa laga usko..na usney shukriya bola khane k liye..
sultan: arey usney mujhe jate waqt car mai hi bol diya tha ke main tumko shukriya bol do achey khane k liye..
shabana: toh ghar par kyu nahi bola mujhe?
sultan: shayad sharma raha honga tumse..
shabana: ha isliye usney eik bhi bar mere se koi baat nahi ki na muh utha kar kuch bola..jab dekho nichey dekhta tha..
sultan: bichara sharma raha honga..jane do usko. likin tumne yeh itna tight salwar kameez kyu pahana tha..
shabana: toh kya karti, mere paas jo jo kapde the indian dresses woh sab tight hogaye hai..kitne time se koi indian dresses ki shopping nahi ki..
sultan: acha acha ab complain karna band karo..aur dupatta toh sahi se pahanti, tumhare mummo ki darar nazar arahi thi..woh toh acha hai nawaz tumhari taraf nahi dekh raha tha..
shabana: tum fikar mat karo, iss aunty ki taraf koi nahi dekhne wala hai..ab hum aunty uncle ban gaye hai..
sultan: ha woh baat bhi sahi hai, hum uncle aunty hogaye hai..
shabana: sultan tumne note kiya phirse nawaz bilkul mere bhai jaisa lagta hai..mujhe toh nawaz ko dekh kar meri bhai ki yaad agayi..kaash woh iss duniya mai hota..


(Shabana ka bhai aslam 25 ki umar car accident mai chal basa tha)...

assa bolkar aur aslam ka souch kar shabana ki ankho mai ansoo ajate hai...


Sultan: ab tum udaas mat ho, jo iss duniya se chala gaya woh wapis nahi asakta na..chalo ab mood acha karo..
shabana: ha thik hai, likin nawaz ko itne paas se dekh kar laga mere bhai mere samne agaya hai..
sultan: ha mujhe pata hai..
shabana: waisey bhi nawaz umar mai chotta hai toh mere bhai jaisa hi hua na..
sultan: ha baat toh sahi hai..


phir pura din nikal jata hai aur sab sojate hai...

Nawaz ki ab kuch dino tak bas asey hi zindagi chalti rahi..kaam aur bas kaam, mehnat karna bas..sultan bhot khush tha nawaz ke kaam se...aur usko kafi zaida paise deta tha khush hokar...usko family member kaisa treatment milta tha....


eik din ghar par shabana sultan ko bolti hai...


shabana: suno na sultan, mujhe aapse eik kaam tha..
sultan: bolo kya hua..
shabana: kuch dino baad Eid anne wali hai..
sultan: ha toh..
shabana: main souch rahi thi itne saalo baad nawaz hamari zindagi mai aya hai aur woh ab hamara family member jaisa ban gaya hai, toh kyu na hum usko Eid par ghar bolaye.
sultan: arey yeh toh bhot acha idea hai..waisey bhi itne saalo baad hamare ghar par koi Eid par ayega aur hamari family ka hissa ban jayega Nawaz.
shabana: ha mere dimak mai bhi wohi chal raha tha..aur itne saalo baad hamara koi family member ban jayega aur waisey bhi woh mera bhai jaisa hai..
sultan: thik hai. toh nawaz ko Eid par bulate hai..



phir Kuch dino baad Eid anne wali thi...sultan ne nawaz ko Eid par ghar anne ki dawat di thi...

asey hi Eid ka din aagaya...Eid wale din Sultan nawaz ko lakar ghar aya...aur aaj ghar ka darwaze khol kar shabana ne unka welcome kiya..

[Image: 00.png]

Shabana: welcome home nawaz..

aaj nawaz ne shabana ko achey se dekha...aur apna saar uper karke bola..

Nawaz: thank you madam ghar par dawat dene k liye..
sultan: chalo ab ander..


phir shabana kitchen mai khane ki taiyari kar rahi thi aur nawaz sultan sofe par baith kar apne store ki baatien kar rahey the...aur kuch der baad shabana sofe ke paas ayi..

