Xossip Ultimate Story Contest 2014
#51
KHAP vs LOVE -- JEET KISKI
sameer the love guru

" please papa, ishe mat maariye, iska koyi kasoor nahi hai, maine hi ishe uksaaya tha " kalpana cheekhti huyi boli.
" nahi baba, maine kalpana ko uksaaya tha, vo to mere saath aana bhi nahi chahti thi, maine hi ushe mere saath bhaagne par majboor kiya tha " sameer bharrayi si aawaj me bola.
" nahi kameene, meri is phool si bachhi ko tune bhagaya ho ya nahi, lekin ab to khap panchayat ke kanoon ke mutabik ye maregi hi, iska kaatil tu hai kameene, sirf tu " kalpana ka papa amar singh bola.

" chal oye amar, nehla de is talvaar ko apni beti ke khoon se aur aisa karke ek misaal kaayam kar tu, ki jo koyi bhi khap panchayat ke khilaaf jaayega uska yahi hashra hoga " sher ki si dahaad se bola khap panchayat ka sarpanch jiska naam hukumchand tha.
amar singh ki aankho me aansu the, arey bhala apne hi khoon ko maarte waqt kiska dil nahi royega, koyi kaise maar sakta hai apne hi khoon ko, aakhir amar singh bhi tha to ek insaan hi, tha to ek baap hi, apni hi beti ko kaise itni aasaani se maar sakta tha vo, uska talvaar vaala haath kaanp raha tha.
tabhi vaha ek dardnaak cheekh goonj uthi, sameer ki cheekh, pet me gadi huyi talvaar ko pakde vo jameen par katey huve ped sa gira.
sameer ke pet me talvaar ghounpne vaala aur koyi nahi, uska hi baap shambhunath tha, vo bola," soch kya raha hai amarsingh, khap panchayat ka faisla antim hai, chal maar apni loundiya ko "
lekin amar singh me itni himmat nahi thi shayad, itne naajo se paali huyi us beti ko vo kaise maar sakta tha, vo bas khada raha aur uski aankho se aansu behte rahe.

" maar do mujhe bhi papa, kam se kam mai upar jaakar to apne sameer se mil paaungi, vaha to kam se kam hum ek hokar reh sakenge, kyonki vaha koyi khap panchayat nahi hoti, kisi ghatiya sarpanch ka raaz nahi chalta vaha, vaha agar koyi hai to vo eklouta bhagvaan hai, jiske darbaar me pyar karne vaalo ko mout ki saza nahi, jindagi bhar pyar ki sougaat mila karti hai pitaji.... aaah..... " uske aage ke shabd kalpana ke munh me hi dabe reh gaye, unki jagah par ek dard bhari aah nikli, lekin us aah me dard jyada tha ya apne sameer ke paas jaane ki khushi ye kehna bahut mushkil hai.
uske pet me bhi ek talvaar ghus chuki thi, sambhunath ne amar singh ke haath se talvaar chheenkar kalpana ke bhi pet me ghused di thi.
sameer ne kalpana ko neeche girte huve dekha, apni antim saane gin raha tha vo, ushe samajh nahi aa raha tha ki apne pyar ko kho dene ki vajah se vo dukhi ho ya apne pyar ko fir se paa lene ki khushi ka ijhaar kare.
usne kalpana ke chehre ki taraf dekha, kitna masoom lag raha tha uska chehra, bilkul vaisa jaisa tab tha jab usne ushe pehli baar dekha tha. sochte-sochte vo ateet ki baato me kho sa gaya, shaayad kuch haseen yaadein lekar marna chahta tha vo.

--------------------------------------

ye kahaani shuru hoti hai tab se jab sameer ne pehli baar kalpana ko dekha tha, gaanv ke mele me, jo ki har saal lagta tha. sameer ne ushe dekha kya, bas dekhta hi reh gaya, kya ladki thi, kya lag rahi thi, vo patle-patle gulaabi honth, unpar thirakti vo manmohak halki si muskaan, hontho ke neeche daaye kone me ek chota sa kaala til, ghani-kaali julfe, kaano ke paas se uske chehre par aati baalo ki ek lat jishe vo baar-baar apne haath se apne kaan ke peeche kar deti thi, sheeshe me taraasha hua badan, jheel si neeli aankhe, kehte hai ki chaand me bhi daag hota hai, lekin sameer ke us chaand me to koyi kami nikaalna bhi kamiyo ki beijjati karna hota, haan, apna chaand hi maan baitha tha vo kalpana ko, love at first sight, pehli najar ka pyar, tabhi ushe aisa laga jaise ki ushe koyi jhinjhod raha tha.
" abey saale, kaha kho gaya hai tu " uske jigri dost jatin bola.
sameer jaise vartmaan me vaapis aaya ho, bola," kahi nahi yaar, bas yu hi "
" saale, tujhe mai bachpan se jaanta hu, teri nas-nas se vaakif hu, tu kalpana ko pasand karne laga hai na "
" kalpana, koun kalpana "

