Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Xossip Ultimate Story Contest 2013
#46
PARTNER
pawankamdev123

Alok ki aur meri pehchaan hotel ke bar mein huyi... huva aisa ki sabhi tables khachakhach bhare huye the... sirf ek corner ke table ki chair par Alok baitha tha... meine ekdam namra aawaj mein unse pucha... "koyi aanewala hai kya...?" sip lete lete ruk Alok ruk gaya... naam baad mein pata chala mujhe... usne naa mein sar hilakar apna pura glaas ekahi ghont mein khaali kar diya...meine baithate hi order de di... hum dono ki brand same thi... woh bhi smirnoff lekar baitha tha.. ekbaar daaru ka brand milne par dosti bhi ho hi jaati hai...

Alok ka jwellery & diamonds ka business tha... idhar (mumbai mein) uski business tour thi... pichale chaar din se Alok ki shuruvat hi ek chote se peg se hoti thi aur khatam bhi usi se... koyi partner nahi tha isliye... aaj unko dil se lag raha tha ki koyi toh partner chahiye... aur usi time mein wahan pohoch gaya... aur kuch der ke liye unko ek 'drinking partner' mil hi gaya...

Bar mein ki dosti ab ekdusre ke ghar tak pohoch gayi thi... 'fir kya karte ho tum...?' uske sawal ka jawab, "mein security officer mein hun' ye mera jawab sunkar hi uska aadha nasha utar gaya... uske maathe par bal dekh kar meine baat ko sambhalte huye kaha, "mein aaj chutti par hun..." ye samajte hi woh thodasa relax huva... uske baad fir jo ekbaar shuru huva...

"Ravi, tumhara life matlab ekdam adventures, gun, gunda, encounter vagaira vagaira, hamara apna sirf eka hi sales tax, service tax, income tax... hamare jaise logon ke activities ko tax... saala, tax free life hi nahi hai..." Alok ne wapas pura glass ek hi dam mein khaali kar diya...

"line change karo Alokji..." mein apna dusra peg khatam karne ke piche tha...

"abhi... Ravi, abhi toh shuruvat ki hai aur abhi wapas line change karu...?" Alok ne ice ke tukde glaas mein daalte huye bola...

"woh bhi barabar hai... dhyaan mein hi nahi raha mere..." meine apna khali kiya huva glass table par rakha...

"aaj thandi jyada hai kya re Ravi...?" Alok ne peg bharte huve pucha...

"rahne de... apne paas jaalim upaay bhi hai iska..." mein usko firse apna bhara huva glass dikhata bola... uspar woh thoda hasa...

"Ravi tu khud is line mein ghusa... ki tera baap bhi is line mein tha...?" Alok ne pucha...

"pitaji nokri karte the... typical middle class clerk... mujhe toh kuch alag karna tha... isliye security officer mein bharti ho gaya..." mein bola...

"filhal rehta kidhar hai tu..?"
"filhal rehta toh idharich... chembur mein hun...."
"ye, tu Jaawed ko pehchanta hai kya...? antop hill ke crime branch ke office mein hai woh... mere car ka matter huva tha tabhi mila tha mujhe..." Alok ne pucha...

"aap puch rahe ho ki... meri jaanch kar rahe ho..."
"are, nahi yaar, yaad aaya isliye puch raha hun..." Alok ne glass ko muhn se lagate huva bola...
"jada maja kismein aata hai...?" Alok ne ek alag hi sawal kiya...

"matlab...?" mein glass mein ice bharta huva bola...
"wohi re... gundon ke saath maaramari karne mein yaa fir encounter karne mein...?"
"ismein maja kaisi Alokji...? maja toh mein murder mystrey solve karu usme hai... kabhi kabhi toh ismein dimaag ki batti gul ho jati hai..."

"tere huva kya kabhi...?" Alok haste huve bola...
"bohot baar..."
"ek kaam kar... ek aise hi mystrey suna... mast timepaas hoyega dekh..." Alok ne aagrah kiya..

"mistrey...a..a.. han...? ek latest hai... jabardast aur interesting... woh solve huyi bhi aur nahi bhi... murderer tak pohoche bhi nahi ab tak... woh kaun hai yeh bhi pata nahi abhi tak..." mere bolne mein ka khed samaj aaya usko...

"interesting..." Alok mystrey mein ras lene lag gaya...

