04-10-2025, 08:19 AM
Asli Hero
Raazis king
"Kon sa station hai?" mene Ankit(apne husband) se pucha.
Unhone jawab diya "Khandwa Junction."
Raat ke karib 9 baje honge. Hum Shirdi se aa rahe the. Humne Sachkhand express Manmad se pakdi thi karib 4:30 baje. Humara reservation 1stAC me tha humare cabin me kewal hum do log hi the baki ki dono seats khali thi.
"Langer ji langer." esi awaz lagate do log humare coach me chade, wo wahan ke kisi gurudware ki taraf se langer baant rahe the. Hum khana kha chuke the so humne langer lene se mana kar diya. Cabin ka darwaza band karke hum dono baithe the or Sone ki taiyari karne ja rahe the.
Tabhi darwaze par dastak hui, Ankit ne darwaza khola. Ek karib 6 feet lamba vyakti kurta paijama pehne huye andar aya uske hath me do bag the jo usne humare samne wali seat ke niche rakh diya or Ankit se kaha "Humara reservation hai." Ankit ne ok kaha or mere bagal aa kar baith gaye. Awaz mujhe jani pehchani se lagi magar wo nazar-andaz karte hue seat par chadar bichhane me vyast thi.
Me chadar bicha ke baith gayi tab tak wo vyakti dubara bahar ja chuka tha baki saman lene. Wo dubara andar aya magar mene uski taraf dhyan nahi diya or bahar dekh rahi thi. Tabhi uske piche se ek ladki or ek bujurg vyakti andar aye. Mene unki taraf dekha, Us ladki ne ghunghat kiya hua tha gale tak jisse uska chehra dikh nahi raha tha. Lamba kad tha or laal saree pehne huye thi, Gore hath or Hantho pe kafi chudiyan or mehendi rachi huyi thi, jise dekh kar koi bhi bata sakta tha ke uski abhi shadi huyi hai ya fir kisi shadi se laut rahi hai.
Wo bujurg vyakti uske sasur the, wo ake seat par baith gaye magar wo khadi hi rahi. Or unka beta sare saman thik se laga raha tha.
"Beta baith jao." unhone kaha.
"Nahi Papa ji. me thik hu." us ladki ne jawab diya.
Unhone apne bete se kaha "Beta ghar pahuchte hi phone kar dena. Yahan hum shadi nipta kar tumhe bata denge kab ana hai fir tum hume station lene aa jana."
"Thik hai magar koshish kariyega jaldi se jaldi ane ki." us ladke ne jawab diya. Is bar uski awaz ne mera dhyan apni taraf khicha uska chehra dekh kar me shock ho gayi. Ye to Karan tha. Aj use mene karib 5 saal bad dekha tha.
Wo bujurg khade hue or kaha "ab me chalta hu train chalne wali hai."
Ladki ne jhuk kar unke pair apne anchal ke sath teen bar chuye. Jo ye dekha rahe the ke wo ladki kisi sabhya gharane ki hai. or fir boli
"Papa ji apna or mummy ji ka khyal rakhiyega. or Jaldi Delhi aayiyega hum intezar karenge." wo khadi hi thi, use apne sasur ke age baithna shayad uchit nahi samjha.
Fir us Karan ne unke pair chuye or gale mila fir wo unhe train se niche chhodne chala gaya wo. Ab wo ladki seat par baithi magar abhi bhi usne ghunghat nahi khola tha. Me kisi bhi tarah uska chehra dekhna chahti thi or apna shak dur karna chahti thi ke jo me soch rahi hu wo sach to nahi.
Idhar Ankit mujhse dabi awaz me uske sanskaro ki tarif kar rahe the. Jese kehna chah rahe ho ki tumhe isse kuch sikhna chahiye. Mujhe jalan hone lagi mere jalne ki wajah saaf thi ki mera husband mujhse hi kisi or ki tarif kar raha tha.
Train chal padi, koi ek minute baad Karan andar aya or pucha ke "kuch logi? Cold drink ya chips?"
Fir usne apna ghunghat khola mera shaq sahi tha wo Maya thi. Is bar mujhe koi shock nahi laga bas me nazare churake unki taraf dhire-dhire dekh rahi thi. Maya ne kuch bhi lene se mana kar diya or bahar dekhne lagi.
