Xossip Ultimate Story Contest 2015
#44
Rules Are Rules
niks77 killl

"Tiya.. kaha hai.. jaldi se khane de.. wese bhi site ke liye late ho raha hai.. aniket bhi aata hi hoga.." office se aate hi sameer bola.
Jese hi tiya ne ye baat suni wo jhat se sameer ke paas aayi.
"Bhai.. aapne promise kiya tha.. aap mujhe bhi le chalenge.. please meko bhi chalne do na.."
"Bilkul nahi.. wo to mene yu hi keh diya tha tujhe talne ke liye.. par tu nahi chal sakti.. waha bahut khatra hai.. agar sach mai koi bhoot-woot waha hua aur usne tujhe pakad liya to.." sameer wapas khate huye bola aur tiya ko aankhe bhi dikha di.
"Jao.. mujhe ni karni aapse koi baat.. aap bahut gande ho.. apna promise todte ho.." tiya ka sach mai mood-off ho gaya tha.
"Jyada natak mat kar.. khana laga.. or ja mera camera or baki saman lekar aa.."
"Mai ni la rahi.. khud le aao.."


"Are sach mai naraj ho gayi kya.. chal mai ek kahani sunata hu.. agar tune uska end sahi sahi bata dia to mai tujhe le chalunga.."
Ye sunte hi tiya ka chehra khil gaya.
"Ek ladke ke paas ek kitab thi jisse aap kisi ko bhi kesa bhi sabak sikha sakte the.. bas shart ye thi ki uska koi rule nahi todna.. warna paasa ulta pad jayga.. ladke ne book kholi.. pehla rule tha aankhe band karo or us imsan ke bare mai socho jise sabak sikhana chahte ho.. ladke ne apne boss ke bare me socha jo use bahut pareshan karta tha.. phir usne padha dusra rule jo tha socho ki uske sath kya karna chahte ho.. usne socha ki kash uske hath pair toot jaye... phir teesra rule tha ab apni aankhe khol lo.."
"Aagee..." tiya ne poocha.
"Aage kya.. tu bata.. aage kya hua.."
Jawab asaan tha aur samne hi tha par tiya ko nahi soojh raha tha. Wo apne dimag par bahut jor de rahi thi par kuch nahi soojh raha tha. Jawab seedha to ho nahi sakta tha. Tiya sochti rahi or itne mai sameer ne khana kha liya.

Wo abhi khakar utha hi tha ki itne mai doorbell baj gayi.
"Tu sochti reh.. mai dekhta hu.. aniket hi hoga.."
Sach mai aniket hi tha ek hath mai laptop aur dusre mai ek camcorder pakde.
"Tu taiyar hai na.." aniket ne pucha.
"Ha taiyar hu.. bas abhi aata hu saman lekar.."
Sameer andar apne room mai chala gaya to wahi aniket bhi andar aa gaya.
"Hii tiya.."
"Hii.."
"Kuch soch rahi ho kya.."
"Hmmm.."
"Kuch hua kya.. koi baat??"
"Kuch nahi bas.. mai bhi aaj tum logo ke sath chalna chahti hu.. par bhai ne ek mushkil paheli rakh di hai samne jiska jawab samjh hi nahi aa raha.."
"Mujhe batao.. shayad mujhe aata ho.."
Itna sunte hi tiya ne jhat se use poori kahani suna di.
"Are bahut asaan hai.. maine hi isse puchi thi kuch din pehle.. suno.." itna kehte huye aniket ne jawab tiya ke kaan mai bata diya.

"Hmmm.. chalein??"apne kamre se camcorder aur baki instruments se bhara bag late huye sameer bola.
"Mujhe jawab mil gaya.. aage wo curse usi ladke par pad gaya kyuki usne rule tod diya.. usne pehle hi aankhe khol li.." khushi se chehkte huye tiya boli.
"Anu ne btaya??" aniket ko aankhe dikhate huye sameer ne pucha.
"Abe mene ni btaya kuch.. mujhe nahi malum tumhare bich kya baat chal rahi hai.."
"Hmmm.. tu sale pitega aaj.." sada sa muh bnate huye sameer bola, "chal chhipkali.. taiyar hokar aa 5 minute mai.. nahi to hum chale jaynge.. aur ha waha agar koi bhut wagerah dikhe to usko ghar mat le aana.."
"Mai bas 2 minute mai aayi.."

