Xossip Ultimate Story Contest 2015
#46
Bhartiya Naari : Lachar bechari
kingssuperstar

Mai Nepal se india aaya tha. Vaise to mai Nepal ka rahne wala tha par mujhe ghumne-firne ka bahut sauk tha to mai india me aake chhoti moti reporter ki naukri karne laga.

Mujhe bachpan se hi logo ki aap beeti sunne ka bahut sauk tha, aur mai anjaan logo ko bhi pareshan dekh unki pareshani ke baare me jaanne ke liye ichchhuk rahta tha.
Par mai logo se aise hi unke jeewan ke baare me puchhne lag jata tha to jyadatar log mujhe pagal samjhte the. Pagal nahi matlab kam dimag ka insaan samjhte the aur sochte the ki mai bina vajah unka time waste karne lag jaata hu.

Mai india me aake ek gaav me rahne laga tha aur gaav ke log mera majak kuchh jyada hi banate the.wo mujhe Nepali kahte the kyoki Mera chehra hi aisa tha aur log mujh par haste rahte the, kyoki mai hamesha logo se aise hi milta julta tha aur vahi bina vajah baate puchhna jis kaaran log mujh par haste rahte the, par mai in sab ka bura nahi maanta tha mujhe to bachpan se in sab ki aadat pad chuki thi.

Mai gaav ke ek chhote se purane makan me kiraye pe rahta tha. Mai jis ghar me rahta tha uske saamne ek chhota sa kachcha makan tha jisme ek aurat rahti thi. Mai aksar us aurat ko dekhta tha, wo hamesha akeli hi rahti thi.
Mai dekhta tha ki wo aurat na hi to kisi se baate karti thi aur na hi koyi bhi us se milne aata tha. Wo jyada kabhi apne ghar se bahar bhi nahi aati-jaati thi.
Wo aurat subah jab bhi paani bharne gaav ke nal pe jati to bhi aksar akeli khadi rahti thi apni najre jhukaye aur gaav ki baaki aurtein us se muh fer leti thi. Mujhe ye sab ajeeb sa lagta tha.

Mujhe hamesha us aurat ke baare me jaanne ki ichchha rahti thi. Mai hamesha sochta tha ki wo aurat hamesha akeli aur udas si kyo rahti hai?
Maine apni makan malkin se uske baare me puchha to pta chala ki wo ek widhwa aurat hai. Uska name meena hai aur uski age lagbhag 30 saal thi.
Maine malkin se puchha ki wo hamesha akeli kyo rahti hai aur koyi bhi us se baat kyo nahi karta. To usne mujhe bataya ki ye ek ashubh aurat hai. Iski shadi ke thode din baad hi ye apne pati ko kha gayi, uska matlab tha ki uska pati shadi ke kuchh din baad hi mar gaya tha.

Maine puchha agar pati mar gya to isme iski kya galti hai jo log is se muh fer lete hai. To makan malkin ne kaha bas tum iske baare me na puchho to hi achchha hai tumne kaisi behaya aurat ka jikar chalaya hai. Mujhe to uske naam se hi nafrat hai.
Aage makan malkin ne mujhe uske baare me kuchh nahi bataya. Ab to mujhe uske baare me jaanne ko aur bhi jyada utsuk ho gaya kyoki ye to meri aadat thi.

Kaafi din tak mai us aurat ko dekhta raha aur uske baare me sochta raha ki iske sath kya huaa hai.
Ek din gaav me bahut bada satsang ho raha tha. Sabhi gaav ke log usme jaa rahe the. Khane ka program bhi tha to mai pichhe rahne wala thodi tha mai to bina bulaye bhi khane peene ke program me pahuch jata tha fir ye to satsang tha sabko jaane ka adhikar tha.

Sab log satsang me jaa chuke the mai bhi jaane ki taiyari me tha. Mai ghar se jaise hi bahar nikla to dekha ki sab gaav wale satsang me gaye par meena aaj bhi apne ghar me akeli thi.
Mujhse raha nahi gaya maine us se baat karne ki thaan li.
Mai uske kachche se ghar me chala gaya uske ghar pe darwaja nahi tha. Maine dekha ki wo apne liye khana bana rahi thi.
Wo mujhe ajeeb si najro se dekhne lagi. Kyoki use pata tha ki mai is gaav ko to nahi hu.
Wo kuchh nahi boli aur khana banane lagi. Maine us se puchha ki sab log satsang me gaye tum kyo nahi gayi aur aaj to sabko satsang me prasad milega fir aap khana kyo bana rahi hai?

