09-09-2025, 04:40 PM
Priye,
Frankansteinthekounttumhara khat mila, javab jaldi hi bhenjna chahta tha par samay hi nahi mila tumse idhar ke halat kaha chupe hai, to deri se javab ke liye koi shikva na karna dil to mera bhi bahut karta hai ki tumse baat karu yaad bhi bahut aati hai par mai majboor hu kuch karz is dharti ka bhi hai jo chukana jyada jaruri hai aaj kuch kaam se niche base camp me aaya tha to socha ki tumhare khat ka javab bhej du.
Tumhari shikayat hai ki mai ghar par phone nahi karta hu ab kya karu idhar pahado me network hota hi nahi hai vaise to satteelite phone hai par jab apne javano ki aankho me apne gharvalo se do baat karne ki lalak ko dekhta hu to fir mai apni iccha ko daba leta hu gharvalo se baat karke jab khushi se damakte huve unke chehro ko dekhta hu to tumse baat na kar pane ka dukh jaise kahi chup sa jata hai
Yaha in pahado par meri choti si post par insab ke saath ek choti si family si ban gayi hai par fir bhi jaise hi raat hoti hai to ye sard hava aur geeli dhund apne saath tumhara thoda sa dard bhi le aati hai aur fir mai so nahi pata hu sach kahu to bahut si bate tumse karna chahat hu par jab tumhare pass hota hu to himmat hi nahi padti tum kabhi kehti nahi par tumhari us hasi ke piche chupe huve dard ko mai fir bhi padh leta hu.
Par mai kuch kar bhi to nahi sakta chutti mile to aaj mil jaye na mile to pata nahi kitne din lage ek taraf tumhare roop me mera pyar, meri mohabbat mujhe pukarti hai aur dusri taraf mere panvo me faraz ki bediya bhi to hai jo shayad mohabbat se kuch jyada majboot hai aur fir idhar bus tumhare pyar ka hi to sahara hai mujhe aksar raat ko kuch hichkiya aa jati hai jo bata ti hai ki tumhe bhi neend nahi aayi hai duty par jab kabhi
Kuch der ke liye jhapki aa jati hai to ye thandi hava kuch yu chu kar chali jati hai jais tumne apne naajuk hatho se mere sar ko sehla diya ho us pal dil me ek tees si foot padti hai apno se door hone ki kabhi kabhi khud ko bahut akela mehsoos karta hu par priye tumhara haal bhi mujhse kuch chupa nahi hai mai janta hu ki aksar tum takiye ko bhigo deti ho apne virah ke aansuo se mai samajhta hu ki tumhe meri jarurat hai yaad aati hai aur sach kehta hu mera haal bhi tumse kuch juda nahi hai jab aakash me kuch panchiyo ko udte dekhta hu to dil karta hai ki kaash mere bhi pankh hote to udkar tumhare pass chala aata par apne sochne se kya hota hai tumhari purani chitthiyo ko sambhal kar rakha hai
Kuch samay ke saath dhoondhla gayi hai par tumhare ek-ek shabd ko jaise rat hi liya hai maine ye pen bhi dhang se likh nahi pa raha hai lagta hai iski syahi bhi jamne lagi hai par aaj kuch bhi karke ye chitthi post karne ke liye bhej hi dunga kyonki mai janta hu ki tumhe besabri se mere khat ka intzaar hoga mai janta hu ki jab gali me dakiye ki cycle ki ghanti bajti hogi to tum nange panv hi darvaje ki or dod jati hogi sach kahu to ye choti-choti bate hi to hamare is rishte ke dhage ko itni majbooti se thame huve hai
Mahino baad aaj thodi si fursat mili hai to socha ki apne dil ki sari bate tumhe bata hi deta hu aur fir tumhari ye shikayat bhi door ho jayegi ki mai bus haal-chal ke alava aur kuch nahi likhta hu, saath hote huve bhi jo mai tumse nahi keh saka vo is patr me likh raha hu mujhe tumhari hasi bahut acchi lagti hai jab tum badi hi nazakat se meri taraf apni in katili aankho se dekhti ho to mai jaise ek baar fir se apna dil haar jata hu
