05-10-2025, 10:33 AM
Amavas ki raat
agni_dasye raat bohut khatarnak hoti hai, ye saal me ek baar atti hai aur diwali ke raat ko amavas ki raat bhi kehte hain, amavas ki raat me sabhi shaitaani shaktiyan bohut taqatvar hojati hain aur inhe rokpana ush raat me bohut hii mushkil hojata hai, aur ye kahani ek aishe hii amavas ke raat ki hai!!!!!!!!!!!!
vikas - ye rony kabhi nahin sudhrega sala hamesha late atta hai, anne do fale ke pichwade me rocket dalke ashmaan me udadunga
aditya - chodd na yaar gussa kyun hota hai ajayega wo
vikas - abe rohan rony ko jara phone laga aur puch kahantak pahuncha
aditya - bhailog rony agaya, rony ko durse attahua dekh aditya kehta hai
vikas - kutte kamine rony kahan tha, itna late kyun aya
rony - wo kya hai na attewaqt mujhe rashte me 1number lagi aur me 1number karne jungle me ghushgaya aur jab mera kaam khatam hua tab me piche palta to dekha ki mere chaaron taraf dhund(Fog) tha aur mujhe rashta thik se nahin dikha jungle se bahar nikalne keliye ishliye anne me late hogaya
rohan - abe tumlog apni bakwass bandkaro hume weshe bhi bohut late hochuka hai raat ke 12baj chuke hain chalo andar chalte hain
phir chaaron dost milke ek sath kehte hain ''Let's Party''
Devil's Pub ye ish seher ka sabse famous aur happening pub tha ish pub ki khubsurti kamaal ki thi aur khass baat ye pub seher ke bahari ilaake me jungle ke karib tha, ishliye yahan pe seher ke sabhi jawan ladke ladkiyon ki bhidd jammi rehti aur ye pub puri raat khuli rehti thi sabhi yahan atte aur puri raat mouj masti karte sharab pitte aur dil kholke nachte
aditya,rohan,vikas,rony chaaron pub ke andar dakhil hote hain, pub ka owner vikas ka durka rishteydar tha, uska naam ravi tha, jab ravi in chaaron ko dekhta hai to inke karib atta hai aur sabse gale milta hai, ravi aditya ko birthday wish karta hai, aaj aditya ka birthday tha jo ye charaon celebrate karne yahan ayehue the
sabhi ek table pe bethjate hain, pub me chaaron taraf rangarang mahol tha dance floor pe bohut se ladke ladiyan nach rahe the aur ladkiyon ko yun thirakte hue dekh rohan ka dil thirakne lagta hai aur rohan table se uthne lagta hai
rohan - bhailog yahan to bohut patakha hain me jara inke sath dance karke atta hun
vikas - kamine tharki bethja chup chap varna me tujhe ishi table ke upar khada karke nanga nacha dunga samjha, chal beth
ravi - doston tumlog betho me tumhare liye drinks aur snaks bhijwata hun
aditya - bhijwata hun ka kya matlab hai tu bhi humare sath bethke pinewala hai chal beth
ravi - nahin yaar aaj nahin, aaj diwali night's hai aur aaj ki raat yahan pe seher ke bohut se bade bade log ayehue hain ishliye mujhe unko attend karna hoga, please yaar sorry
aditya - chal koi baat nahin hum samajh sakte hain, bhai hamare liye drink's aur snack's bhijwa dena
uske baad ravi wahan se chalajata hai aur inkeliye drink's aur snacks bhijwata hai, aur ye chaaron sharab ka jaam uthate hain aur cheers karte hain
vikas - doston ye pehla jaam hamare bhai aditya ke naam jishka aaj birthday hai, cheers
sabhi ek sans me apna apna pehla jaam khali kardete hain
uske baad inke bich sharab ke jaam udne lagte hain aur sath me ye sabhi masti majak karte hue pite rehte hain, aditya,rohan,vikas teeno puri tarah masti karr rahe the aur pirahe the lekin rony chup tha uske hathon me sharab ki glass jarur thi lekin wo pii nahin raha tha aur wo kishi soch me khoya hua tha, aur rony ke ish haal pe sabse pehli najar padti hai rohan ki
rohan - kya hua rony kahan khoya hua hai
rony - nahin yaar basss aishe hii kuch soch raha tha
aditya - rony kya soch raha tha tu
