Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 4.86 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5

Romance SHIDDAT [COMPLETED]Completed

#43

EPISODE 12

Agli subah jab sooraj ki pehli kiran kamre mein daakhil hui, Siddharth ke phone ki ghanti zor-zor se bajne lagi. Siddharth ne aankhein maleen aur dekha ki uske PA ka call tha. "Sir, office mein ek zaroori meeting hai, aapko turant pahunchna hoga," PA ki awaaz mein hadbadahat thi. Siddharth ne turant call kaata aur sote hue Hina ke paas gaya. Usne use dheere se jhakjhora, "Hina... utho jaan, mujhe office se call aaya hai, humein jaldi nikalna hoga."

Hina ne apni neend bhari aankhein kholeen aur sihar uthi. Tabhi uski nazar Siddharth par padi jo us khoon ke dhabbe wali safed chaadar ko bade pyaar se samet raha tha. Usne us chaadar ko mod ke apne bag mein rakh liya, jaise woh uski zindagi ki sabse anmol yaad ho. Yeh dekh kar Hina ka chehra sharm se gulaabi ho gaya. Usne paas jaakar Siddharth ke gaalon par ek meetha sa Kiss liya aur apna chehra uske kandhe mein chhupa liya.
 
Dono ne jaldi-jaldi apne bikhre hue kapde phir se pehne. Hina ne apni wahi hari pant aur kurti pehna, jabki Siddharth ne apni shirt ke button band kiye. Dono kamre se baahar nikle aur hotel ki parking mein khadi apni car mein ja baithe. Raasta chhota tha, lekin unki nazron mein beeti raat ki poori kahani tair rahi thi. Siddharth ne gaadi chalaate hue Hina ka haath thaam rakha tha. Jab ve Hina ke ghar ke paas pahunche, toh Siddharth ne gaadi roki.
 
"Shaam ko milte hain, shopping ke liye taiyar rehna," Siddharth ne muskuraate hue kaha. Hina ne sar hilaya aur ek aakhri baar Siddharth ko pyaar se dekhkar car se utar gayi. Siddharth ne use apne ghar ke andar jaate dekha aur phir apni car office ki taraf dauda di, uske chehre par ek aisi muskaan thi jo shayad kabhi pheeki nahi padne wali thi.
 
Hina jaise hi dabe paanv ghar ke bheetar daakhil hui, saamne hi uske Abbu aur uski Ammi baithe intezaar kar rahe the. Wo akhbaar liye chashma naak par tikaye hue the, lekin unki nigaahein seedhe darwaaze par jami thin. Ammi ne jaise hi Hina ki haalat dekhi, unki peshaani par bal pad gaye. Hina ke baal thode bikhre hue the, uski aankhon mein ek ajeeb si chamak aur chehre par beeti raat ki thakaavat saaf jhalak rahi thi. Uski woh hari kurti thodi mud si gayi thi.
 
Abbu ne bhaari awaaz mein poocha, "Hina! Ye waqt hai ghar aane ka? Poori raat tum kahan thi? Tumhari dost ke yahan toh humne phone kiya tha, usne kaha ki tum wahan nahi ho." Ammi kareeb aayin aur Hina ke chehre ko gaur se dekhte hue boleen, "Aur tumhari yeh haalat kya hai? Chehra itna laal kyun hai aur tum itni thaki hui kyun lag rahi ho? Kya baat hai Hina, saaf-saaf batao ki tum raat bhar kahan gayab thi?"
 
Hina ka dil zor-zor se dhadak raha tha, lekin uske chehre par ek ajeeb sa sukoon tha. Woh apni Ammi-Abbu ki aankhon mein aankhein daalkar jhooth toh bol rahi thi, par uske man mein kuchh aur hi chal raha tha. Usne man hi man muskuraate hue socha, "Main kahan thi? Main apne us *** aashiq ki baahon mein thi. Main use apni woh sabse paak amanat, apni virginity saunp kar aa rahi hoon jise aapne saalon se hifaazat mein rakhne ko kaha tha. Aaj main rooh aur jism se uski hokar aayi hoon."
 
