Xossip Ultimate Story Contest 2014
#13
PRATIGYA
Rahul 2795

underworld don akhil khurana ke bete ka naam tha sameer khurana, baap jaha ek khoonkhar apraadhi tha vahi beta apne pita se bilkul alag ekdum shareef
aur saadharan, jisne kabhi apni jindagi me ek makkhi tak na maari ho. baap aisa jiski duniya me pyar, vishvaas, rishto ki koyi jagah nahi, jabki beta prem

pujaari, vishvaas ko bhagvaan samajhne vaala, rishto ki ahmiyat samajhne vaala. agar kisi anjaan shakhs ko ye pata chale ki sameer underworld don akhil
khurana ka beta hai to shaayad vo is baat par kabhi yakeen hi na kare.
kahaani shuru hoti hai us manhoos din se, us din ko manhoos kehna hi shaayad sahi hoga kyonki us din ne sabkuch badal diya, sabki jindai me tufaan laa

khada kiya. us din sameer apni girlfriend pooja ko shaadi ke liye propose karne vaala tha, iske liye vo ek ring khareed kar le aaya tha, ring jyada mehangi

nahi thi kyonki sameer kabhi apne baap ke paiso ka istemaal nahi karta tha, hamesha apni hi jindagi jiya tha vo, us din vo pooja se mila aur uske saamne

ghutno par baithkar apne pyar ka ijhaar kar diya usne.
" pooja, i love you from the bottom of my heart, tumse shaadi karna chahta hu mai, agar tum haan keh dogi to mai apne pita aur unke is naam se hamesha ke

liye door chala jaaunga, ek nayi duniya basaunga mai tumhare saath jaha sirf mai aur tum hi honge, aur koyi nahi, pooja, kya tum mujhse shaadi karogi "
pooja ki aankho me aansu the, ye to pata nahi ki khushi ke the ya aane vaale tufaano ke gam ke, kaanpti huyi aawaj me usne kaha.
" haan, karungi mai tumse shaadi kyonki mai bhi tumse utna hi pyar karti hu jitna ki tum mujhe karte ho, aur aaj mai pratigya karti hu ki jiyungi to

tumhaare saath aur marungi to bhi tumhaare saath " pooja boli.
" iska matlab tum bhi mujhse bilkul pyar nahi karti " sameer ne khada hote huve kaha, is samay par bhi vo majaak karne se baaj nahi aaya tha.
" tum sudhroge nahi na "
" bilkul nahi, jo sudhar jaaye uska naam sameer nahi "
pooja ke hontho par ek muskaan ubhar aayi, vo muskaan jiske liye sameer poori duniya se lad sakta tha, pyar jo karta tha usse.
" achha, to baat yaha tak pahuch gayi " pooja ki saheli aur sameer ki behan aarti vaha aati huyi boli.
" oh, aarti, tum kab aayi " sameer bola.
" mai to shuru se hi yahi hu bhaiya, aapki saari kartoote dekhi hai maine, baat itni jaldi yaha tak pahuch gayi lekin aapne papa ko iske baare me kuch bataya

hai ki nahi "
" dekh pooja, tu meri behan hai, isliye tujhe bata raha hu, mujhe papa ki duniya se koyi lena-dena nahi hai, mai pooja se shaadi karke unki duniya se bahut

door chala jaana chahta hu aur apni life sharafat se jeena chahta hu "
" theek hai bhaiya, jaisi aapki marji, chalo fir, kya ab aap mujhe mere office tak drop kar doge "
" haan, kar dunga, chal, bye pooja, bahut jald mai tumaare papa se hamari shaadi ki baat karne aaunga "
" mai intjaar karungi " pooja boli.

