Xossip Ultimate Story Contest 2014
#27
Kaari
UMAR DARAZ KHAN


Me khaiton ke darmiyan apni jaan bachane ki khatir dod rahi thi .

Pode mujhe panah de rahe the aur door se ane wali train simat ka ishara kar rahi thi .aur mere taqub me kuch log the , khoon khawar qisam ke jo mujhe marna chahte the .
Unke pass taiz chamakdar kulhadiyan thin . Un logon me ek mera saga bhai tha , aur mere khoon ka sab se ziyadah piyasa wohi ho raha tha . usi ne mujhe kaari karar de diya tha .

Mujhe Imran ka bhi khayal aa raha tha . Na jane in wehshion ne uska kya hal kiya hoga , Me to pichli diwar phaland kar farar ho gai thi . lekin ye nahi maloom ke woh khud ko bacha saka tha ya nahi ?
Me nahi janti thi mujhe kahan jana he .kahan jana tha . bas ek jan bachane ki fitri jablat thi jo mujhe dodai jaa rahi thi .
Makai ke pode mujhe dodne ke duran panah de rahe the . inhi podon ke darmiyan mujhe ek gadha nazar aya . mene usi gadhe me chalang laga di .

waqti tor par panah dene ke liye wohi ek munasib jagah thi . kuch itminan sa hua to mene apne bare me sochna shuru kiya .
Mera naam Aaisha he . mera ek bhaur aur maa baap hen . Thodi bohut zaminen hen . Mene intermediat tak taleem hasil ki thi .mera gaon acha khasa bada he , do college aur ek college . uske bawajood yahan ke logon ke khayalat jahilon wale hen .

Mere kai kasoor the . pehla yehi tha ke me khoobsurat aur jawan ladki thi . dusra qasoor yeh tha ke mene intermediate tak taleem hasil ki thi . aur sab se bada qasoor ke mene imran nami ladke se muhabbat kar li thi . aur yehi woh qasoor tha jis ke liye kulhadi brother mujhe marne aaye the . Imran bhi usi gaon ka padha likha jawan tha . Uske maa baap bohut pehle jakar sheher abad ho chuke the . gaon se unka taluq thoda bohut reh gaya tha . woh kabhi kabhar chutiyan guzarne ke irade se 10 15 din ke liye gaon aya karta tha .

Is baar bhi woh akela aya tha . gaon me apna makan tha aur jaib me paise the is liye kisi baat ki pareshani nahi thi .Woh bhi sirf 10 12 dino ke liye aya tha lekin kise maloom tha ke is baar gaon ki zameen uske pairon me zanjeeren dal kar use rok de gi .

Is baar gaon me uski mulaqat mujh se ho gai . aur woh pathar ka hoker reh gaya tha .me use janti thi . kai baar use door se dekha tha . Janti thi ke uska naam imran he . me us waqt apni saheli ke ghar ja rahi thi ke achanak woh samne aa gaya . Us waqt mene halka sa makup kar rakha tha . aur libass bhi kuch naye fassion ka tha . shayad is liye woh mujhe dekh kar heran reh gaya tha .

aye mr , ye sheher nahi he . yahan ladkion ko aise nahi dekhte .
To phir kis tarah dekhte hen ? Usne muskrate huye poocha .
Zaroorat kya he dekhne ki . behter yehi he kahin aur jakar aisi harkaten karo .
Kash kahin aur jane ki himmat aur taqqat reh jati . usne gehri sans li .

Mene aur kuch nahi kaha aur agay badh gai .
Achanak yadon ka silsila khatam ho gaya .
Logon ke bolne ki awazen aa rahi thin . makai ke khait me kuch log the . shayad woh meri talash me yahan tak pohanch gaye the . mene sanse tak rok rakhi lin .

Woh log mujhe aas pass dhoond rahe the lekin khuda ko shayad mujhe bachana tha is liye woh gadhe ki taraf nahi aaye . ek ek lamha sadi barabar mehsoos ho raha tha . Phir woh awazen ahista ahista door hoti chali gain aur phir khatam ho gaen .Is tarah najane kitne ghante guzar gaye .

