29-07-2026, 10:18 AM
Continue...
Simranjeet Kaur_Hello?
Abhay_ Namaste. Me Abhay bol rha hu. Kyaa Nimrit ji se baat ho sakti hai?
[b][i]Simranjeet kuchh pal chup rhi..[/i][/b]
Wo pahle hi samajh chuki thi ki Abhay aur Nimrit ke bich kuchh chal rha hai.
Mosi_ Ak minute..
Thodi der baad Nimrit phone per aayi..
Nimrit_ Haa, boliye.
Abhay_ Sunday ko aap free hai?
Nimrit_ Interview ki preparation kar rhi hu. Puri tarah free to nhi hu.
Abhay_ Meri maa aapse milna chahti hai.
Phone ke dusri taraf kuchh pal shanti ho gyi.
Nimrit_ Aapne apne ghar me sabko bata diya?
Abhay_ Haa.
Nimrit_ Sab kuchh?
Abhay_ Lagbhag sab kuchh.
Nimrit_ Ye “lagbhag” kyaa hota hai?
Abhay_ Ye nhi bataya ki aapne mujhe pahli baar kitni buri tarah danta tha.
Nimrit_ Jhooth bol rhe hai. Ye baat aap jarur bata chuke honge.
Abhay_ Maa ko pata hai.
Nimrit_ Mujhe pata tha.
Abhay_ To Sunday ko aa rhi hai?
Nimrit_ Akeli?
Abhay_ Aapke pitaji aur maa bhi aa sakte hai.
Nimrit_ Ye normal meeting hogi ya rishta dekhne wali?
Abhay_ Maa ke liye rishta dekhne wali. Pitaji ke liye normal. Mere liye bahut important.
Nimrit_ Aur mere liye?
Abhay_ Ye aap decide kijiye.
Nimrit kuchh pal chup rhi.
Nimrit_ Pahle mujhe papa se baat karni hogi.
Abhay_ Me unse khud baat kar lu?
Nimrit_ Bilkul nhi. Pahle me unhe bataungi.
Abhay_ Kyaa wo mere bare me kuchh jante hai?
Nimrit_ Itna jante hai ki aapne unka project bachaya hai… aur ye bhi ki hum pahle se ak dusre ko jante hai.
Abhay_ Ye nhi jante ki hum ak dusre se pyar karte hai?
Nimrit_ Mene abhi itni clearly nhi bataya.
Abhay_ To kab batayengi?
Nimrit_ Aaj raat.
Abhay_ Gussa hue to?
Nimrit_ Aap politics sambhalte hai. Me apne papa ko sambhal lungi.
Usi raat dinner ke baad Nimrit apne pitaji ke study room me gyi.
Uske pitaji project ke kuchh documents check kar rhe the.
Nimrit_ Papa, mujhe aapse ak important baat karni hai.
Nimrit ke Pitaji_ Interview se related?
Nimrit_ Nhi.
Unhone file band kar di.
Nimrit ke Pitaji_ Kunwar Abhay se related?
Nimrit hairan reh gyi.
Nimrit_ Aapko kese pata?
Nimrit ke Pitaji_ Me businessman hu, Nimrit. Logo ke chehre padhna mere kaam kaa hissa hai.
Project ke inauguration wale din jis tarah tum uska intejar kar rhi thi, wo mene dekh lia tha.
Nimrit chup ho gyi.
Nimrit ke Pitaji_ Kyaa tum use pasand karti ho?
Nimrit_ Haa.
Nimrit ke Pitaji_ Kitna serious hai ye mamla?
Nimrit_ Itna ki me aapse chhupana nhi chahti.
Uske pitaji chair se piche hokar baith gye.
Nimrit ke Pitaji_ Aur Abhay?
Nimrit_ Wo mujhse shaadi karna chahta hai.
Nimrit ke Pitaji_ Tumse 5 saal chhota hai.
Nimrit_ Mujhe pata hai..
Nimrit ke Pitaji_ Sirf age ki baat nhi hai. Wo 21 saal kaa hai. Politics me active hai. Construction kaa business hai. Uski life me risk hai.
Tum IAS join karogi to tumhari life bhi alag tarah ki hogi.
Nimrit_ Abhay mere career ko support karta hai.
Nimrit ke Pitaji_ Pyar ke shuru ke dino me har ladka support karne ki baat karta hai. Asli test shaadi ke baad hota hai.
Nimrit_ Mene use kaam karte hue dekha hai, papa.
Usne kabhi mujhper apni marji nhi thopi.
Mene pahle use insult kia. Fir bhi usne naa mera picha kia aur naa apni power kaa istemal.
Jab use pata chala ki IAS meri maa kaa sapna tha, tab usne mujhe kaha ki mera sapna ab uska bhi hai.
Nimrit ke pitaji kuchh pal chup rhe.
Nimrit_ Aap uski kabiliyat ko khud dekh chuke hai.
Nimrit ke Pitaji_ Business aur politics ki kabiliyat achcha pati hone ki guarantee nhi hoti.
Nimrit_ Ye baat sahi hai.
Isliye me jaldi shaadi kaa decision nhi le rhi.
Pahle interview, fir result.
Lakin me chahti hu ki aap uske pariwar se mile..
Nimrit ke Pitaji_ Uske pariwar ne tumhe bulaya hai?
Nimrit_ Sunday ko.
Nimrit ke Pitaji_ Tum jana chahti ho?
Nimrit_ Haa.
Uske pitaji ne gahri saans li.
Nimrit ke Pitaji_ Theek hai. Hum jayenge.
Lakin ye final rishta pakka karne ki meeting nhi hogi.
Nimrit_ Mene bhi aisa nhi kaha.
Nimrit ke Pitaji_ Aur tumhari preparation compromise nhi honi chahiye.
Nimrit_ Nhi hogi.
Nimrit ke Pitaji_ Fir Sunday ko chalte hai.
Me_ Nana ji itni jaldi maan gye?
Dadaji_ Wo mane nhi the, bete..
Wo bus tumhare pita aur unke pariwar ko samajhna chahte the.
Sunday ko Nimrit apne pita aur maa ke sath hamare ghar aayi.
Tumhare pita subah se hi pareshan ghum rhe the.
Kabhi drawing room kaa furniture dekhte, kabhi servant se chai ke bare me puchte aur kabhi main gate tak jakar wapas aate.
Manjot_ Abhay, ladki tumse milne aa rhi hai ya kisi rajya kaa Raja?
Abhay_ Maa, aap please uske samne mujhe embarrass mat karna.
Manjot_ Me to bus sach bolungi.
Abhay_ Yahi to problem hai.
Baldev_ Tum shant baith jao. Tumhe dekhkar lag rha hai jese aaj tumhara interview hai.
Abhay_ Mera interview hi hai.
.........

![[+]](https://xossipy.com/images/bootbb/collapse_collapsed.png)