Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Xossip Ultimate Story Contest 2013
#3
EK ANMOL RISHTA


EK ANMOL RISHTA

Cute gunjan

Akasar maa- baap apne bachon ke bhavishaya ko lekar sochte hain ki unhe kaha padna,kisi  ache-bure mein farak krna jana, kis college mein
study aur kya aage karna hain taki vo apna bhavishaya acha aur bhatar bana sakte...

Aur naa jane kya kya wo sochte hain bache ke  janam se lekar jawani tak, study se lekar shadi  tak.. aur aise hi unki zindagi badalti hain aur
humare maa-baap ki zindagi sirf hum bachon  mein hi simata kar rahe jati hain ..  meri kahani ek kuch aise hi rishte par hain ....
jahan ek beti apni maa ke liye wo karti jo shayad  hi koi kar paya ho ya kar paye ga

Priya Jab 19 saal ki thi jab uske papa ki death hue  thi... tab se vo sirf apni mummy(Radha), chote bhai (Rohan),
dada,dadi ke sath hi rehte aayi hai aaj vo 21 saal ki ho gayi hain.. in char saalon  mein sirf usne mummy mein hi sab dekha hain
papa aur maa, papa har jaroot aaj tak sirf Radha ek baap bankr hi puri ki hai.. Priya apni maa se bhut pyar karti hain..
waqt aise hi chalta rehta agr.... aaj vo iss shadi  mein nahi aayi hoti aur apni dadi se sawal nahi  puche hote toh..

Priya:+ dadi yeh shadi kyu hoti hain 
Dadi:+ beta, kyuki zindagi bhut lambi hain aur  mummy papa humesha sath nahi rehte hain..
isliye jab aap bhi badi ho jaogi toh aapki bhi  shadi hogi..
Priya:+ dadi, par yeh dhule se kyu??
Dadi:+ hmm, suno jab aapko preshani hoti hain..  toh aapki help kyn karta hain
Priya:+ mummy
Dadi:+ thik aapke pada hone se lekar, bade hone  tak.. aur aapki har baat aur problm ke solution ,
aur aapki care , aur aapka sath kyn karta hain
Priya:+ oohhoo dadi, mummy ... har time mummy  hi har cheez mein help karti aayi hain..
Dadi:+ thik iss tarah life time husband and wife
ek dusre ki care,love, help yeh sab karte hain...
aur jaise aapki mummy apki care karti hain thik , toh fir koi toh hona chaiye jo aapki mummy ki care kare isliye shadi hoti , isse tarah papa mummy ki care karte hain.. {Priya ke maan mein ab aapni mummy ko lekar
fikar badne lagne gai... jaise ki mere jane ke  baad mummy ki care kyon karega .. kyon
mummy ki har problem ka solution karega} Ghar aane ke baad ..
Mummy:+ Chalo priya so jao kal skool jana hain
Priya:+ thik hain mummy..
aaj priya ki aankhin mein neend nahi bhut se  sawal the mummy ki prati.... yeh sab sochte
sochte vo neend ki aagorash mein chali gayi... college main aaj priya ka maan kitabo mein nahi
kal ki shadi aur apni mummy ke bare sochne mein tha...  yeh sochte hue ki kya kare vo apni mummy ke
liye..
Aur achank usne soch liya ki vo apni ki dobara (PUNAR
VIVAH) karwaye gi .. jisse usse naye papa aur mummy ki care karne ke liye bhi life time person mil jaye ga..
college se jaane ke baad Priya ""Mummy mujhe  aapse kuch baat karne hain""
Mummy:+ bolo
Priya:+ Mummy maine decide kiya hain ki mai  aapki Dobara Shadi kar waogi
Radha:+ ek jordar tamacha priya ko marti hain yeh kya bakwass hain aur kisne yeh sab tumare
dimag mein dala hain. mujh koi shadi nahi karni hain tum sirf apni padi mein dhyan lagao yahi tumare liye acha hoga
Priya:+ rote hue mummy aap humare liye itna sab  kuch katri ho toh hum aapke liye itna bhi kar
sakte hain.. aap sochne humare jane ke baad kyon aapki care karga.., kyon aapko doctor ke paas lekr jayega bimara hone par.. bus maine soch liya hain aapki shadi hogi toh hogi ..
Radha ko Priya ki baatein bhut jyda soch mein  dal deti hain aur vo sochte hue beta, yeh sab tum
mat socha sirf pado aur ek achi doctor bano.. Par yeh sab kehne koi Priya ki soch aur kaam ko
nahi badalne wala tha ..
Priya ne zidd bana li ki vo apni mummy ki dusari  shadi karwa kar hi mane gi..
Dhire dhire waqt bitaya gaya.. aur Priya apni mummy aakhri kara mana hi liya ..
usni nani aur uski mama sab ko mana hi liya bus
dadi ko chod kar sab tayar ho gaye
Aur ek Din Priya ki Dadi Radha se "" tumne
humari naak katadi sab ke saamne. janti ho kaise kasie baatein kar rahe hain log humare bare main ... agr tumko
dusri shadi hi karni thi toh mere beta ke jane ka
gaam kyu aur drama kar ke kyu dekha ya""
Radha:+ maa mai sirf yeh Priya ki khushi ke liye
kar rahi hoon. agr maine shadi ke liye haa nhi
kaha hota toh vo apni jaan deti aur aap priya ko
ache se jante ho
Dadi:+ meri paoti ki aad mein apna chehra mat
chupa.. had hoti hain jhuth bolne ...
Yaad rakh agr tumne yeh shadi toh humara
tumse koi rishta nhi rahega.
Priya yeh sab sun lete hain aur kehte hain
" dadi apne hi toh mujh shadi ke bare mein btaya
tha.. aur zara mere jane aur aapke or dada jane
ke baad kyon mummy ka khayal rakhega""
Dadi:+ beta, yeh sab tumari sochne ki umar nhi
hain tum abhi bachi ho
Priya :+ nhi dadi, maine sab kuch taya kar liya
hain aur aap yaad rakhe agr aapne mummy ki
shadi ke liya haa nhi ki toh mai aur bhai dono yeh
ghar nhi rahge aur naa aapse kbhi baat karge
(priya ki dadi yeh ache se janti thi.. agr priya ek
bar keh diya toh keh diya fir jo kehte hain pura
karti hain)
Dadi:+ Thik hain mujh kal shubh tak sochne ka
waqt chaiye..
Agli shubh Priya ki dadi bhi ragi ho jati hai
Radhu ki shadi ke liye aur sab bhut khush the
waqt baitha gaya aur Priya ne apni maa ki liye ek
acha Ladka dekh liya jiska naam Dev tha..
college mein professor tha. aur sab jaan liya
gaya Priya ne sab kuch itni ache se manage kiya
ki jaise vo apni maa nhi beti ke liye rishta dhund
rahi thi...
Sab kuch acha tha aur 2 months ke baad Radha  aur Dev ki Court marriage ki tayari iss shadi ke
waqt bich Dev aur radha ek durse ache se  jaane lage
iss bich ek din Priya ki dadi radha se"" beti kuch  din tum iss ghar se chali jao aur yeh kuch
property ke paper hain iss par tumare sign  chaiye"" radha"" lao maa mai kr dete ""
aur aakhir kar vo din aa hi gaya jis din radha aur  dev ki shadi thi .. aur aaj sab se jyda priya
khush thi kyuki usne apni mummy dobara vo  khushi di jo shayad usne kabhi nhi sochi thi..
bidai ke waqt Radha priya ki dadi se"" maa dono  bacho ka samna pack kardo.. yeh humare sath hi
rahe ge""
dadi:+ beta sirf kuch dino ke liye inhi humare  pass rehne do.. fir le jana
Radha:+ par maa mai jayda apne acho se dur nhi  rah skti hoon.. par aapke kehne par..
dhire - dhire waqt biath aur vo din aaya jab
Radha apne bacho ko lene puchi.. aur wahan  jane ke baad
Radha ne door beel bhaja aur Priya ki dadi ne  darwaja kholte ke radha ko dekh kar darwaja
band kar diya... aur priya jab apna samna lekar  bahar aur yeh sab dekh kar dadi aapne darwaja
band kyu kiya mummy aayi hain mujh aur bhai ko  lene hato mujh darwaja kholne do ..
Dadi:+ nhi.. tum dono kahi nhi jaa rahe ho.. tum  yahi raho gao mere pass suna tumne ab chalo
mere sath
(radha yeh sab window se dekh kar bar bar roye  jaa rahi thi aur keh thi maa darwaja kholo mujh
mere bacho se milne do maa darwaja kholo aur  dadi ek naa suni)
aur priya aur uske bhai ko le jaa kar ek kamre  mein band kar diya...
dadi aa kar radha se " dekh tumne khud in  papers par sign kiye the ki iss shadi ke baad
mera in bacho se koi nata nhi hain .. aur ab tu in  se mil sakti aur naa hi inhi yaha se li jaa sakti
hain aur sirf inhi kisi occassion pr hi mil sakti  hain"

