Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Xossip Ultimate Story Contest 2013
#43
Fanaa..
mrindia.only


“ Good morning Sir “ kamre mein daakhil hote hi maine saamne baithe teeno logo ko salute kiya

“Good morning Major“ badi si table ke peechhe baithe huye mere senior officers mein se 1 ne kaha “ please sit down”
Main turant hi unke saamne padi kursi par baith gaya , unn teeno ne pehle ek doosre ki taraf dekha aur fir 1 ne meri taraf dekhte huye bolna shuru kiya
“jaisa ki tumhe inform kiya gaya tha , yeh 1 bada hi important mission hai …aur tumko sirf isliye chuna gaya hai kyonki tum humare sabse kaabil afsaro mein se ho ”

Jawab mein maine dheere se sar ko hilaaya
“ Major …” iss bar baat dusre officer ne shuru ki thi ” maamla yeh hai ki Manali se 50 km door kuchh terrorists ne ek college ki building par kabja kar liya hai …. Jis samay unhone wahan hamla kiya uss samay college ka ek cultural programme chal raha tha .. bachcho samet kareeb 250-300 log wahan maujood they … “
“ohh…” mere muh se nikla

woh aage bolte jaa rahe they “ aur iske alawa 1 VIP, jo wahan cheaf guest bhi thi unke kabje mein hain … humein unn bachcho samet uss VIP guest ko bhi unn terrorists ke kabje se chhudana hai aur koshish karni hai ki koyi casualty na ho “

“ I will try my best Sir ...kya unn logo ne koyi demand ki hai “ maine poochha
“ filhal to nahi “ pehle officer ne kaha “ lekin humein yeh maloom hai ki yeh log kis group se related hai ..inka 1 commander hamaari jail mein hai ..yeh shaayad usko chhodne ki hi demand karne waale hai ..”
“ ohh ….” Maine lmabi saans li aur kaha “ lets discuss the plan …”

Agle 1/2 ghante hum chaaro table par sar ko jhukaye apna plan discuss karte rahe .. fir maine wahan se vida li .. kamre se nikalne se pehle main unse poochhna nahi bhoola

“ Sir .. woh VIP personality kaun hai jo unke kabje mein hai ?”

“ ABC party ki leader Ms. Sapna Chaudhary” unke muh se nikle shabd mere sar par kisi bomb ki tarah gire … apne chehre par koyi bhi bhaav laaye bina maine unko salute kiya aur wahan se baahar nikal aaya
½ ghante baad army ka special plane Manali ki taraf jaa raha tha aur saath hi mere dimaag mein umadte huye mere khayalaat mujhe 12 saal pehle ki taraf le gaye they ….

--------------------------------------------------------

Mujhe abhi tak yaad hai jab uss raat maine uss se pehli baar apne dil ki baat ki thi …dhundhlati huyi shaam ko hum dono mere ghar ki chhat par khade , saamne door tak faile huye kheto ko dekh rahe they ….aur tabhi maine dheere se , bina uss-se nigaahe milaye kaha tha

“ Sapna…. I.... love you” yeh 3 shabd bolne ke liye kitni himmat chahiye mujhe uss din pehli baar pata laga tha
woh kuchh der mujhe dekhti rahi fir … uske chehre ke rang achanak badalne lage they .. lagataar aa-jaa rahi muskurahat ke saath uske chehre par kabhi-kabhi asmanjas aur gusse ke bhav bhi aa rahe they
“kya keh rahe ho Sameer ….? Tumhe pata hai na ki tumne abhi kya bola ?”
“ mujhe maloom hai Sapna …. Maine jo kuchh bhi kaha , woh main bahut dino se tumse kehna chahta tha … ya shaayad bahut saalo se”
“ tum paagal ho Sameer …bilkul paagal ….tumhe nahi maloom ki jo kuch tum chah rahe ho , waisa nahi ho sakta “ usne jhallate huye se kaha aur fir ek baar mere chehre ko dekh kar wahan se hati aur tezi se seediyon ki taraf chali gayi

