03-10-2025, 10:44 PM
Gunah
Rajesh sarhadi
Had deleted the story under provocation from Casinar that I have copied it from the film he has searched. Re instating my story let the Admin Decide
‘Chal tujhe Riya ka ek kissa sunata hun, uske college time ka’ Rajesh apalak Sameer ko dekhta raha. Sameer ne aage bolna shuru kiya ‘Ek din uski ek saheli Simiran kafi ro rahi thi, puchne pe pata chala ki Vikrant ne usse ji bhar ke apna dil behlaya hai aur jab uska matlab pura hogaya to use chhod diya, tab Riya ne usse pucha ki vo kya chahti hai, jahir koi bhi ladki apne pyaar vo vapas pana chahti hai to usne bhi yahi kaha’
“Fir”
‘Fir Riya to thi hi college ki jaan, har ladka usse dosti karna chahta tha,to usne Vikrant ko aaproach kiya ki use basket baal seekha de, aur ek hafte baad dono jab thoda aapas mein khul gaye to Virant ne use Web cam pe chating ke liye kaha aur Riya maan gai, us din rat ko jab dono chating karne lage to Virant ne use apne boobs dikhane ke liye kaha, is par Riya ne kaha ki pehle vo apne sab kapde uttare fir vo uttaregi. Vikrant ko aur kya chahiye tha. Usne apne sab kapde uttar diye aur Riya sab record karne lag gai. Fir usne Vikrant se nange hi pole vaulting karai aur kutte ki tarha chalwaya. Jab Riya ki baari aaii to usne Mummy aa gai hai keh kal ke liye taal diya aur chating band kar di.’
‘Fir’
‘Fir kya tha agle din Riya vo recording le ke College pahunch gai aur Simiran ko dikhaya aur Vikrant ko dhamki di ki agar vo Simiran ko nahi apnayega to vo recording puri Delhi mein fail jaayegi. Marta kya na karta Vikrant maan gaya par Simiran ke bhav badal chuke the, usne Vikrant ke munh pe chanta maar diya aur boli use kutton mein koi interest nahi, Tab Riya boli chhod is MOMO ko chal canteen chalte hain. Raaste mein Simiran ne pucha ye MOMO kya hai tab Riya ne bataya – Homosexual Motherfucker – Simiran ne pucha ye kaise possible hai , tab Riya boli fir kabhi samjhaungi ab chal mood thik karte hain’
Rajesh ka has ke bura haal hone laga aur Sameer ki ankhen nam ho gai, aaj uska dost kitne dino baad hasa tha.
‘Ye Riya kaun hai?’
Sameer Rajesh ki taraf dekhta hi reh gaya. ‘ Tujhe yaad nahi?’
‘Nahin kuch yaad nahi aa raha, tujhe bhi kahan pehchana tha- batana kaun hai ye’
Tabhi nurse andar aati hai. ‘Sameer ji ab inhen aaram karne dijiye inki dawai ka waqt ho gaya hai’
Sameer : ‘ chal tu aaram kar main kal fir aaunga’
Keh kar Sameer bahar chala jaata hai aur apni gadi pe pahunch kar phoot phoot kar rone lagta hai. Aur Rajesh apne sawal ke jawab ka intezar karta reh jaata hai. Aur socha Chalo baad mein bata dega.
Rajesh ko kuch yaad nahi tha, accident ke baad 3 mahine lag gaye use hosh mein anne ke liye aur Riya ka kuch pata nahi tha, bahut khoja ab to security officer bhi haar maan chuki hai. Riya ki body bhi nahi mili hai aur Doctor ne kaha hai ki Rajesh ka khas dhayan rakhna padega, varna use kuch bhi ho sakta hai, uske sar pe kafi chot lagi thi aur ab vo amnesia ka shikar ho gaya hai. Shayad waqt ke saath use yaad aa jaye. Aaj 4 mahine baad vo Rajesh ko ghar leke aaya tha.