Karan ne ek nazar hum dono par daali uske chehre se saaf lag raha tha ki wo bhi thoda shocked hai hume yahan dekh kar. Wo Ankit ko janta tha magar wo Karan ko nahi jante the. dono me batein shuru ho gayi
Ankit: "Delhi ja rahe hai ap log?"
Karan: "Ji."
Ankit: "Ye train lagbhag kitne baje tak pahuchegi Delhi?"
Karan: "Karib 11:30 baje tak."
Ankit: "ok. Actually hum pehle bar safar kar rahe hain is route par isliye hume pata nahi hai. mene socha ke kahin esa na ho k hum sote reh jaye or Delhi nikal jaye."
Karan: "Nahi, ap tension mat lijiye aram se pahuch jayenge."
Or bhi kayi baatein huyi dono ke bich magar mene un baato par dhyan nahi diya kyuki us waqt mere ankho ke samne guzre waqt ki tasvire chal rahi thi. Jinme me kho si gayi thi. Ab Ankit mere sath baith gaye me unse hans hans kar baatein karne lagi. Or Ankit ke ab tak hansil kiye gaye awards or safaltaaon ko baton baton me yaad dilati jise wo muskura kar sun rahe the. Lekin ye sab Ankit ke liye nahi tha. Me to Karan ko suna rahi thi ki me Ankit jese kamyab pati ke sath kaamyab career me hokar kitni khush hu. Wo hi mere "Asli hero" hain. or Karan or Maya ki tarah hum aam logon ki aam jindagi nahi jee rahe hain.
Kuch der baad Ankit ne mujhe kaha ke ab lait jao, me bhi lait jata hu. Ye keh ke wo upar wali seat par chale gaye. Karan ne puch kar lights off kar di. Magar wo dono baithe hi the or kafi dhimi awaz me ek dusre se baat kar rahe the. Thodi der baad wo dono bhi lait gaye. Mujhe neend nahi aa rahi thi. use chidhaya to tha magar mujhe pichli yaado ne pareshan kar rakha tha.
Mujhe college ke din yaad aa rahe the. Tab Karan esa nahi tha tab uski height 5'5'' hogi mujhse do inch jyada. Uske physics me ab kafi badlaav aya tha. Wo college ke dino me mera boyfriend tha, Pehla boyfriend ya fir pehla pyar hi kaha ja sakta hai or dusre the ye Ankit jo ab mere pati the. Nature tab bhi uska ese hi somya or suljha hua tha. Hum college ke pehle din se hi dost the baad me best friend bane or fir humare bich pyar aa gaya. Maya humari sabse achi friend hua karti thi. Hum dono ki best friend mujhe pata tha wo Karan ko pasand karti hai magar mujhe usse kabhi koi jalan ya pareshani nahi huyi
uski wajah thi Karan bahut loyal kism ka sacha boyfriend tha wo mera. Jab bhi agar hum ladte the to Maya hi humari ladayi suljhati thi, Maya humare bich sari misunderstandings dur karti thi or agar wo kehti thi ki galati kiski hai to hum apni galati maan bhi lete the.
Fir meri mulakat ek din Ankit se ek shadi me huyi. Unki height body or personality Karan se kayi guna behtar thi. Mera jhukav unki taraf bad gaya. Wo Ph.d kiya hua ek doctor engineer the or Karan kewal apne college me us year ke students me master mind tha. Ankit achi company me the unki salary itni thi ki wo apni 6 mahine ki job me hi khud ki car le chuke the. Ankit mujhe pasand karne lage the ye baat mujhe unhone khud batayi thi. Mujhe bhi unke sath samay bitana acha lagne laga. Jahan Karan ko mere mummy papa se milne me dar lagta tha wahin Ankit ka mere ghar ana jana tha or mummy papa ko bhi wo bahut ache lagne lage the.
Karan ke liye us waqt apna bas career matter karta tha or Ankit ke liye sirf me. Ankit ab mere liye Karan se jyada khas ho gaye or akhirkar humare beech duriyan badh gayi jisse fir ek din humne breakup ka roop de diya. Mere usse akhiri shabd the ki "Mujhe Aam logo ki tarah tumhare sath aam jindagi nahi jini." Mujh par to koi asar nahi tha kyoki mere paas Ankit the lekin Karan ke paas Maya thi. Is baar Maya ka bhi koi chakkar mene nahi chalne diya. Mene apne bright future ke aage pehle pyar or dost dono ko kurban kar diya. Baad me pata chala ki Maya ka proposal Karan ne 1saal 8 mahine baad uske birthday par accept kar liya tha. Lekin ab mera unse koi lena dena nahi tha. Mujhe apni company me Ankit ne achi post par joining dilwayi or hum dono ne milkar ab tak kayi award jeet liye the. Sach me wahi mere "Asli hero" the jinhone mujhe bhi ese mukam par pahunchaya tha.
