04-10-2025, 12:39 PM
Bin Fere ( non-competitive)
rajesh sarhadiMain bahar lawn mein baitha akhbaar pad raha tha, ki andar Suman ne radio chala diya aur fir vahi geet bajne laga, vo geet jo hamesha mujhe yaadon ke jharokhon mein le jaata hai…..
‘pyaar deewana hota hai, mastana hota hai,
Har khushi se, har gam se begana hota hai….’
Aaj bhi kuch aisa hi hua, aur main apni yaadon mein khota chala gaya, kab Suman chai le kar samne aake baith gayi pata hi na chala, aur usne bhi mujhe meri yaadon ke saath masroof rehne diya.
31 DEC 2014
Ye din meri jindagi ka vo din tha jab bachchon ne mujhe naye saal ka vo tohfa diya jiski maine taman bhi na ki thi, kyunki Suman ne meri jindagi mein pyaar ki vo fuhar barsa rakhi thi, jiske aage mujhe jindagi se kuch nahi chahiye tha. Uska saath hi mere liye sab kuch tha. Koi gam nahi tha mujhe ki mere apne bachche na hue, Suman ki khushi mein hi meri khusi thi.
Ruchika : Papa aaj naye saal ke is moke pe aap se kuch mangun to mana to nahi karoge.
Suman : Tere papa ne teri kisi farmayish ko tala hai jo aaj…..
Ruchika : Maa main 18 ki ho chuki hun, jindagi ko samajhne lagi hun, un bhavnaon ko samajhne lagi hun, us tyaag ko samajhne lagi hun jo papa ne kiya, mere liye, bhai ke liye, aapke liye.
Main : ye meri gudiya philosopher bhi ban gayi, bhai vah, ye sab kya anap shanap bole ja rahi hai, bol kya chahiye tujhe.
Ruchika : Papa, Mummy main ..main….
Main : bejhijak bol, tujhe kabhi mana kiya.
Ruchika : Main chahti hun aap log apne rishte ko ab naam de do.
Na mujhe na Suman ko yakeen hua, ke Ruchika ne abhi kya bola…ek sannata sa cha gaya….bas hawa ke jhonke se paaton ke hilne ki aavajen us sannate ko bhed rahi thi.
Ruchika : Mummy, papa bhai bhi yahi chahta hai. Aap dono achche dost ho, saari jindagi papa ne hame kabhi papa ki kami mehsus na hone di. Ab to aap apne rishte ko vo naam de sakte ho, jo samajh ki vajah se ya yun kahun ham bachchon ki vajah se nahi kiya.
Suman to paththar si ho gayi thi, aur mujhe bhi koi jawab na soojh raha tha.
Ruchika : Kahan kho gaye aap dono, maine kuch galat to nahi manga.
Ruchika ki aavaj mujhe jameen pe le aayi.
Main: Tumhen kisi ne kuch kaha? Yun achanak ye sab….
Ruchika : Nahi papa kisi ne kuch nahi kaha, aur koi kahega bhi to kya, shahar se door yahan resort numa ghar mein prakriti ke pass rehte hue door door tak koi insan najar nahi aata. Ham log shahar ja kar padte hain jahan shuru se sab aap hi ko hamare papa ke roop mein jaante hain. To koi kya kahega. Par aapka yun bas weekend pe aana hame achcha nahi lagta, ham chahte hain aap har pal mummy ke pass rahe, hamare pass rahe, hamari ankhon ke samne rahe……bas aur kuch nahi sunna, varna bhai padayi chhod ke yahan aa dhamkega.
Anil padayi chhod ke yahan…ye baat kisi barood ke fatne se kam nahi thi. Uske career ka satyanash ho jaata.
Main: ye bevkufana baaten mat karo, Anil ko main samjha dunga.
Ruchika : Anil hi nahi main bhi padayi chhod dungi, nahi banna mujhe doctor voctor.
Apna pair patak vo andar chali gayi, shayad vo mujhe aur Suman ko ekant dena chahti thi.
Meri najar Suman pe padi to uski ankhon se ansu tapak rahe the…ahhhhhhh..karha utha mera dil, uski ankhon mein ansu main kabhi sehan nahi kar sakta tha. Main kuch bolne hi vala tha ke Ruchika dandanati hui aayi aur ek lifafa mere samne rakh gayi…..
