03-06-2025, 02:17 AM
Update 42
SAIF or GAZALA collage me they or ab dono kafi kareeb aa chukey they... Dono ki mulaqat physical need se hui thi or dono chahte bhi yahi they ki ek baar jam ke maza liya jaye lekin roj milne se,uthne,bethne,baato or mulaqaato se dono ke bich ek bond paida ho gaya tha jisse dono hi ek dusre ke liye attract ho rahe they... Dono ab apni physical need ko priority na dete huye ek dusre ki respect or friendship ko mazboot karne me lag gaye... GAZALA jitni khoobsurat thi utni hi study ke sincere or SAIF jitna bada hunk tha utna hi study me fisaddi... SAIF jaha law ki study kar raha tha to GAZALA business administration ki... Dono hi apne apne career or love ko balance banaye huye they... Or jiska asar inke study par bhi dekhne ko mila tha... Inke farewell ka waqt nazdik tha or dono hi uski tayari me joot gaye they... GAZALA jaha apne future ko bright banane ki ummid me thi wahi SAIF ne decide kar liya tha farewell ke din GAZALA ko grand propose karne ka... Ab dekhte hai dono ka ishq kitna parwaan chadhta hai...
BUSHRA ke SHEFALI ke ghar jane ke baad jiska maloom AGASTYA ko nahi tha,kuchh hi der me AGASTYA ke ghar ki doorbell bajti hai or wo use darwaza kholta hai to use BUSHRA ek badi si smile karte huye milti hai... AGASTYA use dekhte hi thoda confuse hoti hai...
AGAS:- is baar kaha chali gayi thi... Tumhe maine kaha tha na ki aaram karo main tumhe chhod dunga jaha jaana hai waha woooncnkidnan....
AGASTYA ki baat puri hone se pahle hi SHEFALI uske samne achanak se aakar khadi ho gayi or AGASTYA ki zubaan ladkhadane lagi use dekhte hi...
AGAS:- wo main... SHEFALI... Main nahi janta ye koun hai...
BUSH:- lo bhai... Suno inki baat,do din se inke ghar hu... Inke bed par so rahi hu,inke diye kapde pehen rahi hu... Inka khana kha rahi hu... Or yeh bolte hai ki mujhe nahi jante...
AGASTYA ke hosh ud jaate hai BUSHRA ki in baato se...
SHEF:- ye kya bol rahi hai AGASTYA... main tumhe acha ladka manti thi
AGAS:- baby main acha ladka hi hu... Pata nahi ye kya bakwaas kar rahi hai... Iski maine bas help ki thi or ye...
AGASTYA buri tarah ghabra jata hai or uski shakl dekh kar SHEFALI or BUSHRA jor jor se hasne lagti hai.... AGASTYA ko kuchh samajh nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hai wo bechara to BUSHRA ki madad kar raha tha do din se... AGASTYA ko side push karke SHEFALI or BUSHRA haste huye hi uske ghar aate hai or couch par beth jate hai... AGASTYA ke weird expression par dono lagatar hanse jaa rahe they or uski shakl kuchh thi hi aisi is waqt... AGASTYA kafi jod baaki karne ke baad bhi kuch samajh nahi paa raha tha... Aakhirkar bechara un dono ke paas jakar beth jata hai... Kuch der me jab dono ki hansi ruk jati hai to dono usse baat karne lagti hai...
BUSH:- so sorry... AGASTYA and thank you so so much...
AGASTYA abhi bhi samajhne ki koshish kar raha tha ki aakhir maazara kya hai,...
SHEF:- thank you so so much my man... Tumhari wajah se main apni sabse achi dost se wapas mil paa rahi hu... I'm so proud of you AGASTYA... Thank so much...
AGASTYA dono ki baat se kuch kuch samajh gaya tha...
AGAS:- tum dono ek dusre ko pahle se jante ho...
SHEF:- yeah ofcourse... She's my bestest friend... Hum teen age se sath hain yaar...