3 saal me sab kuch badal chuka tha. Ek Ankit ki wajah se hi aj me in dono se or middle class family se dur thi or bahut jyada khush bhi, kam se kam Maya ki tarah saree pahan kar saas sasur ki aav bhagat to nahi karni padti. Ankit ke sath rehkar pachaso employee humare aage pichhe ghumte hain. Ye sochte sochte mene unki taraf dekha or dono ek dusre se baat karke muskura rahe the uske baad undono ne bhi apni apni seat pakad li or me nind ate hi so gayi.
Achanak raat ko meri ankh khuli mene blanket ko thoda sa utha kar dekha to khidki ke bahar se aati huyi roshni me dekhayi diya ki Karan kuch kar raha tha. Jab mene dhyan diya to dekha ki wo ab kute paijame ki jagah half black tshirt or black pant me tha. Us waqt uski body dekh kar meri akhein jese nikal aayi. Ek dum tarashi huyi body, mujhe laga shayad ye ab bodybuider ban gaya hai. fir socha itni raat ko kya kar raha hai. Itna besharm to nahi ho sakta ki Maya ke sath coach me hi romantic ho jaye. Lekin dhyan diya to pata chala Maya wahan nahi thi. Ab train aage badh gayi jisse khidki se andar ane wali roshni chali gayi or fir se cabin me andhera ho gaya.
Koi 2 minute hi huye honge ki cabin ka darwaza khul or Maya andar ayi shayad dress badalne gayi thi ab usne bhi wesa hi ek black top or black pant pehni thi. Usne akar seat ki chhoti light jala li. Thodi der unhone baith kar ekdum dhimi awaz me kuch baat kari. Fir bag se Karan ne kuch nikala me samajh nahi payi ki wo kya tha. Lekin jab undono ne use pehna to dekh wo bullet proof jacket thi. Me shock hogayi or ab thoda ghabrahat mehsus ki. Samajh nahi aya ki kya ho raha hai. Uske baad dono ne upar se ek full tshirt pehni jisme kayi sare pocket the kamar par or seene par. fir Karan ek tablet par kuch karne laga utni der me Maya ne pistol use di jisne use apni kamar par laga li. fir kuch saman or diye jo me pehchan nahi payi. unhone sari pockets me kuch na kuch bhar liya.
Ab cabin ka darwaza khul. Do fauji andar aye hath me rifle liye huye. Andar ate hi unhone Karan or Maya ko salute kiya. Ye dekh kar me ek dum shock ho gayi. Abhi station par inka roop kya tha or ab sachchayi kya hai. Isharo me Karan ne kuch samjhaya or wo chale gaye. Uske baad Maya meri taraf badhi mujhe uthaya or mujhse boli "Hum army ki special force se hain, aap upar ki seat par lait jao or kuch bhi ho jaye utarna mat jabtak sab kuch normal na ho jaye. Is train par hamla hone wala hai."
Me shocked reh gayi or ghabra gayi. Karan ne Ankit ko samjhaya or ab kala nakab pehna or pura black covered ho gaya. Ab train ek thodi dhimi thi or achanak ruk gayi, Karan utha or Maya se gale milkar bahar nikal gaya. Maya wahin rahi, shayad use is wahin rukna tha wo nahi gayi. or aram se wahi dono window ke bich khadi ho gayi. Ab achanak se awaze ane lagi, goliyon ki, logon ki or Ankit ki. Me bhi us waqt dar se kaanp uthi magar Ankit ka dar shayad awaz ke roop me nikal raha tha. Maya use chup rehne ko kehne lagi magar jab wo chup nahi huya to usne 1 kapda uske muh par rakha jisse wo behosh ho gaya. or ab sirf goliyon ki logo ki awaze aa rahi thi. Mere haath pair thande pad gaye the, or dil to jese sine ko khatkhata kar bahar ana chahta tha. Mere muh se to awaz bhi nahi nikal rahi thi. Mene bas akhein band kar li or sikudti chali gayi.
