03-10-2025, 03:11 AM
Chala Chatur Neta Banne
upstation
“Kamariya kare lapalap ,lollipop lagelu” ye geet gungunata Sarjoo ghar main ghusa hi tha ki “ Phatttt” ki ek awaz ayi aur Sarjoo ko aisa laga jaise uske chutar pe Bichoo ne dank maar diya ho. 5 second ko to wo sann reh gaya , kuch samajh hi nahin aya , Jab usne palat ke makhan ko haath main bans ka phatta liye dekha to samajh main aya uske ki makhan ne hi ye akraman kiya hai
Aur samajhte hi“ mai ge mai, dadda ho dadda “ kahke sarjoo aise uchalne laga jaise kisi machli ko pani se bahar fenk diya gaya ho . “ Kahe mare ho humka bapu , daiya re daiya ,chutar toot gaya humra “.
“ Sasure karoge nautanki ta aj sahi main chutar tod denge “ Makhan ke tevar pe sarjoo ke rone ka koi asar nahin pada tha . “ Chotta hum ache se janat hain tohar nautanki , chal chup chap ee khatiya pe baith, aur bak ke eee ka naya khichdi paka rahe ho , abhi abhi trivedi ke log aye to humka pata chala . Chotta, tum ka humko jeevan bhar pareshan karte rahoge “ Itna kehke Makhan ne ek Jhapad jadd diya Sarjoo ko .
“ mai ge mai” Apne gaal sehlata hua Sarjoo makhan ke dikhaye khatiya pe baithta hua bola “ Dekh bapu , humka agar fir maara ta hum kucho nahin batayenge . Ab hum bache nahin hain ki jab mann chaha humka koot diye .Aur hum dekh rahe hain jab se maiya humko chorr ke gayi hai to tum bina matlabe humko marte peette rehat ho , maiya thi tab uuhe tumko koot ke theek kiye rehti thi “
“ Chuuuuuupppppppp” Makhan ka gussa satven aasmaan pe pohonch gaya tha “ Ab eko shabd idhar udhar bole ho to dekh lena chotta hum tohar ka haal karte hain “ . “ Ab hum jetna poochen otna sahi sahi batao “ Bans ke phatte ko lehrate hue Makhan laal ne kaha .
Sarjoo bhi Makhan ke tevar aur uski laal laal ankhen dekhte hue samajh gaya ki ab kuch bhi idhar udhar abhi bola to sach main bohot maar padegi aur kahin bapu ne fir pichli baar ki tereh danda ghused diya to……... itna soch ke hi sarjoo seham gaya aur bhola chehra bana ke bola “ Poocho Bapu ka poochna chahte ho , hum to khali etna prarthana kiye rahe ki humka bina matlab na maro “ .
“ Pehle ee batao ki, ka tum sarpanch ke chunao ke liye khade ho rahe ho , abhi trivedi ke log ee baat humka keh keg aye hain . Tum pagla gaya hai ka re , Kahan Trivedi ji au kahan tum . “ Makhan ne sarjoo ke ankh main ankh daal ke poocha .
“ Oh , itni si baat pe humra kootayi kar diye . Sahi main ab tum sathiya gaye ho bapu” Sarjoo itna hi keh paya tha ki fir uske ek gaal pe lahar uthi aur chataakkkkkkkkkkk jaisi awaj uske sunn ho rahe kanon main pada.
Makhan ne fir ek jordaar chanta jad diya tha , aur sarjoo fir se chillane laga tha “ Mar Gaya re daddaa , ee bapu humka maaar dalega , mai ge mai”
“ Aj koi dadda , koi mai toh ke bachane nahin ayegi , Jo poochen hain uska seedha jawab dai de “ Makhan gusse main Kanpta hua sa bola.
Apne gaal ko sehlate hue sahmi awaz main sarjoo ne bhi jawab diya “ Haan , humka poora ganv ka samarthan hai auu waise bhi trivediya ke khilaaf koi khada nahin tha , sabne humko kaha ki hum hi ee gaun main ek akele chatur hain jo trivediya ke khilaaf khada ho sakte hain . Auu to Auu Khan sahib bhi humhi ko support kar rahe hain , paisa bhi laga rahe hain humre teref se , apse hum ekko dhela paisa nahin lenge , Khan saab aur gaun ke logon ka samarthane bohot hai humre khatir “
Makhan itna sunke sakte main aa gaya . Gaun walon ka to use pata tha ki wo Sarjoo ko Chutiya bana rahen honge par Khan saab kisliye Sarjoo ka samarthan kar rahe the ,ye uske samajh ke bahar tha .