yahna radha aur wahna radha ke bache rote  rahe apni maa se mile ke ke liye..
Aur Dev ko phone ka ke sab btati hain .. DEV  radha se "" kya tum yahan ruk mai aata hoon""
Dev ke aane ke baad vo lawyer ke pass jate hain  aur sab lawyer ko batae hain
Lawyer"" Sorry par ab kuch nahi kiya jaa skta  hain Radha ji aapne khud un papers par sign
kiye hain..""
Radha" par yeh sab dhoke se hua hai.. kiya koi  rasta nhi hai mere bacho ko pane ka"
Lawyer "" hai aapne unke 18saal ke hone ka  wait kare fir uske hum case karge aur tab tak
aap sirf unhe occassionly mil sakte "
Radha ne paa kar jise sab kuch kho diya par ...  aisa shayad nahi sochti thi.. usne apni maa ko ek
nayi zindagi di jahan vo bhut khush aur apne  bacho ki kami usse humesha rehti hain par..
apne dono bacho har occassion aur birthday par  milne jate hain unko unke mummy aur papa ..
aur Radha - Dev ne koi bacha paida nhi kiya kyu  ki unki duniya sirf Priya aur Rohan tha...

Aur aaj bhi vo apne bacho ke 18 saal ke hona ka intezaar kar  rahe hain.. aur priya ke iss fasile se aaj Radha bhut khush  aur Dev ne radha ka har kadam sath diya hain... aur shayd Yahi hain vo EK ANMOL RISHTA ek maa aur beti ke bich ka jo shyada koi koi samjh pata hain..
Kyou ki Maa aur Beti sirf ek rishta hi nahi.. balki ke dor hain jo marte dam tak sath rahti ....

+++++++The End++++++
______________________________
ッ My Personality is who I am,
My Attitude depends who YOU are..!!

Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 10-11-2024, 08:02 PM
RE: Xossip Ultimate Story Contest 2013 - by Expert - 02-10-2025, 11:56 PM



Users browsing this thread: 7 Guest(s)