Sameer apni car ke pass khada ro raha tha ki uska phone bajta hai, vo jeb se mobile nikalke dekhta hai to Riya ke dad Dr. Malhotra ka phone tha.
‘Hello uncle kaise ho?’
‘Kaisa ho sakta hai ek beti ka baap,jiski beti ka kuch pata na chal raha ho, jiska damad khud ko bhul baitha ho, kuch pata chala?’
‘Nahin uncle ab to na chahte hue bhi dil ye manne ko majbur ho gaya hai ki bhabhi ab is duniya mein nahi rahi’
‘Na beta, jab tak uski body nahi milti main ye manne ko tayaar nahi’
‘Uncle accident jungle mein hua tha kya pata….’
‘Nahi beta aisa mat bol. Rajesh kaisa hai?’
‘Saanse chal rahi hain, jism kaam karne laga hai par dimag kahin kho gaya shayad el lambi neend le raha hai. Use kuch bhi yaad nahi, use hasane ke liye aaj galti se Riya ka ek kissa sunaya tha, ab vo Riya ke bare mein puch raha hai. Kab tak usse sach ko chupaun. Maine aaj tak usse jhuth nahi bola.’
‘Bolna padega beta. Jab tak vo sambhal nahi jaata aur sach ko bardasht karne layak nahi ban jaata’
‘Koshish karta hun uncle, uski haalat mujhse dekhi nahi jaa rahi’
‘Achcha beta rakhta hun’ aur vo bharayi hui avaz aani band ho jaati hai. Sameer ek baar apne mobile ko dekhta hai aur fir Rajesh ke ghar ki taraf. Bhari kadmon se car ke andar baithta hai aur office ke liye nikal padta hai.
Rajesh ko nurse jab bhi nas mein injection lagati uske liye ek aur duniya ke darwaje khul jaate. Aaj bhi kuch aisa hi hua.
Ek aurat jiska koi chehra nahi …. Ek aadmi jiska koi chehra nahi……haathon mein haath dale samudra ke kinare…….kabhi ek dusre ko chumte,kabhi gale lagte, kabhi ek dusre se chipak jaate………..dono ke nange jism ek safed chaddar mein lipte hue……..ek aalishan ghar ki balcony mein chadte hue suraj ko dekhte hue……..camera ke chalne ki aavazen….charon taraf hasi aur thahakon ki gunj……..dono ek dusre ka haath kas ke pakadte hue ……..mombatiti ki roshni mein dinner……..aur pyaar bhare vade…..shadi ki shehnayi…..aashirwad…mubarakbad….ek lambi drive…….andhera………khalipan….sannata
Rajesh hadbada ke uthjaata hai, jism pasine se bhig chukka tha. Ye sapna use baar baar aa raha tha. Par sapne mein jo the unke chehre vo nahi pehchan pa raha tha. Uski najar samne wardrobe pe padti hai, khud ko rok nahi pata aur ladkhata hua wardrobe ke pass jaa kar use kholta hai, ek se badi suit, badiya sariyaan, lingeries, night gowns……….ek photo aur ek albuam pe uski najar padti hai , photo utha ke dekhta hai to ek bahut hi khubsurat ladki ke saath vo tha. Kaun hai ye ladki? Uska dimag puchta hai.
Vo photo ko palat ke dekhta hai pich likha tha
Hamari kahani tab nahi shuru hui thi, jab ham ek dusre ki duniya main aaye, tab shuru hui jab hame ek saath jindagi mili. Ham sirf ek dusre ke liye hi nahi bane hain, hame socha hi ek dusre ke liye gaya hai.
Nurse, nurse !! Rajesh chillata hai aur nurse dodhti hui andar aati hai
‘Aap yahan tak kaise aaye! Chaliye bistar pe’ Nurse use bistar tak le jaati hai.
‘Sameer se baat karao , abhi isi waqt’
Nurse Sameer ko phone laga kar receiver use thamati hai.
‘Sameer ye ladki kaun hai mere saath?’
‘Kaun ladki?’
‘Ye photo mein? Kya ye meri biwi hai?’
