Xossip Ultimate Story Contest 2014
#71
Hotel
sikendar

Abhi shaam ke 05 hi baje the aur halka halka andhera chane laga tha.. gaon me kal hamari pustaini jameen ko becha jana tha.. badi mushkil se ek costumer mila hai wo mana na kar de usi wajah se mujhe aaj hi gaon ke liye nikalna pad raha tha.. flight ki ticket book ho nahi payi thi aur train kabhi time par aati nahi.. isi wajah se gaon ki jameen ke kagaj apni gaadi me rakh kar maine car se nikalna hi sahi samjha.. delhi se agra tak aate aate 9.30 baj chuke the, raste ko jaldi cover karne ke liye maine short cut maar liya... taaki gaadi band hone se pehle pehle jyada se jyada doori cover kar li jaye.. bahar sadak par poori tarah se kohra hone ki wajah se andhera chha chuka tha aur gaadi ke engine se ajeeb si aawaj aa rahi thi.. gaadi purani thi jaldi garam ho jati thi aur main achhe se janta tha ki is se aage ab continue karna museebat mol lena hai... aur waise bhi sardiyo ke dino me drive karna kaafi thaka dene wala hota hai.. aur yahi karan tha ki lagtar gaadi chalane ki wajah se mujhe ab jyada hi thakan mehsoos ho rahi thi aankhe baar baar band ho rahi thi...

par andhera aur thakaan hone ki wajah se main shayad rasta bhatak gaya tha aur yahi karan tha ki peechle aadhe ghante se lagatar sadak ke dono taraf dekhne par sirf kohre se dhake ghane jangal ke siwa kuch najar nahi aa raha tha... main bade dhyan se dekh raha tha ki shayad kahi koi hotel ya dhaba kuch aisa dikh jaye jaha thoda rest kiya ja sake ya raste me raat bitayi ja sake.. raste ke beech beech me ek do chhote chhote gaon to dikhaye de rahe the par koi bhi aisa gaon nahi tha jaha ruka ja sake sare gaon kohre aur andhere me doobe hue the aur ek do dhabe jo sadak par bane bhi hue the wo band dikhayi diye.. gaadi kabhi bhi band ho sakti thi par sadak par kuch bhi aisa najar nahi aa raha tha ki jaha ruka ja sake...

gaon ki jameen bechne ki 01 wajah to mujhe delhi me flate khareedne ke liye paise chahiye the aur dusri sabse sabse badi wajah thi us makaan se chutkara... wo makaan hamesha se mere liye manhoos raha... us makaan ne bachpan me mujhse mere maa baap ko cheen liya... mata pita ki maut ek rahasy ban gayi.. mata pita ki rahasymayi maut ke baad mujhe mere mama apne yaha le aaye.. thoda bada hone ke baad jab mama ke saath us makaan me rahne ke liye aaya to mama ki rahasyamayi maut ho gayi.. uske baad mere nana ne mujhe waha se door padhne ke liye bhej diya...

bhagwaan ka naam le kar is ummeed ke saath ki koi rukne ki jagah milne se pehle gaadi dhoka na de main lagatar gaadi chalaye ja raha tha par kismat ko shayad mera sahi tarah se aage badhna manjoor nahi tha.. shayad yahi karan tha ki gaadi ne ab jor jor se aawaj karna shuru kar diya.. ishara saaf tha ki gaadi ab kahi bhi band ho sakti hai.. par main rukne ke liye road ke charo taraf dekh raha tha ki kahi kuch aisa dikhayi de jaha ruka ja sake... kareeb 200 meter aage chalne par ek hotel sa najar aaya jaha light jal rahi thi maine is sunsaan road par fansne se achha waha rukna sahi samjha.. aur apni gaadi usi taraf mod li... gaadi thik hotel ke saamne la kar khadi kar di taaki gaadi kuch thandi ho jaye...

Hotel ke bahar gaadi rok kar 5 minute tak yahi sochta raha ke yahan rukna sahi hai... Hotel ek chhhote se gaon se thoda bahar nikal kar bana hua tha aur dekhne se hi bahut purana sa lag raha tha. Deewaron par bahar ki taraf se paint khatam ho chuka tha, kai jagah se plaster aur ent saaf dikhai de rahi thi. meri manjil ab jyada door nahi rah gayi thi is liye mujhe ab thodi chinta kam thi...