Phir me gadhe se bahar agai . har taraf andhera aur sanata tha . me ahista ahista railway line ki taraf chalne lagi . ghoor andhera hone ke bawajood mujhe rail ki patrion par gadi khadi nazar aa rahi thi . qareeb jakar dekha to woh maal gadi thi . me bhooki thaki hari dibbon ke sath chalne lagi . ek dibbe ka darwaza khula hua tha me us dibbe me dakhil hogai gai . ajeeb se boo pheli huyi thi . me aa gay badh kar dewar ke sath hoker beth gai .

Isbwaqt zehen ki halat aisi ho rahi thi ke koi hosh nahi tha . aur thakawat ki wajah se mujhe nind aa gai .

Najane train kis waqt rawana hui aur kahan kahan ruki mujhe koi hosh nahi tha . lekin jab ankh khuli to train ek station par ruki hui thi . utar kar dekha to lahore Station tha .
Yaad aya ke yahan par meri ek saheli ka ghar he . woh mere sath gaon me padhti thi lekin shadi ke baad yahan agai . shadi ke baad letter ke zariye humara rabta tha . Station se me auto lekar uske ghar pohanch gai jab usne mujhe dekha to heran reh gai aur kaha Aaisha tum . Tum kis tarah aa gaen woh bhi akele .

Yeh lambi kahani he . filhal tum auto wale ko kiraya dekar farig karo .
Usne auto wale ko kiraya de kar farig kiya aur mujhe hath se pakad kar apne kamre me le aai .
Batao Aaisha , kya hua he tere sath ?

Mene use sari kahani suna di , kuch bhi nahi chupaya . Simran mera qasoor sirf itna tha ke mene imran ko passand kar liya tha . Aur usi liye use ghar bulaya tha ke woh mere maa baap aur bhai se mil le . lekin meri bad qismati ke woh jis waqt aya us waqt ghar par koi nahi tha . mujh se jurm ye hua ke mene use ander bula liya . usi waqt mera bhai agaya aur usne hungama khada kar diya . kaari ka ilzaam laga diya . uski awaz sun kar pados ke log bhi agaye . bhai ne meri ek bhi nahi suni . aur mujhe marne ke liye kulhadi nikal li . dusre bhi kulhadi lekar agaye the . bechare imran ka kya hua lekin mujhe farar ka moqa mil gaya . aur thokren kha kar me tere pass pohanch gai hoon .

Khuda garat kare aise mardon ko . Simran ne mujhe apne gale se laga liya . ab tum fikar mat karo . ab tum yahan agai ho aur ye sheher he .woh log ab tumhara kuch nahi bigad saken ge . Tum ise apna ghar samjho . ab tum yahan raho gi .

Uske baad me simran ke ghar me rehne lagi , Simran ka shohar acha aadmi tha . woh meri bohut izat karta tha . me wahan maze se reh rahi thi . mujhe kisi bhi qisim ki takleef nahi thi . ek din mene khud Simran ke shoher se kaha .

Asad bhai , Aap mera ek kaam karen ge .
Kyoon nahi , batao kya kaam he ?
Aap mujhe kahin job dilwa den .
Kyoon , job ki kya soojh gai ?

Bas yoonhi , apne tor bhi me kuch karna chahti hoon .
Simran ne bhi meri side li . Usne asad se kaha theak he , isko kahin job dilwa den . Iska man laga rahe ga .
Asad bhai ki koshish se mujhe job mil gai .

Zindagi chalti rahi , gaon ke halat bhi pata chal gaye . Mere bhai aur baap ne imran ko bohut buri tarah zakhmi kar diya tha . lekin woh apni jaan bacha kar bhaga . uske baad uska koi pata nahi tha .

Dusri khabar ye thi ke mere bhai aur baap mujhe talash kar rahe the , kyoon ke unki intqaam ki aag abhi tak bhadak rahi thi . woh mujhe maar kar sakoon hasil kar lete . lekin me unki pohanch se door ho chuki thi . Is liye woh buri tarah til milaye huye the .

Simran ke ghar me sab kuch theak chal raha tha ke halat ek shaam bilkul badal gaye .
Jab me daftar se ghar aai to mera baap aur mera bhai dono simran ke ghar se nikal rahe the . me unhe dekh kar jaldi se ek taraf ho gai .
Unki texi khadi hui thi . woh texi me beth kar rawana ho gaye . me ghar me dakhil hui . simran aur asad dono hi ghar par mojood the .
Simran ne mujhe dekhte hi gale se laga liya . khuda ka shukar he ke tum unke samne nahi aaen .