AGAS:- lekin inhone jo bataya wo...
BUSH:- main rajasthan se belong karti hu lekin apni higher study ke liye apne papa ke friend ke ghar hi rehti thi yahi mumbai me... Kuchh saalo pahle unki bhi death ho gayi thi or unke ghar par ab koi yaha rehta nahi hai... Main unhi ke paas ja rahi thi aaj subah...
AGAS:- oh I see... Lekin abhi jo darwaze par hua wo...
AGASTYA ki baat sun kar dono fir se khool kar hanse lage...
SHEF:- prank tha yaar.. I'll tell...
Or SHEFALI use puri baat batane lagti hai...
BUSHRA SHEFALI ke ghar jati hai or uski doorbell bajati hai lekin ghar ka darwaza open hone se wo andar enter karti hai to use samne hi living me SHEFALI bethe milti hai...
SHEF:- dekho AGASTYA main kuchh bhi sunne ke mood me nahi hu... Tummmmmm.....
SHEFALI samjhati hai ki AGASTYA use manane aaya hai lekin jab wo BUSHRA ko dekhti hai to bilkul surprise ho jati hai
BUSHRA bhi apni safai dene ke liye uske ghar me aayi thi lekin SHEFALI ko dekhte hi wo bhi ek dam khamosh ho jati hai... Dono ek dusre ko bas dekhe jaa rahe they or dono ki hi aankho me aansu they... Dono ek dusre ki taraf badhte hai or ek dusre ko gale laga lete hai... Dono ek dusre ke sine se chipak kar rone lagte hai or ek dusre ko kas kar jakde rehte hai... Kuch der baad dono khamosh hote hai or ek dusre ka hath pakad kar ek dusre se sawalo ki baarish kar dete hai jaise ki...
Tu kaha thi... Tu bata tu kaha thi... Kaha thi itne saal... Kaisi hai... Ye kya haal ho gaya tera,kisne maara tujhe aise.... Or tu achanak yaha kaise... Kitni badal gayi yaar tu ... Or tu bhi kuch kam nahi rahi itni khoobsurat... Ye to bata yaha kaise aayi ....
Wagerah wagerah dono ek dusre se sawal kar rahe they... Fir BUSHRA apni story SHEFALI ko batati hai start se leke abhi tak... Ki kaise uske waleed ki death Hui,uski college life, shashi,thhakur,thhakur ki deal,shamsher ki entry,dono ka gao se bachkar bhagna,raste me THHAKUR ka accident, fir SHAMSHER ka BUSHRA ko apne College ke ghar chhodna or waha SHASHI ka aa jana fir BUSHRA ka bachkar bhagna or AGASTYA ka uski jaan bachana...
Is sab baato me dono ki aankho me aansu chhalak aaye they... SHEFALI aage badh kar BUSHRA ka matha choom leti hai or kehti hai...
SHEF:- tune itna kuch jhela... Ek baar to yaad kiya hota... Tere liye apni jaan tak laga deti daanv par... Akeli ladti rahi halaat se... Pagal,main kuchh nahi lagti kya teri...
BUSH:- yaad kiya yaar... Bahut yaad kiya... Lekin nahi mil paayi na jane kyu... Shayad mujhe apne se jyada teri fikar thi... Lekin tu kaha thi itne saal tak... Na koi massage na koi khabar...
Dono ek dusre ke aansu pochte hai or SHEFALI apni story sunana shuru karti hai ki collage ke baad kaise wo modeling ki duniya me aayi or kaise usko shadi ek badi umar ke aadmi se hui fir uski bimari uski death... Court me property ko lekar cases, fir uski zindagi me rizwan ka aana,use dhundte huye yaha mumbai tak aana or kaise AGASTYA jo abi tak BUSHRA ki jaan bacha raha tha usse uski nazdikiya badhna... Ye sab baate SHEFALI BUSHRA ko batati hai...