Meena ne meri taraf aise dekha jaise maine us se pata nahi kya puchh liya ho. Wo meri taraf kaafi der tak dekhti rahi aur fir boli- aap is gaav ke rahne wale nahi ho sayad.
Maine kaha mai to pardesi hu par abhi kuchh dino se is gaav me hu.

Wo kuchh nahi boli aur apna kaam karti rahi. Mujhse par chup nahi baitha jata mujhe uske baare pata karna tha.
Mai kuchh der baitha raha aur aakhir us se puchh hi liya- aap yaha akeli rahti hai.
Usne meri baat ka koyi jawab nahi diya par maine fir se puchha ki aap hamesha gumsum si kyo rahti hai aur aap kisi se baate kyo nahi karti?
Mere is swalo se use aisa lag raha tha jaise mai uske jakhmo ko kured raha hu. Par meri aadat thi ki maine ek baar puchhna suru kar diya to fir puchhe bina chain nahi aata.
Maine us se fir kaha ki please kya aap mujhe apne baare me kuchh batayengi?

Meena mere kaafi swal karne ke baad usne mujhse puchha ki aap kon ho aur mere baare me kyo puchh rahe ho?
Maine turant uska jawab diya. Mai vaise to prdeshi hu par mai aas pas ki chhoti moti news collect karta hu aur samachar walo ko batata hu, matlab ki mai chhota mota reporter ka kam karta hu. Aur mujhe logo ke baare me jaanne ki aadat hai aur fir mai dekhta hu ki aap hamesha akeli gumsum si rahti ho to socha ki aapke baare me puchh lu.

Wo meri baate sunke hairaan ho rahi thi. Usne mujhse kaha ki dekhiye mujhe apne baare me kisi ko kuchh nahi batana please aap yaha se chale jaiye.

Par maine us se fir se puchha ki please aap mujhe bataye ki aapke pati ki maut kaise huyi?
Meri ye baat sunke wo ek dum gussa ho gayi aur usne mujhse tej aawaj me kaha ki tumhe mujhse kya matlab hai mere sath kya hua kya nahi tum abhi ki abhi yaha se chale jaao.
Maine fir se kaha ki dekho meri baat ka bura mat maano mai to bas aapke baare...
Usne meri baat ko beech me hi tokte huye gusse aur tej aawaj me kaha mujhe kuchh nahi batana tumhe aur tum mere ghar se nikal jaao.

Mujhe ab to lagne laga ki meena bahut gussa ho chuki hai aur wo mujhe kuchh nahi batane wali. Maine us se kaha ki dekhiye mujhe maaf karna agar meri baat ka bura laga ho to, aur fir mai meena ke ghar se bahar aa gaya aur satsang ki taraf jaane laga.
Mujhe meena ki baat buri nahi lagi kyoki mere sath to aksar ye sab hota tha mujhe kisi ki baat buri nahi lagti thi.
Mai meena ke ghar se thodi hi dur gaya tha ki usne mujhe pichhe se aawaj lagayi ki suniye.

Maine pichhe dekha ki meena apne ghar ke bahar khadi mujhe hi bol rahi thi.
Mai vapas meena ke ghar ki taraf chala gaya aur usne mujhe apne ghar me charpayi pe baithne ko kaha aur khud neeche baith gayi.
Meena dekhiye mujhe maaf kijiyega jo maine aapse bhala bura kaha aur khane ke time pe tum mere ghar aaye aur maine tumse khaane ya paani ke baare me bhi nahi puchha. Aap khana kha lijiye mai aapke liye khana lati hu.

Maine kaha- nahi rahne do mai to satsang me jaa raha tha waha pe achchhe pakwan milenge khane ko mujhse to vaise bhi khana nahi banaya jaata mai to mauke ki talash me rahta ki aise program kab ho.
Meri aisi baate sunke meena mere chehre ki taraf dekhne lagi use laga ki mai kaise bachcho ki tarah baate karta hu.
Meena thodi der chup rahi aur fir usne mujhse puchha ki mai uske baare me kyo puchh raha tha?