Makhan soch main doob gaya aur khan saab ke bare main sochne laga .
Khan saab kafi Pratisthit sakshiyat the gaun ke . Koi 6 mahine pehle hi dubai se wapis gaun main aye the . Gaun main unka pushtaini ghar aur kaafi Jameen Jaidaad tha .Unka pariwaar abhi bhi dubai main hi tha aur mahine do mahine pe Khan saab dubai ka chakkar laga ate the . Ab tak unki gairhaziri main unka door ka rishtedaar Mani dekhbhaal karta tha unke jameen jaydad ke . Khan saab ke ane ke baad Mani ke kamon se khush hoke uske ek bada sa sabziyon ka dukaan khol ke diya tha taki uski kuch atirikt kamai bhi ho jaye . Makhan ye soch soch ke pareshaan tha ki khan saab khud kyon nahin lad rahe aur is bewkoof Sarju ko hi kyon chuna trivedi ji ke khilaaf khada hone ko.
Makhan ko soch main dooba dekh ke sarjoo ke himmat main izafa hua aur wo thoda akad ke bola” Kahe , ab saanp soongh gaya bapu. Poora gaun humko chatur bolta hai aur ek tho ape ho ki humri chaturai apko nazar nahin ati . Ab to Khan saab bhi humre saath hain , dekho hum kaise jeette hain . Aur ee jo kutai fir se karee hain na humra to dekh lena sarpanch banne ke baad hum tohka apni kothi main nahin le jayenge , Pade rehna isi jhhopdi main jindagi bhar , Haan nahin to “
Itna sun ke Makhan ko gussa aa gaya “ Marab Sasure khadam se lahue chuaaa dem , Bhag ihan se chotta . kothi main jaihen ee sasur , Nikal ihan se , auu tabhi ana jab ee sarpanch ka bhoot utar jaye sar se “
“ han ta humko kaun sa jyada din rehna tha ihan , jeetne ke baad jate hi eee ghar se to abhiye chale jaat hain , Khan saab ke ihan hi reh lenge , usmain kaunsi badi baat hai. Poora gaun humka manata hai khali tohra ke chhorr ke . Ja rahe hain hum apna samaan leke “ Itna keh ke Sarjoo ne apne jaroori saman bandha aur apni cycle leke khan saab ke ghar ki or chal pada.
************ ****************** ********************* ***************************
Idhar Khan ke ghar ke Mani aur Khan apas main jam takra rahe the . Kawab aur bhune kaju unke chakhne ka kaam kar rahe the . Dono Khana khane se pehle takreban roz hi zam se zam takrate the. Mani kaafi kareeb tha khan ke aur khan ne hamesha use apne chote bhai jaisa hi maana tha . Mani bhi kaafi izzat karta tha khan ki akhir aj wo jo kuch bhi tha inhi khan ki wajah se tha . Jab 2-2 peg ka suroor dono pe chadh gaya to Mani ne apne dil ki baat khan ke samne rakhi .
“ Khan saab ap is chodu sarjoowa ko kahe khada kar rahe hain election main , ap khude khade ho jate ya humka khada karwa dete , ee sarjoowa ko khada karne wali baat samajh main nahin aya .“
Khan saab bhi tangdi kawab ko plate se uthate hue mani ko dekha aur bole” Are mani , ye election ke chakkar main nahin padna chahiye. Aj se kai baras pehle main eek baar lada tha aur mujhse hi pooch kaise jeeta tha , bas itna samajh lo ki bas gand nahin marwayi thi warna sab cheez karna pad gaya tha , usi waqt maine kasam khayi thi ab kabhi election na khud ladunga na kisi kareebi ko ladne dunga “
Mani itna sunn ke sann reh gaya . Sar ko khujate hue bola “ Fir ee sarjoowa ko kahe ladwa rahe hain , waise bhi trivedi ji kaafi sabhya aur sanskari hain.Ooo taa hamesha gaun ka vikas hi kiye rahe hain , apki ee baat humko samajh nahin ayi , auu opar se trivedi ji naaraaz ho jayenge humse woo alag”
“ Are trivedi ji ki chinata mat karo tum , unse main baat kar lunga aur is sarjoo ko sabak sikhana bohot jaroori hai , Saala iski wajah se ek baar main bewakoof bana tha , wo to kissi ko pata nahin chala warna badi khilli udate sab . Tabhi se maine isko sabak sikhane ka man bana liya tha , is baar mauka mila hai .” Khan saab chuski lete hue bole .