‘Tujhe kaha se mili photo?’
‘Wardrobe … tu yahan aa abhi isiwaqt’
‘han han aa raha hun 15 min bas’
Sameer ke chehre pe pasina aa jaata hai, kahin Riya ke saath uski photo to nahi haath mein lag gai. Kya jawab dega vo? Office chhod Rajesh ke ghar ki taraf nikalta hai aur raaste mein sochte hue ki maut aa jaaye aur vo Rajesh se jhooth bolne se bach jaaye. Par aisa kabhi hua hai. 15 min baad vo Rajesh ke saath tha.
Aur us photo ko dekh kar vo Rajesh ki taraf dekhta hai. Ek tees se uthti hai uske dil mein. Use bolna hi padta hai.
‘Ye tumhari biwi Riya hai’
Ye sunte hi Rajesh ka vo sapna pura ho jaata hai. Vo ladki aur ladka aur koi nahi Riya aur Rajesh hi the.
‘Kahan hai vo? Kya use pata nahi mere accident ke bare mein? Vo mere pass kyun nahi hai? Mujhse milne kyun nahi aati? Kya kya usne mujhe chhod diya hai?’ sawal puchte puchte Rajesh ka dil na jaane kitni aashankon ke maare jor jor se dhadakne lagta hai
Rajesh ke sawalon ki jhadi lag jaati hai aur Sameer andar hi andar rote hue sochta hai kya jawab dun.
‘Tune to use London bheja tha MBA karne ke liye’
‘To kya use mere accident ke bare mein pata nahi?’
‘Pata hai par ye nahi pata ki accident ne tere saath kya kiya hai, vo pura sach jhel nahi paayegi, roj tere bare mein puchti hai aur jaldi hi tere pass aajayegi, bas uski vapasi ki ticket mein kuch problem ho rahi hai’
‘Kya sara London India aa raha hai jo use ticket nahi mil rahi?’
‘Yaar agent laga hua hai aajlak airline bahut sakt ho gai hain’
‘Vo phone pe to baat kar sakti hai’
‘haan ! do din ruk main aaj Mumbai jaa raha hun, fir aa kar baat karwata hun’
‘Mujhe bahut pyaar karti hai na. Mujhe uske bare mein bata. Ktna badnasseb hun main apni biwi ko hi bhul baitha.’
Sameer bhare man se use Riya ke bare mein batata hai aur Rajesh aur bhi udas hone lagta hai.
Sameer gaur se Rajesh ko dekhta hai.
‘Kuch baaten sirf pati aur patni ke beech hi hoti hain jinhe koi teesra nahi jaanta ……….tu samajh raha hai na ..main….main..’
‘Ghabra mat dost…..jab bhabhi aayegi sab yaad aa jayega’
Rajesh ankhen band kar ke let jaata hai.
‘Achcha main chalta hun, do din baad milunga. Take care’
Sameer chala jaata hai, dimag mein hazaron sawal liye hue. Ab phone kaise aur kisse karwaun. Kab tak usse jhooth bolun.
Sameer Airport pahunchta hai, checkin karta hai aur use ek jhatka lagta hai, ek Airhostess jaa rahi thi . Sameer uske piche lapakta hai
‘ Riya! Riya !’
Sameer ko securitywale gher lete hain, vo apni pehchan deta hai aur vo log use chhod dete hain. Us Airhostess ko fir pukarta hai, uski saathi ladki usse kuch baat karti hai vo ladki mudke Sameer ko dekhti hai
‘Ji?’
‘Riya!’
‘Sorry Main Ritu Saxena hun’ keh kar vo ladki chali jaati hai aur Sameer use dekhta reh jaata hai. Vo ladki Sameer ki hi flight mein thi. Saara raasta Sameer use dekhta rehta hai aur Mumbai pahunchne tak uske dimag mein ek plan ban jaata hai.
Mumbai airport pe apna saman lene ke baad Sameer us Airhostess ko dhundta hai .