" abey vahi, jishe tu itni der se taade jaa raha hai "
" tu jaanta hai ushe "
" abey saale, jaanta kya hu, meri behan hai vo "
" oh, sorry yaar, agar tujhe bura laga ho to "
" nahi yaar, meri behan ko tujhse achha ladka mil hi nahi sakta, fir mujhe bhala bura kyo lagega, lekin yaar tum dono ka gotrr ek hi hai, aur hamare yaha ek hi gotrr me shaadi nahi ki jaati, ye baat to tu jaanta hi hai "
" haan yaar jatin, ye baat mai tab tak jaanta tha jab tak maine kalpana ko nahi dekha tha, lekin ab mai kuch nahi jaanta, aur agar mai kuch jaanta bhi hu to mujhe yaad nahi, agar mujhe kuch yaad hai to bas ye ki mai kalpana se pyar kar baitha hu, aur mai usse hi shaadi karunga varna kisi se bhi nahi "
" aur agar vo na maani to "

" to mai jindagi bhar kunvaara reh kar uska intjaar karunga mere dost "
jatin ke aankhe uski baat sun kar nam ho gayi thi, bola," pehli najar me pyar hota hai, ye suna to tha lekin aaj dekh bhi liya mere dost, mujhe pakka yakeen hai ki hum khap panchayat ko mana lenge "
sameer kuch na bola, bas kalpana ki khoobsurti ko vo dekhta hi reh gaya.

---------------------------------

aaj usne kalpana se pehli baar baat ki thi, vo jatin ke ghar gaya tha to ushe pata chala tha ki jatin ghar par nahi hai, aur ushe ye bataane vaala aur koyi nahi balki khud kalpana hi thi, kalpana ne bhi kayi baar sameer ko dekha tha aur vo bhi ushe pasand karti thi lekin jaisa ki aksar hota hai vo sochti thi ki mai ladki hu isliye mujhe pehal nahi karni chahiye, aur idhar apna sameer itna fattu tha ki vo bhi kabhi kuch bol nahi paata tha, lekin aaj jab vo jatin ke ghar pahucha to,
" jatin, jatin, kaha hai be, jaldi baahar aa " sameer bola.
" bhaiya ghar par nahi hai " kalpana darvaaje par aati huyi boli.
" kaha gaya "
" mujhe batakar nahi gaye "
" kab tak loutega "
" pata nahi "

" ek gilaas paani milega "
" haan, haan, jaroor, aaiye, andar aaiye "
sameer andar jaakar baith gaya aur kalpana ne ushe paani diya.
" aap koun si class me padhti ho " sameer bola.
" b.sc final year "
" hu, padhaayi kaise chal rahi hai "
" ji achhi chal rahi hai "
" college me kaafi dost honge aapke "
" ji haan, pinki, soni, ritika, kaafi saari dost hai meri "
" koyi ladka dost nahi hai aapka "

" ji nahi, abhi tak koyi aisa mila hi nahi jishe mai apna dost bana saku " bolte waqt kalpana ne kaafi gehri najro se sameer ki taraf dekha.
" mere baare me kya khayaal hai " sameer bhi uski taraf dekhta hua bola.
andha kya maange do aankhe, yaha yahi kahavat charitaarth ho gayi, kalpana to kabse khud chahti thi sameer ko, ab aisa mouka bhala koun chhodta, lekin vo apni taraf se pehal bhi nahi karna chahti thi, boli," ji aap mujhse flirt karne ki koshish kar rahe hai "
" haan " sameer tapaak se ulluo ki tarah apna munh aage karke bola.
sameer ke bolna ka andaaj hi aisa tha ki kalpana ko hansi aa gayi, vo khilkhilakar hans padi, aisa laga sameer ko jaise aasmaan se sainkado fool jhad rahe ho, kitna sukoon mila uske dil ko is hansi ko sunkar, aisa laga jaise bhagvaan ne ushe kaan diye hi isliye the taaki vo kalpana ki hansi sun sake, vo bevkoofo ki tarah kalpana ki taraf dekhe jaa raha tha, jabki kalpana ne kabka hansa band bhi kar diya tha.
" ji, aap aise kya dekh rahe hai "
" dekh raha hu ki uparvaale ne aapko kitni fursat me banaya hai "

