04-10-2025, 07:48 AM
Haqeeqat.....
The Blue Prince
Roz ki tarah mai doston ke saath raat ko ghoomne ke liye jaa rhaa hun. Meri maa bhi roz ki tarah mujhe bahar jaane se rok rahi hai. Lakin yaar aj to mere exams khatam hue hai isliye aaj to mauj masti karni hi chahiye naa. Maine apni pyaari maa ko good bye kaha aur apne dost Rohit aur girlfriend Shilpa (Dono mere mohalle mai hi rehte hai) ke saath car mai baitha aur nikal parha apni mazil ki taraf jo Sheher ke mashoor club "Night Disco" pe khatam hoti hai. Full volume chala kar Salmaan Khaan ke "Dhinchika-Dhinchika" gaane par shor machata hua apni zindagi ke jaise sabse haseen palon ko lootne mai laga hua tha. Na jane kab wo safar khatam hua aur hum teeno dost apni mazil par pahunch gaye.
Ghar ki black and white boriyat se kahin door yeh jagah rangeen raat ki mehfil mai doobi hui lag rahi hai. Hum teeno fatafat se club ke andar pahunche aur kuch hi palon ke darmiyaan hum bhi club ke andar ban rahe garam mahol ke saroor ko peene mai lag gaye.
Abhi humne haath pair chalane shuru hi kiye the ki meri jeans mai mujhe vibrations mehoos hui. Lagta hai phone aaya hai. Maine jab jeans se mobile nikal kar dekha to paaya ki meri maa ka phone tha.
"kya yaar abhi to shuru bhi nahi kiya , Sirf 10.45 hue hai aur maa abhi se ghar wapis aane ke lecture sunna parega" Maine mathe par mobile patakte hue kaha.
"Shor na yaar.......bajne de.......apne aap bandh ho jayega" Rohit ne mere hathon se mobile sheena aur meri jeans mai wapis rakh diya.
Abh to mujhe taqila shot lena parega, mera dimaag jo ghuma diya maa ne. Maine do-do taqila liye aur ghore ki tarah furti se nachne lag gaya.
"Kyaa life hai yaar......dekh sabh life ki problems bhool kar kitna enjoy kar rahe hai" Maine dance karte hue rohit se kaha.
"aur kya yaar......yehi asli life hai dost.......yehi din hai enjoy karne ke" Rohit bhi masti ke mood mai meri haan mai haan mila raha hai.
"absolutely right...Teri mom to na bas tujhe "momma's boy" hi banana chahti hai....." Shilpa ne majaak karte hue mujhe aankh maarkar kaha.
"banana chahti nahi bana diya hai....yaar i am grown up guy now. Abhi mai baccha thori hun jo mujhe har baat par tokti rahe" Maine bhi apne dil ki baat bolne mai der nahi ki.
"ik baat bolu...manega kyaa?" Rohit ne mujhse pucha.
"haan haan bol......kyu nahi?"
"Tu na ghar shor de yaar........PG mai rehne lag ja......Roz roz ki khitpat se na tera shutkara ho jayega....." Rohit kehne laga.
"Yaar baat to teri theek hai par yaar maa akeli hai.......aise shor nahi sakta yaar........" Maine kuch sochkar jawaab diya.
Hum Teeno ka dance yuhin chalta raha aur baatein bhi usi raftaar se daurti rahi. Poore din ki thakaan jo exam ke kaaran kam thi aur maa ki khitpit se jyaada wo jhat se utar gayi jab apni gf ki mulayam kamar par haath rakhte hue mai dance karne laga.Kaafi der dance karne ke baad jab nasha sir se lekar pairon tak pahunch gaya tabh hum teeno ne wapis jaane ka faisla kiya.
Car ke paas to hum pahunch gaye lakin abh problem yeh aa rahi hai ki car kon chalayega kyunki nasha to hum teeno ne kiya hua hai. Mai Rohit se kehne wala tha ki Shilpa beech mai boli" Yaar tum chalao na...dekhe to sahi "momma"s boy mai dum hai ya nahi?"
"Bilkul dam hai mujme......Aur mai yeh aaj prove kar dunga" Maine jabardast aawaz mai kaha.
