15-07-2025, 02:45 PM
(This post was last modified: 15-07-2025, 02:52 PM by Greenwood. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Update 48
College Auditorium – Arjun’s First Match Live Screening
Time: Dopahar 2:30 PM
Department ne specially projector arrange kiya hai. Auditorium ka mood stadium jaisa ban gaya hai. Curtain band, dim lights, aur ek giant screen par Jodhpur se live match stream ho raha hai. Students, faculty, staff sab excitement mein doobe hue hain.
Front row mein Principal, Nikhat, Anwar Ma’am aur kuch aur staff members baithe hain—poore decorum ke sath.
Middle rows mein girls ka group hai—Ammu apni saheliyon ke sath bethi hai, magar thoda sa alag aur thoughtful expression ke sath.
Last row mein Zaheer aur Shanu side by side baithe hain. Dono ke haathon mein cold drink ke cups. Dono casually baat bhi kar rahe hain, lekin aankhen screen par tikki hui hain.
Match Starts – Stadium Ambience Loud
Screen par commentary chal rahi hai, Arjun ke team ka naam aate hi poora hall se woh aaya Arjun, Arjun ka chant ghoonj uthta hai.
Shanu ek quick side glance leti hai Zaheer ki taraf, dekhne ke liye ki kya react kar raha hai.
Zaheer (light grin ke sath)
Aaj ke match mein Arjun nahi, game jeet raha hai. Good strategy.
Shanu (soft smile)
Aur tu cheer bhi uske liye kar raha hai?
Zaheer (laugh karte hue, eyes on screen)
Team ke liye kar raha hoon… naam kuch bhi ho, jersey apni hai.
Shanu uski baat pe thoda blush karti hai. Uska haath casual stretch karta hai aur Zaheer ke haath se halka sa touch hota hai.Dono ki aankhen milti hai. Ek chhoti si silent spark. Shanu ki aankhon mein khushi aur Zaheer ke chehre par ek soft smile.
Cut to Screen: Last 5 Minutes of Match
Match tight chal raha hai. Score equal. Hall mein sab log tense hain. Nikhat aur Anwar ma’am bhi forward lean ho jaate hain screen ki taraf.
Suddenly
Commentary
Arjun ne ball liya hai… cross pass… dodge… final attack position…
Zaheer (seat se half uthte hue)
Kheech le bhai… ek aur second!
Arjun shoots — GOAL!
Screen pe ball net mein ja girta hai. Hall mein explosion of cheer.
“Yeeeeaaahhhh!!!”
Sab students seats se uth jaate hain. “Arjun! Arjun! Arjun!” ke naam se auditorium ghoonj uthta hai.
Shanu bhi khushi se uthti hai, zaheer bhi. Dono ka hands-up high five hota hai aur uske baad ek dusre ko dekh kar ek genuine wali eye lock and smile.Ammu ki aankhon mein bhi khushi ki chamak hai. Wo Arjun ko screen par celebrate karte dekhti hai… aur uska chehra wo ek second ke liye freeze ho jata hai. Phir softly ek smile nikalti hai.
Saheli (Ammu ke kaan me)
Tera hero jeet gaya.
Ammu (muskurate hue)
Mera nahi... hamara.
Camera zooms out – Auditorium ka full view – claps, whistles, cheers, celebration.
Screen freeze hoti hai – Arjun ka victory pose – arms stretched wide, stadium ke lights ke beech mein.
Fade out.
[b]Late Evening – Arjun’s Hotel Room in Jodhpur[/b]
Match jeetne ke baad Arjun poori team ke saath dinner kar ke apne room mein wapas aaya hai. Uske hair still sweaty hain, shirt half tucked out, lekin face pe ek jeet ka glow hai.
Phone vibrate karta hai.
Ammu – Message Notification
Quote:Ammu:“Jeet pe Jeet? Lagta hai koi deal pakki karni padegi…”
Arjun muskurata hai. Uska thumb chat bubble pe tap karta hai.
Phir ek video message arrive hota hai.
Arjun quickly wireless earphones laga leta hai… aur play karta hai.
Video Message – Ammu's Room, Dim Light, Soft Background Tune
Ammu lavender kurti mein hai, baal khule hain, cheeks pe halka blush. Camera uske chehre ke paas hai. Wo softly bolti hai… tone mein ek flirt hai, ek charm hai, ek invitation.