rony - yaar me ye soch raha tha ki agar hume koi maarnewala ho aur wo humse puche ki hum chaaron ki akhri khwaish kya hai to tumsab kya kahoge
vikas - acha sale to ye soch raha tha, bhai ye bohut asaan hai tune mujhe hamesha pareshaan kiya hai ishliye me to yahi kahunga ki mujhe marne se pehle wo tujhe marde tere baad mujhe mare
rohan - bhailog tumhe to patta hai me sunny l**ne ka kitnabada diwana hun ishliye me yahi kahunga ki marne se pehle mujhe ekbaar sunny leone ke sath maje karwade
vikas - sale wo murderer hai ya koi dalla jo tujhe sunny l**ne ke sath maje karwaega
rohan - bhai wo jo ho agar wo meri akhri icha puri nahin karega to me marne se inkaar kardunga
vikas - rohan yaar tu bach jayega wo teri icha puri nahin karr payega aur wo tujhe chod dega
aditya - rony teri akhri icha kya hai
rony - meri to akhri icha hai ki me marne se pehle mans khaun aur wo bhi insaanon ki(ye kehte hue rony ke ankhon me alag hii chamak ajati hai jise dekh sabhi dang rehjate hain)
vikas - sale chicken ka mans to hamare sath kha nahin pata hai aur bolta hai insaani mans khayega
rony - tum sab ekpal ke liye dargaye na, are majak karr raha tha, me dekhna chahta tha ki tum log ye baat sunke darte ho ya nahin
vikas - chalbe me kishi se nahin darta
rony - beta kishi din tujhe aishe daraunga ki tu apne patloon me mutt dega
vikas - chalbe aisha koi maikalal paida nahin hua jo mujhe dara sake
rony - dekhenge beta dekhenge, weshe aditya teri kya akhri khwaish hai
aditya - dekh rony tu achese janta hai me ladhne me expert hun aur mujhe Martial Art me black belt bhi mila hua hai ishliye koi insaan mujhe maardega ye baat tu bhul hii ja mere bhai
rony - agar me ye kahun ki kishi insaan ke badle tujhe maarne koi shaitaan,bhoot ya koi pret aye to
aditya - bhai lagta hai tujhe nasha chadh gayi ja ghar abe bhoot,pret,shaitaan jeshi koi chij nahin hoti
rony - aditya ye sochna galat hai, dekh bhai agar din hota hai to raat bhi hoti hai agar achaai hai to uske sath buraai hai thik ushi tarah agar bhagwaan hai to shaitaan bhi hoga
aditya - dekh rony me science me yakin rakhta hun ishliye me jinn baton ko apni ankhon se na dekh lun me unn baton ko nahin manta hun chahe wo bhagwaan ho ya phir shaitaan ya bhoot,pret
rony - agar aishi baat hai to merepass ek rashta hai jish se ye baat saaf hojayegi ki bhoot,pret hote hain ya nahin
vikas - chal rony jaldi bata terepass kounsa rashta hai
rony - bhailog mene suna hai ki ish pub se kuch duripar jungle ke bich me ek kabrastan hai aur wo kabrastan kai saalon se band hai, mene yahan takk suna hai ki ush kabrastan me der raat ko ek pret ghumta hai, to kya kehte ho bhailog chalke sachai ka patta lagayen
aditya - mujhe koi aitraaj nahin hai
vikas - sound's intresting let's go
rohan - haan bhailog chalo chalte hain maja-ayega
uske baad ye chaaron chal dete hain ush kabrastan ke taraf sachai ka pata lagane keliye
chaaron apne gadiyon ko ush pub ke pass chodd dete hain aur chalte hue jungle me ghush jate hain, jab chaaron pub se nikal rahe the tab wo ravi se kuch torch manglaye the aur abb wo chaaron torch ki roshni ko age dalte hue jungle me age badhrahe the aur kuch der me wo chaaron chalte hue ush kabrastan tak pahunch jate hain
kabrastan ke bahaar sannata faila hua tha aur sath me halke kohre faile hue the aditya,rony,vikas,rohan chaaron ke bich me chupi chayi thi ish chupi ko rony todta hai
rony - bhailog hum agaye hain chalo andar chalte hain
phir chaaron kabrastan ke gate ke taraf chalte hain lekin wo sabhi jeshe hii gate ke karib pahunchte hain to dekhte hain, kabrastan ke gate pe tala laga hua hai ishliye wo sabhi kabrastan me ghusne ka dushra rashta dhundne lagte hain aur unhe kabrastan me ghusne ka dushra rashta mil jata hai kabrastan ke piche ka diwar tutti hui thi aur ushi tutti hui diwar se chaaron andar ghush jate hain