" ji ladkiyo ko tareef pasand jaroor aati hai lekin bas ek had tak, jyada tareef ko chaaplusi kehte hai "
" mai bilkul sach bol raha hu, tumhaari kasam, aur mai jisse pyar karta hu uski kabhi jhoothi kasam nahi khaata "
" kya kaha aapne " kalpana ushe ghoorti huyi boli.
" vahi jo aapne suna, mai aapse pyar karta hu, agar aapko bhi mai pasand hu to bhagvaan kasam hum dono ki jodi kayamat lagegi, kayamat " sameer ne aakhir ke shabd ajeeb si shakal banakar kaha aur kalpana fir se hans padi. sameer fir se ushe paaglo ki tarah dekhne laga.
" ji aap mujhe aise mat dekhiye "
" aap hansti huyi bahut khoobsurat lagti hai, dil karta hai ki aap hamesha yu hi hansti rahe hai aur mai aapki pavitra hansi ko sunta rahu "
" fir to aapki aur meri nahi pategi "
" kyo "
" kyonki mai 5 minute se jyada nahi hans sakti, varna mera munh dukhne lagta hai " kehkar kalpana fir se khilkhilakar hans padi.
is baar sameer ko bhi hansi aa gayi.

" achha, mai ab chalta hu, lekin vaada hai aapse ki bahut jald aapse aakar milunga "
" ji "
kehkar sameer darvaaje par aakar ruk gaya, jaise ki ushe achanak kuch yaad aa gaya ho.
" lekin aapne mere sawal ka jawaab nahi diya, kya aapko bhi mai pasand hu "
" hindustaani lakdi apna jawaab apni aankho se de deti hai, ab agar aapko aankhe padhni nahi aati to isme mera kya kasoor hai "
" aankho me to maine bahut pehle hi padh liya tha, bas ek baar aapke in khoobsurat labo se sunna chahta hu "
kalpana ne sharmakar darvaaja band kar diya aur fir dheere se boli," I LOVE YOU "
" maine sun liya, kitna bhi dheere kyo na bolo tum, jab dil se dil jude ho to aapke dil se nikli har aawaaj hamare dil tak pahuch hi jaayegi, chaahe doori kitni bhi kyo na ho, chahe beech me kitni bhi rukavate kyo na ho "
kalpana ke dil me gudgudi si ho rahi thi.

----------------------------------

fir unki mulakaate aam ho gayi, dono ka pyar parvaan chadhne laga, dheere-dheere dono ne ek-dusre ke saath jeene-marne ki kasme tak khaa li, dono ek-dusre ki aatma ko chahne lage the, ek anokha rishta sa jud gaya tha dono ke beech me, jishe shayad vo dono bhi achhi tarah se nahi samajh rahe the kyonki dono ek-dusre ke bilkul paas the, vo kehte hai na ki kisi ki kadr uske door jaane ke baad hi hoti hai.

--------------------------------------

fir ek din aisa bhi aaya jab sameer ne apne gharvaalo ko apne aur kalpana ke baare me bata diya, aur kalpana ne apne gharvaalo ko sameer ke baare me.
" tadaak " ek jordaar thappad aakar laga tha sameer ke gaal par," haraamjaade, tujhe bhi apne hi gotrr ki ladki mili thi pyar karne ke liye, biradari se bedakhal karvaayega kya hame " shmbhunath bola.
" pyar karna koyi gunaah nahi hai papa, aur mai aapke in khokhle riti-rivaajo, in bekaar ki prathao me vishvaas nahi karta, mai kalpana se pyar karta hu aur ushi se shaadi karunga, agar aap aashirvaad dena chahe to theek hai varna uski bhi koyi jaroorat nahi hai " kehkar sameer apne ghar se baahar nikal gaya.
" dekh liya, itna laad-pyar karne ka nateeja, ye sab tumhaara hi kiya-dhara hai, ab ushe tum hi samjhaogi ki ye us ladki ka khayaal apne dimaag se nikaal de varna jaan se maar dunga mai ishe " shambhunath apni bivi se bola.