Ammu (smirking softly, aankhon me spark ke saath)
Toh… ek match jeeta… aur poora college deewana ho gaya.
Lekin mujhe lagta hai tumhara reward… sabse khaas hona chahiye.
(wo thoda camera ke kareeb hoti hai, lips thode parted, aankhon me direct gaze)
Ammu
Jeet aur bhi chahiye mujhe…
Kyuki har jeet ke baad… tumhara gift bhi upgrade hota jayega.
(Pause... fir halki si neck tilt)
Ammu
Aur abhi ke liye…
Ye raha tumhara first victory reward.
Camera thoda blur ho jata hai, uska face close-up pe rehta hai, wo softly camera ki taraf lean karte hue lips se ek gentle gesture karti hai — not a full kiss, but an implied intimate flying kiss.
Uske baad wo camera band karne se pehle muskurate hue sirf ek line kehti hai:
Ammu
Congratulations, Mr. Star Player… this was just a trailer.
Cut Back to Arjun’s Room – Live
Arjun screen ko ghoorta reh jata hai, aankhon me ek fiery softness. Wo pause pe tap karta hai, video rewind karta hai… aur Ammu ki aankhon me wo ek dafa phir kho jaata hai.
Arjun (softly to himself)
Ab har match jeetne ki wajah hai mere paas…
Camera slowly zoom out karta hai—Arjun balcony me jaata hai, phone ab bhi haath me, lekin uska dil us moment me kho gaya hai.
Jodhpur – Same Night, Team Hotel Lobby
Victory ke baad Arjun ki team full josh mein hai. Lobby mein lights dim hain, Bluetooth speakers se loud beats baj rahe hain, boys ke haath mein cold drinks aur pizza slices. Sofa ke armrest pe log khade ho ke naach rahe hain. Ek do ladke dance floor bana ke freestyle kar rahe hain.
Arjun bhi beech mein khada hai, sabke cheers aur shoulders pe thappiyon ke beech…
Par uske aankhon ke andar… koi aur screen chal rahi hai.
Flashback-style insert (Soft BGM):
Ammu ka video message. Uski aankhon ka woh sparkle. Wo line…
“Congratulations, Mr. Star Player… this was just a trailer.”
Cut back: Lobby
Arjun ke lips pe slow smile aata hai. Saath wala teammate uska shoulder jhatkakar kehta hai:
Teammate
Bhai tu kya kar raha hai? Smile kar raha hai ya shaayari likh raha hai dimaag mein?
Arjun (absently, aankhon mein dreamy look)
Haan… shaayari hi samajh le.
Taz (door se enter karta hua, chip bag leke)
Oye oye oye! Star boy Arjun! Trophy mila ya kiss?
Arjun (muskurata hai)
Trophy toh mil gayi… kiss ke liye next match jeetna padega.
Taz
Baap re… motivation toh dekho. Love is the new protein powder.
Sab hanste hain. Music thoda aur loud hota hai.
Arjun thoda side mein sofa ke armrest pe baith jata hai. Haath mein cola ka can, lekin aankhon mein Ammu ka dream. Wo can ka sip leta hai, aur phone nikaalta hai.
Screen unlock karta hai… video message fir se play karta hai.
Us waqt crowd ke jashn, music, lights sab mute ho jaate hain Arjun ke POV mein. Sirf Ammu ki voice… uska face… uska soft smile…
Arjun (whispering)
Tumhare liye jeetna alag hi high hai, Ammu…
Uska finger softly phone screen pe slide karta hai jaise Ammu ke cheek ko touch kar raha ho.
Tabhi background mein ek teammate zor se chillata hai:
Teammate
OYE! NEXT MATCH MEIN GOAL KARNA HAI, ROMANCE NAHI!
Arjun (laughing)
Goal toh usi ke liye hoga… tum log line mein ho jao.
Sab fir se cheer karte hain. Arjun bhi uthta hai dance floor ki taraf, lekin uske steps mein wo lightness hai, jo sirf pyaar mein padne ke baad aati hai.
[b]Location: Ammu’s Room – Early Morning – 7:00 AM[/b]
Subah ki pehli roshni khidki se andar aa rahi hai. Hawa halki si chal rahi hai, curtains hil rahe hain. Ammu blanket ke andar curl hokar soyi hui hai… uske phone ki screen blink ho rahi hai — 1 new message from Arjun.
