Xossip Ultimate Story Contest 2015
#91
Musafir Hu
Ashleel Kumar

Main musafir hu. darasal main jo job karta hu usme mujhe kafi ghumna firna parta hai, kabhi is shahar to tabhi uss gaav. Har jagah jana parta hai, safar thora thakane wala to hota hai par mujhe ghumna firna kafi pasand hai isliye mujhe apni job achhi lagti hai. Har din naye naye logo se mulakat hoti hai. Darasal main jis company me kaam karta hu uski desh bhar me branches hain iss vajah se mujhe jagah jagah unki branches me nirikshan karne aur report tayyar karne ke liye bheja jata hai.

Ek baar ki baat hai main ek shahar se suray karke bus se laut raha tha. Tabhi ek khubusurat si larki jiski umar kareeb 27-28 saal hogi aur Jeans top pahne thi, bus me chari. Bus ki sabhi seats bhar chuki thi, sirf mere bagal wali seat hi khali isliye vo mere bagal me baith gayi. Vo mujhe thora pareshan lag rahi thi, baar baar vo apna phone dekh rahi thi. Usko pareshan dekh kar maine usse puchha ki kuchh problem hai, to vo boli "Nahi...nahi...bus....vo mere mobile ka balance khatam ho gaya hai..."
Main-"agar apko koi zaroori baat karni ho to aap mere phone se kar lijiye"
Larki-"vo bus zara phone karke husband ko batana tha ki main bus pe chhar gayi hu aur 3-4 ghante me pahuch jaungi"
Main-"ji bilkul.....ye lijiye mera phone...baat kar lijiye"

Aur maine use apna phone de diya. ye jankar ki vo shadishuda hai mujhe thori hairtat hui. Kyuki vo dekhne me kuvari lag rahi thi aur kapre jeans top pahne thi iss vajah se maine use kuwari samjha tha"
"hello....ravi..kabse tumare phone ka intezar kar rahi thi....busy the?.......ok ok.........haan main bus pe chad gayi hu............3-4 ghante tak pahuch hi jaungi......" Vo mobile pe apne husband se baat kar rahi thi.
Mobile se baat karne ke baad hum baate karne lage, maine use bataya ki main apne kaam ki wajah se jagah jagah safar karta rahta hu. Usne mujhe bataya ki uski shadi ko kareeb 2 saal ho gaye hain. Aur vo yahan apne ek relatives ke yahan aati thi, wahi se laut rahi hai.
"Aap akeli hi aayi thi" main usse puchha.

"haan mere husband kaam me itna busy rahte hain ki unhe kahi jaane ke liye time hi nahi milta isliye akele hi jana parta hai." Usne kaha.
Baato baato me hi usne mujhe bataya tha ki uska naam Nisha hai. Aur vo kanpur se hai, jabki main lucknow se tha. Bus pahle kanpur pahuchi jahan vo utar gayi.
Safar me aksar bahut se ajnabi milte hain jo kafi achhe lagte hain par unse mulakaat dobara nahi hoti. Maine bhi soch liya tha ki nisha se meri mulaqat dobara nahi hogi.

Kuchh mahino baad mujhe kaam ke silsile me mujhe Kanpur jana pada, par sanyog dekhiye jis company me main survay ke liye gaya tha, wahan Nisha bhi kaam karti thi. Vo wahan as a counsiller work karti thi. Vo mujhe dekh ke kafi khush ho gayi main bhi usse dobara mil kar khush hua.
Maine report tayyar ki, report tayyar karne ke baad mujhe jana tha, tabhi Nisha ne kaha ki vo bhi ab ghar hi jaa rahi hai, main uske sathu hi chalu, vo mujhe car se chhor degi.
Main bhi uske sath jane ko tayyar ho gaya kyuki main uske sath kuchh wakt aur guzarna chahta tha.
"Uss din aap se milkar aur baate kar ke kafi achha laga tha...aap achhe admi hain.." Nisha ne kaha "waise apne naam kya bataya tha...mujhe yaad nahi aa raha...."
"Rohan" maine jawab diya.

"Rohan...apse dubara mulakat hogi vo bhi yahan iski ummid nahi thi..." Nisha ne kaha.
"Ji mujhe bhi ummid nahi thi....ise hi to sanyog kahte hain" Maine muskurate hue kaha.
"I hope aap humari company ki report positive hi banayenge" Usne kaha aur husne lagi.
Raste me hi maine mobile se train status check kiya to pata chala ki trains kafi late hain aur kareeb 3-4 ghante wait karna parega. iss time kareeb sham ka 8 baj raha tha. Usne mujhse kaha ki itni der wait karne se behtar hai ki main uske ghar me ruk jaau, aur station ke liye subah niklu, subah kafi trains hain.

Usne mujhse kaha ki aaj kal uska pati kaam ke silsile me Delhi gaya hai aur vo akeli hi hai. Ye sunkar mujhe thora ajeeb bhi laga kyuki vo ghar me akeli thi fir bhi mujhe rukne ko bol rahi thi. Khair kyuki main use pasand karne laga tha isliye main bhi uske ghar me rukne to tayyar ho gaya.
Main uske sath uske ghar pahucha, wahan usne mujhe apne bedroom me aane ko kahan, vo mere gale lag gayi. aur boli ki mere pati mujhse bilkul pyaar nahi karte, aur pahli mulakaq me hi vo mujhe pasand karne lagi thi. Maine bhi use gale laga, main bhi samajh gaya tha ki shayad uski zindagi me pyar ki kami thi, aur uss raat hum humbistar hue.

subah aankh khuli to maine realize kiya ki mujhe ye nahi karna chahiye tha, kyuki vo ek shadi-shuda larki hai. Maine uski taraf dekha vo so rahi thi. Maine kapre pahne aur chala aya. Lekin naa jane kyu...use uska ghar chhorte waqt meri ankho me aansu the....shayad mujhe usse pyaar ho gaya tha. Par ek musafir ki tarah main ab use aur uske ghar ko humesha humesha ke chhod kar apni manzil ki or nikal chuka tha.
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2015 - by Expert - 08-09-2025, 10:59 PM
RE: Ultimate Story Contest 2015 - xossip - by Expert - 04-10-2025, 01:04 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)