Baahar se usne khud ko sambhala aur maasoomiyat ka mukhauta odhkar boli, "Abbu, darasal kal hospital mein ek emergency case aa gaya tha. Poori raat operation theater mein guzri, phone ki battery khatam ho gayi thi isliye khabar nahi kar paayi. Dekhiye na, thakaan ke maare bura haal hai." Abbu ne kuchh der use ghoora, phir gehri saans lekar akhbaar dobara utha liya. Ammi ko shak toh tha, lekin Hina ki doctor wali zimmedari ke aage unhone bhi chuppi saadh li. Hina tezi se apne kamre ki ore badhi, uske zehan mein ab bhi Siddharth ke ve gehre dhakke aur woh aakhri kiss taaza thi.
 
Hina jaise hi apne kamre ke bheetar daakhil hui, usne dheere se darwaza band kiya aur apni peeth usse tika di. Uske chehre par ek aisi muskaan thi jo chaahkar bhi ruk nahi rahi thi. Woh lagbhag naachte hue apne bistar ki ore badhi aur ek chhote bacche ki tarah uchhal kar us par gir padi. Usne apne takiye ko kaskar apni baahon mein bheench liya aur usmein apna chehra chhupakar dabi hui awaaz mein khilkhilane lagi.
 
Bistar ki chaadar mein use ab bhi Siddharth ki mardana khushboo ka ehsaas ho raha tha. Woh bistar par gol-gol ghoom rahi thi, uska dil zoron se dhadak raha tha aur beeti raat ka har lamha, Siddharth ka use choomna, uska woh jungli andaaz aur phir woh sukoon bhara dulaar, sab kuchh uski aankhon ke saamne kisi film ki tarah chal raha tha.
 
"Tum paagal ho Siddharth... bilkul paagal," usne takiye mein phusphusaate hue kaha. Kuchh der baad, woh uthi aur apni thakaan utaarne ke liye bathroom ki ore badhi. Usne apne kapde utaare aur jab usne apni woh laal panty uthayi, toh uski nigaahein uske beechon-beech jam gayin. Wahan Siddharth ke gaadhe Cum ke shookhe hue safed daag saaf nazar aa rahe the. Ve daag ab thode sakht ho chuke the, jo beeti raat ke us charam sukh aur Siddharth ki jeet ka saboot the.
 
Hina ne us panty ko apni ungliyon se chhua aur phir use apni naak ke paas le jaakar Siddharth ki gandh ko mehsoos kiya. Uske chehre par ek gehri aur maadak muskaan phail gayi. Usne us daagi panty ko apne nange seene se kaskar laga liya. Use aisa mehsoos hua jaise Siddharth ab bhi uske saath hai, uski dhadkanon mein samaya hua hai. Usne us panty ko bade jatan se ek taraf rakha, woh ise kabhi nahi dhone wali thi.
 
Phir woh shower ke neeche khadi ho gayi. Jaise hi garm paani ki boondein uske badan par girin, use apni jaanghon ke beech us halke dard ka ehsaas hua, jo use baar-baar yaad dila raha tha ki ab woh ek ladki nahi, balki Siddharth ki aurat ban chuki hai. Woh paani mein bheegte hue apni aankhein band kiye bas usi ehsaas mein doobi rahi.
 
Nahane ke baad Hina ne ek halka safed crop top aur dheele-dhale shorts pehen liye. Raat bhar ki us meethi thakaan aur Siddharth ke saath bitaye gaye un joshile lamhon ne uske shareer ko poori tarah tod diya tha. Bistar par lete hi use aisi gehri neend aayi ki use duniya jahan ki sudh nahi rahi. Tabhi, Hina ki Ammi, dabe paanv kamre mein daakhil huin. Unka irada bas Hina ke gande kapde uthakar dhone ke liye le jaane ka tha. Unhone farsh par pade uske hare kurti aur pant ko uthaya, lekin jaise hi unki nazar kone mein padi us laal panty par padi, unke haath thithak gaye.
 