"Wese tune pata kiya kya kuch waha ki history ke bare mai.." sameer ne pucha. Wo is waqt car drive kar raha tha aur uske bagal mai aniket betha tha wahi tiya piche bethi thi.
"Ha.. ruk.. abhi dikhata hu.. laptop mai hai sab.."
Aniket ne apna laptop open kiya or usme se ek folder open kiya "Investigation-13".
"Wo college kareeb 72 saal purana hai or pichhle 5 saal se band pada hai.. wo ek boys college tha or apne samay mai city ka sabse famous college tha.. par phir ek din waha ke principal Ajay Sharma ne suicide kar liya or uske baad se college ke bure din shuru ho gaye.. kehte hai ki principal ka bhoot waha bhatakta hai.. 6 mahine pehle bhi 4 paranormal investigators us college mai gaye the par unme se ek bhi nahi lauta .. security officer ko unki bodies tak nahi mili.."
"Abe unka kissa to mujhe malum hai.. use sunkar hi to yaha aana decide kiya tha humne.. kuch or info ho to bata.. is baar mujhe pakka yakin hai ki hum kuch na kuch achha jarur capture kar lenge... mera sixth sense mese lagatar chilla chilla kar keh raha hai ki ye college ka bhoot hume mashoor banane wala hai.." sameer gaadi bhagate huye bola. Raat ke 11 baj rahe the or road poori tarah sunsan tha isliye sameer bhi 120 par gaadi bhaga raha tha.


"Bhai thoda dhire chalao na.. or anu bhaiya ye un investigators ke sath kya hua hoga.. kahi hamare sath to esa nahi hoga na.." aniket ki info se diya kuch dar si gayi thi or uske man ka ek hissa ab use dhikkar raha tha yaha aane ke liye.
"Tu bilkul hi phattu hai.. isliye tujhse mana ki thi mene aane ki.. are esi kahaniya to har us jagah ke sath judi huyi hai jaha hum ab tak gaye hai.. anu tu isko chhod or ye bata kuch or info hai kya??"
"Hmm.. kehte hai ki college band hone se pehle waha kafi azeeb chizein hone lagi thi.. ajay sharma kafi strict the or sabhi students yaha tak ki teachers bhi inse darte the.. isliye bhi unke bhut ka khauf jyada tha.. unki maut ke baad koi naya princi waha ek hafte se jyada nahi tika.. ya to wo bhag jata ya pagal ho jata.. or last wale ne to khud ko hi goli maarli jiski vajah se college band ho gaya.. kya naam tha uska.. umm haa.. neeraj dhar.. pehle teacher tha phir princi bana.."
"Hmmm.. interesting.."

"Lo pahuch gaye.." college ke samne gaadi rokte huye sameer bola. college outskirts mai tha isliye yaha pahuchte huye kareeb 12 baj chuke the.
college bahar se dekhne mai hi darawana lag raha tha. Orange color ki 2 storey building thi aur uski entry bilkul bich mai thi or entry ke dono taraf ek-ek wing thi. Classrooms ki khidkiyo par koi sheesha nahi tha par lohe ki jaali abhi bhi mojoud thi.
"Kya kar rahi hai.. abhi to hum andar bhi nahi gaye.. tujhko jab itna hi dar lagta hai to aayi hi kyu.." tiya se apna hath chhudate huye sameer bola.
"Chal bhai.. camera 'on' kar le.. aur EVP recorder nikal le.. mai bhi apna camera or EVP ready karta hu.." aniket apna camera on karte huye bola.
"Ye EVP kya hota hai anu bhaiya??" Tiya ne uski baat sunkar pucha wahi sameer kahe anusar apne kaam mai vyast ho gaya.
"EVP ek low frequency recorder hota hai jo esi awaajein bhi record kar sakta hai jo hum sun nahi sakte.. bhoot aksar esi awaajo mai hi baat karte hai.. isliye har ghosthunter par EVP hota hi hai.."
"Chal be wikipedia.. yahi sara gyan dega ya andar bhi chalega.." sameer apni sari taiyari kar chuka tha.

Andar ghuste hi seelan ki badboo unki naako mai sama gayi. Waha channel wala entrance tha jiske left side mai rest room tha aur aur right mai office. Samne ek or gate tha jiske piche college ki baki building thi. Waha gupp andhera tha isliye dono ne apne camera ki light on kar rakhi thi. Aage gate ke samne ek hall jesa tha jo samne playground par khula hua tha or dono taraf ek-ek wing tha. Farsh par dhool ki parat bichi thi or kuch kagaz, furniture ke tukde wagerah pade the.
"Hmmm.. alag ho jate hai.. left ya right??" Aniket ne apne camera ko taante huye pucha.
"Hmmm.. right..." sameer ne jawab diya or phir apne camera ko taante huye right ki taraf chal diya. Tiya bhi uske sath chal di wahi aniket left ki taraf chal diya.
Waha ek lamba corridor tha jiske left side par classrooms the to dusri side mai staff room, labs wagerah. Par sabse pehle tha ek staircase or phir principal ka room. Sabse pehle sameer ne wahi jana thik samjha.