Jis shokhi se tum sar par chunni odhti ho, kasam se tumhari vo murat bas gayi hai mere dil me ye jo tumhari saadgi hai yahi tumhara roop bankar mere man ko moh leti hai meri parchayi bankar tumne mujhe purn kar diya hai tumhe apne saath pakar mera adhurapan jaise pura ho gaya hai sach kahu to kabhi kabhi jab mai apni zindagi ko dekhta hu to tumhari fikar si ho jati hai tumhe to pata hai hai ki jaha par meri post hai udhar ke halat kuch theek nahi hai
Aksar goli-bari hoti rehti hai goliyo ke shor me dil kuch jyada hi fadfada jata hai sochta hu ki agar kahi kuch ho gaya to tumhara kya hoga maa-baap ka kya hoga par shayad ye tumhare pyar ki hi shakti hai jo mai haste haste is situation ko bhi jhel leta hu, janta hu ki tum khat ko baar baar padhogi aur fir sabse chupkar rovogi shayad isi liye mai kai baar tumhari chtthiyo ka javab nahi deta par ab mai thode dino ke liye aur upar jaa raha hu
Fir pata nahi kitna time lage to socha ki ghar par chitthi likh deta hu kya pata aage jake samay mile na mile ya halat kaise ho kal to mai puri raat do minute ke liye bhi nahi so paya tha mera man kuch vichlit sa ho raha tha ghabra raha tha mai aur fir ek tum itna yaad karti ho ki tumhari aahe lagti hai idhar aakar tumne bataya tha ki choti baar baar scooty ke liye zid kar rahi hai
Maine vada to kiya tha us se ki abki baar chutti aate hi usko scooty pakka dilva dunga par lagta nahi ki mai jaldi aa paunga ab ye kaam bhi tumhe hi karna padega sach kahu to ghar ka beta mai nahi tum hi ho kyonki mere saare kaam to tum hi karti ho socha to tha ki bahan nayi scooty ko dekh kar jab khilkhilayegi to us khushi ko mai bhi thoda sa jee lunga par holi se pehle aana mushkil hai
Jab gharvalo ke liye kuch time par kar nahi pata to dil toot sa jata hai idhar itna akelapan hota hai ki kabhi kabhi to sabse najar bachakar thodi der ro bhi leta hu mai par insab cheezo par mera bas bhi to nahi chalta hai meri patni banke jo ye aadhi vidhava ka jeevan tumne chuna hai , mushkil hai mai janta hu pichli chuttiya na jane kab hi khatam ho gayi kuch pata hi nahi chala.
Niche ki taraf ek choti si nadi hai kabhi kabhi udhar kuch der ke liye chala jata hu accha lagta hai udhar baithke juto ko utar kar pant ko ghutno tak chadha ke jab uske baraf see thande pani me mai apne pair dalta hu to do pal ke liye pura sharir kamp sa jata hai par accha lagta hai pure din ki thakan un do palo me hi kahi gayab ho jati hai aaj ye jo chitthi tumhe likh raha hu udhar hi baith ke likh raha hu jab tum padhogi to mujhe pakka vishvaash hai ki tum bhi is feeling ko mahsoos karogi ye chitthi apne saath idhar ki khushboo bhi lekar aayegi tumhare liye
Pen baar baar rukne laga hai par mai likhta rahunga jab tak ye kaam karta rahega papa ji ki tabiyat ka dhayaan rakhna tum sardi ka mosam hai to shaam hote hi unke kamre me garmi ke liye aag ka intzaam yaad se karna unhone kai baar kaha tha ki chashma change karvana hai par chuttiya pata hi nahi itni jaldi khatam ho gayi ki karva hi nahi paya aur mujhe pata hai ki unhone kaha hoga ki nahi jab beta aayega tabhi karva lenge pata hai bachpan me papaji ke kandhe par baithkar mai mele jata tha par ab kaha hai vo din,
Tum sochogi ki , kahi foji pagla to nahi gaya ya fir peg laga kar chitthi likh raha hai par aisa kuch nahi hai bus pata nahi kyo feelings kuch jyada hi emotional kar rahi hai to bus kuch bate tumhe bata raha hu papaji ne har zid puri ki kabhi mana nahi kiya par aaj mai dekho sab kuch hote huve bhi unke pass nahi hu bees din ki chuttiya bus aise hi gujar jati hai sala do ghadi gharvalo ke saath bitaye nahi ki jane ka time ho jata hai