‘Mujhe aapse bahut jaruri baat karni hai’
Vo ladki gaur se Sameer ko dekhti hai, use aisa nahi lagta ki vo koi flirt hai, uske chehre pe badi sanjidgi ke bhav the.
Ritu usse baat karne ke liye tayaar ho jaati hai. Dono cafeteria mein baith kar Coffee pite hue baat karte hain. Sameer use Rajesh ke bare mein aur accident ke bare mein sab kuch batata hai aur do mahine ke liye use Riya ban kar uske saath rehne ke liye bolta hai.
Ritu gaur se use dekhti hai aur mana kar deti hai.
“Meri personal jindagi bhi hai, meri naukri hai’
‘Naukri ki tum chinta mart karo, tum vapas naukri pe aajao gi mere bahut contacts hain har airline mein’
‘Aap Chahte ho, main Riya ban kar aapke dost ke saath rahun use sambahalun. Sach kahun to aap galat kar rahe ho, uska bhala chahte ho to abhi use sach bata do. Baad mein jab main use chhod dungi tab jo sachchi use pata chalegi vo aur bhi ghatak hogi uske liye’
‘Vo main dekh lunga, tum apna faisla batao’
‘Kya main uski photo dekh sakti hun?’
Sameer use Rajesh ki photo dikhata hai jisme Rajesh Aur Riya dono the. Ritu pehle Riya ko dekhti hai to use samajh mein aa jaata hai kyun Sameer use Riya banne ke liye bol raha hai. Par jab vo Rajesh ki photo dhayaan se dekhti hai to use ek jhatka lagta hai . Ye to Raj hai. Uska pyaar jisse vo paa na saki.
Ritu apni yaadon mein chali jaati hai. Raj uske ghar ke samne hi rehta tha aur uski personality hi aisi thi ki Ritu use pasand karne lagi thi. Raj, Ritu aur uski ek saheli teeno Math ski tution lete the. Raj kabhi uspe dhayaan nahi deta tha aur Ritu man hi man roti rehti thi. Ek baar uski saheli ne use bataya tha ki Raj ne kaha tha ki vo bilkul uski girl friend ki tarha dikhti hai. Uske baad Raj kahin chala gaya aur Ritu ne apni jindagi ka raasta hi badal diya Roj Lo Moj Lo, bas Raj ki yaaden uske seene mein kahin dafan rahi. Aaj vohi Raj uske pass aanewala tha. Ritu ki ankhon mein ek chamak aa jaati hai aur vo Sameer ko haan keh deti hai. Vo apni naukri bhi chod deti hai. Use pura vishwas tha vo Raj yaani Rajesh ko itna pyaar degi ki vo Riya ko bhul jaayega aur ek din vo use sach bata kar hamesha ke liye uski ho jaayegi. Rajesh Riya ko bhula dega aur Ritu se pyaar karne lagega.
Sameer Ritu ko tayaar karta hai use Riya ke bare mein sab kuch batata hai aur Raj ke bare mein bhi. Ek kami jis par na Ritu dhayan deti hai aur na hi Sameer. Vo baaten jo sirf Rajesh aur Riya ke beech thi. Vo Ritu kaise jaanegi.
Sameer vapas aatahai, Rajesh ki baat Riya (Ritu) se karwata hai. Rajesh ki ankhon mein ansu the jo bata rahe the ki vo kitna pyaar karta hai apni patni se. Ek hafte baad Sameer Riya ( Ritu) ko Rajesh ke ghar le aata hai. Dono bas ekdusre ko dekhte rehte hain. Sameer Riya ( Ritu) ko chhod kar chala jaata hai.
Sameer ke jaate hi Rajesh Riya ( Ritu) ko godh mein utha leta hai. Uske kandhe mein tez dard hoti hai par vo parvah nahi karta aur use le kar bed room mein chala jaata hai. Dono ke honth aapas mein mil jaate hain. Ritu ko itni khushi milti hai jiska koi andaza nahi tha aur Rajesh apni patni ko apne pass pa kar fulla nahi samata.