Mere haath apne aap us lifafe ki taraf bad gaye khola, to usmein ek patra tha jo Anil ne e-mail dwara Ruchika ko haal hi mein bheja tha – jispe ye likha tha – ki papa ko dedena 31 tareekh ko.
Maine vo patra panda shuru kiya…
‘Papa !
Pranam.
Do saal se main hostel mein hun. Aur in do saalon mein parivaar se door rehne pe kitna dard hota hai use achchi tarha samajh chukka hun, meri to majboori hai panda jo hai, aage jindagi jo banani hai..par aap kyun ye saja kat rahe ho.
Mujhe aisa lagta hai jaise mujh se bada khudgarj koi paida nahi hua, bas apna hi matlab dekha aur kabhi dusre ke man ki bhavna ko nahi samjha. Aapne hamesha ham bachchon ki baat maani hai, hamesha ek chattan ki tarha hamara saath diya, duniya ki achchayi aur burayi ki pehchan karwayi, hamare andar ek atamvishwas ko janam diya. Aur ye sab karne wala khud tanhayi ke aalam mein jeeta raha.
Hame to yaad bhi nahi hame janam kisne diya tha, hamare liye aap hi sab kuch ho, lekin aap jab jarurat hoti to pass aate, ya fir weekends hamare saath bitate.
Baaki din aap akele hi rehte the. Bahut hua. Ham jaante hain aap aur mummy ka rishta dosti se bhi bada hai, aisi dosti aaj ke jamane mein kaha.
Bahut reh liye aap akele, ab is dosti ko ek naam de do, hamesha ke liye hamare pass aa jao. Hame is heen bhavna se mukt karwa do. Please papa – ye khudgarji ka ahsas jeene nahi de raha.
Jawani to nikal gayi, par umra ke is padav mein aap dono ko har pal ek dusre ke saath ki jarurat hai, hame har pal aapke aur bhi kareeb hone ke ahsas ki jarurat hai. Please na mat karna Maa ki suni mang bhar do…hame naye saal ke din ye tohfa de do.
Please! Please! Please !
Aapka
Anil.
****************
Mujhe samajh nahi aa raha tha ki bachchon ko kaise samjhaun. Chahta to Suman se shadi barson pehle kar leta, par Suman ke andar ek ghutan thi, ek kadva ahsas tha, apni shadi ki duragati ka, vo darti thi ki agar ye dosti hamne rishte mein badal di to kahin fir vahi anjaam na ho. Suman ki khushi mere liye sab kuch thi, main use kabhi kisi duvidha mein nahi daalna chahta tha, jaise vo jeena chahti thi, mujhe manjoor tha.
Ek thandi saans bhar maine vo patra vapas lifafe mein daala aur Suman ki taraf dekha. Tap tap uski ankhon se moti gir rahe the.
Maine uske kandhe pe haath rakha ‘ Suman yun rote nahi, main bachchon ko samjha dunga.’
Usne badi katar najron se mujhe dekha, vo kuch kehna chahti thi, jo vo keh nahi pa rahi thi, ya shayad aaj main use samajh nahi pa raha tha.
Bachche mere bare mein itna sochenge, ye to kabhi khaab mein bhi na socha tha, jahan itni jindagi nikal gayi thi, baaki bhi gujar jaani thi, lekin aaj bachchon ne jaise ek jawarbhate ko jaga diya tha, jise mujhe shant karna tha, par kaise, mere kadam ghar ke bahar nikal pade. Apni peeth pe mujhe Suman ki najren gadti hui mehsus ho rahi, par aaj use sambhalne ki jagah shayad main khud ko pehle sambhalna chahta tha.
Kadam na jaane kis rasste pe chal rahe the aur waqt mujhe piche dhakelte gaya.
Suman aur main ek office mein kaam karte the, main jindagi ki seedhi abhi chad hi raha tha, bahut kuch karna tha, itna samarth nahi tha ke shadi kar kisi ka bhaar sambhaal sakun, isiliye kabhi apne man ki baat Suman se nahi keh paya, halanki ham dono mein achchi dosti si ho gayi thi.
Suman mujh se kuch das saal badi thi, ab tak uski shadi kyun nahi hui, ye maine kabhi janne ki koshish nahi kari thi, fir ek din Suman jab office pahunchi to bahut khush thi, usne pure office mein mithayi banti aur apni shadi ka elan kar diya, mujhe yun laga jaise kisi ne mere armano ka gala ghont diya ho, maine usi din resign kar diya aur shahar bhi chhod diya.