“ Aisa ka hua tha khan saab” Mani ne kotuhal wash poocha.
“ Jane do “ Khan saab itna keh ke chup ho gaye par unke dimag main wo pal ghoomne lag gaya .
Ravivaar ka din tha , khan ko gaun aye hue ek hafte se jyada ho chukka tha aur chunki unki biwi dubai main hi thi to kuch bechain se the . Khan saab waise rashik mizaz ke the par gaun bohot choti jagah thi aur yahan wo apne pratistha ko anch ane nahin dena chahte the . Par tharak to tharak hoti hai .Thode bechain se the ki sarjoo apni cycle pe unke ghar aya . Khan sarjoo ke bare main jyada nahin jante the us waqt tak . Sarjoo ne aa ke unko pranam kiya , aur bola
“ Kaisan hain khan saab , kaisan lag raha hai humra gaun apko “ “ Acha hai , bohot acha , tumhara naam kya hai “ Khan ne abhiwadan ka jawab dene ke baad bola .
“ Ap humka nahin jante “ sarjoo achraj bhare sabdon main bola “ Are hum sarjoo hun sarjoo , waise saara gaun humka chatur sarjoo kehta hai . Hum chatur bohot hun na . Ab apne se apna ka tareef Karen par humka aas paas ke gaun main bhi chatur ke naam se jaante hain , aur to aur as paas koi apne gaun ka naam jane na jane par humka jaroor jante hain. Aisa koi kaam nahin hai jo sarjoo se na ho paye , kai kaam to hum chutkiyon main kar jate hain aur kisi ko kanon kaan khabar tak nahin hoti . “ sarjoo ek saans main bolta chala gaya aur ghoor ke khan saab ko dekhne laga jaise unse koi apradh ho gaya ho .
Khan ne sarjoo ke tevar ko dekh ke socha sach main unse koi galti ho gayi jo wo sarjoo ko nahin jante , saath hi kanon kaan khabar hue bina kaam kar jane ki baat unpe asar kar gayi . Unhone sarjoo ko ghar ke andar bulaya aur sharbat aur fal diye use khane ko . Fir poocha “ Batao sarjoo , idhar kaise ana hua”
“ Are hum idhar se gujar rahe the to socha ki toh naya naya aye ho humre gaun main itne din baad to kono takleef ya kono kaam ho to pooch len “ Sarjoo fal ko dono haathon se Bandar ki tereh pakad ke khate hue bola.
“ Are yaar , kaam waam to kuch nahin hai ,par ye batao idhar gaun se door kahin koi orchestra ya mujre ka intazaam hai “ sakuchate hue khan ne sarjoo se kaha .
“ Muzra toh hum khude bohot acha kar lete hain , agar apko dekhna ho to abhiye kar ke dikha dete hain , waise humre muzre ka koi saani nahin hai , ass paas ke gaun wale bhi humra mujra dekhne ate hain “ Sarjoo kela chabate hue bola .
Khan saab ko uski baton se uspe shak to hua par kehte hain na tharak jab dimag main ghusi ho to us waqt kuch aur samajh nahin ata . “Are main tumhare muzre ki baat nahin kar raha , wo jo asal main ladkiyan karti hai mujra , main uski baat kar raha hun
“
“ Are ee laundiyan ka muzra karengi jo hum kar leta hun , ek ek thumke ke sab diwane hain humre mujre ke . Ap boliye ta hum kar ke dikhayen” sarjoo kahan manne wala tha .