Main Sameer Garg .. ek chhote se kasbe ke gine-chune logo mein se mere papa ki ginti hoti thi .. papa yahan ke sabse ameer logo mein se 1 they …kitni saari jameen , dukaane , godaam , gaadiyan humaare paas ti … Wahin Sapna ke papa bhi haisiyat ke maamle mein hum logo se kuchh hi kamtar honge … woh bhi jameendar they aur sabse badi baat thi unka ek national level ki political party se juda hona
Hum dono ke ghar aamne-saamne hi they aur iss naate din bhar ek doosre ke ghar hum dono aate jaate they … bachpan se hi saath saath bade huye aur kab mere dil mein uske liye pyar ki bhaavna paida ho gayi mujhe khud ko bhi nahi maloom pada
Saath-saath bade hone ki wajah se hum dono ki pasand aur aadte bhi kaafi milti thi …aur shaayad yahi humari gehri dosti ki wajah bhi thi , lekin iske baavjood kuchh baatein aur bhi thi jo humare ek hone mein sabse badi rukawat thi …. Hum dono ka alag-alag jaati se hona aur humaare gharo ke rehan sahan mein bada antar …. Sapna apne papa ki iklauti santaan thi aur 1 rajnaitik parivar se hone ke kaaran usko har tarah ki aazadi mili huyi thi , wahin mera parivaar poori tarah se rudivadi tha .. ghar ki aurto ke liye sirf 1 hi kaam tha .. ghar-grihsthi ko sambhalna … aur ek sabse bada antar hum dono mein the , humaari umra ka fark … Sapna mujh se 3 saal badi thi

Fir uss se baat karne ka mauka mujhe 3-4 din ke baad hi mil paaya …shaam ke samay woh apne ghar ki chhat par khadi thi , aur mujhe maloom tha ki uske Papa abhi ghar par nahi hain …main mauka dekh kar uske ghar pahuncha aur seedhe hi apne matlab ki baat shuru kar di “tumne meri baat par kuchh socha “
Uske chehre par fir se alag alag bhaav aane –jaane lage .. fir mujhe dekhte huye woh boli “ tum jaante ho.. hum dono ka ek hona possible nahi hai ”
“ lekin kyon …??hum achchhe dost hain , humaare parivaar bhi aapas mein ek doosre ko maante hain ..fir humaare ek hone mein kya rukawat hai ….” Maine uski aankho mein jhaankte huye kaha
Woh kuchh der meri nigaaho ka saamna karti rahi .. fir apni nazro ko neeche jhuka liya .. aur kuchh seconds ki khamoshi ke baad boli …
“ tum mere liye kya kar sakte ho Sameer ?”
Bada ajeeb lekin seedha sa sawaal tha ….aur mujhe apna jawaab aaj tak yaad hai , wahi jo shaayad har ek premi apni mashooka se kehte hoga

“ main tumhare liye apni jaan bhi de sakta hoon Sapna ….lekin sirf apna pyar saabit karne ke liye hi nahi … main tumhare saath jeena chahta hoon aur ho sake to tumhare saath hi marna bhi ”

“ kehna aasan hai Sameer … lekin hum dono ko maloom hai ki yeh sirf kehne ki baat hai ..” usne meri taraf be-basi se dekhte huye kaha
“ achchha …yeh batao ki tum mujh se pyar nahi karti ?? “ maine achanak hi uss se yeh sawaal kar diya , jisko sun kar woh pehle to chaunk gayi , kuchh second sochne ke baad apna sar inkaar mein hila diya
Mujhe ek-dum aisa laga ki jaise kisi ne mera kaagaz ka mehal ek hi jhatke mein tod diya ho …kuchh second uske chehre ko dekhte huye main aage baat karne ke liye shabd dhoondhta raha , fir naakam hokar muda seediyon ki taraf chal diya