Dono ke honth ek dusre se alag hone ka naam hi nahi lete. Prem ki aviral dhara dono ke jism aur aatma ko jakad leti hai. Rajesh uske kapde uttarne lagta hai aur Riya(Ritu) uska pura saath deti hai. Jab Rajesh uske andar samata hai to jo ahsas Ritu ko hota hai, use samajh mein aa jaata hai ki chudai ka jo maja usse aata hai jisse tum pyaar karte ho vo kisi aur se nahi aa sakta. Vo apne aatit par rone lagti hai. Na jaane kitne lund usne liye the. Ek dar uske dil mein sama jaata hai , kahin Rajesh ko sach ka pata chal gaya to. Par abhi to use vo sakun mil raha tha jiski koi seema nahi thi. Aur vo Rajesh ki bahon mein pighalti chali jaati hai.
Kuch din to bas khana khana aur chudai karna yahi kaam tha dono ko. Riya ( Ritu) Rajesh ko apne pyaar ke nashe mein dubo kar rakhti hai. Waqt gujarta hai. Rajesh ab Sameer ke saath office jana shuru kardeta hai. Uska bahut bada Advertising ka business tha jisme Sameer uske saath tha. Rajesh Riya(Ritu) ke pyaar mein khoya hua apni jindagi ko aage badane lagta hai.
Ek din dono ghar mein baithe TV pe movie dekh rahe the. Rajesh Sofe pe baitha hua tha aur Riya ( Ritu) uski godh mein sar rake leti hui thi.
‘Main kitna khusnaseeb hun jo mujhe tum mili. Main sirf ek hi aurat ka ho sakta hun aur vo tum ho aur tum sirf ek ki hi ho sakti ’
Riya (Ritu) ki dimag mein uske attit ki andhiyaan udne lagti hai . Please aisa mat kaho, vo man hi man sochti hai. ‘ haan sahi keh rahe ho’ keh kar Riya (Ritu) Rajesh ke honthon pe apne honth rakh deti hai aur dono fir ek dusre mein kho jaate hain.
Kal Rajesh ka janam din hai, Riya(Ritu) aur Sameer mil kar uske liye kuch surprise sochte hain. Riya (Ritu) shopping ke liye maal mein jaati hai aur use koi dekh kar kisi ko phone lagata hai.
Rahesh apne office mein baitha kuch kaam kar raha tha ki ek parcel aata hai. Vo use khol kar dekhta hai to………ek DVD hoti hai…..DVD jaise hi vo chalata hai uski duniya hil jaati hai. Uski patni bistar pe nangi padi thi aur use koi buri tarike se chod raha tha. Uska khul kholne lagta hai aur vo seedha ghar pahunchta hai. Sameer vahan Riya ( Ritu) ke saath surprise party ke intezam discuss kar raha tha. Rajesh ka tamtamaya hua chehra dekh dono hairan ho jaate hain.
Rajesh Riya ( Ritu) ko khinchta hua bedroom le jaata hai aur vo DVD chalata hai. Ritu ki saanse atak jaati hain. Uska ghinona attit uske samne tha. Jab use Gagan ne nasha de kar uski chudai kari thi. Aur baad mein jab Gagan ne Ritu ko blackmail karne ki koshish kari to Ritu ne kdud use hosh mein chodne ke liye kaha. Gangan bahut khush hua aur Ritu ne ne uska lund chuste waqt apne pure dant uske lund mein gad diye. Uska lund itna kata ki maas ka lothra hi reh gaya. Dard ki adhikta se vo behosh ho gaya. Ritu ne sara ghar dhunda, use vo DVD mil gai jiske bute par vo blackmail karna chahta tha. Ritu ne use jala diya aur vo shahar hi chhod diya. Aaj vohi DVD uske samne chal rahi thi.
Ritu ko ab sach bolna hi pada. Usne Rajesh se kuch nahi chupaya. Rajesh use le kar niche aaya aur Sameer ko gusse se dekhne laga.