kabrastan ke andar ghuste hii inhe ek ajeeb badbu ka samna karna padta hai sabhi apne jebse rumal nikal ke apne muhn ko dhaklete hain aur age badhte hain, chaaron kuchder takk idhar udhar ghumke dekhte hain lekin unhe kuch bhi nahin milta hai ishse aditya ka shina chouda hojata hai kyunke ushki baat sach jo honewali thi, kuch der wahan bhatakne ke baad rony kehta hai
rony - doston ye kabrastan bada hai hume do group me batna hoga aur ish kabrastan ki talashi leni hogi takii hamara kaam jaldi khatam hojaye, kya kehte ho
aditya - haan rony tum thik keh rahe ho
phir ye chaaron do group me batjate hain ek group me aditya,rohan aur dushre me rony,vikas aur phir dono group do alag alag rashton pe chal dete hain
rony aur vikas dono kabrastan ke piche ke hisse me ghumrahe the aur pret ki talash karr rahe the lekin unhe kuch bhi nahin mil raha tha
vikas - rony mujhe lagta hai tu aaj galat sabit hoga aur aditya jiit jayega
rony - mujhe aisha nahin lagta kyunke aaj amavas ki raat hai aur aaj ki raat ko bhoot,pret jarur bahar nikalte hain kya pata wo ishwaqt hamare hii karib ho aur hume dekh rahe ho
vikas - acha bhai me mutke atta hun badi jorse lagi hai yaar
rony - acha thik hai par jyada dur mat jana kya pata koi pret tujhe pakad le
uske baad vikas rony ko wahin chodke kuch duri par moujud ek ped ke pass chala jata hai mutne keliye, vikas jeshe hii ush ped ke karib pahunchta hai to dekhta hai ki ush ped ke dushre taraf niche koi betha hua hai, vikas ushe awaaz deta hai par wo nahin sunta hai aur majburan vikas uske karib jata hai aur jab vikas torch ki roshni ush shaksh pe dalta hai
ush shaksh ke chehre ko dekh vikas ke hosh udd jate hain ushki sansen ukhadne lagte hain uska sharir buri tarah se kampne lagta hai yahan takk ki vikas ke muhn se awaaz nikalni band hojati hai
vikas ne jish shaksh ko dekha tha wo aur koi nahin balki rony tha aur wo bhi mare hue halat me, rony ke sharir ke sharir se mans gayeb the uske sharir se abhi bhi khoon behraha tha, jishne bhi rony ko mara tha badi berehmi se mara tha
vikas darte hue piche dekhta hai aur jeshe hii wo piche dekhta hai to apne samne rony ko khada pata hai, ish se vikas darke piche hatjata hai
rony - kya hua vikas dargaye kya(rony apne chehre pe shaitani mushkan late hue ye kehta hai) are vikas pareshan mat ho tumne jishe abhi dekha wo tumhara dost rony hai par me rony nahin hun, me ek pret hun
uske baad wo pret jishne rony ka rup lerakha tha wo apne asli rup me ane lagte hai bohut hii khatarnak rup tha ush pret ka nukile nakhun aur dant mota bhadda chehra larr tapkata hua muhn aur bohut hii badbudar sharir, ush pret ke ashli rup ko dekh vikas ki puri tarah se phatt jati hai aur vikas apne patloon me mutt deta hai
pret - hahahaha kyun vikas mene kaha tha na aishe daraunga ki tum apne patloon me mutt doge, tum yahi soch rahe hoge ki mene kab aur keshe tumhare dost ko mara aur uski jagah liya, to me tumhe batadeta hun, tumhe yaad hoga mene tumhe kaha tha atte waqt rashte me mujhe mutne keliye jungle me janna pada tha thik ushiwaqt jab tumhara dost jungle me mutt raha tha mene ushe bade berehmi se mara aur yahan leaaya aur uske sharir ke mans khaliye aur jab mene uska bheja(brain) khaya to mujhe tumlogon ke party ke bareme patachala aur me rony ka rup leke tumhare pass pahunch gaya iske age kya hua ye to tum jante ho