"wo kaise yaar?" car mai peeche baithte hue rohit ne kaha. Shilpa bhi uske saath baith gayi.
"Tumko 15 mins mai ghar tak pahuncha kar" Maine haste hue kaha aur baat khatam hone tak mai car start kar chuka tha.
Dheere dheere car ko full speed pe lejata hua mai yehi soch raha tha ki aaj mai "Momma's Boy" ka tag apne upar se poori tarah hata kar dam lunga.
"Roz roz ki shararat se mai tang aa gaya tha. Classmates ke saath saath sabhi dost bhi mera mazaak banane mai koi kasar nahi shorte they. 18 saal ka ho gya hun mai lakin meri maa mujhe abh bhi choti class ka baccha hi samjti hai.Papa to mere tabh guzar gaye the jab mai paida bhi nahi hua tha. Bachpan se hi maa ne mujhe sambhala hai aur sambhala hi nahi hai balki mujhe itna pyaar diya ki papa ki kami kabhi mehoos hi nahi hone di. Meri maa duniya ki sabse acchi maa hai aur mai unse bahut pyaar karta hun. Lakin baat yeh hai ki woh abh mujhe samaj nahi paa rahi hai. Baat baat par mujhe tokna aur doston se milne se rokna, larkiyon se door rehne ki baatein krna....aur pta nhi kya kya. mai to sachmuch tang aa gaya hun.. Mai abh bara ho gaya hun aur khud samj sakta hun sabh kuch. Par maa to mujhe abhi bhi tiffin box lejane wala college ka baccha hi samjti hai"
"Ohh......hhhhhhh.. god ......Saamne dekho Ra...................." Shilpa ki us cheek ne mujhe neend se jaga diya lakin tabh tak bahut der ho chuki thi.
Dharam ki zordaar aawaz aayi aur Saamne ki taraf se ek aisa jhatka laga jiski wajah se mai car ke aage wala sheesha torta hua bahar zameen par ja gira. Mere sar par itna zor ka dard hua jaise kisi ne lohe ka hathora de maara ho aur baaye haath ki haddiyon ki tootne ki aawaz mujhe saaf sunayi di. Ek pal mai jaise sabh kuch shaant sa ho gaya. Maine car ki taraf dekha to dhundla sa nazar aaya ki car kisi perh se takrayi hai aur buri tarah chaknachoor ho chuki hai. Shilpa aur Rohit mujhe dikhayi hi nahi diye aur dheere dheere se meri aankhen bandh hoti chali gayi.
Jab hosh aayi to khud ko hospital mai paaya aur mere saamne doctor aur ik nurse khare hue the. Mujhe sir mai abhi bhi bhayanak dard ho raha tha aur haddiyon aise dard kar rahi hai maano hazaron keelen inme ghusa di gayi hon.
"r u feeling alright?" Doctor ne mere paas aakar dheemi si aawaz mai kaha.
"Shilpa aur Rohit kahan hai?" Mere mooh se bas ye hi baat nikli.
"Bhagwaan ka shukar hai tum bach gaye dear......agar security officer patrol ki jeep us area mai na ghoom rahi hoti to shayad tum bhi nahi bach paate" Doctor ne jawaab diya.
"Mai bhi nahi..........mere dost kahan hai?" Mera matha thanka aur maine ghabrahat mai pucha.
"Woh ......." Doctor ne mere sawaal ka jawaab to nahi diya lakin uske chehre ki mayoosi se mujhe samaj mai aa gaya ki kuch bahut bura hua hai.
"Please doctor mujhe bataoo wo dono kaise hai?" Maine bed se uthne ki koshish ki lakin zubaan chalane ke ilawa mai kuch nahi kar paya.
"Wo abh is duniya mai nahi rahe. Unki on the spot death ho gayi thi" Doctor ne dheemi si aawaz mai mujhe kaha.
Yeh sunte hi mere paon tale zameen nikal gayi. Mujhe laga jaise mai koi bhayanak sapna dekh raha hun. Meri wajah se mere dono dost bemaut maare gaye. Abh kya hoga? Mai is boj ke saath kaise jiyunga? Mera security officer bayaan legi aur test honge aur yeh saabit ho jayega ki mai nashe mai tha. Mera career saara khatam ho chuka hai? Mera future barbaad ho gaya hai? Aur meri maa......wo kahan jayegi........are haan meri maa..............