waise bhi hotel me ja kar rest hi hai to karna hai... yahi ruk jata hoon. aur jab tak gaadi thandi bhi ho jayegi... yahi soch kar main apni car se bahar nikla... gaadi se bahar nikalte hi ek thandi hawa ka jhoonka seedha mere gaal se takraya sardi kaafi joro se lag rahi thi.. jameen ka sauda kal subah 11 baje hona tha is liye raat ko rukna bhi pade to subah aaram se uthkar waqt rehte pahunch sakta tha.. yahi soch kar maine hotel ke andar kadam rakha.. andar ka mahaul ummeed ke mutaabik hi nikla. Jaisa haal hotel ka bahar tha, andar bhi vaisa hi kuchh nazara tha. Har cheez dekhne mein purani, jaisa sadiyon se vahin rakhi ho aur bilkul bhi na hilayi gayi ho. Har cheez par dhool ki ek moti chadar, har cheez jaise bas apne aakhri waqt ke intezaar mein ho..

hotel me koi dikhayi nahi de raha tha.. pura hotel khali tha.. saamne ek purani si kursi rakhi thi main usi kursi par baith gaya.. aur intjaar karne laga hotel ke malik ya kisi nokar wagerah ke aane ka...... 2 min baad hi saamne se ek 24-25 saal ki ladki red salwar suit aur black color ki jeket me chali aa rahi thi uske haath me kuch kitaab lag rahi thi.. dekhne me wo khoobsurat lag rahi thi badi badi kaali aankhe khule hue lambe kaale baal maathe par chhoti si kaale rang ki bindi. us ladki me na jaane aisa kya attraction tha ki meri najar us par se hatne ka naam hi nahi le rahi thi.. use dekh kar main ek dam se khada ho gaya.. usne meri taraf dekha aur aur wo saamne jo reception type ka counter bana hua tha waha ja kar chair par baith gayi...

“suniye..!!! yaha raat me rukne ki vyavstha hai” maine uske paas ja kar kaha...
“1500rs. lagege” usne meri taraf ek najar upar neeche tak dekhte hue kaha.. mujhe coat pent me dekh kar shayad usne paise jyada bataye the..
“ji thik hai.. kamra dikha dijiye” waise to main kewal thodi der rukne ke mood me tha par us ladki ko dekh kar raat bhar rukne ka man ho gaya.. “waise kon si jagah hai yeh ?” maine us se jagah ki location ke baare me puchte hue kaha..

“ye paanch mahal ka gaon hai.. is se aage buland darwaja padta hai”
“paanch mahal, fatehpur sikari yaani main apne gaon se ab jyada door nahi tha mushil se 2 ghante ka rasta bacha tha.. yaha raat bitane me koi takleef nai hai..” maine man hi man sochte hue kaha..
"Aap yahan kaam karti hain?"
"Nahi ye hamara hi hai."

"Kaafi purana malum padta hai hotel aapka" maine chaaron taraf nazar daudayi.
"40 saal purana hai. Jab Papa ki shaadi hui thi tab unhone ye khola tha" Ladki ne garv bhari aawaz mein kaha.
"achha.. kitne log rukte honge yaha ?"
"waise to kaafi log aate hai ghoomne ke liye par peechle kayi dino se koi nahi aa raha.. pita ji ek aadmi ke saath dusre gaon gaye hai is liye unhone mujhe yaha bhej diya tha band karne ko, aap akele hi hain" Ladki ne pichhe ek cupboard se ek chaabi nikali aur boli “aaiye maine aap ko aap ke rukne ki jagah dikha deti hoon”

"Kamra kis taraf hai?" maine uske saath thodi door chalte hue kaha..
"Ye seedhi se uper chale jaaiye. Ek hi manjil hai bas. do kamare bane hai kisi me bhi ruk sakte hai" Ladki ne saamne thoda hat kar bani hui uper ko jaati seedhiyon ki taraf ishara kiya.
"Neeche koi kamra nahi hai?"
"neeche... hai par usme thodi saaf safayi karni padegi aap upar chale jaiye upar ka kamra ek dam saaf hai" usne kaha par mujhe yakeen tha ki upar ka kamra bhi dhool aur gandgi se bhara hoga..

"All right. Toh filhal khaane ka intezaam hai kuchh?"
"Nahi ab toh koi bhi nahi hai. Khane banane ke liye jo ladke rakhe hain wo aaj aaye jaldi chale gaye jis wajah se raat ke liye kuch nahi hai."
"thik hai" maine mayusi bhari aawaz mein kaha. bahut joro ki bhookh lagi thi aur mujhe ummeed dinner mein kuchh achha khaane ko milega.
"Aap chahen toh mere saath goan me chal kar khana kha sakte hai.. par uske paise alag dene hoge" Ladki ne ek meri taraf dekhte hue kaha.. wo shayad mujhse jyada se jyada paise kamane ke chakkar me thi..