Pata nahi kitni der huyi thi mujhe dar ke aage to ek-ek pal bhari tha. Khidkiyo ki khanak se pata chal raha tha ke goli idhar bhi chal rahi hai, hum wahan hote to shayad mar chuke hote. Tabhi achanak cabin ka darwaza khula mene upar se hi ankhien khol kar dekha, do naqabposh se andar ane lage achanak bahar se hi ek goli si chali or jo pichhe ki taraf tha wo wahin gir kar mar gaya or ek andar chala aya. Ab mere dar ki seema nahi thi, bas apni maut nazar aa rahi thi. Lekin achanak se us hamlawar ne Maya par apni pistol taan di. Me roti ja rahi thi or dar se pili hote hote marne hi wali thi. tabhi Maya ne uska gun wala hath pakda or ghuma diya jisse hamlawar ki peeth ab Maya se chhune wali thi magar usi bich Maya or uske bich Maya ki pistol aa gayi or Maya ki goli uski dil ke paar ho gayi. Wo wahin gir pada, or Maya jese ek ke bad dusre shikar ke liye taiyyar hogayi.
Ab ye dekh kar mujhme thodi himmat ayi kam se kam koi mujhe bachane wala hai. Mene dubara akhein band kar li or sab kuch khatm hone ka intezar karne lagi. Pata nahi kab sab khatm ho gaya. Maya ne mujhe hila kar uthaya or usi waqt Karan mask hatate huye andar aya or usne Maya ko gale laga liya. Fir dono niche padi us hamlawar ki laash ko dekhne lage. Bahar halka savera hone laga tha.
Karan- Bas ek, wese nishana acha tha.
Maya- Thank you, tumhe koi chot to nahi ayi.
Karan- nahi sirf kuch kharochen hain thik ho jayengi.
Maya- thank god.
Karan ne apne collor par lage mic se sabko alert kiya ki misson over chuka hai or Karan niche jhuk kar us laash ki talashi lene laga. Me khoon dekh kar wese hi mari ja rahi thi ki achanak ek fauji achanak wahan aa gaya. or usne Karan par apni pistol taan di. Karan isse pehle uski taraf dekhta usne goli chala di. lekin Karan or goli ke bich Maya aa gayi or wo goli uske kandhe par lagi. Karan cheete ki furti se uski taraf jhapta or uski gardan ko darwaze ke kone par tikate huye uski gardan ke pichhe esa punch mara ki uski gardan jhool gayi. me to cheekh padi lekin Karan ne meri taraf dhyan diye bina Maya ko uthaya.
Or use seat par turant leta kar bag se kuch nikala. Ab me niche aayi. Dono lasho ka dar mere man me nahi tha. Dekha to Karan ne kuch injection jesa nikal kar uski baah me jakhm ke paas lagaya. or uske baad dard se tadapti Maya ke hatho se goli nikalne laga. Ankhon me ansu liye huye mushkil se usne ye kaam kiya magar goli bahar ho gayi. Uske baad Karan ne uske jhakhm par ek cotton ka tukda rakhte huye use gale laga liya.
Karan- ye kya kiya Maya.
Maya- chhota zakhm hai. or fir tumhare liye to kuch bhi.
Karan ka pyar uske ansuo se jhalak raha tha or uske pyar ne Maya ka dard kam kar diya tha or wo muskura kar uski goad me lait gayi or Karan ne fir uski zakhm par patti bandh di. Me bas dekhti rahi, esa hi pyar mere liye tha iska. Mere kitni badi chiz kho di. Pyar me marne wale bahut hote hain lekin pyar me jaan lene or dene ka hunar Karan me hi tha. Kitni khushnaseeb thi Maya or kitni badnaseeb me.
kuch minut baad fauji log wahan aye, Karan ko salute kiya. Karan ne sari lash le jane ko keh diya or Maya ne baki medical attention lene se manaa kar diya. Train ab chal padi. Lashe wahan se le jayi ja chuki thi. Mene undono ka shukriya adaa kiya. Unhone ne bhi fir mujhse baat ki. Bataya ki unhone college ke bad CDS ke jariye military me entry li or ab special force me hain. Maya esa nahi chahti thi magar usne Karan ke liye esa kiya. Is coach me kuch top secrect jaa raha tha jiski suraksha me wo tainaat the. or unhe pata bhi tha ki hamla hona hai or isi coach me hona hai. Fauji ki vardi me wo hamlawar mila hua tha unse jo ab mar diya gaya tha. Ankit abhi tak behosh tha uski bahaduri dekh kar mera mood kharab tha, ladkiyon ki tarah chillata hua. uska behosh hona hi acha tha.