Andar entry karte hi ek azeeb si badboo unki naako mai ghus gayi. Ye bahar ki seelan se kuch alag thi par wo pehchan nahi paye ki ye kiski badbu hai. Camera ki roshni mai unhone dekha Principal ka room kafi bada tha or kafi ast-vyast tha. Bilkul bich mai table thi jis par kuch files, ek globe or kuch pens wagerah pade the jin sab par dhool ki moti parat thi. Room mai showcases bhi the par unke kaanch sab toote huye the. Kuch cases mai shields, medals wagerah the to kuch mai books thi aur wo sab bhi dhul se ati padi thi.

"Bhai.. yaha mujhe kuch thik nahi lag raha.. esa lag raha hai ki koi hume dekh raha hai.." tiya usse chipakte huye boli.
Lag to sameer ko bhi esa hi raha tha par wo janta tha esi jagaho par esa hi lagta hai or ab to use in sab chizo ki aadat si ho gayi thi.
"Mujhe samajh nahi aata ki tujhe jab itna hi dar lagta hai to tu yaha aayi hi kyu?? In jagaho par esa hi lagta hai.. ab mera dimag mat kha or apna kaam karne de.." use jhidakte huye sameer ne apna EVP recorder nikala or uska 'record' button daba diya.
"Kya yaha koi hai?? Koi hai jo humse baat karna chahta hai??" Kuch seconds ki shanti ke baad usne play kiya par uski awaaj ke alawa kuch or nahi tha.
"Kya koi hai?? Principal Sharma?? Kya aap humse baat karna chahte hai??"
Phir se sirf uski awaaj or sannata hi tha. Ye dekhkar sameer ko thodi nirasha huyi par iski to use aadat thi. Jab EVP par kuch nahi aaya to wo camera ke sath desk ki taraf badha. Desk par bikhre saman mai kuch khas nahi tha isliye wo uski drawers check karne laga. Sab drawers khali the siway ek ke. Wo drawer locked tha. Locker khadkane par usme awaaj aa rahi thi jo bata rahi thi ki isme kuch to hai. Sameer ne aas paas dekha par use kahi koi key nazar nahi aayi.
Thak kar usne koshish chhod di or wapas tiya ke sath room se nikal gaya. Wo abhi room se nikla hi tha ki uski peeth par mojoud bag mai se beep-beep ki awaajein aane lagi. Use sunte hi uske chehre ka rang khil gaya. Usne turant apne bag mai se ek device nikali jisse wo awaajein aa rahi thi or uski disha princi ke room ki taraf kardi.
"Ye kya hai bhaiya??"
"EMF meter.. electromagnetic fields mai changes ko capture karta hai.. ab thoda piche hat.. mujhe kaam karne de apna.."
EMF meter ko idhar udhar ghumane par uski awaaj bhi kam jyada ho rahi thi or phir achanak jese shuru huyi thi wese hi band ho gayi. Ye dekhkar sameer ka chehra phir latak gaya.
"Chal yaha se..."

Thand ab thodi badhne lagi thi. Princi room ke thik bagal mai staff room tha. Staff room princi ke room se kafi bada tha or kafi seelan bhara bhi. Waha kafi sare lockers the jinpar teachers ke naam likhe huye the. Kuch lockers poore khule to kuch band the. Andar rakhe papers, chalk, pens sab par dhul jami huyi thi. Band lockers mai ek locker 'Neeraj dhar' ka bhi tha.
Wo abhi us locker ki taraf badha hi tha ki tabhi tiya ki dari sehmi awaaj uske kaano mai padi.
"Bhaiyyyaa.. bahar koi hai.. abhi mene kuch awaaj suni.."
"Tera veham hoga.. koi nahi hai bahar.."
"Nahi bhaiya.. sach mai koi tha.. esa laga jese koi tezi se bhagkar gaya.."
Ye sunkar sameer gate ke paas aaya or bahar jhankar dekha. Jesa ki ummid thi koi nahi tha.
"Dekha koi n..." sameer abhi apni baat keh poori bhi nahi paya tha ki uske camera ki roshni mai wo chiz aayi jo pehle nahi aayi thi or jise dekhkar uski ghiggi bandh gayi.
"Khoon..." samne locker wali wall ke thik bagal wali diwar par khoon laga hua tha. Khoon dekhte hi tiya ki to dar ke mare halat khrab ho gayi.
Sameer uske paas gaya or use chhu kar dekhne laga. Khoon kafi purana tha or jama hua tha. Esa lag raha tha jese diwar par kisi ne use chhidka ho.