-------------------------------------

tad...tad..tad...
vaatavaran goliyo ki aawaj se goonj utha, ye goliya sameer ki gaadi par barsaayi gayi thi jisme is waqt sameer aarti ko uske office tak chhodne jaa raha tha.
sameer ko teen goliya lagi thi, ek kandhe me, ek pet me aur ek pair me, asahneeya peeda ho rahi thi ushe.
tabhi goliya barsaane vaale apni van se utarkar sameer ki gaadi ke paas aaye aur khidki kholkar aarti ko baahar kheenchne lage, aarti ke bhi kandhe par ek

goli lagi thi.
" bhaiya, bachaao bhaiya " aarti chilaayi.
ek behan ki karun pukaar sunkar kis bhai ka dil nahi ro padega, apni sampoorn bachi-khuchi shakti sametkar sameer gaadi se baahar nikla aur un logo se

apni behan ko chhudane ki koshish karne laga, lekin ve 4 the aur sameer akela, vo bhi buri tarah se jakhmi, vo bhala unka kya mukabala kar paata.
unme se ek ne sameer ki chaati me ek goli aur daag di, sameer uchhalkar peeche jaa gira, aur fir dheere-dheere hosh se naata toot-ta chala gaya uska.

-----------------------------------

jab uski aankhe khuli to usne khud ko hospital ke bed par paaya, aaju-baaju dekha to ushe vaha pooja aur uske pita dikhaayi diye. pooja ne uska daaya

haath apne dono haatho me pakad rakha tha.
" aarti...aarti kaha hai pooja " sameer kamjor aawaj me bol utha.
" ushe vo gunde uthakar le gaye jinhone tumpar hamla kiya tha, vo to bhala ho un logo ka jo vaha maujood the aur jinhone tumhe yaha pahucha diya varna

bhagvaan jaane ki aaj kya gazab ho jaata " pooja boli.
sameer ne uthna chaha to uski chaati par bandhi pattiyo se khoon risne laga.
" lete raho, kya kar rahe ho, maar dena chahte ho kya khud ko, abhi kuch din tak tum bilkul bed par hi rahoge, 4 goliya lagi thi tumhe, pata bhi hai ki kaise

bach paaye ho, koyi aur hota to goliya lagte hi dum tod deta " kehte huve pooja ne sameer ko vaapis lita diya.
" lekin pooja...aarti....mujhe aarti ko bachana hoga, kaisa bhai hu mai jo apni behan ki raksha tak nahi kar paaya, aaj maine uski raakhi laja di pooja, laja di

maine uski raakhi " sameer ki aankho me aansuo ka sailaab umad aaya.
" beta, tum kar bhi kya sakte the, ve itne jyada the aur unke paas hathyaar bhi the, khair, tum aarti ki fikr mat karo, maine tumhaare papa ko phone kar diya

hai, vo aarti ko kuch nahi hone denge " pooja ke papa bole.
sameer kuch bol nahi paaya, aansuo ki dhaara uski aankho se behti hi rahi.

--------------------------------------

" kisne kiya hai ye sab shakeel " akhil khurana ke munh se sher ki si dahaad nikli.
uske right hand shakeel ne kaha," khurana sahab, ye sab kiya-dhara goldie ka hai, ushi ne hamare pair underworld se ukhaadne ke liye ye sab kiya hai "
" ab baat underworld me jame rehne ya ukhad jaane ki nahi reh gayi hai shakeel, aaj un kutto ne mere parivaar tak apni pahuch banayi hai, ab waqt aa gaya

hai unko sabak sikhaane ka, unko batane ka ki akhil khurana ke parivaar ko koyi kahroch bhi lagaye to akhil khurana uska kya haal karta hai " bolte waqt

akhil khurana ki aankh bikul laal ho gayi thi, aisi jaise ki uski aankho me khoon utar aaya ho.
aur agle do ghante me hi poora shahar underworld ki aapsi ranjish ka shikaar hona shuru ho gaya, akhil khurana ne goldie ke har thikaane, har aadmi ko

dhoondh-dhoondh kar maarna shuru kar diya.
akhil khurana ab goldie ki talaash me tha ki tabhi uska phone baja.
" hello " phone uthakar vo bola.
" bahut bechain ho gaya hai khurana tu to " udhar se ek bharrayi si aawaj aayi.
" haraamjaade goldie, chhodunga nahi mai tujhe " akhil khurana gurraya.
" ye mat bhool ki teri beti mere kabje me hai khurana, aur agar ushe sahi salamat dekhna chahta hai to jaha tere bete ka accident hua, vaha uski gaadi khadi