Kuchh hi kadam aage badha honga ki uski aawaz sun kar fir se ruk gaya …“ suno Sameer “
uske itna kehte hi main peeche mud kar fir se uski taraf dekhne laga .. woh dheere-dheere chalti huyi mere paas aayi aur boli
“ dekho Sameer ..yah sahi hai ki main tumse pyar nahi karti , lekin tum mere sabse achchhe dost ho aur ho sakta hai ki meri feelings tumhare liye change bhi ho jaaye …. Isliye agar humaari shaadi ki baat hui to main inkaar nahi karoongi …lekin shaadi ka proposal tumhaare ghar se aana chahiye ”

Uske muh se itna sunte hi maano mere armaano ko fir se pankh lag gaye … main kuchh palo ke liye khushi se maano paagal sa ho gaya … uss-se bina kuchh kahe aur be-wajah hansta hua main apne ghar waapas aa gaya
mere dil mein ek ummeed ki kiran jag gayi thi , jo agle kuchh hi dino mein bujh bhi gayi

mere ghar mein mummy-papa ke alaawa 2 bade bhai aur bhabhiyan bhi thi .. maine apne dil ki baat apni bhabhi se kahi aur fir unse yeh baat bhaiya se hoti huyi papa tak bhi pahunch gayi … uss hi raat meri peshi papa ke saamne ho gayi … papa ne mujhe samaajik sharm-o-lihaaz aur asulo ke bare mein 1 lamba-chauda lecture de diya.. maine bhi himmat karte huye apni muhabbat ki purjor pairvi ki .. lekin meri koshish naakm hi saabit huyi … papa ne bilkul saaf-saaf keh diya ki mujhe Sapna ka khyaal bhi apne dil se nikaalna hoga ….aur-to-aur , woh tabhi jaakar Sapna ke papa se bhi mil aaye aur saari baat unko bhi bata di

Agle din main fir se Sapna se mila , lekin uska abhi bhi wahi faisla tha ki agar dono ghar raaji huye tabhi woh mere pyar ko sweekar karegi … meri laakh duhai ke baad bhi usne apna faisla nahi badla aur main fir se apna toota hua dil lekar waapas apne ghar aa gaya

Uss hi raat main eek bada faisla kar liye ..apna ghar chhodne ka ….maine mummy papa ko bata diya ki main aage ki padhai shahar mein karoonga .. papa ne turant hi haami bhar di , shaayad yeh soch kar ke Sapna se door reh kar main usko bhool jaoonga

Mujhe aaj bhi yaad hai jab main shahar ja raha tha .. Sapna apne ghar ki chhat par khade hokar mujhe dekh rahi thi ..uski aankho mein 1 ajeeb si uljhan aur be-basi ke alawa mujhe kuchh katre uss pyar ke bhi dikhayi diye jiski liye main naa jaane kab se tadap raha tha

shahar mein aakar main poore dil se apni padhai mein lag gaya …..Sapna ki yaadein mere jahan mein hamesha rahi lekin pyar se jyada ek tees ki tarah ….. jald hi Indian army ki special recruitment mein mera selection ho gaya … 4 saal ki training ke baad mujhe posting bhi mil gayi …..2 saal baad hi mujhe Anti terrorist unit mein bhej diya gaya … 4 saal mein maine 3 bade operations ko ba-khubi anjaam diya aur mujhe jaldi-jaldi hi promotion milte-milte Major ki rank mil gayi
Army join karne ke baad mera ghar jaana bhi kam ho gaya … aur akhiri baar 6 saal pehle apni mummy ki maut ke baad hi ghar gaya tha , Sapna se meri aakhiri mulakaat bhi tabhi huyi thi … usske baare mein mujhe khabre milti rehti thi .. pehle apni bhabhi se phone par , aur fir akhbaro aur Tv se … mere jaane ke kuch hi saalo ke baad unn logo ne bhi apna ghar chhod diya tha .. uske papa ko party ne MLA ka ticket de diye tha … jismein woh jeet bhi gaye they .. fir minister ki post milne ke baad unki position aur bhi strong ho gayi .. dheere dheere unhone apni pehchan national level par kaayam kar li thi , aur saath hi Sapne ne bhi .. jo ab unki rajnaitik virasat ko aage badha rahi thi

maine to kabhi shadi karne ke baare mein socha bhi nahi tha , aur uske baare mein bhi mujhe yahi maloom tha ki usne ek baar shadi ki thi , jo successful nahi huyi aur kuchh hi mahino mein usko apne pati se alag hona pada