Ammi ne jaise hi use uthaya, unki aankhon mein hairani aur shak ke baadal chha gaye. Us panty ke beechon-beech Siddharth ke shookhe hue gaadhe maal ke safed daag kisi gawahi ki tarah chamak rahe the. Itna hi nahi, us par khoon ki kuchh laal boondon ke nishaan bhi saaf nazar aa rahe the, jo Hina ki virginity tootne ka pakka saboot the. Ammi ka kaleja dhak se reh gaya. Woh ek tajurbekaar aurat thin, unhein samajhte der nahi lagi ki yeh kya hai. Unke haathon mein woh panty kaanpne lagi. Unhone mudkar soti hui Hina ko dekha, jo bekhabar apne sapnon mein khoi hui thi.
 
"Ya ***! Yeh kya dekh rahi hoon main?" Ammi ne dheere se budbudaya. Unki aankhon mein aansu aur gussa ek saath tairne lage. Unhein yakeen nahi ho raha tha ki unki laadli beti, jise unhone badi hifaazat se paala tha, woh raat bhar aspatal mein nahi, balki kisi ke saath jismani taalluk bana rahi thi.
 
Unhone us panty ko apni mutthi mein kaskar bheenchn liya. Daagon ki woh sakht chhuan unke dil mein suiyan chubho rahi thi. Unke zehan mein hazaron sawaal daudne lage, woh shakhs kaun hai? Kya Hina ne apni izzat kisi ke haathon neelam kar di? Ya woh kisi ke pyaar mein is kadar andhi ho gayi hai?
 
Ammi ne ek baar phir Hina ke soye hue maasoom chehre ko dekha aur phir us daagi panty ko apne dupatte ke neeche chhupa liya. Woh kamre se baahar nikal gayin, lekin unke dimaag mein ab ek toofan khada ho chuka tha. Shaam ke kareeb chaar baj rahe the jab Hina ki neend khuli. Khidki se aati sooraj ki halki roshni uske kamre mein phail rahi thi. Woh abhi bhi apni yaadon ki khumari mein thi, lekin jaise hi usne bistar se uthkar apni Ammi ko saamne kursi par baithe dekha, uske hosh ud gaye.
 
Ammi ke chehre par patthar jaisi sakhti thi aur unki god mein unka dupatta simta hua tha, jiske neeche woh daagi panty chhipi thi. "Jaag gayin Doctor Sahiba?" Ammi ki awaaz mein ek ajeeb si kadwahat thi. Hina ne hadbadate hue apne baal saheje, "Ji Ammi... bahut thakaan thi isliye aankh lag gayi."
 
Ammi utheen aur Hina ke bilkul kareeb aakar khadi ho gayin. Unhone apni mutthi kholi aur woh laal panty Hina ki aankhon ke theek saamne lahra di. "Toh yeh thakaan is wajah se thi? Aspatal mein mareezon ka ilaaj kar rahi thin ya apni aabroo ka sauda kar rahi thin? Hina, ye daag... ye khoon... kya hai yeh sab?" Hina ka dil jaise dhadakna bhool gaya. Uske pair kaanpne lage, lekin usne turant khud ko sambhala. Use pata tha ki agar usne abhi sach ugal diya toh sab khatam ho jayega.
 
"Ammi! Yeh... yeh aap kya keh rahi hain?" Hina ne ek banawati hairani ke saath baat kaat-te hue kaha. "Woh kal... kal ward mein ek accident case aaya tha. Aap toh jaanti hain wahan kitni afra-tafri hoti hai. Shayad kisi mareez ki dressing karte waqt khoon ke chheente gir gaye honge aur pata nahi kya-kya... aapne bekaar mein ise mudda bana liya."
 
"Mareez ka khoon yahan... is jagah?" Ammi ne panty ke beech ke hisse ki taraf ishaara karte hue chillakar poocha. "Aur ye safed dhabbe? Kya main bacchi hoon Hina? Kya mujhe nahi pata ki mard ki gandh aur uske nishaan kya hote hain?"
 