"4 saal pehli ki ghatna hai yeh... meri posting tab pune mein thi... roj ke chote chote case se bored ho gaya tha... kuch toh naya aur alag case solve karne ki ichcha thi... woh udhar puri ho gayi..." meine apna peg khatam kiya... "rojmarra ki tarah chauki par baith kar crime chart dekh raha tha... itne mein ek phone aaya... phonewaale ne khet mein ek aadmi gira hai bataya... mein do hawaldar lekar jald se jald wahan pohoch gaya... woh aadmi udharhi pada huva tha... meine najdik jaake dekha toh pata chala ki woh aadmi kabka khatam ho gaya tha... lagbhag 50 ke upar ka gruhasth tha woh... sharir se ekdam majbut tha.. sharir par kidhar bhi jakhmon ke nishan nahi the... meine uske honth check kiye... koyi vishbaadha ya kuch hoga lekin woh bhi nahi tha... par ek tha uske chehre par dard saaf saaf dikhayi de raha tha... marne se pahile use bohot taklif huyi hogi... heart attack aaya hoga meine tark lagaya... baad mein panchnaama aur dusre karya... gawahon ki jaanch huyi... isi mein ek gawah se pata chala ki us aadmi ke saamne ek buddha bhikari bhi tha... meine jaldi se sabko usko dhundane mein laagaya... aakhirkaar godavari nadike paas woh mil gaya... gawah ne uski jaanch ki... meine buddhe se sawal kiye... woh udharka hi bhikari tha... uske paas se yahi jaankari mili ki woh uske paas tab bhik maang raha tha... achanak uska chehra dard maare laal pad gaya... sharir ainthne laga aur usne dono hi haton se apna sar pakad liya... lagbhag 2-3 minutes mein hi woh ludhak gaya... yeh dekh kar aur ghabra kar woh udhar se bhaag gaya tha... panchanama ke baad uske paas ka mobile aur dusre kagazpatra check kiye... us aadmi kaa naam... Dhannalal shah tha..."

"kaun...?" uska naam sunte hi Alok aashcharychakit huva...
"Dhannalal Shah... kapdon ka vyapari... bich bich mein ekadh din sair karne ki aadat thi uski... us samay sab janchpadtaal ke dekha lekin sabki statement wahi thi..." meine glaas firse bharna shuru kiya... Alok ekdam shant hoke mujhe dekh raha tha... meine glass mein ice daali aur ek sip liya... bolte bolte gala sukh gaya tha mera... sip lete hi jara sukun mila...

"jald hi postemartem ka report aa gaya... dimaagh ki nas fatne se mrutyu... meine doctor ko phone milaya... par rog kaa koyi bhi back report nahi tha... achanak ek aadmi ek sarvajanik jagah par dimaagh ki nas fatne se marta hai yeh baat jara kuch ajib nahi lagti..."

"woh jadu-tona usmein kuch nahi tha kya...?" Alok ne nashe ki haalat mein pucha...
"Alokji, mera aise andhshraddha par vishwas nahi hai.. par jo huva woh bohot ajib tha... aage ki kaaryvaahi ko shuruvat huyi lekin... woh kaise aur kahan se shuru karein yahi samajh mein nahi aa raha tha... unke gharwalon aur sage-sambandhiyon se puchtaach karne par bhi kuch haasil nahi huva... lekin fir bhi yeh prakaran yahin par nahi ruka... lagbhag 8 din ke baad ek party mein jaane ka awasar mila... mumbai mein thi party... mere ek khaas dost hai Sikendar Sarkar... unko milne ke liye gaya tha... party kisi Munnalal..."

"Munnalal...?" fir se Alok ascharyachakit huva...
"kyun...! kya huva...?" meine apna peg khatam karte huve pucha...

"kuch nahi... naam jara pehchana saa laga... puraa naam kya...?" Alok ke haath ka kampan meine dekh liya tha... usko jyada ho gayi hai yeh jaan liya tha meine...

"Munnalal Singh..." Alokka pura chehra soch mein dub gaya... chehre par ke bhaav samay samay par badal rahe the... mein un bhavon ko padhne ki koshish kar raha hun aisa use laga...

"are glass dekh naa... khatam hone ko aaya hai..." usne mera dhyaan glass ki taraf ekatrit kiya... glass aadhe se jyada bhara huva tha...

"fir kya...?" Alok ne mujhe baat jaari rakhne ko kahi...

