Xossip Ultimate Story Contest 2015
#43
Dill K Derwazey
kingdevil 2

Who dil ki surgery ka jana mana Doctor tha. Usey yaad nai tha k us ney ab tuk kitney marijon ki heart surgery ki ho gi. OT main dakhil hotey hi hasb e mamool who hello Hi k liey mareez ki traf berha.

Doctor ko herat hui Mareez ka response deikh k jo k us se bhi zyada purzosh nikla. Mareez k chehrey se zara bhi yeh tasir nahi mill raha tha k who surgery kraney aaya hai who bhi dill ki.

Shahid esi baat se Doctor ko herat hui ho gi. Aam tor per yahan jo bhi mareez aatey hn, Mout ka khouf un ki aankhon se zhalak raha hota hai. Baat krney ka lehja toota phoota aur bey jaan hota hai. Umeed aur na Umeedi, Yakeen aur bey yakeeni k miley juley Takleef deh ehsasaat chehron per likhey hotey hn.

Lekin yeh ajeeb aadmi tha Mout k kinarey per khara tha lekin muskura raha tha. Koi tou baat hai? Doctor soch raha tha. Intehayee mahir Heart surgon honey k bawejood us k nazdeek dill ka operation ek kisam ka Muskil kaam tha, jis main jeet aur haar ka imkaan her waqt rehta hai.

Yahan zara si bhi ghalti aur ghaflat ki gunjaish nai hoti. Aesay moqon per doctors mareezon ko Zindagi ki Umeed dilate hn. Un ka hosla berhatey hn, Inhey Operation k liey ready krtey hn lekin shaid us k purey career main pehli baar aesa hua tha keh usey aaj es ki zaroorat hi mehsoos nai hui ja phir mareez ko es ki zaroorat thi hi nai.

Doctor ko herat hui tou mareez ki traf mutwajah hua.

Doctor: Kia aap ko pata hai k aap k dill ka valve band hai?,,
“G haan! Main tou dill k valve ko Dill ka derwaza kehta hoon”. Mareez ne muskuratey huey kaha tou Doctor usey herat se deikhney laga. Usey yeh saksh waqiey hi dilchasp laga tha.

“Chaliey tou phir mein yun kehta hoon k aap k Dill ka derwaza band hai mein usey kholney ja raha hoon ya ho sakta hai tabdeel hi krna parey”. Doctor ne bhi muskuratey huey kaha aur Mareez k sath thoda bey takalluf honey ki koshish ki.

Mareez ne pehley Doctor ki traf deikha phir bola. “Kia aap mujhey bata saktey hn k yeh derwaza band kiun hua hai? Halankeh mein tou isay hamesha khula rakhta hoon ya yun keh lein k kam az kam isay khula rakhney ki koshish zaroor krta hoon”. Mareez ne kaha.

Who kesay? Doctor k labon pe muskurahat thi. OT main es kisam ki ghftagu us ki zindagi ka pehla moqa tha.

Deikhein.,, Mareez ne zara si gehri saans li aur bola. Kisi ko gham zada aur preshan deikhta hoon tou Ehsaas ki lehar kisi rukawat k bagheir sidhi dill main uterti hai. Ager Derwaza band ho tou kia aesa ho sakta hai? Kitney bhi zaroori kaam se ja raha hoon, kisi zakhmi ko sadak pe tadaptey deikhta hoon tou mera dill bhi tadapney lagta hai.

Us ki madad kiey bagheir mujh sey ek kadam aagey berha nai jata. Kisi beemar dost k bed pe phoolon ka guldasta rakhney main meri pehal hoti hai. Apney Rishtey daron, Behan bhaion aur azeezon ko kisi bhi sermindagi se bachaney ki her mumkin koshish krta hoon.

Kayee Log merey pass apna Ehtamad gum kr jatey hn lekin mein phir un ko lota deta hoon. Bachon se dour lagatey huey jaan bujh k haar jata hoon.

Ek roz aesa laga k mujhey kisi sey pyaar ho gya hai Us k liey na janey kitney julm sahey us ko her who khushi di jo who mujh se chahti thi us k naaz uthaney k wastey mein roz pedal uni jata jo k ghar se 3 KM door thi takeh patrol k pesay bacha sakun.

Apney aap ko bhool k apni Pocket Money us k liey sambhal k rakhta aur us ki her fermaish puri krta jab Job lagi tou us main se aadha hisa us k liey jama krta Lekin meri kismet jab mein us ki badi fermaish puri na kr saka tou chor dia.

Lekin mayoosh tub bhi nai hua her roz esi umeed k sath jeeta tha k us ko Ehsaas ho jaey ga merey pyaar ka 10 saal us ki yaad aur us k intezaar main guzaar diey ab bhi mayoos nai hoon khush rehney ki koshish krta hoon apney chahney walon ko maloom nai perhney deta k mein ander se kitna zakhmi hoon.

Mein ne apni Khuwaish ko itna uncha nai honey dia k mujhey merey apney dikhney band ho jaen.

Yeh sab Dill ka derwaza khula rakhney ki koshish nai tou aur kia hai? Sachi baat yeh k meri in koshishon ka dill ne bht sath dia hai. Phir achanak mujh per apney derwazey band kr leney ka dill ka faisla samjh main nai aa raha”. Mareez ne kaha aur Doctor ki traf deikha jo herat se us ki traf deikh raha tha.

Doctor k pass un baton ka koi jawab nai tha ager hota tou who deta.

Operation kamyaab hua aur kuch dinon baad mareez ki chutti ka waqt aa gya. Doctor khaas tor per usey hospital k derwazey tuk chorney aaya. Hath milatey huey us ne Mareez se kaha.

Doctor: “Aap k dill k derwzey ek dam badal diey gaey hn. Hum ne her trhah se aap ka khyaal rakhney ki koshish ki hai. Mujhey yakeen hai k hamarey staf ne aap ko shikayat ka moqa nai dia ho ga”.

Mareez muskuraya aur bola.
Mareez: “Baqi sab tou theek hai lekin eham baat tou mein aap ko btana hi bhool gya”.
Who kia? Doctor ne poucha.

“Doctor shahb, Dill k derwazey per ek baat likhwana thi mager na janey kiun us waqt mujhey aap se kehna yaad kiun nai raha”. Mareez ne hasrat bharey lehzey main kaha.
Likhwana tha….Kia likhwana tha?,, Doctor ek baar phr herat ki tasveer bana hua tha.

Bohat acha hota k aap dill ka derwaza tabdeel krtey waqt yeh elfaaz likh detey keh “Yahan pyaar ka dakhla manah hai. Merey khyaal mein merey dill k derwazey ko sab se zyada nuqsaan yaheen se pouncha hai jo mein kisi ladki se kr beitha mager kheir………”. Mareez ne baat aduri chori aur doctor ka sukriya ada kr k gadi main beith k chala gya.

Doctor Muskuraya aur khud se bola. “Tum jesay logon k sarey valve band ho jaen mager dill k derwazey kabhi band nai ho saktey… Gud luck Mr. Patient…….”.
______________________________
Read My Thread
Ajnabi Rastey (Completed) & Lagan(Chahat) (2) Comming Soon
Best Thread
Main , meri family aur mera gaon
Pyar-Gum Ya Khushi
MASOOM ...
Like Reply


Messages In This Thread
Xossip Ultimate Story Contest 2015 - by Expert - 08-09-2025, 10:59 PM
RE: Ultimate Story Contest 2015 - xossip - by Expert - 11-09-2025, 08:19 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)