Ab Jhansi station aa chuka tha. Wahan par military puri taiyari ki sath khadi thi. Unhone sari laashen or wo top secret samaan bhi utar liya or fir train chal padi Dilli ki taraf. Ab mujhe apne past ki batein yaad aa rahi thi or mujhe apne gaal par thappad padte mehsus ho rahe the. Sach me Karan mera nahi Maya ka hi pyar deserve karta hai. Me shayad uske liye ese apni jaan khatre me nahi daalti, Kabhi Maya jesi na ban paati.
Delhi tak Ankit ko bhi hosh aa gaya or wo dar se abhi bhi thar-thar kaanp raha tha. Maya ab sare pehne huye army equipment utaar kar Karan ki goad me sar rakhkar so rahi thi, Us pyar ki aagosh me jo mujhe Ankit se kabhi nahi mila tha. or Karan bhi shant sab kuch rakh kar bas Maya ka khayal rakh raha tha. Ankit bhi undono ko dekh kar hairan the magar dar se kuch kehne layak hi nahi the. Kisi tarah Ankit ko samhalte huye train Nizzamuddin pahuch gayi thodi late ho gayi thi.
Wahan par bhi military maujud thi. Tabhi train rukte hi ek senior office andar aaye Karan ne Maya ko utha diya. Dono ne officer ko salute kiya. fir
officer- Congratulations Captian. Is everything ok?
Karan- yes sir, Maya thodi ghayal hai sir.
officer- Liutenant Maya, how are you now?
Maya- i m fine sir.
officer- Laashe to utari ja chuki hain. baki aam logon me koi ghayal to nahi hua?
Karan- nahi sir, sab surakshit hain.
officer- ok ye baat media se dur rakhi gayi hai. or aap sab bhi is baat ko media se dur rakhen. (officer ne mujhe dekha fir Ankit ko dekha. Ankit ko daraa hua dekh kar muskura kar chale gaye wo sab, fir hum bhi utar gaye.)
Us officer ke muh se "Aam log" shabd sunte hi mujhe esa laga jese mere ghamand ka pahad mere sar par tut gaya ho. Is aam log ki sangya se bachne ke liye mene Karan ko chhod kar Ankit ko apnaya tha or aj me hi aam logon me se ek thi. Me success ke liye jise apna sacrifice samajh rahi thi, wo rasta to mujhe wahin le aya jahan se me chali thi.
Baat bhi sach thi, khaas to Karan jese log hote hain, jo apne pyar ke liye hi nahi oro ke liye mar mitne ko taiyar hote hain. Jo bhi farz ho pyar ka duty ka pure dil-o-jan se nibhate hain. Me galat sabit ho gayi thi aaj, meri har jeet, haar si lagne lagi mujhe. Is pure safar ne meri jindagi ke har pehlu ko badal diya. Sara sahi galat aaj mere samne aa gaya tha.
Ab me bahar akar Karan or Maya ko ankhon se jab tak ojhal nahi ho gaye dekhti rahi. Maya ne bhi mere dil par ek chhap chhor di thi, ek adarsh sansakari bahu ke roop me bhi or ek khatarnak fouji ke roop me bhi or jaan dene ka jazba rakhne wali patni ke roop me bhi. Bahut khaas the dono or ek dusre ke liye hi bane the.
Ab mere man me khayal aa raha tha "Asli Hero" ki paribhasha kya hai?
Wahi jo Ankit hain? Nahi nahi, Karan! wahi jo shiddat se pyar karta hai apno se or har farz se chahe wo maa baap se ho ya desh se. Jo haar nahi manta, bahadur hai, tez hai. khaas hokar bhi aam hai or Me jiske layak kabhi nahi ho sakti. Aaj mujhe garv or pachhtaavaa dono feel hota hai ke mujhe uska kabhi pyar mila tha. Ankit ke sath meri jindagi khush to hai magar wesi nahi. Ab me apni jindagi se khush to bas abhiman nahi raha.
Ab mere bete ka naam bhi Karan hai, kon maa nahi chahegi ki uska beta bhi bane "Asli Hero."
______________________________
In RESPECT of females their Age doesnot matter to me.