"mein, sikandar aur uske kuch dosto ko saath paarty ka luft utha raha tha... achanak ek halki si chikh ne mera dhyan udhar aakarshit kiya... Munnalal apne dono hathon se apna sar pakad kar ludhak gaya tha... bohot sa dard uske chehre par dikh raha tha... uske najdik jo khade the woh uske paas daud pade... paas hi ke nursing home mein lekar gaye usko... par tabtak bohot der ho gayi thi... meine udhar ke security officer incharge ko phone lagakar use yahan aane ke liye bol diya... meri pehchan use batayi... punaa se meine sab reports mangaye... dono hi mrutyu mein saamyataa thi yeh pakka tha... lekin yeh khun tha ya fir accidential death thi kuch pata nahi... tabhi bhi mujhe woh case solve karni thi... meine us incharge ko sab idea dekar mujhe puri jaankari dene ki anurodh kiya... do alag alag businessman, alag alag jagah, lekin ek jaisi hi mrutyu... soch kar hi dimaagh ghumne laga tha mera... kuch bhi samjh nahi aa raha tha... ek mahina ho gaya... file mere table par padi huyi mujhe hi chidhaa rahi thi..." mein ruk gaya... Alok ka pura sharir kapataa huva sa mujhe laga... pasina bhi aaya tha use...

"fir kya huva...?" aawaj mein hi kampan mehsur ho raha tha... haath mein ke glass ka sip lena bhi bhul gaya tha woh...

"fir ek mahine baad mujhe naagpur se phone aaya... inspector Prem ka... same case aur isbaar laash thi kisi Virubhai Jethalal ki..."

"Viru bhi..." Alok ke hath kaa glass girne ko huva...
"kya huva Alokji...? tabiyat kharab hai kya aapki...?" mein man mein dar gaya unki haalat dekh kar...

"fir woh mila ki nahi...?" Alok ne khud ko sayyam dene ka prayas kiya...
"kaun...?" meine pucha...
"jisne yeh sab kiya woh...?" Alok ne jara khijte huve hi pucha...

"relax Alokji... koyi milega aisa sawalhi paida nahi hota... kyunki yeh khun nahi the..." meine unko samjhane ka prayas kiya...

"tin jan... tin jan mar gaye... woh bhi eka hi style mein aur yeh khun nahi hai...?" Alok khijte huve bola...
"Alokji woh sab chaar aadmiyon ke saamne hi mare hai... kisi ne bhi unhe hath tak nahi lagaya... fir kisi par bhi shak ki gunjayish tak nahi thi... unka ekdusre ke saath kuch bhi sambhandh nahi tha..." mein abhi bhi usko samjhaa raha tha...

"kaise nahi tha...! rahega hi... tin jan marte hai... ek jaise aur unka aapas mein sambandh nahi kaise rahega...?" Alok khud se hi baatein kar raha hai aisa kuch pal ke liye mujhe laga...

"exactly... meine bhi wohi socha aur usi drishtikon se dhudna shuru kiya... aakhirkar ek dhaaga mil hi gaya... Munnalal ke pita ne Jethalal ka photo pehchan liya... woh dono dost the... uske baad shah kaa photo mila dono ke sath group photo... ek kadi puri ho gayi wahan par... fir aage ki karywahi..." mere haath kaa glass meine kab ka niche rakha tha... Alok ko chadh gayi hai aisa mujhe laga lekin fir bhi woh hosh mein tha.. pura hosh mein...

"kya milaa... kya usmein...?"

"paast ka kuch bhi dhundna itna aasan nahi rehta hai Alok ji... fir bhi dhundaa... woh sab Delhi ke... un sab ne... paacho ne hi milkar ek dhandaa shuru kiya... partnership mein... jamin kharid kar bechne ka... business mein pakad baith gayi... isliye unhone shuru kiya june purane bunglow kharidne ka karobar... aise hi ek june bunglow ke khodkaam mein unko praachin murtiyan mili... unmein se ek ne... Jayantilal ne nirnay liya ki yeh sab sarkar ko de dena chahiye... lekin kisi ko bhi yeh baat jachi nahi... unhone uski baat ko nakar diya... sab sampatti aur murtiyon ko lekar woh log rafuchakkar ho gaye... aur Jayantilal akela pad gaya karjdaron ke saamne... jina mushkil ho gaya uska aur usne aatmhatya kar li... Jayantilal ki patni aur ladke ko bhaga diya gaya unke ghar se... woh log maharashtra mein aa gaye... puna yaa nagar mein... koyi toh tha unka wahan par... lekin aage kya huva kuch bhi pata nahi chala... tumhein kuch pata hai Alokji...?"

"mujhe...? mujhe kya maalum...?" Alok pasine se lathpath ho gaya tha...
"Alokji aap akele hi bache hai unmein se... bohot kadhinayi huyi aapko dhudne mein... tumhare 3 doston ko kya huva yeh sirf aapko hi pata rahega, hai na...?" mein Alok ke thoda aur najdik huva...