"bhuke marne se achha hai ki kuch kha liya jaye" maine man hi man kaha.. “chalo thik hai.. paise ki koi dikkat nahi hai..
“aap upar kamre me apna saamaan rakhe main thodi der me aapke liye khane ka intjaam karke aati hoon” usne mujhe upar kamre ki taraf jane ka ishara karte hue kaha..
Uper aate hi mere saamne ek lamba sa galiyara tha jiske dono taraf kayi sare kamre bane hue the. Corridor ke doosre sire par kuchh seedhiyan bani hui thi jo shayad chhat par jaati thi aur seedhiyon ke paas hi kuchh purane toote hue furniture ka dher laga hua tha.

upar aate hi mujhe bada ajeeb sa mehsoos hua... aaj kal jaha par seedhiya khatam hoti hai vahin se continue hoti hai. Par yahan mamla kuchh aur tha. Yahan pehle first floor par aao. phir chal kar corridor ke doosre chhor par jao aur phir chhat ki seedhiyan chadho.
Kamron ke bahar numbers lage hue the samjh nahi aa raha tha ki kon sa kamra hai.. maine pehle kamre ka hi darwaje ke taale me chabi lagayi kholne ke liye aur darwaza khol kar andar aaya. Andar ghuste hi garam hawa ka ek jhonka badi jor se mere munh par thappad ki tarah laga.
"hey bhagwaan kya hai ye" maine kamre ko dekhta hua kaha.

Dekh kar hi malum padta tha ke kamra kaafi waqt se band tha. Baaki ke hotel ki tarah yahan ki har cheez purani hi lag rahi thi par saaf thi. Jo dhool mitti ki parat neeche bahar dekhne ko mili thi vo kamre ke andar nahi thi. Khidki darwaze sab band the taaki dhool mitti andar na aaye par uski vajah se kamre ke andar ek ajeeb si ghutan ho gayi thi.
maine apna saman ek taraf rakha aur aage badhkar kamre ki khidkiyan kholi aur fan on kiya. ek pal ke liye bed pe betha par phir uth kar bahar aa gaya.

"isko khula hi chhod deta hoon taaki andar ki band hawa nikal sake" maine apne aap se bola aur apna cigarette ka packet utha kar cigrate jala li.. kuch to ajeeb hai.. yaha ki halat ab tak dekhe kisi bhi hotel se kaafi alag aur darawni si thi cigrate pii kar wapas kamra me aa kar main bed par let gaya aur us ladki ka injaar karne laga...
************************

“kitni door hai tumhara gaon”
“thodi hi door hai” usne cupbord se phir ek chabi nikali aur mujhe bahar nikalne ke ishara kiya.. bahar nikal kar usne main gate par tala lagaya aur chabi mere haath me pakda di..
maine jeb se cigrate nikali aur ek cigrate sulgate hue uske saath chalne laga.. “waise tum karti kya ho ? shaadi ho gayi tumhari ?”
“ghar ka kaam karti hoon.. shaadi abhi nahi hui hai.. aap ye sab kyun puch rahe hai ?” usne meri baat ka jawaab det hue kaha..
“nahi bas aise hi” maine uska sawaal sun thoda hadbate hue kaha..

wo mere se thoda aage chal rahi thi.. uske liye roz ki aadat me aa gaya tha rasta par mere liye naya tha is liye andhera hone ke karan maine apne mobile ki torch jala rakhi thi.. torch ki roshni jaise hi uske peechwade par padti meri pent me halchal shuru ho gayi... bharpoor madmast jawaani kise kahte hai ye aaj pata chal rahi thi usko dekh kar.. uske dono kulhe jis tarah se matak rahe the mujhe pagal bana rahe the.. uski gaand ek dam bhari hui aur thodi si upar ko uthi hui thi jo uske suit se saaf najar aa rahi thi.. is ghane kohre wali sardi me sardi naam ki to jaise koi cheej bachi hi nahi thi..