BUSH:- haalat to tere bhi bilkul wahi they SHEFALI... Tune bhi apne haq ki ladai ladi or aaj yaha pahuch gayi... Kash main bhi teri tarah lad pati lekin main na jane kaise apni ladai chhod kar bhag aayi...
SHEF:- nahi nahi... Tu bhag kar nahi aayi... Tune bahut bravery ke sath sabka akele muqabala kiya... Gao ke mafia logo se ladna koi mamooli photoshoot jitna aasan nahi... I'm really proud of you yaar...
BUSH:- nahi yaar... Aisa kuchh bhi nahi....
Fir dono ek dusre se jee bhar kar gale lagte hai or fir ek dusre ko love life ke bare me baat karne lagte hai...
BUSH:- to ye padosi hi hai tera love intrest...
SHEF:- nahi abhi tak to aisa nahi hai
... Hum bas ek tarah ke live in me hai... Tu bata teri life me hai koi,wo inspector SHAMSHER...
BUSH:- nahi SHEFALI... Maine aisa abhi tak kisi ke liye feel nahi kiya hai... Haa usne jaan jaroor bachai meri lekin main us had tak nahi pahunchi hu abhi... Chal ek kaam karte hai
SHEF:- kya... Konsa...
BUSH:- tere AGASTYA ko thoda sa tease karte hai...
SHEFALI BUSHRA ki baat samajh jati hai or dono AGASTYA ke darwaze par pahuch jate hai... AGASTYA ye puri story sun kar khud bhi hasne laga...
AGAS:-To matlab ab sab thik hai ????
SHEFALI BUSHRA ki taraf dekh kar bolti hai...
SHEF:- tujhe ab kahi bhi jane ki jarurat nahi hai... Samjhi
BUSH:- lekin SHEFALI...
SHEF:- koi lekin wekin nahi... Tu mere ghar chal rahi hai or abse tu yahi rahegi hmesha ke liye...
BUSH:- are par baat meri sun....
SHEF:- maine bol diya matlab bol diya... Tumhara saman kaha hai....
AGAS:- saman nahi hai inke paas... Ye ab tumhari zimmedari... Kal inhe mere mall leke aa jao or wahi se inki shopping ab tumhare zimme....
BUSH:- nahi iski koi jarurat nahi hai...
SHEF:- are pagal... Ye sab tere liye nahi,mere liye kar rahe hai... Itne saalo baad tujhe dekha hai tujhse mili hu... Thodi na tujhe aise rehne dungi BUSHRA... Ab main hu tere sath SHASHI ho ya koi or ho...Tujhe ab darne ki jarurat nahi
BUSHRA uski baato se ab self satisfy hoti hai... Jaha subah tak uska is duniya me koi nahi tha,na koi thhikana na ghar na pata ... Wahi ab uski sabse achi dost uske sath thi or bhai se bhi badhakar rishta usne bana liya tha... BUSHRA aage badh kar SHEFALI ko gale laga leti hai....
SAUMYA AYESHA ke ghar se apne ghar aa chuki thi or ghar par use AJAY drink karte huye milta hai...
AJAY:- ab kyu aayi ho yaha... Nikal ja mere ghar se maderchod
SAU:- mind your language AJAY... Bas apna important saman lene aayi thi otherwise tum jaise looser ke sath ek minute bhi ka rahu... Pata nahi life ke itne saal maine kaise tumhare sath waist kiye...
AJAY:- sali... Lagta hai office or ghar ke sath zindagi se bhi nikalna hoga...
SAU:- abe chal... Tum kya nikaloge mujhe... I will see you AJAY, I will see you... Ye tumne acha nahi kiya...
Or SAUMYA apna saman samet kar fir se AYESHA ke ghar aa jati hai... AYESHA or SADIYA uska ghar par pahle se intezar kar rahe hote hai, SADIYA ne SAUMYA ka vishwas fir se jeet liya tha... Pichhli baar jaha SAUMYA ne use 10 minutes diye they wahi is baar use sirf 3 din diye they... In 3 dino me hi SADIYA ko SAUMYA ka khoya sab kuch lautana tha or wo kaise ho payega ye bhi dono ladkiyo ne tay kar liya tha...