Maine jawab diya ki mujhe bachpan se kisi ko pareshan dekh uske baare me puchhne ki aadat hai.
Meena ko ab laga ki mai use preshan karne ke liye uske baare me nahi puchh raha hu mai to uske baare me kuchh bhi nahi jaanta hu.
Maine bhi andaja laga liya ki meena ke sath kuchh galat huaa hai mujhe laga ki meena ab mujhe kuchh bata de maine fir se us se kaha ki aap mujhe apne baare me chahe mat batao par ye batado ki tum sabse alag kyo rahti ho?

Meena ki aankho ke saamne uski jindgi ghumne lagi aur usne mujhe batana suru kiya-
Meena ne mujhe bataya ki aaj se 10 saal pahle ki baat hai wo apne gaav me rahti thi. Jab uski jaan pahchan rajesh se huyi. Rajesh unke gaav me naukri karta tha. Dheere dheere meena ki rajesh se mulakat huyi aur dono ek dusre ko chahne lage. Rajesh ne meena se shadi karne ki baat kahi. Meena ne rajesh ko apne baare me bataya ki uski shadi bachpan me hi ho chuki thi jab usko kisi cheej ki samjh bhi nahi thi. Par jab wo badi huyi aur sasural jaane lagi uska pati sharab peeta tha aur use pahle din se hi maarna suru kar diya. Meena kuchh din to uske sath rahi par wo roj bina vajah uske sath maar-peet karta meena preshan aake use chhodkar apne gahr walo ke pas vapas aa gayi. Gaav me bhi aurtein hamesha use taana deti thi. Meena ne apni saari baat rajesh ko bata di thi par rajesh ne meena se wada kiya ki uske sath pahle chahe kuchh bhi huaa ho par use koyi matlab nahi hai aur wo usi se shadi karega.
Rajesh ne apne gaav aakar apne ghar walo ko meena ke baare me bataya aur usi se shadi karne ka faisla kiya par jab rajesh ke ghar walo ko pata chala ki wo pahle se hi shadi shuda hai to unhone rajesh ko saaf mana kar diya meena se shadi karne se. Par rajesh meena ko chahta tha usne gharwalo ke mana karne ke baad bhi meena ko apne sath is gaav me le aaya aur mandir me shadi kar li. Par Rajesh ke gharwalo ne meena ko swikar nahi kiya. Aur Rajesh ko ghar se nikal diya. Lekin rajesh gaav chhodkar nahi gaya aur yahi ye chhota sa ghar banake meena ke sath rahne laga aur majdoori karke dono apna pet bharne lage. Par achanak rajesh bahut beemar ho gaya meena ke pas itne paise nahi the ki wo rajesh ka ilaaj kara sake usne rajesh ke ghar walo se sahayta maangi par unhone socha meena aur rajesh ghar me aane ke liye ye sab naatak kar rahe hai aur kisi ne meena ki madad nahi ki aur rajesh is duniya se chala gaya.

Ye baat batake meena ki aankho me aansoo aa gaye.
Aage meena ne bataya ki uske baad to gaav walo ne saara dosh meena ka hi bataya ki ye hi kalmuhi chudail hai jiski vajah se rajesh mar gaya. Gaav walo ne mujhe gaav chhodkar jaane ko kaha par mai jaati to kaha jaati ab maine bhi faisla kar liya ki koyi kuchh bhi kahe mai yaha se nahi jaungi kyoki yaha Rajesh ki yaadein thi. aur fir gaav walo ne mujhe jaane kya kya kaha par mai sab sunkar bhi yahi rahne lagi.

Meena ki dard bhari kahani sunke meri aankho me bhi aansoo aa gaye. Jab uske sath jo huaa use sunke mujhe hi jab itna afsosh huaa to uske dil pe kya beeti hogi mai kalpana bhi nahi kar sakta tha.
Mai aage meena se kuchh puchhna ya sunna nahi chahta tha mai waha se khada hoke apne kamre ki taraf chalne laga.