“tumne kabhi kisi se pyar nahi kiya” pata nahi kaise mere munh se ek dam se ye nikal gaya..
wo chalte chalte ek dam ruk gayi aur palat kar meri taraf dekhne lagi.. jo tourch ab tak uski gaand par roshni kar rahi thi ab seedha uski chhati par aa gayi.. do bade bade nagpur ke santre jaise uske uroj ek dam upar ko uthe hue jeket ke upar se saaf dikhayi de rahe the.. usne kuch nahi kaha aur aage waise hi chalne lag gayi..

thodi door hi chalne par kuch makaan bane hue najar aane lage jaha roshni ho rahi thi.. gaon me aa kar wo mujhe bahar rok kar ek ghar ke andar le gayi aur thodi der baad bahar aa kar boli andar aa jao khana taiyaar ho raha hai... jo khana tha maine use hotel me hi bata diya tha ki main non-veg nahi khata aur khaas farmaish koi thi nahi sardi ke mausam me pet bhar khana khane ko mil jaye...

us ghar ke andar aur bahar ka najara ek jhalak upari taur par dekhne me bilkul waisa hi tha jaise us hotel ka tha...har saamaan purane jamane ka aur safaayi to jaise thi hi nahi.. andar aa kar us ladki ne mujhe baithne ke liye paata diya wo wahi mere se kuch door kursi par baith gayi.. garam garam roti sabji kha kar maja aa gaya.. itna lajeej khana maine aaj tak nahi khaya tha...

khana khate hue jab maine us ghar ke saamaan ko gaur se dekha to pata nahi kyu mere dimaag me ek ajeeb si duvidha utpanna ho gayi thi.. us ghar ki har ek cheej darawani hoti ja rahi thi.. mujhe laga ki ye mere man ka vaham hai aur maine apna dhyan khana khane par hi lagaye rakha.. khana kha kar maine haath dhone ki jagah ke baare me pucha usne ghar ke ek kone ki taraf ishara kar diya... maine waha ja kar hath dhone ke liye jaisi hi paani nikala meri dhadkane to jaise ek dam se ruk gayi ho.. paani ka rang apne aap badalta ja raha tha... us ladki ne shayad mere chehre ke bhaavo ko padh liya tha..

usne ishare se pucha “kya hua ?” maine bhi usko aankho se khane ki thali ki taraf dekhne ko kaha... khane ki thali dekh kar wo bhi buri tarah se chonk gayi.. aur mera haath pakad kar ghar ke darwaje se bhaagi... meri kuch samjh me nahi aaya ki kya hua.. par palat kar dekha to jo aurat khana bana rahi thi puri tarah se badal chuki thi.. aur kisi jomby ki tarah hamare peeche aa rahi thi...

ham dono bhagte bhagte kaafi door aa gaye the...
maine use rukne ka ishara kiya... meri saans buri tarah se phool rahi thi.. aaj kayi saalo ke baad itna bhaga tha...wo ruk gayi...uski bhi saans phool rahi thi... jab meri ukhdi hui saans normal hui to maine us se pucha“ ye sab kya tha?”
“mujhe khud nahi pata...ye meri mausi ka ghar tha..” usne bhi bilkul meri tarah anjaan hone wale andaaz me jawaab diya...
“aur jo hamare peeche aa rahi thi wo tumhari mausi thi... “
“bakwaas band karo aur yaha se jaldi chalo...aur us se pehle mujhe 150rs do khane ke..”

“150rs. aur wo bhi khane ke..dimaag to sahi hai tumhare” maine apni jeb se phir se cigrate nikal kar jalate hue kaha..
“thik hai..to phir tum yaha se apne aap hotel nikal jana mujhe kuch lena dena nahi”
“teri maa ki aankh...sali ye sab paise kamane ka natak hai is ladki ka.. pehle se ja kar setting bana aayi thi.. ye sala sab drama mujhe dara ke paise nikalwane ke liye kiya ja raha hai”
maine jeb se use paise nikal kar diye.. paise le kar usne apni jeket me daal liye.. “achha main ghar ja rahi hoon aur tum yaha se seedhe bina kahi mude hotel chale jao”

“akele” maine hairan hote hue kaha
“to tum kya soch rahe ho main tumhare saath jaugi..”usne itrate hue andaaj me kaha..
“abhi to tumne kaha ki tum mujhe chhod ke aaogi..”maine thoda sakht aawaj me jawaab dete hue kaha..
“thik hai par 200Rs. uske alag lagege..”usne mere purse ki taraf dekhte hue kaha..
“chalo thik hai” uska is tarah se bolne ka andaaz mujhe uske liye pagal bana raha tha...par himmat nahi ho pa rahi thi..“achha tumhari mausi to nahi aa rahi hai peeche..hehehe” maine uska majaak udane wale andaaj me kaha...