Tiya ab ek pal bhi sameer se ek inch se jyada door nahi rehna chahti thi isliye turant uske paas aa gayi. Jese hi wo waha aayi uske paao ke niche kuch chiz aa gayi jisse wo dar ke mare turant uchhal padi. Sameer ne ye dekha to usne wo chiz utha li.
"Lagta hai principal dhar ne khud ko yahi goli mari thi.." us goli ke shell ko achhe se dekhte huye sameer bola.
"Bhaiya please chalo yaha se.. mujhe sach mai bahut dar lag raha hai.."
"Ha ha chal.. darpok kahi ki.."
Dono staff room se bahar aa gaye. Jese hi bahar aaye sameer ka EMF meter phir baj utha. Or kuch palo baad phir wese hi shant jo gaya par is baar uski awaaj pehle ke muqable thodi tej or jyada der tak thi. Iske baad dono ek classroom mai gaye.
Waha class mai jane ke baad dono ko hi esa lag raha tha jese koi unke sath khada hai or uski nazar unhi par hai. Tiya ke to sir ke piche ke baal khade ho chuke the or wo kasam khakar keh sakti thi ki phir se usne wo awaaj suni thi jo staffroom ke bahar suni thi. Par is baar wo chup rahi kyuki janti thi ki sameer phir use jhidak dega. Is waqt wo sameer se bilkul sat kar chal rahi thi. Wahi sameer class mai mojoud furniture ki video bana raha tha mano abhi kisi table ke niche uska bhut nikal aayega or wo use capture kar lega. Par esa na kuch hona tha or na hi hua.
Dono class se bahar aa gaye or is baar bhi EMF kuch der ke liye baja or phir band ho gaya.
"Strange yaar.. esa pehle to kabhi nahi hua... lagta hai ye kharab ho gaya hai.." apne EMF ko hatheli par thokte huye sameer khud se hi bola.
Ese hi wo dono phir kayi classrooms, computer lab wagerah mai gaye par kahi kuch khas nahi dikha. Ha par har baar jab bhi wo bahar corridor mai aate sameer ka EMF jarur bajta. Or har baar uski sound pehle se tej or dair tak hoti. Sameer bhi baar baar apne EVP par record karne ki koshish kar raha tha par har baar sirf do hi chizein record hoti, uski awaaj or waha ka sannata. Tiya ko har pal yahi lag raha tha ki koi use dekh raha hai or kafi gusse mai hai.

Aage wing band tha to sameer ne upar wala floor check karne ki sochi. Wo wapas waha aaya jaha wo staircase tha or upar chadne laga. Upar chadte huye wo abhi akhiri seedhi tak pahucha hi tha ki wo hawa mai hi kisi chiz se takra gaya ya shayad ye uska bhram tha.
"Kya hua bhai.. ruk kyu gaye..??" Piche aati tiya ne pucha.
"Mujhe laga mai kisi se takraya.."
Ye sunte hi tiya turant ek seedhi niche utarte huye boli "kk..kkiss..se??"
"Kuch nahi.. mai to mazzak kar raha tha.." tiya or na dare isliye usne jhut bol dia. Tabhi uska EMF phir baj utha. Is baar sound kafi tez thi. Or phir kuch hi palo baad band ho gayi.

Upar bhi niche jesa hi setup tha bas dono wing ko jodne wale hisse mai bada sa hall tha jaha shayad morning prayer hoti thi. Dono ek ek karke waha mojoud rooms mai gaye par kuch bhi record karne layak nahi mila. Ha EMF apna kaam bakhubi kar raha tha. Ab sameer isse jhalla sa gaya tha or is 'kharab' EMF ko fekne ki soch raha tha.
"Chalo aniket ko lekar nikalte hai yaha se.. kuch nahi hai yaha record karne layak.." jhunjhulate huye sameer bola.
Dono waha se prayer hall ki taraf chal diye jaha se wo left wing mai ja sakte the. Wo hall kafi bada tha or waha ek alag hi tarah ka sannata tha. Par wo waha akele nahi the. Aniket bhi waha mojoud tha or farsh par se kuch kagaz utha raha tha.
"Kuch mila kya??" Piche se aate huye sameer ne pucha.
"Abe saale dara hi diya tune to.. nahi kuch nahi mila.. bas ek classroom thoda azeeb tha kyuki andar se band tha.. or ye dekh.. ye photos.."