Pata hai mai kabhi –kabhi sochta hu ki yaar hum foziyo ki bhi kya zindagi hai saal me dus mahine ghar-parivar se door pade raho is se to accha hota ki kahi majdoori hi karlete kam se kam har shaam ghar to hote par fir sochta hu ki is desh ke liye jine ka moka bhi bhaag valo ko hi milta hai idhar bhi apne javano ke saath family vala system hai inki khushi me khush ho leta hu inke dukh me dukhi akhir hum jaiso ki zindagi hoti bhi to kitni hai
Choti se kehna ki khoob man laga kar padhe aur vo koi shararat kare to bus use karne dena akhir vo hi to apne ghar ki ronak hai kitne rakshabandhan beet gaye bechari mujhe rakhi bandh hi nahi saki hai , kabhi shikayat nahi karti par uska dukh meri sooni kalayi bata hi deti hai mujhe mai to kisi tarah se sabar kar leta hu par uske masoom chehreee par udasi mera kaleja cheer jati hai
Mummy har din badbadai hongi ki phone nahi karta hai use to bus apni duty ki hi chinta hai ye to unka fav. Dialouge hai par unke man ka haal bhi mai samajhta hu pakka kehta hu ab tak to unhone gond ke laddu bhi daal diye honge is aas me ki beta jaldi hi ghar aayega mummy bhi na bilkul mom ki tarah hai vaise to itni bate suna dti hai par jaise hi mai ghar aata hu mom ki tarah pighal jati hai
Unke aanchal ki chanv me jo sukoon hai vo mujhe yaha kaha mile mummy ke hath ke garma garam aalo ke paranthe upar se dher sara makkhaan bahut yaad aata hai aur sach bus ye yade hi to hai mere pass jinke sahare idhar time-pass hota hai varna in soone pahado ki bhi koi zindagi hai aur upar se ye hamaree us par vale dost ye bhi ajeeb si dosti nibha rahe hai
Na jane kab shuru ho jate hai kuch dino pehle ki baat hai maine khane ke liye tiffin khola hi tha ki vo shuru ho gaye fir ruk ruk kar puri raat firing hoti rahi unke chakkar me bhookha marna pada , firing ki baat sunkar tum chinta na karna ye to ab roj ka kaam hai aadat pad gayi hai dil me ek baat hai soch raha hu kahu ya nahi chalo keh hi deta hu jab tum vo neele rang vali sadi pahanti ho na to badi kamal lagti ho
Jab bhi kabhi tumhare bare me sochta hu to bus vohi dhyaan aata hai aur vo tumhara chobare ki khidki se mujhe jate huve dekna door se bhi galo par ludhak aaye un do aansuo ko pehchan liya tha maine par yahi to zindagi hai tumhari aur meri bus itna kehna hai ki tumse us ghar ko kabhi meri kami mehsoos na hone dena sabko saath lekar chalna mummy ya aur koi kabhi kuch keh bhi de to
Dil par na lena aur mera kya hai ,shayad kal nayi post ke liye nikal jaunga dadhi kafi badh gayi hai khujli chalti hai aaj to pakka shave kar hi lunga jane se pehle aur tum thoda kam yaad kiya karo ab to sathi bhi puchne lage hai in hichkiyo ke bare me aur mai bus muskura kar reh jata hu abki baar jab aaunga to dulhan ke roop me kuch tasvire idhar le aaunga tumhari to kami bhi nahi lagegi
Thand badhne lagi hai kampkampi si hone lagi hai jane ka time ho gaya hai co sahab aaj niche ja rahe hai to unko ye letter de dunga post karne ke liye 7-8 din me to pahuch hi jayega tum tak do char bate aur karni thi par ye pen bhi ab dum todne laga tha to bus itna hi vada to nahi par koshish karunga jaldi hi ghar aane ki apna khayal rakhna aur gharvalo ka bhi mummy-papa ko namaskar aur choti ko mera pyar dena aur tumhara pyar wo to tum janti hi ho.
Tumhara,
*******


![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)