-------------------------------------

" tadaak...tadaak...tadaak.. " pata nahi kitne thappad kalpana ke gaalo par padte rahe aur uske khoobsurat gaalo ka rang kesariya hota chala gaya.
" karamjali, apne hi bhai se byah rachayegi tu, tujhe pata hai na ki ek hi gotrr vaale bhai-behan hote hai, bol kameeni, ab chup kyo hai, kya sochkar tune ye bevkoofi se bhara kadam uthaya, bol " amar singh garajta hua bola.
" papa, mai pyar karti hu usse, aur mai aapke in taam-jhaamo ko nahi maanti, kya usne meri maa ki kokh se janam liya hai, nahi na, to fir vo mera bhai kaise ho gaya, mai nahi maanti ki vo kisi bhi tarah se mera bhai hai " kalpana boli.
" ye sahi to keh rahi hai papa " jatin ne apni behan ka samarthan kiya.
" tadaak " ek jordaar thappad jatin ke gaal par bhi pada," lagta hai ki ye tum dono ki milibhagat hai, tabhi itna jyada bol rahe ho tum dono "
" lekin papa..... " jatin ne kehna chaha.

" chup kar " amar singh dapat kar bola," ab tu mujhe sikhayega ki kya sahi hai aur kya galat, aur tu, kaan kholkar sun le, aaj ke baad tera is ghar se nikalna band, agar mujhe khabar bhi lagi ki tu apne kamre se bhi baahar aayi to mai teri khaal kheench lunga " kehkar amar singh kalpana ko uske kamre ki taraf kheench kar le jaane laga.
" mai usse pyar karti hu papa... " kalpana kehti rahi magar uski vaha sunne vaala koyi nahi tha, amar singh ne ushe uske kamre me band kar diya aur taala laga diya.

----------------------------------

jatin ke maadhyam se jab sameer ko kalpana ke saath huve bure vyavhaar ke baare me pata chala to vo unke ghar pahuch gaya, vaha kalpana ki mummy simran maujood thi.
" aunty ji, mai kalpana se pyar karta hu, aur mai ushe yu ghut-ghutkar nahi dekh sakta, mai ushe yaha se lekar jaaunga, aur agar aapne beech me aane ki koshish ki to mai bhool jaaunga ki aap ek aurat hai aur jatin ki mummy hai " sameer bola.
" nahi beta, mujhe tumhaare pyar se koyi aetraaz nahi hai, mai bhi jaanti hu ki ye pratha, ye riti-rivaaj kitne khokhle hai, jaa beta, le jaa apni kalpana ko, le jaa in paapiyo ki nagri se door ushe "

jatin ne ek patthar uthakar darvaaje ka taala tod diya aur kalpana baahar aate hi sameer se kisi bel ki bhaati lipat gayi.
do premiyo ka vo milan vaakayi bhaav-vibhor kar dene laayak tha, us samay un dono ko jis khushi ka aabhaas ho raha tha, ushe shabdo me bayaan nahi kiya jaa sakta.
aur fir, ve dono do aajaad panchiyo ki tarah vaha se ud chale apna naya jahaan basaane, lekin kehte hai na ki pyar ko buri najar bahut jaldi lag jaati hai, jaise ki inke pyar ko lagi, aur jald hi khap panchayat ne sarpanch samet inhe aa ghera aur prem kahaani khatam, ya prem kahaani shuru.

---------------------------------

jab tak jatin vaha par pahuchta tab tak bahut der ho chuki thi, dono premiyo ki aatmaaye ek lambe pyar ke safar par nikal chuki thi, uski aankhe dabdaba aayi, usne man me socha," ye kiski jeet hai aur kiski haar, khap panchayat ne inki jaan to le li par kya inke pyar ka khoon kar paaye vo, nahi, pyar amar hai, pyar ka is duniya se kabhi bhi naam-o-nishaan nahi mit sakta, kabhi bhi nahi, aaj fir se saabit ho gaya tha ki pyar kabhi bhi kisi ke aage jhukta nahi hai, vo ped ke tane ki tarah katkar gir jaana pasand karte hai lekin jhukna nahi "
uske munh se keval itna hi nikla," tum jeet gaye mere dost, aur ye jamaana aaj fir se pyar ke aage haar gaya "

THE END
______________________________
padhiye har aashiq ke dil ko chhune vaali kahani --

PYAR - kurbani ki misaal
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 10-11-2024, 08:03 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 05-10-2025, 10:13 AM



Users browsing this thread: 10 Guest(s)