Aniket ne waha farsh par padi photos sameer ko dikhate huye kaha, "azeeb hai na.. ye un 4 investigators ki photo hai.. par charo hi is photo mai eksath hai.. to ye photo kisne khichi.. na to ye selfie hai or camera ka angle dekhkar to lagta hai ki thoda upar se khichi gayi hai to timer ki bhi nahi lagti kyuki camera itna upar rakhkar photo khichne ka koi matlab hi nahi banta.."
"Hmm sahi keh raha hai.. chal mujhe bhi kuch mila tha.. staff room mai.. khoon ke nishan aur ek bullet shell.. shayad dhar ne wahi khud ko udaya tha.. unhe hi ek or baar check kar lete hai or phir tera classroom check karke chalte hai yaha se.."
Tiya ke palle kuch nahi aa raha tha dono kya bol rahe hai. Use to wo photo normal hi lag rahi thi par jab dono waha se jane ke liye raji the to use usse lena dena bhi nahi tha.
"Hmm thik hai.."
Jese hi teeno hall se bahar nikle do EMF ek sath baj uthe.
"Tera bhi baar baar baj raha hai kya??" Aniket ne pucha.
"Ha yaar.. dimag khrab kar dia hai isne.. man to kar raha hai fenk du sale ko.."
Ye sunkar aniket soch mai pad gaya par kuch bola nahi.

Teeno ek baar phir staffroom mai the. Aniket us khoon ke nishan ko dekh raha tha to wahi sameer dhar ke locker ko. Locker poori tarah khali lag raha tha par usme kuch tha. Wo ek chabhi thi jispar khoon ke chhinte the.
Sameer ne wo chabhi utha li or ulat pulat kar dekhne laga.
"Khoon kafi purana hai.. shayad dhar ka hi hai.." aniket un nishano ko dekhkar bola.
"Chal jara.. princi ke room mai.." sameer usse bola or lagbhag bhagte huye waha se nikal gaya. Aniket or tiya use dekhte hi reh gaye phir wo bhi uske piche lapak pade.

Sameer ka andaza sahi tha. Wo usi drawer ki chabhi thi. Andar ek diary rakhi thi jispar bade bade aksharo mai likha tha "college Rules: Ajay Sharma".
"Daily attend the college.. No mischeifs.. Never lie.. Girls are not allowed.." sameer diary mai likhe rules padhne laga par unme bhi kuch khas nahi tha.
"Kuch nahi hai isme bhi.. chal tera classroom hi dekh lete hai.. pata nahi dhar ne lock kyu kar rakhi thi.." diary ke kuch rules padhne ke baad sameer bola.

"Ye dekh ye hai wo room.." us room ke samne unhe late huye aniket bola.
Sameer ne dhakka dia par darwaza nahi khula.
"Bhaiya chalte hai na yaha se.. mujhe kuch thik nahi lag raha.."
Sameer ne tiya ki baat ko ignore kiya or phir se dhakka dene laga par darwaza andar se band tha.
"Lagta hai todna padega.." sameer ne abhi kaha hi tha ki EMF phir bajne laga or is ki jhunjhullahat usne poori darwaje par utar di. Usne ek jordar dhakka mara or darwaja 'bhaddak' ki awaaj ke sath khul gaya. EMF lagatar baje ja raha tha or darwaja khulte hi poori taqat ke sath bajne laga.

Samne ka nazara dekh dar ke mare unki halat kharab ho gayi. Board par khun se likha tha "NEVER BREAK HIS RULES". Board ke samne 5 lashe faasi par jhul rahi thi jinme se 4 kankaal thi or ek taza lash thi aniket ki.
"Aa..aann..niket.." sameer ne haklate huye apne paas khade aniket ko dekha jo uski taraf hi ghur raha tha or kafi gusse mai tha. Or phir EMF ki awaaj band ho gayi or sath hi classroom ka darwaja bhi phir andar se band ho gaya.

***THE END***

To be continued...

______________________________
For Something Unique Read My Story The Time-Machine (Completed)
Horror Has A New Definition: Fear-Trap... Dar ki nayi inteha..
Best Tv Series In Hindi: The Walking Dead

Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2015 - by Expert - 08-09-2025, 10:59 PM
RE: Ultimate Story Contest 2015 - xossip - by Expert - 11-09-2025, 08:42 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)