Khan saab jhunjhula uthe ,par sainyat awaz main bole “ dekho sarjoo, tumhara muzra hum fir kabhi dekh lenge abhi ye batao koi ladki ka jugad hai jo gaun ki nahin ho “. Himmat karke khan ne seedha hi pooch liya .
“ Kardi na apne choti baat “ sarjoo tamtama gaya.
Khan saab ko laga unse galti ho gayi sarjoo ko seedha seedha pooch ke , ab unhe apni badnaami ka daarr bhi satane laga .
Wo kuch bolte usse pehle hi sarjoo bol utha
“ Aisa kaun sa kaam hai jo sarjoo nahin kar sakat. Humre paas ek no hai , usmain ladki bohot meetha awaz main bolti hai , bas oo ka hai ki humka angrezi nahin ati auu woo laundiya farrate daar angrezi bolti hai so humko kuch samajh nahin ata . Auu to auu paisa bhi nahin lagta phunwa karne ka , paisa bhi oohe deti hogi , aj tak humra eko paisa nahin kata usse batiyane main , jab man karta hai phunwa laga lete hain aur uski meethi angrezi sunte hain bas samajh nahin pate ki ka bol rahi hai”.
Ab chounkne ki baari khan saab ki thi, gaun ke aas paas angrezi bolti ladki aur call ke paise nahin lagte jaroor gadbad jhola hai . Pakka dhadhe wali hogi . Khan saab ke mann main laddo phootne lage . “Mujhe dedo sarjoo wo no, hum tumko khush kar denge “
“ No to hum daiye denge par uske badle apko humra muzra dekhna hoga aur sachi sachi batana hoga ki humra muzra acha hai ya nahin “ Sarjoo bol pada .
Marta kya na karta ke andaz main Khan ne music laga diya aur agle 30 min tak sarjoo ka mujra dekha aur taliyaan bhi bajayi uske badle main sarjoo ne no de diya . No milne ke baad khan sarpat bhaga telephone booth aur jab usne no dial kiya to apna maatha peet liya . Wo no reliance ka tollfree no tha jismain prerecorded ladki ki awaz main udhar se sari scheme reliance ki samjha rahi thi . Wo din Khan bhool na paya tha aj tak ,aur ab use hisab chukta karne ka mauka mila tha.
“Khan saab Sarjoo darwaze pe hai “. Mani ki awaz ne khan wapas ki duniya main lauta diya .
Tab tak sarjoo andar aa chukka tha aune apni aur makhan ki baat batayi Khan ko .Sab sunne ke baad Khan ne use ek karma de diya sone ko aur kal chunav ke liye kharidaari karne ko shehar chalne ki baat bhi batayi. Sarjoo khus hoke sone chala gaya aur agle din khan, mani aur Sarjoo shehar ke ek maal main pohonch gaye chunav ke prachar ke liye istemaal main ane wali cheezon ki kharidari karne ko . Ye idea khan ka hi tha ki shehar se khareedenge to gaun main asar padega aur log Sarjoo se prabhavit honge.
Mall ke ek bade kapde ke dukaan pe khan se gadi roki aur us dukaan ki chamak dekh ke sarjoo dekhta hi reh gaya . Dukan ka security guard bhi sarjoo ke pehnave ko dekhta reh gaya.
Shehar ke hisab se sarjoo ne apni chaturai dikhate hue Hare rang ka pant,dark red shirt, yellow joote aur pink colour ka chasma lagaya hua tha .
Security guard ke saath baki sare log bhi sarjoo ko dekh ke mand mand mushqura rahe the aur ye dekh ke khan ne kaha “ Are sarjoo , teri chaturai to yahan sehar main bhi logo ko pasand aa rahi hai , dekh sab tujhe dekh ke kitna khush ho rahe hain “
Ispe sarjoo aur ithla ke chalne laga .
Khan ko tabhi kuch soojha aur usne sarjoo ko kaha “ Are sarjoo, dekh to wo ladki tere ko kab se dekhe ja rahi hai , Lagta hai tere pe mar miti hai“
Sarjoo ne bhi khan ke ishare pe us teref dekha to waqui paya ki ladki but bani use ankhe faad faad ke dekh rahi thi . thodi der idhar udhar dekhne ke baad sarjoo ne fir kankhiyo se ladki ko dekha to paya ki ladki abhi bhi uski or dekh rahi hai.