Thodi der tak woh neend mein hi phone ki taraf haath badhati hai… aankhen aadhi khuli… phone uthati hai.
Screen pe Arjun ka message:
"Agar tum samne hoti, toh aaj raat tumse kuch aur jeetne ki zid karta..."
Ammu ki aankhon mein neend abhi bhi hai, lekin uske lips pe ek lazy smile aa jaata hai.
Woh phone ko chest par rakh leti hai… aankhen band kar leti hai… lekin face pe blush clearly dikh raha hota hai.
2 second baad fir se aankhen kholti hai… phone unlock karti hai… Arjun ka video message dekhna start karti hai — kal raat ki team celebration ke beech se usne bheja tha.
Video mein Arjun
Victory is temporary... but tumhara gift permanent hona chahiye.
Ammu softly mutters:
Ajeeb hai ye ladka... lekin... mera hai.
Woh uthkar baith jaati hai. Apna wardrobe kholti hai… sabse pehle usi gifted set par nazar padti hai. Soft fingers se us fabric ko touch karti hai. Thoda sa aankhen bandh kar leti hai — last night ka wo hug from behind, slow whisper, touches on her waistline — sab yaad aata hai.
Phir mirror ke saamne khadi ho jaati hai… khud ko dekhte hue softly bolti hai:
Ammu
Agar har jeet ke baad aise surprises milte rahe... toh mujhe bhi Arjun ki har match ke liye dua karni padegi.
Uska face pink ho jaata hai. Woh aankhon ke paas baalon ko adjust karti hai… earrings pehenti hai… lipstick lagate hue ek last time apne reflection ko smile deti hai.
Mirror me softly whisper karti hai:
Let’s see, Mr. Star Player… kitne match jeet paate ho…
[b]Location: College Corridor – Around 8:45 AM – Just before classes begin[/b]
Subah ki halki dhoop corridor ke white tiles par pad rahi hai. Students aate jaate dikh rahe hain, lekin rush abhi tak puri tarah start nahi hua.
Shanu ek hand me books aur dusre haath me coffee ka cup le kar slowly walk kar rahi hoti hai. Uske baal khule hue hain, aankhon mein usual eyeliner, lekin aaj thoda aur noor hai chehre pe… ek unsaid khushi.
Tabhi saamne se Zaheer aata dikhai deta hai — black t-shirt, denim jacket aur shoulder pe backpack. Dono ki aankhen milti hain… ek pal ke liye dono ke kadam dheere ho jaate hain.
Zaheer (ek halka sa smirk ke saath, aankhon me cheekhti curiosity)
Aaj to badi ready lag rahi ho... koi special mila kya morning mein?
Shanu thoda walk karte hue uske paas se nikalti hai, bina direct jawab diye… lekin phir peeche mur kar kehti hai:
Shanu
Special koi aur nahi, bas woh... jo roz subah mere mind me rehta hai, uski wajah se mood acha ho jaata hai.
Zaheer ko ek second lagta hai samajhne me… phir ek lambi saans le kar smile deta hai.
Dono ek dusre ke parallel chalne lagte hain… corridor ke ek kone mein jaake ruk jaate hain, jahan pe zyada crowd nahi hai.
Shanu apni coffee ka cup uski taraf badha deti hai.
Shanu
Chakh ke batao, aaj kaafi zyada sugary lag rahi hai ya mujhe hi sugary feel ho raha hai?
Zaheer cup le kar sip leta hai, fir cheekhi si awaaz nikaalta hai:
Zaheer
Damn. Itni sweet hai ki mujhe diabetes ho jaye.
Shanu hasti hai, cup wapas le leti hai.
Zaheer
Ya... ya phir... tumhari wajah se ho raha ho sab kuch sweet.
Ek awkward silence aata hai... lekin pleasant awkward.
Dono thoda aur paas aake ek column ke peeche lean karte hain… ek dusre ke bahut kareeb, bina kuch zyada bole.
Shanu (softly)
Tumhare naam wapas lene ke decision ke baare mein main kuch nahi kehna chahti.
Lekin agar tum wapas sochne lag jao… toh soch lena ki tumhare har decision mein main tumhare sath hoon.
Zaheer uski aankhon mein dekhta hai… aur kuch seconds ke liye kuch nahi bolta.
Zaheer (halki si husn bhari aankhon se)
Tera yeh kehna hi kaafi hai… pura college jeet jaaye ya har jaaye, tere ek line se main already winner feel karta hoon.