Shabana: aap logo ki store ki baatien khatam hogayi ho toh khana khale..(haste haste)
sultan: arey ha ha kyu nahi..hamari baatien toh pura din chalti raheygi..


sab log dining table par khane par baith aur abhi bhi sultan aur nawaz ki dukan ki baatien chal rahi thi...aur shabana ko gussa araha tha...shabana bich mai bol padi..


shabana: sultan shayad iss dining table par koi aur bhi baitha hai..
sultan: arey humko pata hai tum hamari store ki baatien se paak rahi ho..
shabana: toh bas bhi karo, nawaz bhai tum achey se khana khao..
nawaz: ji madam ji..
shabana: aram se khao, koi jaldi nahi. aaj Eid ka din tum pura din hamare sath hi rahna.
sultan: ha nawaz, aaj itne saalo baad hamare ghar par Eid par koi aya hai, humko aaj family jaisa mahol mila..waisey bhi ab tum hamare family member ban gaye ho..
nawaz: ji shukriya sir, mujhe bhi meri family ki bhot yaad arahi thi likin aap logo ki wajase meri family ki kami puri hogayi..
sultan: arey nawaz, abse hum log bhi tumhare pariwar ka hissa hai.. waisey tumko eik baat batao..shabana ka eik bhai tha jo bilkul tumhare jaisa dikhta tha..woh ab iss duniya mai nahi hai..
nawaz: oh acha..yeh sun kar bhot dukh hua..kya sach mai woh mere jaisa dikhta tha sir?
sultan: ha, shabana tum hi batao na...isliye toh shabana tumko bhai bol rahi hai...
shabana: ha nawaz, tum sach mai mere bhai ke jaisa dikhte ho..jab tumko mainey phali bar dekha tha uss waqt mainey sultan ko bolo tha ke tum mere bhai ki tarah dikhte ho..isliye mujhe mere bhai ki yaad agayi thi...


yeh bolte bolte shabana udaas hojati hai aur uski ankhoo mai ansoo hote hai....


sultan: arey ab udaas mat ho shabana, tumko toh khush hona chaiye ke itne saalo baad tumhara bhai tumhare sath baitha hai...
shabana: udaas nahi hu, bas bhaiya ki yaad agayi. chalo ab nawaz agaya hai toh mere bhi bhaiya ki kami puri hogayi..
nawaz: ji madam, mujhe khushi hongi apka bhai ban kar..


nawaz abhi bhi shabana ki taraf dekh kar baat nahi kar raha tha...phir asey hi pura din nikal jata hai..nawaz sultan ke sath baatien karne mai busy tha aur shabana kitchen mai thi aur phir tv dekh rahi thi kuch der tak aur nawaz sultan ki baatien sun rahi thi...phir sultan nawaz ko phir se store par chod kar ghar ata hai..


Sultan: aaj EID ke din phali bar itne saalo mai hamare ghar par koi mehman aya tha..bhot maza aya. eik family jaisa mahol ban gaya tha..
shabana: ha nawaz bhaiya ke anne se hamari Eid bhi achi nikal gayi..mujhe toh assa laga ke aaj hamara pariwar eik sath tha...main apni family ko kitna miss karti hu sultan..
sultan: ab kya kar sakte hai, likin eik acha kaam hua na ke aaj tumko eik aur bhai mil gaya..ab tumko bhai ki kami mehsoos nahi hongi..na hi hamari family ki..
shabana: baat toh sahi hai, nawaz toh waisey bhi humse kitna chotta hai aur mera bhai bhi chotta tha na..acha hai ab mujhe bhai ki kami mehsoos nahi hogni aur hamare ghar khali khali nahi lageyga na..


phir asey hi baatien karte karte shabana aur sultan sojate hai...

Part END
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Meri USA wali Muh Boli Behan aur Meri Zindagi - by Jonny123 - 24-08-2026, 07:31 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)