29-10-2025, 03:49 PM
GULAB KA PHOOL
Update 2
Writer ki kalam jab ek bar likhne lagati hai to har dewaar gira sakati hai.
Ek Marathi poet ne writer ke upar ek poem likhi thi,kya thi wo ...yaad nahi aa rahi...are haa
"Jo suraj nahi dek sakta wo writer dek sakata hai"
Are writer nahi poet tha, ye main kya soch raha hu, main to us gulab ke phool ke bareme soch raha tha.
Par Kuch bhi ho ,us gulab ke phool me kuch to bat thi. Dopehar ki dup ,road pe itne vehicle ,aate jate huye itne log, ye garam hawa,pir bhi wo gulab ka phool aise road pe pada tha ki jaise laila ke baalo me lag kar, majnu ki jit ko apne khushbhu se sab ko bata raha ho.
Main us gulab ke phool ko dek kar sab kuch bhul gaya tha. Muze us gulab ke phool ke siwa kuch nahi dik raha tha.
Kya sirf main akela us gulab ke phool ko dek raha tha. Kya kohi aur nahi hai jis ki najar us gulab ke phool par ho
Aaj kal itne saare laila majnu dekne ko milte hai. Kya un me se ek ko bhi wo gulab ka phool nahi dika.
Kya gulab ke phool ki value bas itni hi hai. Ladki ko propose karte huye gulab ka phool yaad aata hai, ladki ke haa karte hi gulab ke phool ki value kam ho jati hai. Main ne apne dosto ke hanto me sirf ek bar gulab ka phool deka tha ,
![[Image: Propose.png]](https://i.ibb.co/mF8mSDD0/Propose.png)
ladki ne haa kaha aur gulab ke phool ki jaga chocolate, colddrink ne le li.
![[Image: Snacks.png]](https://i.ibb.co/jZDqQDWD/Snacks.png)
Pahale to ladkiyo ke baalo me gulab ka phool kitne shaan se baita rahata tha.
![[Image: Girl-With-Rose.png]](https://i.ibb.co/Qyx7wCc/Girl-With-Rose.png)
Aur ab ...jane do ladkiyo ke bareme jada bat karna tik nahi rahenga .
Ye kya pir se topic change ho gaya.Main ne sahi kaha tha ki us gulab ke phool par bahot sari novel ban sakti hai.
![[Image: Writing3.png]](https://i.ibb.co/21ZZVxpD/Writing3.png)
Us gulab ke phool ke chakkar me table par raki huyi meri tea thandi ho gayi . Par wo gulab ka phool meri najar ko dusari taraf jane nahi de raha hai.Meri soch ghum pir kar vapas gulab ke phool par aa jati hai.
Us gulab ke phool ki chamak ke samane suraj ne bhi haar maan li, ya pir suraj apni chamak us gulab ke phool ko de raha ho.
Are haa, ek chidiya ke bareme suna tha ki use suraj se pyar ho gaya tha .wo suraj se milne ke liye uske pass jati aur suraj uske panko ko jala deta. Pyar itni aasani se nahi milata. Wo pir se khosish karti gayi...ye aisa hi chalta raha pata nahi aage kya hua.
Kya yahi wo story thi ya pir main ne kuch change kiye hai. Wo kahate hai na jamaane ke sath sab badal raha hai. Sher chuhe ki story change ho kar tom and jerry ban gayi.
Sher chuha ,ye kaha se bich me aa gaye. Ye sab wo gulab ke phool ki vajase ho raha hai.suruvat gulab ke phool se hoti hai aur pir kaha se kaha chala jata hu.
Main ne sahi kaha tha ki us gulab ke phool par novel likhi ja sakati hai.khas main engineer ki jaga writer ban gaya hota to abi us gulab ke phool par kuch likh raha hota. Hant me tea ki jaga kalam hoti.
![[Image: Writing2.png]](https://i.ibb.co/Mk4d7Bq4/Writing2.png)
Lekin ye kya sham ho rahi hai, main to soch raha tha ki suraj apni chamak us gulab ke phool ko de raha hai, par suraj ne to uska sath chhod diya.
Sham hone se log office se apne apne ghar ja rahe the, vehicle se road bhar chuka tha. Par us gulab ke phool ko kuch nahi hua.
Kya tha us gulab ke phool me ,na wo haar maan raha tha aur na main uske upar se apni najar hata pa raha tha.
