Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Xossip Ultimate Story Contest 2013
#38
. . Chup Samandar . . .
.iShaina09
.
.
Main ne aur Mumbai ne 1 sath aankh kholi thi. Meri aur usski bhaag daud 1 saath shuroo hui.
Mumbai bilkul 1 saada mizaaj dost ki tarah tha jiss ne mera haath pakadte huay na meri haisiyat poochi na mere rung-o-nasal ka hisaab kitaab lagaya aur bohat saare mehnat karte haathon mein khade hone ki jagah kisi sakhi ki tarah bakhshish kardi.
Main ne issi bhaag daud issi gehma'gehmi mein 1 dinn shadi bhi karli.
Zindagi ne karwat li phir pata nahin kaun badla, MAIN ya ZINDAGI...?
.
Magar ghar mein 3 bachchon ke saath zindagi ko naye dhang se jeene ka 1 naya pandorabox khul gaya.
Bachchon ko ya to sirf paalna tha ya insaan hone ke maayeno se aagah bhi karwana tha.
Biwi ne kaha jo hum jee rahe hain hum ne wahi zindagi thaali mein rakh kar apne bachchon ko nahin parosna.
Yoon tay hua bachchon ko taaleem bhi dilwani hai.
Roshni ki kiran ghar mein aane lagi to zindagi ki kuch badsuratiyaan aur numayan hone lageiin.
Achcha khana, khilana zaroori nahin magar bachchon ko achcha khila kar pehna kar bhejne mein, Meri aur Neelam ki bohat saari khwaahishein zindagi ke mahajan ke haath girvi rakhdi gayein.
.
"Halaat achche huay to yeh khwaahishein yeh sapne hum phir se jeeyeinge."
Main usay aur woh mujhe tasalli dekar jeene ki umang bharti rehti yahan tak ke bachchon ne achcha padh likh kar Mere aur Neelam ke silayi ke kaam ko Boutique ka naam dekar behtar andaaz mein shuroo kardiya.
Ghar mein aasaniyan aur reelpeel hone lagi.
Mere bade betay ka 1 rider tha jo kaam ke silsile mein bohat aham tha.
Aamir aksar usay ghar laane laga.
Bohat jee huzoori wala bachcha tha.
Ghar ka eklota supporter tha doosre behan bhai abhi chote the aur ussi par inhesaar karte the.
Bohat mehnati aur apni jagah banane ka hunar jaanta tha.
Uss mein mujhe apni ghareebi ki saari kahani teh-dar-teh saans leti mehsoos hoti thi.
Usski aankhein bohat bade sapne dekha karti theiin.
"Mumbai se dosti kab hui...?"
Main ne 1 dinn sawaal kiya aur woh hole se hans pada.
"Jab bachpan se dosti khatam hui."
Main ne chaunk kar dekha.
"Bachpan se dosti kab khatam hui...?"
Uss ne mere kandhon par haath rakh kar kaha.
"Jab zindagi bohat zyada kadwa such bolne lage, pait roti maange to bachpan se dosti khatam hojaati hai uncle. Yeh to ehsaan hai tumhare Mumbai ka, iss ne dhakke de kar nikala nahin apne andar se balke haath pakad kar kaha jaao jitna hausla hai mehnat karo jitna iss shehar se apna hissa le sakte ho lelo..."
"Iss shehar ne kabhi kaan mein kaha jitna chaaho cheen lo..."
Main ne naye tareeqe se usay parakhna chaha aur woi muskura diya.
"Mumbai samandar ki tarah hai buraayian pee jata hai, khamosh rehta hai, chup ke kaan laga kar humein sunta hai aur wahi deta hai jo hum chaahte hain, haq maango haq milta hai, khairaat maango khairaat milti hai, daaka daalo to haath nahin rokta magar buri aulaad ki tarah wapis palat aane ki umeed lehron mein har roz bahata hai."
"Tum to likhaari ho achche khaase."
Main ne saraha to aur woh serious hogaya.
"Such sochna itna mushkil nahin kehna aur likhna, so uncle jee main kabhi likhaari nahin bann sakta."
"Kyun nahin bann sakte tum likhaari...?"
"Kyun ke mera qalam jhoot likhne mein bada ziddi hai, badi aana kaani dikhata hai..."
.
Woh roz aata aur main har roz usski baaton se kuch na kuch seekhta rehta.
Phir pata chalat usski behan ki shaadi tay hogayi, Main ne Aamir ko usski madad karne ko kaha aur unnhi dinon Mumbai mein hungaame phoot pade, Aamir ke 2 consignment buri tarah nishaane pe aagaye.
Tab Mohit crisis mein aagaya.
"Behan ki shadi ke liye 1lac hai magar 2lacs ki bohat zaroorat hai. Apni class se oopar rishta jodd diya Pita jee ne..."
Woh pareshaan tha aur Aamir alag pareshaan ke woh usski mada kaise kare aur innhi crisis ke dino mein 1 jagah dhamaka hogaya, Aamir ghabraya hua ghar se bahir nikla.
Mohit usska samaan lekar 1 market mein apne 1 puraane client ke paas gaya tha.
Main usske saath tha.
Poori raat hum pareshaan se the.
Mar jaane walon ki list lag gayi thi.
Tabhi Aamir ne aakar usske baap ke kandhe par dukh se haajh rakha tha.
"Uncle sabar karein..."
Usska baap dhay sa gaya tha aur khud main deewar se jaa laga iss kadwe such ko peene ki koshish kar raha tha.
Ussi waqt 1 sarkaari banda aaya.
Iss blast mein har marne wale ko 3-3lacs ki grant di jaayegi.
Main ne dukh se socha tha usski khwaahish'mandi usski maut bann gayi thi.
.
Magar woh phir bhi apne ghar walon ko bohat kuch de gaya tha.
Aamir nidhaal tha tab usske number par call aayi thi.
Usske chehre ka josh zindagi, mein samajh nahin paya.
"Woh issi hospital mein hai Abba..."
Woh bhaaga tha. Hum dono boodhe usske peeche bhaag rahe the.
Woh zakhmi tha. Usski marham pat'ti horahi thi shayada 2-3 maheene lagne the usay theek hone mein.
Magar usske baap ke chehre ka dukh.
"Ab meri beti ki shadi kaise hogi, Jameel sahab ab meri beti ki shadi..."
Usska baap phoot phoot kar ro raha tha
aur
Main sakte ki haalat mein Mohit ko dekh raha tha.
Pita ka jumla uss ne pata nahin suna tha ya nahin magar uss ki aankhon ka samandar jawaar'bhaate utha raha tha.
Aamir usski khairiyat pooch raha tha aur mujh mein usske baap ka bus 1 jumla goonj raha tha.
"Ab meri beti ki shadi kaise hogi, Jameel sahab ab meri beti ki shadi...???"

Mumbai bohat se dukhon ki tarah shayad isay bhi pee jaaye magar mera dil aaj bhi iss jumle mein chhupi hui be'basii par kaanp uthta hai.
.
Kya Aisa Aap ke Dil ke Saath Hota Hai...???
.
.
.
. . . . . . . . . . . . THE END . . . . . . . . . . . . .
______________________________
I Only Know That... I KNOW NOTHING...
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 10-11-2024, 08:02 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 04-10-2025, 08:55 AM



Users browsing this thread: 13 Guest(s)