Achanka lage jhatke se mujhe maloom pada ki hamara plane apni manzil par aa pahuncha hai

------------------------------------------------------------------------------------------
Goliyon ki aawazein ruk ruk kar aa rahi thi … pichhle 4 ghante se chal raha hamaara yeh operation apne antim padav par tha
Yeh ek kaafi bade area mein faila hua residencial college tha , jiski main building par kareeb 20-25 terrorists ne uss samay kabja kar liya tha jab college ka annual day chal raha tha … aatankvadiyon ki demand thi ki jail mein band unke commander aur 3 saathiyon ko chhor diya jaaye ..Hum log college ki building mein raat 12 baje ke baad , 3 alag-alag taraf se ghuse they … bahut dheere-dheere aage badhte huye apni manzil ke kareeb pahuchne waale they …college ke saamne se hamare kuchh saathi ruk ruk kar firing kar rahe they , jo inn aatankvadiyon ka dhyan bantane ke liye thi … iss operation mein mere saath 2 captain rank ke officer bhi the ..hum teeno 1-1 group ko lead kar rahe they aur aapas mein Bluetooth devices ke through baat kar rahe they .. raaste mein jo bhi aatankwadi humein dikhayi pad raha tha usko hum khatam karte chal rahe they , yeh dhyan rakhte huye ki koyi jyada awaaj na ho ………1 group first floor par uss bade se hall tak pahunch chukka tha jahan saare aatankwadi aur hostages they
“ Sir … yahan andar kareeb 5-6 log bache hain … should we start final attack “ yeh mere saathi captain ki aawaz thi
“ just reverse count for 60 seconds and start at 0 ……I am sending Ranga for your backup ” maine usko samjhaya …Captain Rangnathan teesre group ko lead kar raha tha
Hum sabne apni ghadiyon ko check kiya aur reverse counting shuru kar di … saath hi saath hum tezi ke saath first floor par maujood uss hall ki taraf badhne lage jahan saare lo maujood they , lekin ek doosre ko cover karte huye
60 seconds poore hote hi poora first floor goliyon ki tad-tadahat se goonj ootha ….First group ne unke oopar attack kar diya tha aur baaki 2 groups ne cover dete huye wahan maujood hostages ko baahar nikaalna shuru kar diya

Terrorists ko shaayad itni jaldi hamle ka andesha nahi tha .. attack hote hi unhone humaare saathiyon par andha-dhundh firing shuru kar di aur wahan se bhaagne ka raasta dekhne lage …lekin unka yeh plan bhi kaamyab nahi hua … 1-1 karke woh sab humaari goliyon ka shikar hote rahe

1-1 kar ke saare hostage hall se baahar aa gaye lekin woh 1 chehra mujhe dikhayi nahi pada jisko meri nigaahein dekhna chah rahi thi … fir maine unmein se hi 1 teacher se poochha
“ yeh log Sapna ji ko iss hall se nikaal kar kahin aur le gaye they ….” Uss teacher ne bataya to main chaunk gaya

Maine turant hi Capt. Ranganathan ko apne paas bulaya .. “ Ranga .. tum yahan sambhalo , main Sapna ji ko dhoondhne jar aha hoon , inn logo ne unko kisi aur jagah rakha hua hai
Kyon ki humne ground floor ko pehle hi dekh liya tha .. isliye maine 2 jawaano ke saath milkar pehle first floor ke rooms ko dekha aur jab humein wahan bhi kuch nahi mila to hum bhaagte huye neeche building se baahar aa gaye …. main building se kuchh hi door par 1 aur chhota sa administrative block tha .. hum bhaagte huye wahan pahunche aur 1-1 kamre ko dekhna shuru kar diya … kuchh hi minutes baad meri talaash poori ho gayi