Mai meena ke baare me sochta raha ki usne kitne dukh sahe hai aur fir gaav ke log uska sath dene ki bajay use hamesha jaleel karte rahte hai.
Mai kaafi samay se india me rahta tha to mujhe yaha ke smaaj ke niyam kaaydo ke baare me thodi bahut jaankari thi ki kaise samaaj ke ye niyam aaurto ke liye to jaise saza thi.
Meena ke prti mujhe sahanubhuti hone lagi.
Mai meena ki help karna chahta tha jis se wo thodi bahut to khush rahe. Mai dusre din fir meena se milne gaya is baar mujhe kuchh puchhna nahi tha balki mai to chahta tha ki agar meena mujhse kuchh baate kar legi to uske man ka bojh halka ho jayega aur thodi bahut der hi sahi par uska akelapan to door ho jayega.

Mai meena se apne sath jo hota tha wo baate batane laga aur mai jaan-boojh kar meena ko meri wo baate bata raha tha jinse log mujhpe haste the. Mai chahta tha ki meena bhi meri aisi baato se thodi bahut muskuraye to sahi.

Aur meena aksar mujhse ab dheere dheere baate bhi karne lagi aur mai hamesha aisi baate batata jis se uske chehre pe kabhi kabhi muskaan bhi aa jaati thi. Mujhe meena ke chehre pe muskaan bahut achchhi lagti thi vaise meena khubsurat bhi thi par muskurate huye wo aur bhi jyada khubsurat lagti thi.
Meena mujhe hamesha kahti thi ki aapse khana nahi banaya jaata hai to aap mere pas khana kha liya kare, par mai meena par bojh nahi badhana chahta tha, kyoki mai jaanta tha ki wo bechari jaise taise karke apna pet bharti hai.
Meena bechari sukhi roti khati thi aur uske paas kuchh saaman bhi nahi tha jo wo achchhe se paka ke khana to kha sake.

Par mai roj meena se baat karne uske gar chala jaata tha. Meena ab thodi khush rahne lagi thi aur meena ko khush dekh ke mujhe bhi khushi mahsush hoti thi mai sochne laga ki log mujhe naakara samjhte hai par mai kam se kam itna to kar sakta hu ki kisi ko ek pal ki muskaan de saku.
Par mai jab bhi meena ke ghar jaata to mere makaan maalik aur maalkin jab mujhe dekh lete hamesha mujhse kahte ki mai us aurat ke ghar naa jaau aur ye bhi kahte ki agar dubara gaye to humaare makaan ko khali kar sakte ho par unki khari-khoti sunke bhi chup rahta aur dhyan rakhta ki wo mujhe dekh to nahi rahe hai.

Mai ek din meena ke ghar pe baitha tha to ek aadmi aaya wo sayad gaav ka hi tha wo mujhe meena ke ghar dekh ke bolne laga are Nepaali tu yaha kya kar raha hai?
Maine kaha kuchh nahi bhaiya bas wahi apna news waala kam.
Wo bola tujhe yaha konsi news mil rahi hai tujhe pata nahi kya gaav ke baare me?
Mai koyi bahas nahi karna chahta tha mai waha se khada hoke bahar nikal aaya. Par wo aadmi wahi khada raha. Wo meena se kuchh kah raha tha mujhe kuchh sunayi nahi diya.
Par mujhe us aadmi ke vichar kuchh theek nahi lag rahe the mai vapas meena ke ghar jaane laga mai ghar ke pas pahucha to sunayi diya ki meena us aadmi se kah rahi thi, maine kitni baar kaha hai tumhe mere ghar pe mat aaya karo mujhe tumhari koyi madad nahi chahiye mai jaisi jindgi jee rahi hu vaisi hi jee lungi par kuchh galat nahi karungi.
Wo aadmi bol rha tha, agar tu is gaav me rahna chahti hai to soch le.
Mujhe us aadmi ki baat bahut buri lagi mai ghar ke ander ghus gaya. Wo meena ke bilkul pas khada tha.
Jaise hi usne mujhe dekha use laga ki maine uski baate sun li hai. Aur wo ek dum se meena se door ho gaya aur mujhe maarna suru kar diya. Mai to kuchh samjh bhi nahi paya ki wo mujhe kyo maar raha hai ek to mai bahut hi kamjor insaan tha dusra maine kabhi kisi se jhagda bhi nahi kiya tha.
Wo mujhe maarta huaa meena ke ghar se bahar le aaya. maine us se kaha ki bhaiya aap mujhe kyo maar rahe ho?
wo mujhe maarte huye jor jor se bolne laga tu yaha isliye rahta hai tera is aurat ke sath chakkar chal rha hai.
Meena apne ghar ke bahar khadi thi uski aankho me aansoo aa gaye the.
Wo aadmi mujhe ghaseetne laga aur jor jor se bolne laga dekho gaav walo ye kalmuhi aurat kya gul khilati hai.