Simran . Mene unhe dekh liya tha . unhe dekh kar me ek taraf chup gai thi .
Bohut gusse me the dono . Asad ne kaha . tumhen sare sheher me talash karte phir rahe hen . ye ghar unhe maloom tha woh is liye yahan bhi chale aaye .
Ab tum do char dino tak ghar se bahar mat nikalna . Simran jaldi se boli . Hum ne unse keh to diya he ke tum yahan nahi aai ho . lekin mujhe yaqeen nahi ke unhoon ne meri baat pe bharosa kar liya hoga .

Mujhe afsos he ke meri wajah se tum logon ko pareshani ho rahi he .
Koi baat nahi zindagi me to ye sab hota rehta he .
Woh dono to iske bawajood mujhe apne ghar se nahi jane de rahe lekin mera baap aur mera bhai wahan tak pohanch chuke the . Is liye mere sath sath in dono ko bhi khatrah tha .

Is liye mene in logon se alehda hone ka faisla kar liya . meri income itni thi ke me ek flat kiraye par le sakti thi . Is silsile me asad ne meri bohut madad ki aur me apne flat me muntaqil ho gai .
Zindagi phir mamool par aa gai . Is duran me imran ke bare me kuch maloom nahi ho saka ke woh kahan he ? Ho sakta he usne mujhe dhoondne ki koshish ki ho . phir khamosh hoker beth gaya ho .

Gaon ki khabren mujhe simran se mila karti thin .usi se khabar mili ke meri maa ki death ho gai he . me bohut dair tak roti rahi thi . ho sakkta tha ke woh bechari mere liye tadapti ho lekin mere baap aur bhai ke samne uski ki ek na chalti ho .
Ek din Simran mere pass ek ajeeb si khabar lekar aai thi . Aaisha .me nahi janti ke ye khabar sun kar tumhara kya reaction hoga . lekin khuda ka keher ise kehte hen .

Kya baat ho gai batao to sahi .
Gaon me bada hadsa hua he . jisme tumhare baap ki muat ho gai aur tumhare bhai ki tangen kat di gai hen .aur woh is waqt lahore ke civil hospital me he .

Kya ?

Han . Qudrat ne tumhari beqasi ka badla le liya he .
Pata nahi ye khabar mere liye afsos ki thi , herat ki khushi ki ? Me sochti rahi , sochti rahi . kya karun aurat ka dil bhi khuda ne ajeeb banaya he . woh mujasame piyar hoti he , piyar ke ilawa kuch janti hi nahi he . bhai ne meri jaan lene ki koshish ki thi lekin ab me use dekhne ke liye bechain ho rahi thi .

Bilakhir jab dil nahi mana to hospital pohanch hi gai . bhai ke zakham agarche bhar gaye the lekin woh mazoor ho chuka tha . uski dono tangen kaat di gaen thin .
Lekin mere liye uske gusse aur badmashi ka wohi alam tha . mujhe dekh kar usne nafrat se apna chehra dusri taraf kar liya . me uske pass jakar khadi ho gai .

Kyoon aai he yahan . usne gurate huye poocha .
Tumhen dekhne ke liye aai hoon bhai .
Ja dafa ho ja . tu ek badkar aurat he . Usne gusse me akar kaha .
Nahi bhai me badkar nahi hoon . mene rote huye kaha .

Bakwas mat karo dunia ki har aurat badkar hoti he .
Aur ye lamha .. Mere liye ek turning point tha . usne sirf meri nahi duniya ki har aurat ki toheen ki thi . Is liye mene uski taraf dekhte huye kaha .

bhai . ab tumne pehchan hi liya he to tum se kya chupana . han . me ek bad kirdar ladki hoon . jante ho is sheher me mere pass apna makan he gadi he . mene sirf do saal me ye sab kuch banaya he . ab tum samajh hi gaye ho ge ke ye sab kese bana hoga . me har raat kisi ke sath guzarti hoon .
Nikal jaa yahan se zaleel .

Ja rahi hoon . lekin ye bata kar jaa rahi hoon ke me har raat kaari hoti hoon , har raat . ab agar tum kuch bigaad sakte ho to bigaad lo .aajna kisi din kulhadi lekar . me intzaar karun gi .


Phir me is ward se aur apni purani zindagi se bahar aa gai . Hamesha hamesha ke liye .
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 10-11-2024, 08:03 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 05-10-2025, 07:32 AM



Users browsing this thread: 6 Guest(s)