“ruko main dekhti hoon” itna bol kar wo thodi door tak gayi aur wapais aa kar boli “aao mere saath”
main phir se uske peeche ho liya...phir uski matakti hui gaand meri aankho ke saamne thi...dono taraju apni masti me hil rahe the kabhi idhar ka palda upar to kabhi udhar ka palda upar.. andher me laal rang chamkata bhi khoob hai...thodi door chalne ke baad wo ek kunwe ki taraf badhne lag gayi..
“ab kunwe se kya paani nikal kar piyogi” maine jhallate hue kaha..

“shhhhh.. chup raho waha koi hai.. tum yahi thahro maine dekh kar aati hoon” usne kaha aur wo aage badh gayi... main usko rokta ya kuch kahta is se pehle hi raste me pade hue patthar se mera pair takra gaya aur main ladkhada kar jameen par gir pada...ek to kohra ho raha tha dusra mera sara dhyan us ladki ki matakti hui gaand par tika hua tha isi wajah se wo ladki usi raftar se aage chalti ja rahi aur main jameen par gira pada tha... mujhe laga tha ki wo mud kar peeche dekhegi aur meri help karegi par aisa kuch nahi hua...

wo kunwe ke paas khade us aadmi ke paas gayi usne us se kya baat ki ya kya kara meri samjh me kuch nahi aaya kyuki mera mob mere haath se chhot kar door gir gaya tha par 2min baad hi us ladki ki badi buri tarah se dard bhari cheekhne ki aawaj sunayi di... maine furti ke saath apna ph uthaya aur tourch ki roshni cheekhne ki disha me kar di.. us aadmi ne us ladki ke pet me chaku maar diya tha.. aur us ladki ko utha kar kunwe me fenk raha tha.. tourch ki roshni apni taraf dekh kar usne us ladki ko wahi chhor diya aur wo meri taraf palta..

ye uska naya drama hai mujhse paise nikalwane ka... par jis tarah se wo ladki cheekh rahi thi mujhe ab dar lagne lag gaya tha ki ye drama hai ya sach hai...

ek pal ke liye to mujhe samjh hi nahi aaya ki kya kiya jaye par agle hi pal maine waha se bhagna hi sahi samjha...dekhne me wo aadmi mere se jyada tandurst tha aur main kisi heerogiri ke chakkar me pad kar apni jaan nahi ganvana chahta tha.. par patthar se takra kar girne ki wajah se pair me chhot lag gayi thi jis wajah se bhagne me dard ho raha tha.. par jab maut saamne dikh rahi ho to sare dard apne aap gayab ho jate hai.. main pura jor laga kar utha hi tha ki usne majbooti ke saath mere dono kandhe jakad liye.... aur mujhe buri tarah se hilane laga....
**********************

meri aankh khul chuki thi.. aur wo ladki mere saamne khadi hui thi... “kitni der se jaga rahi hoon tum to ghode bech kar so rahe ho.. khana khane ke liye nahi chalna hai.. jaldi se neeche aa jao” apni baat bol kar wo neeche ki taraf chali gayi..
maine paani se apna chehra saaf kiya thakan hone ki wajah se badi jor ki neend aa gayi thi kab so gaya pata hi nahi chala...
maine coat utar diya tha aur jeket daal li thi bahar sardi jyada thi..
“to chale” khane ke liye aapko gaon chalna hoga...

“kitni door hai tumhara gaon”
“thodi hi door hai” usne cupbord se phir ek chabi nikali aur mujhe bahar nikalne ke ishara kiya.. bahar nikal kar usne main gate par tala lagaya aur chabi mere haath me pakda di..
maine jeb se cigrate nikali aur ek cigrate sulgate hue uske saath chalne laga.. “tumhara koi boy friend hai ?” maine apni setting ho sake is liye sawaal puch dala
“nahi..”
“waise meri bhi koi girl friend nahi hai.. mere bare me kya khayal hai ? meri girl friend banogi” main uske peeche hi chal raha tha uski matakti hui gaand ko dekh kar..

“tum yahi ruko main abhi aati hoon” bol kar wo ek ghar ke andar ghus gayi.. ye wahi ghar tha jo abhi thodi der pehle maine sapne me dekha tha.......

______________________________
Tange Utha ke karo, Ya Tange Faila ke karo,
Ya Hill Hill ke karo, Ya Aage Pichhe ho ke karo,
Per Roz Karo….
Kyuki Baba Kahta Hai ki Karne se Hoga… isliye
Baba ka Yoga Roz Karo
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 10-11-2024, 08:03 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 05-10-2025, 04:23 PM



Users browsing this thread: 43 Guest(s)