Khan ne bhi taad liya tha ki sarjoo phans chukka hai, aur bola
“ Wah yaar sarjoo , tere to maze hain , shehar aya nahin ki laundiya phaans li , maan gaye tujhe .Aise hi chatur nahin kehte gaun wale tujhe “ Khan use badhawa dete hue bola “ Ek kaam kar tu ja ke thoda haath fer le tab tak hum banner ke liye kapde dekhte hain”
“ Sahi kahe khan saab ,ee ta aisa lagat hai jaise ee sehri ladki hum pe mar miti hai,dekh nahin rahe ankho nahin jhapka rahi hai , par isko humri chaturai itni jaldi kaise samajh aa gayi” Sarjoo bhi ithlata hua bola.
“ Are shehar ki ladki hai chatur , gaun ki gawar thode jo 1 saal lengi tujhe pehchanne main , idhar sab fatafat hi hota hai, tu bhi baat waat ke chakkar main mat padna , seedhe kaam ki jagahon pe haath fira lena , hum tab tak khareedari karte hain “ Khan sarjoo ko bol ke mani ko ishara kiya aur mani aur khan sarjoo ko ladki ki or bhej ke ek doosre kone ki or badh gaye jahan se wo sab dekh payen.
Sarjoo bhi akadta hua seedhe ladki ke paas pohoncha aur seedhe uske chootoron aur boobe pe haath ferne laga , Ladki pe koi asar nahin hua aur wo but bani khadi rahi, sarjoo ko ladki kaafi tadak lag rahi thi aisi jaise pathar ho gayi ho , par wo josh main apne kaam pe laga raha .
Idhar khan se dheere se makan malik ko sarjoo ke harkat ki jaankari dedi , fir kya tha, dukaan ke kai customers , security guard or malik ne charon or se sarjoo ko gher liya.
“ Kya kar raha hai be “ Guard ki kadak awaz se sarjoo ka dhyan agal bagal pe gaya aur bheed ko dekh ke Sharma gaya ,kyonki abtak usne ladki ke kapde adhe utar diye the aur apna nunnu bhi nikal liya tha .
“ Hum kucho nahin kiye hain , ee larki hi sab kuch kar rahi thi , humri chaturai pe eee mar miti hai ,dekho abhio but bani khadi hai“ sarjoo sharmata hua bola.
“ Saale Itni giri hui harkat karta hai, Putle tak ko nahin chorra is saale ne “ Bheed se awaz uthi” Maro sale ko, aise logon ki wajah se hi mahilayen surakshit nahin hain , jo putle tak ko nahin chorrta wo sahi main ladki ho to kya kya karega “ Bheed main se awaz ayi aur saath hi sarjoo ke cheekne chaillane ki bhi.
Jab ek bheed kotayi karne pe ati hai to kya haal hota hai , wahi haal sarjoo ka bhi ka , sare Kapde phat chuke the ,naak ,kaan, gaal, pond ,har jagah se khoon hi khoon beh raha tha ,kapde ke naam pe keval underwear hi reh gaya tha shreer pe .
Ant main jab bheedh ka gussa thoda shant hua to khan aur Mani daudte hue aye aur kisi tereh bheed ko samjhaya ki iska mansik santulan theek nahin hai aur haath pair jod ke bheed se sarjoo ko bachaya.
“ Sale pagal hain ee sehar wale , aahhhh, etna to humra aj tak kabhi kutayi nahin hui, sasuri ladki khude humko bulayi aur in andhon ko samajh bhi nahin ata “ Sarjoo badbada raha tha. “Kharidaari ho gayi khan saab” .
“ Are chorro khareedari, oo ab gaun main hi kar lenge abhi tumhara marham patti jyada jaroori hai , chalo gaun chalte hain “.
Aur fir sab Gaun Laut aye .
Note:- Doston Chatur Sarjoo ki chaturta ke liye 3500 sabd kam pad gaye hain , fir kabhi apko age iski chaturta bataunga .Dhanyawaad.