Akhirkaar mujhe apni maa ka bhi khyaal aaya chahe sabse ant mai aaya lakin aaya to jaroor.
"Doctor please meri maa ko yahan bulayiye......mujhe apni maa se milna hai" Maine doctor se chilla kar kaha.
Lakin doctor ne iska koi jawaab nahi diya. Maine phir se zor lagakar kaha
"doctor meri maa ko bulayo. mobile no hai XXXXXXXXXX......Plzzz doctor" Maine doctor se kaha.
"shaant ho jayo my dear......tumahre upar kehar barsa hai.......Abh bhagwaan ke rang bhagwaan hi jaanta hai" doctor ne mere paas aakar mere sir par haath ferte hue mujhe kaha.
"Kya matlab aapka?" Mera shareer jaise sunn sa ho gaya aur kaampte hue maine pucha.
"Jaise hi tumahri maa ko tumahre baare mai pata chala unko zordaar heart attack aaya aur abh..........." Doctor apni baat keh hi paata ki maine beech mai rokte hue pucha.
"Kaise hai woh...............?" Mera shareer buri tarah se kaampne lag gaya aur aisa laga maano meri zindagi ki maut ho gayi ho.
"Unko hospital laane tak bahut der ho gayi thi....wo tabh tak dam tor chuke they" Doctor ne saari baat keh daali.
"nahi aisa nahi ho sakta..........yeh kya keh rahe ho aap? itna sabh kuch aise ho sakta hai.........please koi to batao.......aisa nahi ho sakta" Mai buri tarah se foot foot kar rone laga aur Sochne laga kaash mai itni raat ko bahar naa jaata? kaash mai apni maa ki baat maanta? kaash mai itni sharaab nhi peeta? kaash mai ahankar mai aakar nashe mai hone ke bawjood car nahi chalata? Kaash mai apne doston ko nahi khota? Kaash mai apni maa ko Samajta? Kitne khusnaseeb hote hai wo log jinki koi itni care karne wala hota hai. meri maa mera itna khyaal rakhti thi aur mai momm's boy khelwane se hi chirta raha? Kaash koi mujhe meri maa lauta do?
"Tring.....tringgggggggggg........tringgggggggg" Tabhi meri ghari ka alarm zor se baja aur mai jhatke ke saath uth khara hua. Thora hosh mai aaya to samaj aaya ki mai to koi bura sapna dekh raha tha. Mera poora shareer paseene se lathpath tha.
Ghar ki taraf dekha to subah ke 5 baj rahe they. Maine alarm band kiya aur baaghta hua apni maa ke kamre mai pahuncha to Bhounchakka reh gaya. Meri maa apne kamre mai nahi hai. Mai buri tarah se darr gaya. Maine kamre ke idhar udhar dekha aur rasoi mai bhi gaya lakin mujhe maa kahin nahi dikhayi di. Main zor se chillaya "maaaaaaaaaa?????????"
" Kya hua beta? " meri maa apne kamre se bahar nikli aur mujhe unhe dekhkar itni khushi mehoos hui ki mai bayaan nahi kar sakta. mai bhaagta hua apni maa ke paas aaya aur unko zor se gale laga liya aur rone laga.
"Kahan chali gayi thi maaa? " Maine rote rote pucha.
"Kahin nahi gayi thi beta.......bathroom mai thi........Kya hua mere laal ko.......koi bura sapna dekha kya?" Meri maa ne mere maathe par haath ferte hue kaha.
"Haan maaa.... bahut bura sapna dekha" Maine maa ki ankhon mai dekhte hue kaha .
"Koi baat nahi mere laal.....Bhool jaa us sapne ko.....sapne kabhi sach nahi hote..." Maa ne mujhe pyaar se gale lagate hue kaha.
Mai man mai sochne laga ki "Sahi kaha maa sapne kabhi sach nahi hote.......aaj tak mai sapno mai hi tha....Lakin abh haqeeqat se roz mila karuga ..........!