"sahi mein mujhe kuch bhi pata nahi... aur mujhe abhi abhi pata laga ki woh log mar gaye hai... humne nirnay liya tha ki apna apna hisaa lekar kahin bhi jaakar rahne ka... ekdusre ko milne ka bhi nahi... hum kabhi bhi kisi se nahi mile..." Alok bola...

"fir aap choad kar baaki sab kaise mar gaye...?"

"mujhe nahi pata... sahi bol raha hun mein... Ravi, mujhe nahi pata... aisa kaise kaun mar sakta hai...? yeh jaadu-tona rahega... Jayantilal ka bhut hoga... usne hi maara hoga..." Alok ki aankhon mein dar saaf dikhayi de raha tha...

"Alokji, agar Jayatilal ko kuch bhi karna hota toh usne tabhich kiya hota... itne saal nahi rukta woh... hamare theory anusaar ismein ek toh aapka haath toh rahega ya fir aap bhi usi prakar maare jaaoge..." mein ab apne pure policiya andaaz mein aa gaya tha... Alok ka pura sharir pasine se naha raha tha... jaise ki uski mrutyu kisi bhi kshan darwaja pit kar aayegi...

"meine kuch nahi kiya..." Alok sahi bol raha tha, kyunki uski dehboli se toh aisa hi lag raha tha...
"fir Alok aap hi humko us vyakti tak lekar jaaoge jo yeh sab kar raha hai... nikalta hun mein... be alert..." mein darwaja ki taraf badha...

"matlab yeh koyi toh kar raha hai...?" Alok ne aascharya se pucha...
"han Alokji, woh kaun hai pata chal hi jayega abhi..."
"lekin kaise...?"
"shikar karni hai toh lalach toh dikhani padegi... idhar woh lalach aap ho Alokji... usne woh tin khun kiye huve hai aur woh uske chauthe shikar ke paas jarur aayega..."

"ye Ravi, tu confuse mat kar yaar...? kabhi bolta hai khun nahi hai, kabhi bolta hai khun hai... haath nahi lagaya fir usne khun kaise kiya...?"

"yeh sab yogvidya ka prataap hai Alokji... yogaa ka use kar ke sharir mein viddyut lahar nirman karte hai... woh lahar sadharan sima se chahiye udhar bhej sakte hai... kisi bhi vyakti par... aadmi ke sharir 108 mul sthan hai... dimaagh bhi usi mein aata hai... baara fut ki sima se ye lahar aasani se kisi ke bhi dimagh mein bheji jaa sakti hai... is vajah se dimagh ki nasein fatna maamuli baat hai..."

"aisa hota hia...?"
"hota hai na Alokji... lezar kirnonse chirfaad nahi karke bhi operation hota hai naa... yogaa ki mahima agaadh hai..."
"lekin tujhe kaise malum huva...?"
"Jayantilal ki dharmpatni yogpravin hai Alokji... south mein usne apni shiksha puri ki... anek prachin parampara south mein aaj bhi shuru hai... jaanch mein haath dhoke piche laga toh sab maalum padta hai..."

"matlab mujhe bhi woh waise hi maaregi..."
"han... yeh agar badle ki aag hai toh aap aakhri kadi ho... Alokji..." mein darwaje par se unse sanwad kar raha tha...

"yeh nahi hoga... ye Ravi... tu idharich ruk aaj ki raat..." Alok ne darte huye kaha...
"jo hona hai woh hokar hi rahega Alokji... 25 saal pehle aap logone jo paap kiye hai woh usi ki saja hai tumhein..." mujhe ab uspar ghinn aane lagi thi...

"mein sab band kar ke leta hun... fir woh mujhe kaise maaregi...?" Alok ladkhadate huye khada huva...
"yeh karke lo Alokji..." usne khidki band ki aur meri taraf palte... mein shant khada tha...

"ab kaise maaregi...?"
"Alokji, uske liye yeh sirf tarjani (anuthe ke bajuwali ungali...) kafi hai..." meine unki taraf apni tarjani uthayi aur Alok ka chehra dard ke maare laal padne laga aur dono hathon se apna sar pakad liya...

"mere maa-baap ke sukhi sansar mein tum charo hi jimmedar ho Alok... tum logone tumhare partnership ke rules ka paalan nahi kiya... profit ho loss... partnership mein sab bhi hissedari rehti hai... paancho ko sahi sahi hissedari milni chahiye... aur aaj tum logon ke partnership ka sahi tarike se ant huva hai..." jeb mein se un paanch doston ka photo nikalkar meine use Alok ke taraf fenka aur darwaja band kiya...

THE END
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 10-11-2024, 08:02 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - Yesterday, 10:14 AM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)