Yeh 1 store room tha jahan kaafi saari racks aur files bhari huyi thi … Sapna ko gathri ki shakal mein wahan baandh kar daala gaya tha … main uske paas pahuncha aur niche ko baith kar usko hilaate huye awaaz di ..
“Sapna … Sapna ….aankhe kholo Sapna ”
woh aadhi behoshi ki haalat mein thi … meri awaaz sunkar uski palke hili .. fir uske shareer mein ek thar-tharahat si huyi .. kuchh der ki khamoshi aur fir usne maano apni poori taakat lagaate huye apni aankho ko khol diya …

“Sapna … main hoon , Sameer ”

“Sa…Sameer…….k...kaun Sameer” uske muh se tute-fute se swar nikale … fir usne apni aankho ko 1 baar band kar ke fir se khola .. aur jaise mujhe pehchan-ne ki koshish karne lagi ….. uski aankho mein kuchh hi der ke andar darr , aashcharya , be-basi aur dard ..1 saath sab kuchh mujhe dikhayi diya .. aur fir woh mujhe pehchan gayi

“Sameeeeer…….” Maano cheekhte huye woh boli ….mujhe aisa laga jaise woh khauf ke maare mujhe awaaz laga rahi hai .. main usko sambhalne ke liye uski taraf badha aur yahi meri galti saabit huyi … 1 tez vaar peechhe se mere sar ke oopar kiya gaya tha … iss hamle se main abhi sambhal bhi nahi paaya tha ki dard ki ek tez lehar mere kandhe mein se hokar guzar gayi … mujhe kisi ne peeche se kandhe par goli maari thi … main mudne ki koshish karta uss se pehle hi ek aur goli mere oopar chali jo mere haath mein se hoti huyi nikal gayi ….main kuchh der ke liye maano be-sudh ho gaya tha

Kuchh hi der ke baad mujhe fir hosh aaye .. Sapna ab wahan nahi thi .. poora jor lagakar main utha aur dard ko peene ki koshish karta hua , baahar ki taraf bhaaga … mere kandhe aur haath se lagataar khoon beh raha tha … …maine poori taakat lagate huye apni chaal tez kar di aur block se baahar aa gaya
Baahar aate hi mujhe ruk jaana pada … building ke left side mein ek bada sa maidaan tha , jiska 1 sira road se milta tha aur 2 taraf khayi thi jiske siro par lakdi ki baad lagayi huyi thi …..pichle side waali khayi wahan se kareeb 200m door thi
Maidaan ke beecho-beech 1 jeep khadi huyi thi jiske peechhe kuchh halchal mehssor ho rahi thi … aur mere saathi jo maidaan mein lage pedo ke peechhe chhipe huye they ,unhe gherte jaa rahe they
Achanak jeep ke peeche se 1 sar baahar nikla…… fir doosra aur teesra … unmein se 1 Sapna thi , aur baaki 2 log terrorists …. turant hi ek jordaar awaaz aayi
“ Sab log peechhe hat jaao , nahi to hum madam ko uda denge…”Maine gaur se Sapna ko dekha to mujhe maloom pada ki uske shareer par ek belt baandhi thi …unn dono ne Sapna ko Jeep mein baithaya aur khud uske dono taraf baith gaye ..unmein se 1 ne gaadi ko start karne ke liye haath badhya …meri nigaahe chaaro taraf hoti huyi kuchh hi door 1 ped ke peechhe chhipe huye apne saathi Captain Amar se mili , maine haath ki 2 ungliyon se usko ishara kiya , jiska jawaab usne mujhe aankhe jhapka ke diya aur apne haath mein thami huyi rifle unki taraf taan di … maine bhi apne revolver ka rukh driving seat par baithe huye aadmi ki taraf kiya , 1 baar Amar ki taraf dekha aur fir trigger daba diya

