07-09-2025, 12:48 AM
(04-09-2025, 03:34 PM)Very good rajkumar90 Wrote: neeta ke mobile par aarti ka call aate hi neeta kahte hai
Haa didi boliye na
Kaha hai tu
Ghar pai
Aur tera Aashiq
Wo hoga aapne Ghar mai ya aap ke ghar mai
Matlab tere saath nahi hai
Pagal ho gayi hai kya aap didi .. aab iss waqt mai uske saath kaise rah sakati hu .. mere ghar wale muje maar na denge
Ye pyar karane se pahle sochana chahiye tha na
Wo kaha sochane deta hai
Kon
Aap ka nawaz
Aap ka nawaz kahte hi aarti sharma jati hai
Pagli kuch bhi mat bol . wo mera kaha hai wo to tera hai .. tera pyar tera sabkuch
Matlab aap ka naukar
Aisa bol na phir .. kisi ne sun liya to wo kya sochega .. aur badi affat aa jayegi
Galti se mistake ho gayi didi
Tab dono hasane lagi
Waise didi iss waqt aapne uske bare mai kyon pucha ..kuch kaam tha kya
Kaam koi nahi tha par maine socha agar tu yaha hoti to usko khana leke deti ya tumare basti mai wo hota to wo khana khata aapne ghar mai .. aapne ammi ke hato ka
Haa didi uski ammi bahut achha khana banati hai.. aap ek baar unke haato ka khana khaoge to aap pagal ho jaoge
Phir smile karte hui kahte hai
Aab tu bol rahi hai to ek baar try karunge .. itane baar tune bola matlab kuch to achha hi banati hogi nawaz ki ammi
Haa didi bahut achha khana banati hai
Waise tu kya kahke bulati hai une
Chachi.. basti mai une chachi kah ke hi bulati hai
to Chachi ke haato ka khana jarur khaungi par only pure veg ..
Haan didi . mai bolunge une to wo aap ke liye pure veg hi khana banayege
Thik hai thik hai aab bata tere nawaz ke khane ka kya karana hai
Aab agar wo aap ke ghar mai hai to aap uske room mai khana dekhe aao
Tab neeta ke aise kahane par aarti sochane lagati hai
mai bhala kaise ja sakati hu uske kamre mai .. ye neeta kuch bhi bolati rahati hai.. aisa soch kar wo neeta ko kahti hai
Mai aur uske room mai .. kaise ..
Kaise kya seedha chala jane ka
Muje kya aapne jaisa samaj rakha hai kya tune .. mai kaise uske room mai seedha chala ja sakati hu .. ye achha dikhega kya
Waha kon hai dekhane wala nawaz aur aapke alawa didi
Wo sab thik hai par phir bhi
Phir aap usko aawaz do .. aap ka aawaz sunke wo aap ki taraf bhaga chala aayega
Neeta ke aise kahane se pahle to aarti ke chehare par smile aa jati hai.. baad mai wo sharma jati hai
Mere taraf kyon wo bhaga chala aayega
Kyon ki aap uski malkin ho .. malkin aawaz degi to usko aap ki taraf bhaga chala aana padega jaisa mai aati hu
Aisa kya .. mai samji
Aap kya samji
Kuch nahi
Nahi to mai usko call karti hu
Haa wo kar
Thik hai mai call karke aap ko bata dungi
Thik hai bol ke aarti call cut karti hai
kuch 5 minute tak neeta nawaz ko call karti hai par nawaz call nahi utata hai tab aarti ko neeta call lagati hai
Hello
Didi wo call nahi uta raha hai
Phir
Shyad pike pada hoga room mai
Kya bol rahi hai tu wo Peeta hai kya
Nahi to kya
Muje nahi lagata
Aap ke aur mere lagane se kya hone wala hai didi .. wo waise hi hai .. binfikir .. duniya se dur .. duniya ki wo chinta nahi karta ..kon uske bare mai kya soch Raha hai usko na uski chinta hoti hai aur na bhi wo uske bare mai sochata hai
Achha .. aab bata kya karana hai
Aab kuch nahi kar sakate didi .. ya to aap usko aawaz do ya uske room mai chali jao
Mai bhala kaise ja sakati hu uske room mai
Wo bhi to aapka hi ghar hai .. aap to aisa darr rahi ho jaise aap kisi dusare ke ghar mai jaa rahi ho
Phir bhi wo aab uska room hai aur room mai wo kaisa hoga ..kis haal mai hoga muje kaise pata hoga .. aur muje iss wajah se thode ghabharat bhi ho rahi hai
Daro mat didi aap .. waise aap jo kah rahi hai wo sach bhi hai aur ghabharane wali baat bhi hai ..waise mere mane to wo soya hua hoga .. to uske halat ki aap ko chinta karane ki koi jarurat nahi hai