Hina ne apni nazrein churaayin aur almari se kapde nikaalne ka naatak karne lagi. "Ammi, aap hadd se zyada soch rahi hain. Maine kaha na ki hospital mein bahut gandagi hoti hai, shayad kisi liquid ya davayi ke girne se aisa hua ho. Ab kya main apni har chhoti cheez ki safai doongi? Main thak gayi hoon, please mujhe taiyaar hone dijiye, mujhe phir baahar jaana hai." Ammi ne use kandhe se pakadkar apni taraf ghumaya, "Sach bata Hina, woh kaun hai? Kiske saath munh kaala karke aayi hai tu?"
 
Hina ne jhatke se apna kandha chhudaya aur gusse ka dhong karte hue boli, "Koi nahi hai Ammi! Aap bas khaam-kha mujh par shak kar rahi hain. Agar aapko apni beti par yakeen nahi hai toh theek hai, par mujhse ye bebuniyad sawaal mat kijiye." Hina tezi se bathroom ki taraf bhaag gayi aur andar se darwaza band kar liya. Uska shareer paseene se bheeg chuka tha. Woh jaanti thi ki Ammi ko yakeen nahi hai, par usne baaton ko taalkar filhaal khud ko bacha liya tha. Ab uske zehan mein sirf ek hi baat thi, Siddharth ke saath shopping par jaana aur is dam-ghontu mahaul se baahar nikalna.
 
Bathroom ke bheetar shower ki awaaz aa rahi thi, lekin baahar kamre mein ek doosra hi toofan khada tha. Ammi ka shak ab yakeen ki hadein paar kar raha tha. Jaise hi unhein yakeen hua ki Hina nahane mein mashghool hai, unhone jhapatkar Hina ka phone utha liya. Kismat se Hina ghabrahat mein phone lock karna bhool gayi thi.
 
Ammi ki kaanpti ungliyon ne sabse pehle call history khangali. Wahan S naam se ek number tha jisse kai baar baat hui thi. Phir unhone WhatsApp khola. Sabse upar Sid ka chat box tha. Ammi ne jaise hi use khola, unki aankhon ke saamne chats tairne lagin, pyaar bhari baatein, milne ki betaabi aur kuchh aisi tasveerein jinhein dekh kar kisi bhi ammi ka kaleja munh ko aa jaye.
 
Lekin asli dhamaka tab hua jab unhone Sid ki DP par click kiya. Jaise hi tasveer badi hui, Ammi ke haath se phone chhoot-te chhoot-te bacha. Ve poori tarah Shocked thin. Screen par shehar ka rasookhdaar Collector Siddharth muskura raha tha. Wahi Collector, jiski sakhti ke charche poore shehar mein the aur jo ek gair-*** ka mard tha. Ammi ke pair ladkhadaane lage, unki beti ek *** aur woh bhi itne bade afsar ke pyaar mein paagal thi.
 
Tabhi bathroom ka darwaza khula. Hina tauliye se apne baal sukhaati hui baahar nikli aur apni Ammi ke haath mein apna phone dekh kar uska rang ud gaya. Usne jhapatkar Ammi ke haath se apna phone chheena. "Ammi! Yeh kya badtameezi hai?" Hina ne thode gusse aur unchi awaaz mein chillate hue kaha. "Aapko haq kisne diya mera phone check karne ka? Privacy naam ki bhi koi cheez hoti hai ya nahi? Kisi ka phone uski ijazat ke bina chhoona behad ghatiya harkat hai!" Ammi abhi bhi us sadme mein thin, unki awaaz tak nahi nikal rahi thi. Hina ne phone ko apne seene se laga liya aur tezi se apni almari ki taraf badhi.
 
"Main ek Doctor hoon, meri apni ek life hai!" Hina ne apni baat jaari rakhi, "Aap mujh par jasoosi kar rahi hain? Yeh umeed nahi thi aap se. Ab please, mere kamre se baahar jaiye, mujhe taiyar hona hai." Hina ka gussa asal mein uske darr ko chhupaane ka ek tareeka tha. Use andaza ho gaya tha ki Ammi ne Siddharth ko dekh liya hai. Ammi bina kuchh bole, aankhon mein hazaron sawaal aur khauf liye kamre se baahar nikal gayin, lekin unke dimaag mein ab sirf ek hi naam goonj raha tha, Siddharth.
 