uske baad wo pret apni shaitani hassi haste hue tejishe age badhta hai aur vikas ke gardan ko pakadke upar uthadeta hai aur phir apne nukile danton ko vikas ke gardan me gadd deta hai aur phir wo pret ek jhatke me vikas ke gardan ko apne nukile danton ke madad se do hisso me phad deta hai ish se vikas ki awaaz uske andar dabi rehjati hai aur vikas chat patata aur fad fadata hua marjata hai aur wo pret vikas ke sharir ke mans ko bade aram se noch noch ke khane lagta hai
idhar kabrastan ke bichwale hisse me aditya aur rohan ghumrahe the aur pret ki talash karr rahe the lekin unhe abb tak kuch nahin mila tha ishliye dono ek tarah se chidh chuke the aur chalte hue thak bhi chuke the
aditya - yaar mene kaha tha ye bhoot,pret jesha koi chij nahin hoti hai lekin ish fale rony ke hii pichwade me khujli thi jo hume sachai dikhane yahan leaaya, bhoot,pret chod yahan to ek chidiya bhi nahin dikhrahi aur yaar abb to kuch der me subah bhi ho jayega
rohan - lagta hai teri baat sach hogi yaar, par phir bhi ek aur round marlete hain kya pata pret ke badle koi bhootni miljaye
aur phir dono age badhne lagte hain lekin jeshe hii dono age badhte hain tabhi rohan ke phone ki ghanti bajti hai
rohan - aditya tu age badh me ye call attend karke atta hun ghar se hai
aditya - thik hai yaar par jaldi anna
uske baad aditya age badhjata hai aur rohan phone uthata hai
rohan - hello,hello,hello,hello are koi kuch to bolo
rohan phone uthake hello,hello karta rehjata hai par dushre taraf se koi awaaz hii nahin atti hai ishliye rohan phone ko disconect karke apne jeb me rakh deta hai
jeshe hii rohan phone ko apne jeb me rakh ke piche dekhta hai to ushe apne chaaron taraf dhund(fog) dikhayi deta hai, aur dhund meshe kishi ki mithi awaaz bhi ane lagti hai jo ki rohan ko pukar rahi thi, ye awaaz sayed kishi ladki ki thi, ladki ki mithi awaaz sunke rohan ka chehra khushi se phul jata hai aur wo ush dhund me ghush jata hai
dhund ko chirti hui ek ladki rohan se takrati hai aur jeshe hii rohan ki nazar ush ladki pe padti hai rohan ke dil ki dhadkan aur bhi tejise dhadakne lagti hai, wo jo ladki rohan se takrayi thi wo koi aur nahin sunny leone thi, sunny l**ne ko dekh rohan ki rahi sahi samajh bhi ghass charne chali jati hai rohan apne hawas ke chalte puri tarah se andha hone lagta hai,aur rohan sidhe jake sunny l**ne ke gale miljata hai
rohan - sunny meri jaan tum yahan pe kya karr rahi ho
sunny - rohan jishwaqt mujhe patta chala ki tumhare jesha ek diwana mujhe beinteha pyar karta hai me apne aap ko rok nahin payi aur me ushiwaqt sab chod chad ke tumhare pass chali ayi, i love u rohan
rohan - i love u too sunny meri jaan, uske baad dono sunny aur rohan ek dushre ke ankhon me dekhte rehte hain aur phir dono gale milte hue age badhke ek dushre ke hothon ko chumne lagte hain
rohan sunny ke rashile hothon ko bade pyar se chushe jaraha tha aur sunny bhi rohan ka sath derahi thi, dono ek dushre ke hothon ke rashpan pan karne me puri tarah se khogaye the, aur tabhi sunny rohan ko apne bahon me kash ke jakad leti hai ish se rohan ko ghutan hone lagti hai
aur phir achanak sunny ke chehre ka rang badalne lagta hai aur sath me uska rup bhi dekhte hii dekhte sunny wo khatarnak pret banjati hai, sunny ke ashli rup ko dekh rohan chat patane lagta hai aur apne aap ko ush pret ke bahon se chudane lagta hai lekin rohan nakam rehta hai
wo pret apne jeebh(tong) ko rohan ke muhn ke andar dal deta hai aur rohan ke muhn ke andar jane ke baad ush pret ka jeebh phulne lagti hai aur apne aap badi hone lagti hai aur wo jeebh rohan ke muhn se hote hue gale ke andar tak jati hai aur gale se hote hue rohan ke dil ke karib ja pahunchti hai, aur rohan ke dil ko wo jeebh apne se lapet ke ek jhatke me bahar khinch leaati hai, ishse rohan ka shina phat jata hai aur wo bichara wahin ke wahin chat patake marr jata hai aur wo pret apni shaitani hassi haste hue rohan ke dil ko bade aram se khane lagti hai