Shanu thoda sharma jaati hai, aankhen jhuka leti hai… phir casually haath se uska shoulder thoda push karti hai:
Shanu
Tere dialogues kabhi kabhi full filmy ho jaate hain
Zaheer
Aur tu full film hai mere liye, romantic yash chopra ki romantic film
Scene slowly fade hota hai… bell bajti hai… dono side by side walk karte hue class ki taraf badhte hain.
[b]Location: College Canteen – Outside Bench Area – 11:15 AM[/b]
Dhoop halki si mellow ho chuki hai, canteen ke outer benches ke paas morning ki classes ke baad ka usual hustle hai. Students apna khana leke ya cold coffee lekar benches pe chill kar rahe hain.
Ek kone mein Ammu white kurti aur loose denim jeans mein baithi hoti hai, ek hand me coke ka can aur dusre haath me phone. Uske expressions relaxed hain… aankhon mein halka sa glow. Arjun ka kal raat ka scene uske chehre pe halka sa muskurahat chhode hua hai.
Tabhi Nikhat aati hai. Tight black joggers, olive green hoodie, sunglasses upar chadhaye hue — slightly sporty, slightly cold look. Haath me ek energy drink. Ammu usse dekh ke smile karti hai, bench pe thoda space banati hai.
Ammu
Baitho na… lagta hai aaj tumhara training session chhuti pe hai?
Nikhat
Coach bhi insaan hoti hai, kabhi kabhi break lena padta hai.
(ek chhoti si smile ke saath baith jaati hai)
Dono thodi der tak bina kuch bole baithti hain… ek peaceful silence.
Nikhat uske chehre ki taraf dekhti hai, uski aankhon ka sparkle, uski cheek pe aayi soft blush… jaise koi khushi chhupana chahti ho lekin chhupa nahi paa rahi.
Nikhat (halke tone me)
Kabhi kabhi kisi aur ki khushi dekh ke apne aap se sawaal karne ka mann karta hai...
Ammu ka hansi wala expression dheere se freeze hota hai… uske haath ka coke can thoda tight grip hota hai.Nikhat aankhon se kuch chhupane ki koshish nahi karti… lekin zyada kuch kehna bhi nahi chahti.
Nikhat (teekhi aankhon se saamne dekhte hue)
Tu lucky hai, Ammu.
Ammu uski taraf dekhti hai… aankhen milti hain… lekin dono kuch nahi bolti.
Ek awkward silence... thoda emotional bhi.
Nikhat fir aankhen jhuka leti hai, ek sip leti hai apne energy drink ka… aur casually khadi ho jaati hai.
Nikhat
Mujhe training ground dekhna hai… bye.
Ammu sirf sir hila ke use goodbye keh deti hai.
Nikhat jaise hi door jaati hai… Ammu bas ek gehri saans leti hai… aur apne coke can se ek aur sip leti hai, lekin uska taste us pal me thoda strange lagta hai.
Scene slow fade out…
Arjun’s Second Match – Warm-up Before the Storm
Location: Jodhpur Stadium | Time: 10:45 AM
Camera wide shot leta hai stadium ka — halke dhool bhare track, seating stands khaali nahi hai, lekin crowd utna bhi nahi jitna final mein hoga. Ye second match hai… aur pressure pehla match se zyada hai
Ground ke ek kone mein Arjun team ke sath warm-up kar raha hota hai.
Uska chehra focused hai. Dimaag bilkul blank karne ki koshish kar raha hai, lekin aankhon mein ek alag sa jazba hai.
Har jump ke sath, har stretch ke sath, uski veins tight ho rahi hai.
Taz sideline pe se chillata hai
Bhai haath-nak mat tod lena… goal maarne hai, WWE nahi chal raha!
Arjun
Relax bhaisaab… aaj main sirf ball todunga.
(Team thoda hans padta hai, tension halka hota hai.)
Coach (shouting)
Let’s go, boys! Energy up! Arjun, you lead the run!
(Arjun ek sharp sprint start karta hai, uske peeche sab bhaagte hain. Uske mind mein ek flash aata hai…)
Flashback Start:
Ammu
Surprise badhane padenge mr. Star player
Flashback ends.
Arjun ke lips pe ek light smile aati hai… fir woh apne pair ki speed aur tez kar deta hai jaise us blush ko yaad karke usmein power bhar gaya ho.


![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)