Jor jor se aawaje sunke gaav ke log ikattha hone suru ho gaye. Dheere dheere pura gaav ikattha ho gaya. Aurte bhi apne gharo ko chhod ke bahar aa gayi.
wo bol rha tha Gaav ke panch-sarpanch ko bulake to laao aaj is behaya aurat ko gaav se bahar nikal ke hi rahenge. Aur sath me ye Nepali bhi.
Mujhe uski jhooti baato pe rona aa raha tha. Thodi der me gaav ke sarpanch aur pure gaav ke log tamasha dekhne aa gaye.

Meri makan malkin bhi aa gayi thi wo bol rahi thi tabhi mai sochti hu roj roj ye is chudail ke ghar kyo jaata hai. Is aurat ne to humare gaav ka naam badnaam kar rakha hai.
Do aurtein meena ka bhi hath pakad ke wahi kheech laayi.

Sarpanch bol raha tha ki gaav ke log to iske chakkar me aaye nahi to ye gaav se bahar ke logo ko apne jaal me fasaane lagi.
Sabhi aurtein kahne lagi is charitra-heen aurat ko dhakke maar maar ke gaav se bahar nikal do.

Meena bechari jor jor se ro rahi thi. Mai kaafi der se chupchap sab kuchh sah raha tha par ab mujhse aur kuchh sahna muskil tha.
Mai apni nam aawaj me jor jor se bolne laga ki kya galti ki hai isne jo ise dhakke maar ke bahar nikaloge kis galti ki saja is bechari besahara aurat ko de rahe ho isne aakhir kiya kya hai? Kyo aap log isko jaleel karte rahte ho? Kyo koyi is se baat nahi karta?

Ek aadmi bola to tujhe iski fikar hone lagi humare samaaj me aisi aurto ke liye koyi jagah nahi hai ye charitra-heen aurat hai, are itna sab hone ke baad to ise doob ke mar jaana chahiye tha ise to samaaj ke niymo ki kadar hi nahi hai ye behaya hai.
Mere jajbat aaj bahar aana chahte the. Mai fir bolne laga, wah re logo konse samaj ki baat karte ho konse niymo ki baat karte ho. Ek abla aurat pe tumhare samaj ke niyam kaayde sab laagu ho jaate hai. Kya samaaj ke niyam ye kahte hai ki insaniyat ko khatam kardo. Konse niyam me ye likha hai ki besahara aurat pe sitam kiya jaaye. Meena ne kya galat kiya hai? Iske sath jo huaa hai uske jimmedar aap jaise log hai jo jhoote samaj ke niyam banaate hai.

Mai pure aawesh me bol rha tha. Pahle bechari meena ki bachpan me shadi kardi wo aadmi kamina nikla usme meena ki kya galti thi. Rajesh ne meena se pyar kiya. Kya pyar karna galat hai konse niyam me ye likha hai. Kya apni pasand ke insaan se shadi karna galat hai. mai jaha tak bhartiya sanskriti ko jaanta hu sabhi ved-paurano me itihas me sabme mahilao ka swamvar hota tha to fir baad me rule kisne badal diya? Kya kisi aurat ka pati mar jaaye to usme uska dosh hota hai.Agar kisi ka pati mar jaaye to use jeene ka adhikar nahi hai. Use khush rahne ka adhikar nahi.Ek aurat ko to dusri aurat ke dukh ko samjhna chahiye iske bajay tum usko itna jaleel kar rahi ho.Par tum ye bhool jaati ho ki ye sab tumhare sath bhi ho sakta hai.tum Log meena ko charitra-heen bata rahe hai, Are ye insaan jisne ye sab tamasha karwaya hai us se puchho ki kya wo sach bol raha hai.