Sameer samajh gaya ki Rajesh ko pata chal gaya hai. Rajesh Table pe sar rakh kar rone laga. Tab Ritu ne Sameer ko us DVD aur uske saath hue hadse ke bare mein bataya. Aur ab Rajesh sab jaanta tha.
Rajesh rota raha. Koi kuch nahi bola. Ek ghanta gujar gaya. Tab Rajesh achanak utha Pani ki ek bottle le kar pine laga aur fir usi bottle ko table pe maarta raha chillata raha. ‘Maine apni Riya ko maar dala. Maine apni Riya ko maar dala.’
Sameer se ab bardasht nahi hua. Usne Rajesh ko sambhala ‘ aur chilla pada –‘Vo accident tha. Tune kuch nahi kiya.’
‘Nahi, maine use maar dala. Na sirf mara, uske pyaar ki bhi beizti kari kisi aur aurat ke saath so kar’
‘Shant ho ja. Shant ho ja. Tune kuch galat nahi kiya’ Sameer use thame raha jab tak dono ki saanse tham nahi gai.
Sameer ne use Dining table ki ek kursi pe bithaya aur khud sofe pe baith gaya. Rajesh ne apna chehra apni baju mein chupa liya. Uska hilta hua badan bata raha tha ki vo ro raha hai.
‘Mujhe maaf karde Rajesh . Main tuje bata nahi sakta mujh pe kya gujri thi jab tere aur Riya ke accident ke bare mein pata chala aur Riya ka kuch bhi na pata chala. Abhi tak uski body nahi mili, vo missing hai’
‘Missing. Yaani vo jinda hai’ Rajesh ne sar utha kar Sameer se pucha.
‘Haan uski dead body nahi mili.’
‘Kya matlab- Dead body?’
‘security officer, Newspapers, Detective agencies. Kuch bhi nahi chhoda dost. Par Riya ka kuch pata nahi’
Rajesh ko ek ass bandhi thi jo tut gai.
‘Jab tujhe hosh aaya to main khush bhi tha aur dukhi bhi.Doctors ne bataya tu yadasht kho chukka hai. Shayad vapas aaye shayad nahi. Ek pal ke liye kuch aas bandhi ki tu Riya ke bare mein nahi puchega. Us din tujhe hasane ke liye galti se main khud hi Riya ke bare mein bol utha fir tere haath photo lag gai. Tab maine tujse juth bola ki Riya jinda hai. Aur us jhooth ko purakarne ke liye Ritu ko Riya bana kar main hi laya. Ritu ki koi galti nahi’
‘oh God, agar ye DVD mere paas na aati to sari jindagi main us aurat ko pyaar karta apni biwi samajh ke jo mujhe pyaar karti hi nahi’
Ritu : Nahi Raj aisa mat kaho. Main bata chuki hun vo ek hadsa tha main hosh mein nahi thi. Main sach mein tumse bahut pyaar karti hun. Mera vishwas karo’
‘Vishwas aur tum pe. Jo aurat, jisse vo pyaar karti ho, uski ankhon mein ankhen daal kar juth bol sakti hai’
‘Main sab sach bata chuki hun. Main Sach mein tum se pyaar karti hun’
‘Lekin main nahi. Main Sirf Riya se pyaar karta hun aur tum Riya nahi ban sakti’
‘Rajesh use ek moka to de’ Sameer bol pada.
‘Nahi Sameer. Riya ki jagah koi nahi le sakta. Ritu ne sirf us pyaar ko pane ki koshish kari hai jo uska nahi hua. Khair vo uski apni jindagi hai. Meri jindagi mein Riya ki jagah koi nahi le sakta. Achcha hota agar mujhe bhi mar jaane diya hota. Ab is dard ke saath kaise jiunga maine apni Riya ke Pyaar ko uske vishwas ko dhokha diya. Tum dono ne hi gunah kiya hai. Aur iska gunah tumse bada hai. Main ja raha hun. Jab tak vapas aaun ye mujhe yahan nahi dikhni chahiye’ Aur Rajesh bahar chala jaata hai.