AYE:- SAUMYA ek baar fir se sochle... SADIYA abhi bachi hai...
SAD:- nahi bhabhi... Main yeh karugi...
SAU:- fikr mat karo AYESHA... Yeh game banaya kisi or ne tha lekin jitungi ise sirf main hi...
SAD:- bhabhi ap chinta na kijiye... Ap bas dekhti raho ki kaise game change hota hai...
Tino ladkiya ek dusre ki taraf dekhti hai or hath par hath rakhti hai...
Pune me HANEEF apne kaam me mashgool tha or usne HEENA ko abhi tak dinner date ka jawab nahi diya tha... Thak haar kar HEENA use text karti hai or jawab mangti hai...
HEENA:- kya Manager sahab... Promotion hote hi purane dost ko bhool gaye...
HANEEF qareeb ek ghante baad masaage dekhta hai or jawab deta hai...
HAN:- nahi nahi... Bas kaam abhi jyada hai... Sikh raha hu na...
HEENA:- to ab kab chal rahe dinner par...
HAN:- main batata hu tumhe HEENA... Abhi kaam bahut jyada hai...
HEENA:- jaldi batana... Yaha ke mall me meri bahut demand hai... Tumne haa nahi bhari to kisi ladke ko pakad lungi...
HAN:- nahi nahi aisa mat karna... Matlab uski jarurat nahi padegi... Main tumhe call karta hu HEENA lekin aaj mere khyaal se aisa nahi jo payega....
HEENA:- it's okay... Main intezar karugi...
Or HANEEF or HEENA dono apne kaam me lag jate hai... Kya kamal ki hai inki bonding itne dino tak naraz rahne ke baad fir se HEENA or HANEEF ek dusre se dosti kar bethe they...
NIDHI or AKSHAY dono hi SAUMYA ko leka pareshan they jaha AKSHAY fir se dehli laut chuka tha wahi NIDHI bhi apne office ja chuki thi... Office se free hote hi wo SAUMYA ko call karti hai or usse uske bare me puchti hai...
NID:- are you okay babe... Ghar par kuchh hua to nahi na jhagda and all that...
SAU:- are nahi tu uski tension na le... Main bilkul theek hu...
NID:- sun tu abhi hai kaha... I will come and pick you... Tujhe ab us insaan ke sath rehne ki koi jarurat nahi hai...
SAU:- no NIDHI it's fine... I'm absolutely all right... Or waise bhi maine wo ghar chhod diya hai...
NID:- sahi kiya yaar tune... Main aati hu tere paas... Bata kaha aana hai...
SAU:- sham ko mil... OO9 restaurant par... I'll tell you ki kya karna hai... Or meri fikr mat kar... Hu main kisi apne ke paas...
Or SAUMYA couch par bethe AYESHA ki taraf dekhti hai jo is waqt SADIYA se baat kar rahi hoti hai...
NID:- okay I'll see you there...
Or dono apna call disconnect karte hai... AJAY ke ghar MAYA aati hai to AJAY use SAUMYA ke ghar aane or uske chhod kar jane ki baat batata hai ...
MAYA:- ab to khush ho... Tumhara ghar property office .... Sab tumhara hua
AJAY:- lekin mujhe darr hai ki wo aurat kuch bhi kar sakti hai... Itni aasnai se chup bethne wali nahi wo...
MAYA:- yes you right... Lekin wo chah kar bhi nahi kar payegi aisa kuch... Wait
Or MAYA SADIYA ko call lagati hai...
MAYA:- pata to chal gaya hoga tumhe... Or mujhe bhi ye pata hai ki wo tumhare ghar ruki hai... Jab tak wo hai tumhe uski ek ek baat ek ek move mujhe batana hai... Samjhi
SAD:- ji haan sab samajh gayi don't worry...