Xossip Ultimate Story Contest 2014
#36
Maine Divya ko maar dala
Dirtymind365

Jail ke chaar diwaaron ke beech mein main apni maut ka intezaar kar raha hoon. 2 saal se uparwaale se maut maang raha hoon, lekin yeh saali maut hai ki mujhe darshan hi nahi deti ! Main apni zindagi se nakhush hoon, andar se toot gaya hoon. Sharir mein toh jeewan abhi bhi hain, lekin aatma, atma mein jaan nahi hai baaki. Meri jaan toh Divya mein thee, aur maine khud hi apni jaan ko maar dala, khud hi apni jaan ka berehmi se hatya kar diya. Haan, maine divya ko maara ! Lekin maine usse pyaar ke liye maara. Jab bhi main yeh baat apne khooni doston ko batata hoon, tab woh mujh par haste hain. Unhe lagta hai ki main jhooth bol raha hoon, lekin sach mein, maine Divya ko pyaar ki khaatir maar daala.

Farhan Qureshi, umar 23 saal, main CDS college ka student thaa. Divya se mein CDS mein hi milaa thaa. Main apne dil, dimag se woh din nahi nikal sakta jab maine divya ko pehli baar dekha thaa. Pink dress mein ek khoobsoorat pari jaise woh mere nazron ke saamne aayi, uski badi badi aakhen, uski pyaari si muskaan ne na jaane mujh par kya teer chala diya, main toh ghaayal ho gaya! Maine apne dost se poocha, toh pata chala, uska naam divya thaa. Mera dost Rahul,ladkiyon ke maamlon mein expert thaa, uski bahut saari female friends bhee thee. Maine usse mujhe divya se introduce karwane ho kaha. Usne mujhe parson uski ghar pe jo party hone wali thee, usme invite kiya, aur kaha ki divya bhi uss party mein aayegi , aur uss waqt woh hum dono ko introduce karwayega.

Rahul ki party mein, divya se milne ke liye badi taiyaari ke saath mein aaya. Maine sunaa thaa ki pehla impression hi aakhri impression hai, aur main uske saamne apna pehla impression accha banana chahta thaa. Main nahi bhool sakta jab rahul ne mujhe divya se introduce karwaya thaa.
"Hi, i'm divya" kehkar divya ne mujhse haath milaya. Tab main pagal sa ho gaya thaa. Jab uski mulaayam haathon ko meri haathein chhoo rahi thee, jab woh mujhse muskuraa kar apna naam bata rahi thee, tab mere mooh se koi shabd nahi nikal raha thaa. Main bata nahi sakta main kitna nervous ho gaya thaa. Maine halki si awaaz mein kaha," Main farhaan." Meri awaaz sunkar uski aaspaas ki saheleeiyan hasne lagi. Shayad mein bahut hee ajeeb se behave kar raha thaa. Karoon bhi kyun naah, main apni crush ke saamne jo khada thaa.

Aisi thee humari pehli mulaakat. Uss din ke baad humare beech college mein normal hi, hello hone lage the. Hum log kabhi kabaar doston k saath gatherings mein bhi milne lage. Iss tarah se hum kaafi acche dost banne lage the. Divya bahut hi friendly kism ki ladki thee. Main uske saath kaafi comfortable feel kartha thaa. Yahan tak ki mere andar jo shyness thee, woh bhi divya k saath interactions k saath saath kam ho rahi thee. Mujhe yakeen nahi ho raha thaa ki main divya k saath kaafi close ho raha hoon. Hum dono canteen mein bhi milte the, aur kabhi kabhi toh classes bunk bhi karte the. Ek din yun hi Divya ne mujhse poochha, "Farhan, tumhe kya kya pasand hai ". maine uski taraf dekha aur kaha, "mujhe tum pasand ho divya, tum se judi har ek cheez pasand hai.. Mujhe yeh sooraj ki kirne pasand hai, yeh hawaayein pasand hai kyun ki yeh tumhe har waqt chooti hain, mujhe apna naam pasand hai, kyunki tum apni meethi awaz mein ise pukaarti ho..."Uska sawaal simple sa thaa lekin main uski gehraayi mein pahunch gaya..main uski aakhon se nazar nahi hataa paa raha thaa, aur uska bhi aisa hi haal thaa.. Mujhe pata nahi ki mujhme kaise itni himmat aa gayi, aur maine usse keh diya, "I love you divya".

Woh chup si reh gayi. Kuchh nahi kaha ussne. Kareeb ek minute baad usne poochha, "Sach mein ? Kya tum serious ho ?" "Hadh se zyada serious hoon Divya, main bahut pyaar karta hoon tumse. " maine convincing hote huwe kaha. Divya ne sir thoda sa jhukate huwe jawab diya ," Farhan, hum dono kaafi acche dost hain. Mujhe tumhari company acchi lagti hai. Tumhare saath time spend karne se mujhe khushi milti hai. Tum mere bahut pyaare dost ho. Aur main tumhe pasand bhi karti hoon...lekin pyaar...."

"Pasand karti ho naah ? Toh pyaar kyun nahi ?" maine usse poochha. Usne jawab me kaha," Pyaar....woh main apne gharwaalon k izaazat ke binaa nahi kar sakti..aur waise bhi, mere gharwale ek '. ladke ko labhi accept nahi karenge." "Kya ? Main ek '. hoon, kya bas itni si baat hum dono ko judaa kar sakti hai ?Pyaar ka naa hi koi dharm hota hai, naa hi jaat, naa ki rang, roop...Yeh toh bas kisi ko bhi kisi se bhi ho jata hai "

Meri baat sunkar divya ne fir se kaha," Mujhe pata hai Farhan, Lekin mere gharwaalein iss sach ko nahi maanenge, aur main apne gharwaalon k saath aisa nahi kar sakti. Unke mann ko dukh nahi de sakti. Meri naat samjho farhan. Main tumse pyaar nahi kar sakti. Hum dono humesa acche dost reh sakte hain. Lekin pyaar, woh nahi !"