Par ye kya, suraj ko dhalate huye dek kar gulab ke phool ne apni ek pankhudi ko apne se alag kar diya. Shayad gulab ka phool suraj ko thanks kah raha ho jis ne dopehar se uska sath diya.ya pir suraj ki jate huye dek kar gulab ke phool ki himmat tut gayi ho.kuch bhi ho sakta hai. Ye meri soch thi, kisi aur ki soch is se jada achi ho sakati, agar main writer hota to....
![[Image: Writing4.png]](https://i.ibb.co/chWwzb4K/Writing4.png)
are yaar pir se writer ke bareme sochne laga.
Writer ko maro goli, pir se main us gulab ke phool ko dekne laga.
Muze lag raha tha ki bas us gulab ke phool ko dekta rahu,par taparivala muze kitni der baitne de sakata tha. Dopehar ki bat alag thi, tab log tapari par kam aate hai, par ab sham me uski tapri pe customer aane lage the.
![[Image: Chai-Tapri-Sunset.png]](https://i.ibb.co/S4JMy2wW/Chai-Tapri-Sunset.png)
Taparivale ke kahne ke pahale main uski tapari se bahar aa gaya.
Bahar to aa gaya tha par ab ghar jana hoga. Main to ghar chala jaunga par us gulab ke phool ka kya hoga. Suraj bhi uska sath chhod raha tha aur ab main bhi us gulab ke phool ko chhod kar ja raha tha.
Ek lagav sa ho gaya kuch ganto me us gulab ke phool se par main kuch nahi kar sakata.
Main ne apne ghar ki taraf jane ke liye pair utaya tha ki muze pir se us gulab ke phool fikar hone lagi.
Mere jane ke bad uska kya hoga ,suraj bhi chala gaya ,Aur ab main ja raha hu.
Agar main ghar chala jau to muz me aur baki logo me kya farak rah jayenga.main baki logo ko galat kah raha tha aur ab main galat kar raha hu.Main aisa nahi kar sakata, kam se kam main us gulab ke phool ko mandir me,mandir me nahi ,apne sath le jata hu pir sochunga ki uska kya karna hai.
Main ruk gaya ,aur gulab ke phool ki taraf deka ,gulab ke phool ki 3 pankhudiyo ne uska sath chhod diya tha.
lekin 3 hi kyu, pahale ek pankhudi ne sath chhoda aur ab 2 ,Ek suraj ke liye, ek mere liye, pir thisari pankhudi kis ke liye thi.
kya ek pankhudi mere liye thi? agar ek mere liye hai to dusari kiske liye hogi.
kya meri tara kohi aur bhi tha ya thi jo gulab ke phool ka sath de raha ya rahi ho.agar hai to wo gulab ke pass jarur aayengi ya aayenga.
Main us gulab ke phool ke pass chala gaya. Aur zuk kar gulab ka phool utane vala tha ki ek aur hant gulab ka phool ko utane aaya tha.
Main ne us hant vali ki taraf deka ,wo bhi meri taraf dek rahi thi. Ham abi bhi zuk huye the ,hamare hant us gulab ke phool se kuch inch dur ruk gaye the
Wo ladki muze aur main us ladki ko dek raha tha.
Meri tara us ladki ke dusare hant me ek file thi. Shayad wo bhi meri tara interview me fail hokar aayi ho.aur meri tara us gulab ke phool ka sath de rahi ho.
![[Image: Rose-Lifting.png]](https://i.ibb.co/rGwRCJwP/Rose-Lifting.png)
Main us ladki ko dekta raha . uski ki chamak us gulab ke phool ki tara thi.is se jada main soch nahi paya. ek engineer jo tha writer nahi.
Wo ladki bhi meri taraf dek rahi thi, kya soch rahi hogi wo ,kya mere bareme soch rahi hogi. Mere bareme kyu sochengi shayad us gulab ke phool ke bareme soch rahi hogi.
Par wo bina palke zukaye muze dek kar rahi thi. Bolne ki khosish kar rahi thi par kuch bol nahi pa rahi thi.
Main ne apna hant aage badakar gulab ke phool ki jaga ek pankhudi uta li.
![[Image: Petal-Lift.png]](https://i.ibb.co/yBfSnXRX/Petal-Lift.png)
Us ladki ne un pankhudiyo ki taraf deka, aur us ne bhi meri tara ek pankhudi uta li.
![[Image: Rose-Lifing-2.jpg]](https://i.ibb.co/WWdGyVXb/Rose-Lifing-2.jpg)
wo gulab ka phool bhi uta sakati thi pir usne sirf pankhudi kyu utai.
To be Continued...
______________________________
Anyone who has never made a mistake has never tried anything new (Avi Bhai's Signature)
#AviBhaiComeBack


![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)