Ammi apne kamre mein betahasha bechaini se tehel rahi thin. Unke zehan mein reh-reh kar wahi chehra ghoom raha tha, Collector Siddharth. Unka dil buri tarah baitha ja raha tha. "Ek gair-*** ka ladka! Meri bacchi ne kiske saath apni hadein paar kar deen? Kya kiya hoga usne meri maasoom Hina ke saath?" Unke haath ab bhi kaanp rahe the. Tabhi achanak yaadon ka ek dhundhla sa parda unki aankhon ke saamne se hata aur unhein bijli ki kaundh ki tarah kuchh yaad aaya. Unhone apni aankhein band ki aur waqt ke pahiye 20 saal peechhe ghoom gaye. "Kya... kya yeh wahi Siddharth hai?" Unhone deewar ka sahara lete hue khud se poocha.
 
Unhein yaad aaya apna purana ghar, jahan bagal wale makaan mein Khanna ji ka parivaar rehta tha. Ammi ki aankhon mein aansu bhar aaye jab unhein woh chhota sa shararati aur gol-matol Sid yaad aaya. Woh aur Hina saaye ki tarah ek-doosre ke saath rehte the. Ve dono mushkil se 5 ya 6 saal ke the. Hina ki Ammi ko yaad aaya ki kaise Siddharth roz subah unke ghar ki ghanti bajata tha aur chillata tha, "Hina, jaldi baahar aao", dono ek hi college mein padhte the. Siddharth hamesha Hina ka bhaari college bag apne chhote se kandhon par taang leta tha taaki Hina ko takleef na ho. Ve dono haath pakadkar ghar ki dehleez se college bus tak jaate the.
 
Jab Hina ko chot lagti thi, toh Siddharth rone lagta tha. Ammi khud un dono ko apne haathon se niwale khilati thin. Siddharth ko Hina ki Ammi ke haath ki biryani behad pasand thi. "Wahi baccha... aaj itna bada afsar ban gaya? Aur meri Hina..." Ammi ki aankhon se aansu tapak kar unke dupatte par girne lage.
 
Unhein woh din bhi yaad aaya jab Siddharth ke pita ka tabadla doosre shehar mein ho gaya tha aur 10 saal ki Hina hafton tak roti rahi thi. Waqt guzra, shehar badle, aur bachpan ki woh maasoomiyat kahin kho gayi. Unhein andaza bhi nahi tha ki woh bachpan ki dosti ab ek aisi aag ban chuki hai jisne *** aur samaj ki bandishon ko raakh kar diya hai. Ek taraf Ammi ko sukoon mila ki woh ladka koi ajnabi nahi balki wahi purana Sid hai, lekin doosri taraf unki rooh kaanp uthi ki ab ve dono bade ho chuke hain aur unke beech jo kuchh hua hai, uska anjaam kya hoga?
 
Ammi ki aankhon se aansu thamne ka naam nahi le rahe the. Ek taraf purani yaadon ka sailaab tha aur doosri taraf apni jawan beti ki aabroo ka sawaal. Unhone apne dupatte se aankhein ponchheen aur khud ko sambhalte hue phir se Hina ke kamre ki ore kadam badhaye. Hina abhi bhi aaine ke saamne khadi apne baal sanwar rahi thi, lekin uski aankhon mein ab bhi wahi gussa aur ghabrahat thi. Jaise hi usne apni Ammi ko dobara kamre mein aate dekha, woh chidhkar boli, "Ammi, maine kaha na ki mujhe pareshan mat kijiye!"
 
Ammi ne koi jawab nahi diya. Ve dheere se Hina ke paas aayin aur uske kaanpte hue haathon ko apne haathon mein thaam liya. Unki awaaz is baar sakht nahi, balki bahut hi bhaari aur nam thi. "Hina... meri taraf dekh beta," Ammi ne bahut hi dheeme se kaha. Hina ne jaise hi apni ammi ki bheeghi hui aankhein dekheen, uska gussa barf ki tarah pighal gaya. "Ammi, aap ro rahi hain?"
 