hai, vaha pahuch jaa 15 minute me, jyada samay mat gavaiyo varna uski mout ka jimmedaar tu hi hoga "
akhil khurana underworld don jaroor tha, magar usse pehle vo ek baap tha, beti ka moh kishe pyara nahi hota.
" shakeel, tum hospital jaao, mai aarti ko dhoondhne jaata hu, tum vaha jaakar mere bete ka khayaal rakhna, kahi koyi ushe fir se nuksaan pahuchaane ki

koshish na kare "
" aap chinta na kare khurana sahab, shakeel ke hote huve aapke bete ko koyi chuu bhi nahi paayega " kehkar shakeel dusri gaadi aur teen-chaar aadmi lekar

hospital ke liye ravaana ho gaya aur akhil khurana apni beti ke liye goldie ki batayi huyi jagah par pahuch gaya.
tabhi ek aadmi uske paas aaya aur ushe ek mobile dete huve kaha," ye lo, goldie bhai tumse baat karna chahta hai "
akhil ne usse mobile lekar apne kaan se lagaya," bol kutte "
" ab jara apni fool si bachhi ko ushi gaadi me se baahar to nikaal le khurana, aur phone hold pe rakhna, mai dono baap-beti ke milan ki aawaj sunna chahta

hu "
akhil khurana aage badha to uske ek aadmi ne kaha," khurana sahab, ye uski chaal bhi ho sakti hai "
" nahi Rakesh, agar mai goldie ki jagah hota to mai kabhi bhi apne dushman ko ek jhatke me khatam nahi karta, ushe tadpa-tadpa kar maarta, yahi goldie

bhi kar raha hai, agar isme uski koyi chaal huyi to vo kaayar kehlaayega, aur akhil khurana ke parivaar par haath daalne vaala kam se kam kaayar to nahi

ho sakta " kehkar akhil khurana ne gaadi ka darvaaja khol diya.
" dhadaam.. " ek jordaar aawaj goldie ke phone ke microphone dwara uske kaano me padi.
" ha..ha..ha " thahaka laga utha vo," khatam ho gaya akhil khurana, sahi kaha tune, mai kaayar hi hu, tujhe tadpa to maine pehle hi bahut liya tha, ab aur

kya reh gaya tha, aasif "
" ji bhai " goldie ka right hand aasif bola.
" khurana ka ladka abhi bhi jinda hai aur jaise usne teen goliya lagne ke baad bhi tumse mukabala karne ki koshish ki thi, usse yahi pata lagta hai ki us ladke

ko mout ka koyi khauf nahi hai, aur jishe mout ka khauf nahi hota vo jab apni pe aata hai to kisi ki bhi khair nahi hoti, vaise to vo apne pita ki duniya se

nafrat karta hai, lekin baap aur behan ke baare me sunkar jaroor uska bhi khoon khoulega, aakhir khoon to akhil khurana ka hi hai, uska kaam hospital me

hi nibta do "
" ji bhai " kehkar aasif baahar chala gaya.

----------------------------------------

shakeel ko jaise hi hospital me pata chala ki akhil khurana sahab nahi rahe to uska khoon khoul utha. vo andar sameer ke paas pahucha," sameer baba, akhil

sahab nahi rahe " najre jhukakar vo bola.
" k..kya " sameer par to jaise musibato ka pahaad hi toot pada tha," kab, kaise hua ye sab "
jawaab me shakeel ushe sabkuch batata chala gaya.
" aur aarti, uska kuch pata chala " sameer rote huve bola.
" nahi baba, abhi tak kuch bhi pata nahi chala hai aarti beti ka bhi "
" hey bhagvaan, kis gunaah ki saza de raha hai tu mujhe, kya bigada hai maine kisi ka " sameer ke aansuo ke sailaab ka baandh jaise toot gaya tha.