Ye sunte hi wo aadmi gusse me meri taraf badha kyoki apne gunaah ko chhupane ke liye wo mujhe maar raha tha. Par jaise hi wo aadmi mujhe maarne laga meena gusse me chillate huye bolne lagi. Aaj tak mai chup chap sab kuchh sahti rahi. Par ab mai aur chup nahi rahungi. Wah re sab dhoodh ke dhule logo mai chup rahti hu to tum ye sochte ho ki mujhe tumhare baare me kuchh pata hi nahi hai.
Meena ke pas aaj apne man ki baat bolne ka waqt tha to sabhi gaav walo ke karmo ko ek-ek karke batane lagi. Gaav ke sarpanch ji aap mere pas aake kya kahte the,Mujhe jagah jagah touch karke mujhe apni sahanubhuti dikhate the na aaj logo ke saamne mai behaya ho gayi. Aur kamla baai tera charitra to itna achchha hai ki jab tera pati gahr pe nahi hota to wo pahlwan tumhare ghar kya karne aata hai. Aur gholu kaka aapka beta to bang ke kesh me band bhi huaa tha. Shudha aunty aap to shadi se pahle hi pregnant ho gayi thi us bachche ka kya huaa?Meena sab logo ke baare me unki sachchayi batane lagi. Sab ek-ek karke chup ho gaye.
Meena abhi bhi bole jaa rahi thi gaav ke ye mujhe behaya batane wale log mauka dekh mere pas aate hai aur pata hai kya kahte hai wo mujhe gaav me izzat dilayenge bas mai unki havas ko mita du. Kyo dev baabu aap mere liye jameen bhi dene ko taiyar the. Are tum sab log kitne achchhe ho tumhare niyam kitne achchhe hai, maine tum sabki ye baate nahi maani to tum mujhe hi behaya kahne lage. Maine tumhari havas ko mitane se mana kar diya to gaav me mere charitra heen hone ka dhindhora peetne lage. Mai sab kuchh sahti rahi par aaj nahi.
Meena mere pas aa gayi aur bolne lagi,tum aur tumhare samaj se achchha to ye videshi insaan hai isne mujhe dukhi dekhkar mera dukh baatne ki koshish ki naa ki tumhari tarah koyi shart rakhi. Are tum jaise jaleel log is bechare ko bhi badnaam karne lage jisne ek bhai ki tarah apna farz nibhaya isne mujhe khush rakhne ke liye meri hansi ke liye bina kisi laalach ke pta nahi kya-kya kiya. Par isne mujhe kabhi tum sab logo ki tarah galat najar se nahi dekha. Aur jo iska mere sath chakkar bata raha hai wo mere pas kya karne aaya tha us se puchho?

Gaav ke sabhi log chup ho gaye sab apni apni hakikat sunkar chupchap kadam pichhe hatate huye apne gharo ki tarf nikalne lage. Thodi der me sab jaa chuke the.

Par mai aur meena wahi khade the. Mai besudh khada soch raha tha ki log is aurat ke baare me charitra heen kaise bol sakte hai jiske dimaag me itni pavitrata hai usne mujhe bhai banaya hai. Jo apni izzat ko bachane ke liye saare dukh sahe par un logo ki baato ko swikar nahi kiya. Jo dusro ko smaaj ke jhoote niyam sikhate hai, are logo asli bhartiya sanskriti ki laaj to is besahara laachar aurat ne rakhi hai jisne apne upar har dard saha par apni izzat ko nahi khoya.

Par mai jaan chuka tha ki in logo ko kuchh fark nahi padne wala hai. Kyoki ye log ye baat to jaante hai ki ye jo ho raha hai wo galat hai par we apni jhooti shan dikhane ke liye khud ko badlane ki koshish kabhi nahi karenge.
Mai ab aur jyada ye sab nahi dekh sakta tha aur mai nahi chahta tha ko meri vajah se fir ye tamasha ho aur fir mai akela sabke vichaaro ko to nahi badal sakta tha.
maine apna saaman pack kiya aur us gaav ko chhod ke waha se bahut door chala gaya.


______________________________
My short story in ultimate contest

Bhartiya Naari : Lachar bechari
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2015 - by Expert - 08-09-2025, 10:59 PM
RE: Ultimate Story Contest 2015 - xossip - by Expert - 11-09-2025, 08:56 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)