Ammi ne gehri saans li aur seedhe uski aankhon mein jhaankte hue poocha, "Hina, sach-sach bata.... kya yeh wahi Siddharth hai? Khanna sahab ka beta? Wahi Sid jo bachpan mein tere saath college jaata tha? Jiske liye tu hafton royi thi jab ve humein chhodkar gaye the?"
 
Hina ke pairon ke neeche se zameen khisak gayi. Use umeed nahi thi ki uski Ammi us chhote se bacche ko aaj ke is kaddavar Collector mein pehchan lengi. Hina ki khamoshi aur uski jhuki hui palkon ne saara sach bayan kar diya. "Haan Ammi..." Hina ki awaaz mushkil se baahar nikli. "Yeh wahi Siddharth hai. Kismat ne humein phir se mila diya. Lekin woh ab sirf mera bachpan ka dost nahi hai Ammi... woh meri zindagi ban chuka hai."
 
Ammi ne ek lambi aah bhari aur Hina ke sar par haath pherte hue Confirm kiya, "Toh isiliye tune apni hadein paar kar deen? Tu bhool gayi ki hamara ***, hamara samaj is rishte ko kabhi qabool nahi karega? Hina, woh ek *** hai aur tu ek *** gharane ki beti. Kya tujhe andaza bhi hai ki agar tere Abbu ko pata chala, toh kya qayamat aayegi?"
 
Hina ne apni Ammi ka haath kaskar pakad liya. "Ammi, use yaad kijiye... woh chhota Sid jo aapki god mein so jaata tha. Woh aaj bhi wahi hai. Woh mujhse bahut pyaar karta hai aur usne meri bahut izzat ki hai. Kal raat jo hua... woh sirf jism ki bhook nahi thi, woh barson ka intezaar tha." Ammi chupchaap apni beti ko dekh rahi thin. Unhein samajh nahi aa raha tha ki khush hon ki woh ladka koi ajnabi nahi hai, ya is baat par maatam manayein ki unki beti ne ek aisi aag mein haath daal diya hai jo poore khaandaan ko jala sakti hai.
 
Khair, Shaam ke waqt jaise hi uski najar apni balcony se bahar padi, usne dekha ki Siddharth apni kaali chamchamati gaadi ke saath thodi door khada uska intezaar kar raha tha. Hina tezi se aakar gaadi mein baithi. Siddharth ne muskuraate hue uska haath thaam liya, "Kaisa raha aaj ka din, Doctor Sahiba?" Hina ki aankhon mein thodi fikr thi. Usne Siddharth ki taraf dekhte hue kaha, "Sid, aaj bahut kuchh ho gaya. Ammi ko sab pata chal gaya hai."
 
Siddharth ke chehre ki muskaan thodi pheeki padi, usne gaadi mall ki taraf modte hue poocha, "Kya matlab? Unhein kaise pata chala?" Hina ne gehri saans li aur vistaar se sab batana shuru kiya. Usne bataya ki kaise uski Ammi ne uske kamre se woh laal panty dhoond nikali jis par unke milan ke nishaan the. Usne yeh bhi bataya ki kaise Ammi ne uska phone check kiya aur tumhari photo dekh li.
 
"Lekin Sid, sabse chaunkaane wali baat yeh hai ki Ammi ne tumhein pehchan liya," Hina ne uski aankhon mein jhaankte hue kaha. "Unhein yaad aa gaya ki tum wahi chhote Sid ho jo bachpan mein mere saath college jaata tha. Woh bahut royin, unhein yakeen nahi ho raha ki hamara bachpan ka woh rishta ab is muqaam par pahunch gaya hai." Siddharth kuchh pal ke liye khamosh ho gaya. Purani yaadein uske zehan mein taaza ho gayin. "unhone... unhone mujhe pehchan liya? Itne din ho gye... Mujhe laga tha shayad woh bhool gayi hongi."