Amar ki goli bilkul sahi nishaane par lagi , uss doosre aadi ke sar mein goli lagi thi , lekin mera hi nishana chuk gaya .. goli driving seat par baithe aadmi ke kandhe par lagi .. maine turant doosra fire uske sar par kiya …. Goli lagte hi woh jeep se ludak kar baahar gir pada …mere sabhi saathi apni apni jagah se baahar nikal kar jeep ki taraf daude .. aur saath hi main bhi , apne jakhi shareer ko sambhalne ki bharkas koshish karte huye
Abhi min jeep tak pahuncha bhi nahi tha ki Captain Amar ki awaaz sunkar mujhe ruk jaana pada

“ sab log peechhe hato … inhone bomb ko active kar diya hai ….” Saare log kuchh kadam peechhe ko hat gaye … jab main jeep ke paas pahucnha to maine dekha ki Amar badi gaur se Sapna ke shareer par bandhe huye bomb ko dekh raha tha ..mujhe apne paas dekhte who alert hokar bola
“Sir ..marne se pehle isne bomb ka remote dabakar usko active kar diya hai “

“ to kya hum isko defuce nahi kar sakte ….”

“ Sir.. yeh ek automatic, bahut hi sensitive aur powerful bomb hai , ek baar active hone ke baad isko hum rok nahi sakte “

Main uss belt ki taraf dekha jo Sapna ke shareer se bandhi huyi thi .. jismein lagi huyi ek digital ghadi 4 minute 30 second dikha rahi thi aur har ek gujarte pal ke saath time kam hota ja raha tha

“ Lets remove the belt….” Maine kaha aur fir khud uss belt ko hatane ke liye Sapna ki taraf jhapta ..agle 2 minute tak hum uss belt ko kholne ki koshish karte rahe , lekin uska automatic lock humse nahi khula .. har 1 pal ke saath humari nirasha aur Sapna ke chehre par khauf ka saaya gehra hota ja raha tha

“ mujhe nahi lagta ki hum isko khol paayenge Sir … humein inko yahan se door le jaana padega ….agar yeh bomb yahan fat gaya to aur logo ki jaan bhi …” kehte huye Amar ne apni baat beech mein hi chhor di …. Uski adhoori baat ko main achchhe se samajh gaya tha aur shaayad Spana bhi
Usne be-basi se mujhe dekha aur boli ….” Tum yahan se hat jaao Sameer … main jeep lekar khayi ki taraf chali jaati hoon ”
Mere liye yeh faisle ki ghadi thi … maine 1 baar Sapna ki taraf dekha , fir Amar ki taraf aur fir nishchay karte huye jeep ki driving seat par baith gaya
Woh dono samajh gaye they ki main kya karne waala hoon … Amar ne kuchh kehne ke liye muh khola hi tha ki maine haath utha kar usko ishara kiya ….” Peechhe hat jaao Amar …. Its an order …quick”
“ kya kar rahe ho Sameer ………tum paagal to nahi ho gaye ho” Sapna ne mere haatho ko pakadte huye kaha .. lekin tab tak main jeep ko start kar-ke aage badha chukka tha .. ek U turn lekar maine gaadi ko khayi ki taraf dauda diya

--------------------------------------------
Wahan se khayi tak ka 200 meter ka faasla meri jindagi ka shaayad sabse haseen safar tha .. kuchh hi seconds mein Sapna mere aur najeek aa gayi .. aur fir aakhir mein apna haath mere gale mein daalte huye bilkul mere se chipak gayi
“ maine apna waada poora kar diya hai Sapna…tumhaare saath jindagi na sahi , tumhare saath maut to mujhe mil hi rahi hai ”

Aur uske baad , gaadi ke khayi mein girne se pehle usne apne honth mere kaan ke paas laakar pehle mere gaal ko dheere se chuma .. aur fir woh teen shabd kahe jinko kehne ke liye maine na jaane kitne saalo tak intezar kiya tha ….aur sun-ne ke liye saari zindagi … apni maut tak
______________________________
Be Honest , even when it hurts

visit my threads -
Sarhad ke paar...( completed) , bewafa....(completed),
Akela.....
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 10-11-2024, 08:02 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 04-10-2025, 09:52 AM



Users browsing this thread: 7 Guest(s)