idhar aditya ko rohan se age nikle hue bohut waqt nikal chuka tha aur abhi tak rohan aditya ke pass nahin louta tha ishliye aditya pareshaan hone lagta hai aur piche palat ke rohan ko dhundne nikal padta hai
aditya:- rohannnnnnn,rohannnnnnn,rohannnnnn
aditya rohan ko pukarte hue age badhraha tha lekin rohan ke taraf se koi awaaz nahin arahi thi ishliye abb aditya pareshaan hone laga tha, aditya rohan ko dhundte hue age badhraha tha ki tabhi ushe kishi ki karahne ki awaaz sunai dene lagti hai, sayed ye karahne ki awaaz kishi janwar ki thi ishliye aditya dabe paon ushke taraf badhjata hai lekin jeshe hii aditya wahan pahunchta hai wahan ka najara dekh dang rehjata hai
wahan pe zameen pe rohan,rony aur vikas teeno ki khoon se latpat lash padi hui thi aur wahan ek khoufnaak pret beth ke unke sharir ko chirphad karte hue bade aram se kha raha tha
ye najara dekh aditya hadbada jata hai aur pret aditya ki ahaat sunn leta hai, aditya aur ush pret ki najar ek dushre pe padti hai, aditya jab ush pret ko dekhta hai to wo buri tarah se darjata hai aur wahan se bhagne lagta hai aur wo pret bhi aditya ke piche bhagne lagta hai
aditya apni puri taqat lagake bhage jaraha tha lekin aditya ush pret se jyada tej raftaar se nahin bhagsaka wo pret asani se aditya ko pakad leta hai aur aditya ko uthaake zameen pe patak deta hai aur aditya ke shine pe beth jata hai
pret - kyun aditya abb hua na yakin ki bhoot,pret hote hain, hahahaha hahahaha
aditya - hum sabne tumhara kya bigada tha tumne mere doston ko kyun mara
pret - basssss aishe hii, mujhe unke mans jo khane the aur abb tumhari bari hai aditya
aditya - please mujhe jane-do mujhe chod do
pret - na na me tumhe nahin chodunga, me to tumhe khaunga aur wo bhi chat chat ke
ye kehte hue wo pret apni shaitani hassi hashte hue apne jeebh ko nikalta hai aur phir aditya ke shirt ko phad deta hai uske baad wo pret aditya ke chati ko chatne lagta hai, wo pret aditya ke chati ko jahan pe bhi chat ta ush jagah ke mans ukhad ke ush pret ke muhn me chale jate ish se aditya ko bohut dard hone lagi thi, aditya abb samajh chuka tha ki mout uske samne hai aur aaj uski mout pakki hai ishliye aditya apni ankhen band karta hai aur apne man me bhagwaan se kehta hai
aditya - hai bhagwaan mujhe maaf karde, mene tujhpe kabhi yakin nahin kiya, lekin aaj me samajh chuka hun ki tu sach me hai aur tere sath sath ye shaitaan bhi, please bhagwaan mujhe ish pret se bacha le
ishke baad aditya ki ankhen dard ke mare dhire dhire band hone lagti hain, aur wo pret bade maje se aditya ke sharir ko apne khatarnak jeebh se chate jaraha tha aur aditya ke sharir ke mans khaye jaraha tha ki tabhi achanak andhere ko chirti hui subah ki pehli kiran ake aditya ke upar padti hai sath me ush pret ke upar bhi, suraj ke kirne jab ush pret pe padte hain to uske sharir me aag lagjati hai aur wo pret idhar udhar chillate hue bhagne lagta hai apni jaan bachane keliye lekin wo pret apni jaan bachane me nakam rehta hai wo pret jalke khakh hojata hai
aditya ko abb puri tarah se yakin ho chuka tha ki bhagwaan sach me hain aur wo sabki raksha bhi karte hain, aditya bade mushkil se apne aap ko khada karta hai, aditya ka sharir puri tarah se khoon se latpat tha uske pure sharir me jakham hii jakham the, aditya apne dono hathon ko jode suraj ke taraf dekhte hue kehta hai
aditya - shukriya, aaj me maan gaya prabhu shaitaan chahe kitna bhi taqatvar ho par bhagwaan ke samne hamesha kamjor hii rahega
The End
______________________________