6 saal baad waqt ne hame fir amane samne kar diya, lekin jab maine Suman ko dhayan se dekha to uska chehra murjhaya hua tha, ham dono ek hi office mein takraye the aur mujhe dekh Suman ke chehre pe ek lo si chamki thi kuch shan ke liye. Uske pati ne use shadi ke 6 saal baad beech majdhaar mein chhod diya tha aur khud kisi aur ladki se shadi kar li thi, Suman ko divorce de kar. Aatam saman se bhai Suman ne uska diya ghar bhi chhod diya tha.
Waqt gujra aur ham kareeb hote gaye. Aur ek din himmat kar maine apne pyaar ka izhaar kar hi daala. Lekin Suman hamari dosti ko koi rishte ka naam nahi dena chahti thi, main khamosh reh gaya, dubara maine kabhi baat nahi chedi,ek tarha se ham itne kareeb ho gaye jaise pati patni, par kabhi apne rishte ko duniya ke samne dosti se aage bad koi aur naam na de paaye. Suman meri bhavnaon ko samajhti thi aur main uski, mere liye uska saath hi kafi tha.
Waqt kab kaise gujarta gaya pata hi na chala.
Lekin aaj Anil ka khat pad, mujhe yun lag raha tha jaise kisi ne mujhe samudra mein fenk diya ho aur mein jawarbhate mein fasta hua niche dharatal ki taraf bad raha tha, bachche jo meri jindagi ban chuke the, jinke liye meri jaan hazir thi, unki ye tamanna main kabhi poori nahi kar paaunga. Maine kabhi ye chah nahi rakhi ke mere apne bachche hon, Anil aur Ruchika mein mujhe sab kuch mil gaya tha. Meri deen duniya in teen se shuru hoti aur inpe hi khatam ho jaati.
Hamne Delhi chhod Bangalore ke bahri ilake mein ek resort le liya tha aur uske pass hi ek kamre ka flat aur liya tha jahan mein rehta tha, dhire dhire meine weekends Suman ke saath gujarne shuru kar diye the, ham ek dusre ke poorak ban chuke the, bas is rishte ka koi khas naam na tha ye bas dosti thi jo dil ki gehrayiyon se nikal usi mein sama jaati thi.
Sochte sochte mere kadam mujhe yantra chalte kisi machine ki tarha mere flat tak le aaye the . Main seedi pe kadam rakhne hi vaala tha ke mobile baj utha, aur main khayalon se bahar nikal aaya, main apne flat ki seedi ke pass khada tha ye jaan mujhe hairani hui.
Mobile pe Ruchika ka naam flash ho raha tha.
Maine call receive kari.
‘Papa kahan chale gaye aap. Hamne aisa to kuch nahi manga jo aap ghar se chale gaye aur maa hai ke bas roti hi ja rahi hai. Abhi ke abhi vapas aao.’
Khat call cut gayi aur main mobile ko ghurne laga.
Mobile ki screen pe muskati hui Suman ka chehra tha jo mujh se keh rahi thi – Bin fere ham tere.
Mere kadam vapas Suman ke ghar ki taraf bad chale. Aaj bachchon ko shayad ye samjhane ka waqt aa gaya tha. Kuch rishte aise bhi hote hain jinhen koi naam nahi diya ja sakta.
Mere aur Suman ka rishta bhi aisa hi tha. ‘ deh na bani dulhan to kya, pehne nahi kangan to kya, bin fere ham tere, bin fere ham tere.’
Mere kadam teji se Suman ke ghar ki taraf bad chale, kuch der pehle jo main khud ko jawarbhate mein dubta hua mehsus kar raha tha, vahan se main uchal ke tarita hua bahar nikla, mujhe naye saal ka tohfa mil gaya tha .. bachchon ke dil mein mere liye aseem pyaar . Varna aaj ke bachche bade bhudon ko Old Age Home ka raasta dikha dete hain.
Mere Chehre ki muskan gehri hoti chali gayi jaise usmein teen muskane aur jud gayi hon.
Ham ek dusre ke liye the – Bin fere.
The End.
______________________________
Kya Aisa Bhi Hota Hai Voh sham Kuch Ajeeb Thi Jism Ki Pyaas Sex On Beach