-----------------------------------------

chaar din baad,
pooja ke ghar par uske pita news sun rahe the, news reporter bol rahi thi," aaj underworld don akhil khurana ke bete sameer par hospital me jaanleva hamla

hua, haalanki sameer khurana to bach gaya lekin kayi aur aadmi maare gaye, akhil khurana ke right hand shakeel ne sameer ko bachaane me aham bhumika

nibhaayi, in dono ke alawa sameer ki kathith premika pooja ko bhi koyi chot nahi aayi hai lekin inke baaki saathiyo me se koyi bach nahi paaya hai "
ye news sunkar pooja ke papa ka man ashaant ho gaya.

-----------------------------------------

hospital me pooja sameer se keh rahi thi," ab ye sab rukne vaala nahi hai sameer, jab tak vo log tumhe maar nahi denge, tab tak ve log chain se nahi baithenge

"
" chinta mat karo pooja, hum aaj hi is shahar se bahut door chale jaayenge " sameer bola.
" kaha tak bhaagenge sameer baba " shakeel bola," ye log aapka peecha kahi bhi nahi chhodenge, is hamle ne saaf kar diya hai ki vo log khurana parivaar ka

naam-o-nishaan mita dena chahte hai, mai kehna to nahi chahta lekin is hamle ne ye bhi saaf kar diya hai ki ab aarti beti bhi is duniya me nahi hai, jab vo

aap par hospital me hamla karva sakte hai to aarti beti to unki pakad me hi thi, ushe maarne me vo kyo hichakte "
" n...nahi " cheekh padda sameer," aisa mat kahiye shakeel uncle "
" aur kya kahu sameer baba, jo sach hai vo sach hai, ab waqt aa gaya hai ki aap unse darkar bhaage nahi balki unka mukabala kijiye, apne pita ke kaarobaar

ko sambhaaliye "
" koun sa kaarobaar, aap ye kehna chahte hai ki mai bhi underworld me shaamil ho jaau, apne jameer ko kalankit kar lu mai "
" shakeel uncle aap please do minute ke liye baahar jaayenge, mujhe sameer se kuch jaroori baat karni hai " pooja boli.
shakeel ke baahar jaane ke baad pooja boli," shakeel uncle theek keh rahe hai sameer, tumhe kya lagta hai, jin logo ne tumhaare pita ko maar daala, tumhaari

behan ki hatya kar di, vo log kya tumhe jinda chhod denge, nahi sameer, tumhe ladna hoga unse, ladna hoga, meri khaatir, apni pita ki khaatir, apni behan

aarti ki khaatir "
" tum jaanti ho na pooja ki underworld ka raasta sirf one way hai jaha jaana to allowed hai, vaapas aana allowed nahi hai "
" mai sab jaanti hu lekin tum chup nahi baith sakte, tum kaayar nahi ho, tumhe ye karna hi hoga "
" theek hai pooja, mai ye karunga, lekin apne papa ke liye nahi, apni behan aarti ke liye " sameer ke chehre par dridhta ke bhaav maujood the.

-------------------------------------

aur fir agle kuch hi dino me underworld ka naksha badalne laga, sameer ne saare underworld ki baagdor apne haatho me le li aur jald hi usne goldie ko ek

jagah fansa liya, jaha vo apne khaas aadmiyo ke saath ek meeting kar raha tha.
ve paanch log the aur paancho hi ek gol table ke ird-gird baithe huve the.
aapas me baate kar hi rahe the ki tabhi vaha sameer ki aawaj goonji," aaj khush to bahut hoge tum ki khud sameer bhai, akhil khurana ka beta khud chalkar

tumhaare darvaaje par aaya hai goldie " sameer ne majakiya lehje me kaha.
goldie ne chounk kar uski taraf dekha, fir gun nikaalkar uspar taan di, bola," achha kiya kutte jo tu khud hi yaha chala aaya varna mujhe bekaar me tujhe

dhoondhne ki aafat mol leni pad rahi thi, ab tu marega mere haatho se, taiyaar ho jaa "
sameer ki hansi ki aawaj us poore kamre me goonj uthi, bola," vaakayi me log sahi kehte hai ki diya bujhne se pehle fadfadata jaroor hai, teri haalat dekhkar