Aisa keh kar divya wahan se chali gayi. aur mujhe niraasha de gayi. Uss raat mein raat bhar nahi soo paya. Mere dimag mein bahut se khayal daud rahe the.."Humari sankriti, humara samaaj ekta ki baat karta hai, samaanta ki baad karta hai, religions indiscrimination ki baad karta hai,lekin jab practical hone ka time aata hain, toh sab stone age pe chale jaate hain. Kya yehi hai humari sanskriti, humara dharm, jo ek dharm ki insaan ko dossre dharm k insaan k saath pyaar bhi karne naah de ! Kaisa dharm hai yeh, kaisi sanskriti ! Pyaar toh kisi se bhi ho sakta hai, iss dil ko kya pata ki kiss dharm ki ladki se pyaar karna hai, aur kis dharm ki ladki se nahi ! Ghinn aati hai mujhe !" Aise khayaal mere dil mein bahut khalbali kar rahe the.

Uss din k baad, Divya ne jaisa kaha thaa, hum dono dost hi rehne lage. main nahi chahta thaa ki meri feelings ki wajah se humare dosti mein koi buraa asar pade. Lekin divya ka behaviour pehle jaisa nahi raha. shaayad maine use propose kar ke galti kar dee. Main uske saath jitna friendly hone ki koshish kar raha thaa, woh shayad use meri use paani ki cheap tricks samajh rahi thee. Ek din usne mujhse kaha, "Farhan, meri shaadi ho rahi hai". Mujhe aisa laga ki mere neeche se zameen kisi ne chhen lee ho, meri dil ki dhadkane maano tham si gayi ho. Main maun reh gaya. Maine kuchh nahi kaha..

Main toot sa gaya thaa, andar se bikhar sa gaya thaa. Ek hi ladki aayi zindagi mein, usne bhi dil todd diya. Mujhe pata thaa ki woh mujhse pyaar karti hai, bas gharwaalon ke liye woh mujhe ignore kar rahi thee. Lekin mujhe yeh bhi pata thaa, ki woh apne gharwaalon ka mann nahi dukhayegi. Woh mere liye apne ghar waalon ko nahi chhodegi, yeh baat mujhe pata thaa.. Uss din ke baad maine college jaana bhi band kar diya thaa, apne room mein rehta thaa, akela tanha saa....Divya ki yaad mein.. Uski yaadein maano mujhe paagal si kar rahi thee. Main jitna use bhoolna chah raha thaa, main bhool nahi paa raaha thaa.

Mujhse aur dard saha nahi jaa raha thaa, isi liye maine Divya se ek baar milkar use fir se samjhane ka faisla kiya.. doosre din mein uske ghar chala gaya. Ghar pe woh akeli thee. Woh mujhe dekh kar chaunk si gayi.. "Farhan tum ! Tum yahan kaise ? Aur kyun ?? "
-"Ghar pe kaun hai ?", maine poochha.
-"Koi nahi ! Papa aur mummy aaj subah hi relatives ke ghar gaye hain. Lekin tum yaha kyun aaye ho ?", usne ghabraate huwe awaz mein kaha.
-"Divya, main tumhe haasil karne aaya hoon." Jab maine aisa kaha,divya darr si gayi...
-"Matlab ?" divya ne darte huwe poochha.

-" Divya hum dono iss janam mein ek nahi ho sakte, hai naah ? " maine poocha
Usne sar hilaakar jawab diya, "Haan"
"Iss janam mein tum meri nahi ho sakti, lekin agle janam mein, main tumhe paa kar hi rahunga !"
Aisa keh kar main divya ki taraf badha. Mujhe pata nahi kya ho gaya thaa, maano pagal pan ka daura thaa. mere haath uske gale mein chali gayi aur main uska galaa dabaane laga. dil kar raha thaa ki ruk jaaon, lekin mere haath mere bas mein nahi thee, maano koi aur hi mujhe remote se chala raaha thaa. Kuch hi der mein divya parlok chali gayi. Fir mein khud ko khatam karne ke liye idhar udhar samaan dekhne lagaa. Main divya ke kitchen chala gaya, aur wahan par uski kitchen knife se maine apni nas kaat li!!!!

Badkishmati se, meri aankh khuli, aur main hospital mein thaa, zinda. Maine toh divya aur khud ko khatm karke apne pyaar ko amar karne ka, aur doosra janam lekar divya ko paane ka khwab dekha thaa, lekin shayad uss yamraj ko yeh manzoor nahi thaa. Usne divya ko toh iss duniya se uthaa liya, lekin mujhe nahi ! Court mein mujhse khoon ke baaremein pooche jaane par, maine apna gunah kabool kiya. aur agle janam mein divya ko paane ke liye usko maar daala, yeh sach bhi bataaya. lekin unn logon ne mujhe pagal ghoshit karke mujhe umar kaid ki sajah sunaayi. Kaash mujhse faasi hoti ! har ek saas ke saath mujhe divya ki yaad aati hai, har waqt yahi duwa karta hoon, ki maut mujhe uthaaley. Lekin yeh saali zindagi, saath nahi chhodti !
______________________________
Kabhi aar kabhi paar mera lund mera hathiyaar !
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 10-11-2024, 08:03 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 05-10-2025, 08:02 AM



Users browsing this thread: 56 Guest(s)