Heart Desi Erotica is Love sex
[+] 3 users Like Herotic's post
Like Reply


Messages In This Thread
SHIDDAT [COMPLETED] - by Herotic - 04-05-2026, 11:27 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 05-05-2026, 01:44 PM
RE: SHIDDAT - by rajeev13 - 05-05-2026, 02:58 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 05-05-2026, 03:58 PM
RE: SHIDDAT - by Kobir99 - 05-05-2026, 09:35 PM
RE: SHIDDAT - by Alima sanah - 06-05-2026, 07:21 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 06-05-2026, 04:14 PM
RE: SHIDDAT - by Alima sanah - 07-05-2026, 07:45 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 07-05-2026, 12:01 PM
RE: SHIDDAT - by Kobir99 - 07-05-2026, 12:18 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 07-05-2026, 12:20 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 08-05-2026, 01:16 PM
RE: SHIDDAT - by Dhongi Baba - 08-05-2026, 04:41 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 08-05-2026, 08:35 PM
RE: SHIDDAT - by Kobir99 - 08-05-2026, 10:13 PM
RE: SHIDDAT - by Faggot. - 09-05-2026, 08:52 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 09-05-2026, 09:25 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 09-05-2026, 10:02 AM
RE: SHIDDAT - by valour - 09-05-2026, 10:15 AM
RE: SHIDDAT - by Alima sanah - 10-05-2026, 08:08 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 10-05-2026, 10:54 AM
RE: SHIDDAT - by Suhana. - 10-05-2026, 02:32 PM
RE: SHIDDAT - by Progga Sarkar - 10-05-2026, 02:53 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 12-05-2026, 12:12 PM
RE: SHIDDAT - by Samreen khan - 12-05-2026, 12:59 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 12-05-2026, 01:33 PM
RE: SHIDDAT - by Voyeur - 12-05-2026, 01:33 PM
RE: SHIDDAT - by Kinkyboy - 12-05-2026, 01:49 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 13-05-2026, 10:56 AM
RE: SHIDDAT - by Black Mamba - 13-05-2026, 11:36 AM
RE: SHIDDAT - by Romi - 13-05-2026, 12:46 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 14-05-2026, 12:26 PM
RE: SHIDDAT - by K MD THABREZ - 15-05-2026, 12:55 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 18-05-2026, 08:03 AM
RE: SHIDDAT - by Adonis - 18-05-2026, 12:54 PM
RE: SHIDDAT - by Dhamakaindia108 - 18-05-2026, 07:23 PM
RE: SHIDDAT - by Alima sanah - 19-05-2026, 07:47 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 19-05-2026, 10:13 AM
RE: SHIDDAT - by Kobir99 - 19-05-2026, 09:55 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 20-05-2026, 10:27 AM
RE: SHIDDAT - by Alima sanah - 22-05-2026, 07:33 AM
RE: SHIDDAT - by K MD THABREZ - 23-05-2026, 01:26 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 23-05-2026, 01:07 PM
RE: SHIDDAT - by Alima sanah - 29-05-2026, 07:28 AM
RE: SHIDDAT - by Pinkpussy4u - 29-05-2026, 12:33 PM
RE: SHIDDAT - by Kobir99 - 29-05-2026, 01:36 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 31-05-2026, 01:09 PM
RE: SHIDDAT - by K MD THABREZ - 02-06-2026, 12:19 AM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 02-06-2026, 12:22 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 05-06-2026, 12:21 PM
RE: SHIDDAT - by Gulte Mama - 06-06-2026, 09:45 AM
RE: SHIDDAT - by Kasif - 06-06-2026, 09:57 AM
RE: SHIDDAT - by rascle shyam - 06-06-2026, 03:43 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 06-06-2026, 05:21 PM
RE: SHIDDAT - by Herotic - 06-06-2026, 05:26 PM
RE: SHIDDAT [COMPLETED] - by behka - 07-06-2026, 01:45 PM
RE: SHIDDAT [COMPLETED] - by Alima sanah - 08-06-2026, 07:31 AM
RE: SHIDDAT [COMPLETED] - by Royal°Bengal°Tiger° - 11-06-2026, 08:19 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)