mujhe hansi aa rahi hai goldie, khud tere sir par mout mandra rahi hai aur tu mujhe maarne ki baate kar raha hai "
" kya matlab " goldie ne poocha.
badle me sameer ne apni jacket saamne se khol di.
" bomb... " un sabke munh se ek saath nikla.
" iske remote par mera haath hai goldie, agar jara bhi hoshiyari ki to sab ke sab maroge "
" tu aisa nahi kar sakta, agar tune vo button dabaya to tu bhi to marega " goldie bola.
" mere paas jeene ke liye bacha hi kya hai goldie yaar jiske liye mai jiyu, ab to saala marne me hi maza hai, chal, dono saath me marte hai, mai iska button

dabata hu aur boom... " sameer ke swar me vyangya ka put tha.
" n..nahi, aisa mat karna " goldie ne kaha.
" nahi karunga, chal apni bandook idhar la "
marta kya na karta, goldie ke paas aur koyi chaara hi nahi tha, usne bandook sameer ki taraf uchhal di aur sameer ke haath me aate hi usne taabadtod goliya

barsaani shuru kar di, kuch seconds me hi un paancho ki laash vaha padi huyi thi.

---------------------------------------

" arey, amar chacha aap " pooja chahkte huve boli.
darvaaje par security officer ki vardi pehne huve ek adhed aadmi khada tha.
" aaiye na andar " pooja boli.
" mai andar aane nahi aaya hu beti, mai tujhse ek jaroori baat karne aaya hu, maine tujhe pehle bhi samjhaya tha lekin tu nahi maani, ab tere sameer ke liye

shoot at sight ka order jaari ho chuka hai, ab uske jinda bachne ki koyi ummeed baaki nahi reh gayi hai, saare shahar ki naakabandi kar di gayi hai, ab vo

bachkar kahi nahi jaa sakta "
" k..kya " pooja ke munh se nikla.
" haan beti, bas, yahi bataane aaya tha mai tujhe, chalta hu " kehkar amar chala gaya.
pooja ke man me dhero sawaal chhodkar, ye sach hai ki pooja ne hi ushe us daldal me bheja tha lekin sirf apne pita aur apni behan ka badla lene ke liye, lekin

sameer vaha jaakar badal gaya tha, kab vah nasha, sharaab, drugs, in sab ka aadi ho gaya pooja ko pata hi nahi chala aur ab uski mout ka farmaan bhi jaari

ho gaya, ab kya hoga.

--------------------------------------

" ab kya koyi raasta nahi bacha hai shakeel uncle " sameer ne poocha.
" nahi, ab koyi raasta nahi hai sameer baba, hame abhi aur ishi waqt shahar chhodkar jaana hoga, varna hamme se koyi nahi bachega "
" theek hai shakeel uncle, apa taiyaari kijiye "
" koyi kahi nahi jaayega " hall me goonji pooja ki aawaj ne sabko chouka diya.
" pooja, tum yaha " sameer bola.
" shakeel uncle aap log baahar jaaiye, mujhe sameer se kuch jaroori baat karni hai "
shakeel aur uske aamdi bina kuch bole baahar chale gaye.
" bolo pooja, kya kehna chahti ho tum "
kuch bolne ki jagah pooja ne gun nikaali aur sameer ko shoot kar diya, goli theek dil par jaakar lagi thi.
sameer katey huve ped ki tarah neeche gira, uski aankho me avishvaas ke bhaav the.
pooja uski laash ke paas jaakar baith gayi.
" y..ye tumne kya kiya poo... " sameer ka vaakya adhoora hi reh gaya, uski jaan nikal chuki thi.
" aaj meri pratigya bhi poori ho gayi " kehkar pooja ne apni kanpatti se gun ki naal sataayi aur trigger daba diya.

THE END
______________________________
ishq ~~ ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 10-11-2024, 08:03 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2014 - by Expert - 04-10-2025, 08:58 PM



Users browsing this thread: 10 Guest(s)