28-05-2025, 03:29 AM
Update 39
MAYA subah hote hi AJAY ke cabin me pahuchti hai or use papers dikhati hai... AJAY papers ko dekh kar khushi se uchhal padta hai...
AJAY:- we done it MAYA... We done it...
Or MAYA ko kas ke gale laga leta hai...
AJAY:- aakhir tumne ye kar dikhaya... Ab us aurat ko uski aukat dikhaunga... I'll fuck her upside down... Kaha hai wo...
MAYA:- tum abhi aisa kuch nahi karoge...
AJAY MAYA ki baat sunkar shock hota hai...
AJAY:- lekin kyu MAYA... Humne kitna intezar kiya hai iske liye...
MAYA:- socho.. agar tumne abhi aisa kuchh kiya to pura staff or jo bhi humse deal karta hai... Wo sab humein ignore karne lag jayenge... Mano ya na mano AJAY lekin investor SAUMYA ke naam se hi invest karte hai kyoki uska biodata ekdam clear hai... Ab agar tumne jaldibaazi dikhai to humein sare business circel se hath dhone padega...
AJAY ko uski baat samajh aati hai or wo bolta hai...
AJAY:- to iska koi solution hai
MAYA:- hai... Bahut easy hai...
Or MAYA AJAY ki kursi par aake bethti hai...
MAYA:- SAUMYA or NIDHI bachpan ke freind hai...
AJAY:- whatttt
MAYA:- haan... Sahi suna tumne... SAUMYA ko foreign deal uske hisab se karne do... Or next meeting me hi tum yeh papers members ko presend karna... Yu akele me apni beizzati ka badla lene me tumhe maza nahi aayega... Use sabke samne zaleel karo or is deal ko or business ko uske hatho se chhin lo...
AJAY ke chehre par ye baat sunkar smile aa jati hai...
AJAY:- you are genius...
MAYA:- filhal tum ye papers sign kardo... Humein jo loan chahiye uske liye bank papers hai
AJAY:- tumne padh liye na ache se...
MAYA:- ofcourse...
Or MAYA use signature karte huye dekhti hai...
AJAY:- lo MAYA... Or ab foreign deal bhi jaldi karwao yaar... I can not wait...
MAYA:- bas aaj ka aakhiri din hai SAUMYA ka is office me... Kal deal ke final call ke liye last meeting hai... Tum kal apna badla le sakte ho...
AJAY:- that's really great... Go ahead...
Or MAYA uske cabin se chali jati hai...
Subah der tak BUSHRA soye rehti hai... Kal ki thakan or chot ki wajah se use gehri neend aa rahi hoti hai... AGASTYA darwaze se hi use niharta hai or sochta hai...
AGAS:- kya karu... security officer ko infrom karu... Nahi yaar... Kahi koi lafda na ho jaye... SHEFALI ki madad lu, lekin wo kya sochegi mere bare me... Kahi mera matter hi na ulajh jaye... Isi ladki se baat karta hu... Dikhne me to sharif khandan ki lagti hai, kya karu ise yaha se jane ko bolu ya fir iski help karu.... Kuchh samajh nahi aa raha... Aisa karta hu iske hosh me aane tak ka wait karta hu...
Or AGASTYA darwaza band karke BUSHRA ko aaram karne deta hai...
Idhar SHEFALI bhi subah subah hi apni purani dost se milne jati hai... SHEFALI AYESHA ka darwaza knock karti hai... SADIYA darwaza kholti hai or samne dekhti hai ki uski supermodel darwaze par khadi hai...
SAD:- are ma'am... Aap yaha...
SHEF:- haan... Socha apni dost se mil lu...
SAD:- haan ... Aaiye na andar aaiye...
Or SADIYA SHEFALI ko living area me bethati hai... Itne me hi AYESHA bhi andar se aa jati hai,uske hatho me or mathe par aata laga hua tha aisa lag raha tha ki wo aata gunth rahi thi...
AYE:- are SHEFALI... Tum kab aayi....
SHEF:- surprise surprise... Bas abhi just aayi hu...
AYE:- SADIYA jaa... Chai banake la..
SAD:- haan bhabhi bas abhi leke aayi...
SHEF:- bahut acha ghar hai tumhara AYESHA...
AYE:- nahi bas... Ho jata hai gujara...
SHEF:- are nahi yaar... Sach me bahut khoobsurat hai... Ache se maintain jo kiya tumne...
AYE:- haan... Ye kuch na kuch changes karte hi rehte ghar me...
SHEF:- waise tere husband kaha hai... Unse kab milane wali hai...
AYE:- are tu thoda let hi gayi yaar...
SHEF:- let ho gayi matlab... Office chale gaye kya...
AYE:- are nahi... Do din pahle hi unka transfer ho gaya pune... Or promotion bhi
SHEF:- are... Bahut bahut mubarak ho... Bahut khushi hui sun kar...
AYE:- lekin unke bina ghar kitna suna ho gaya hai...
SHEFALI AYESHA ki baato ko gor se sunti hai...
AYE:- ek ladki ke liye uska shohar hi sab kuch hota hai... Usse pyaar pane ke liye wo kuch bhi kar sakti hai... Jab uski shadi hoti hai to uski zindagi puri tarah se tension se bhar jati hai lekin HANEEF ne kabhi bhi mujhe kisi bhi baat ka gham nahi diya... Wo mujhse bahut pyaar karte hai or main bhi... Unke bina ye ghar,ghar nahi lagta... Unhe unki tarakki bahut mubarak lekin main raat hote hi unka intezar karne lagti hu... Khair ab kuch waqt to aise hi bitega... Lekin ek ladki ki zindagi shadi ke bina adhoori hai SHEFALI... Tu abhi tak singal hai...
SHEF:- haan... Kuch aisa hi samajh lo...
AYE:- meri baat maan... Ab teri umar nikle ja rahi hai... Tujhe bhi kisi ke sath ghar basa lena chahiye... Ek biwi banne ki khushi,ek maa banne ki excitement... Bas yahi to hoti hai zindagi... Paisa,gadi,ghar, property sab kuch aadmi zindagi bhar kamata hai lekin agar uske paas agar loyal or pyaar karne wala humsafar na ho to ye sab chize koi mayne nahi rakhti... Zindagi ke kuch umar aisi hoti hai ki u
SHEFALI ko AYESHA ki baate ab kuch kuch jamne lagi thi... Lekin wo khul kar is bare me baat nahi karna chahti thi... SHEFALI living ke lagi hui photographs dekhti hai or bolti hai...
SHEF:- chal chhod na... Ye bata tera beta kaha hai...
AYE:- wo meri ammi ke ghar yani apni nani ke ghar gaya hai... Kuch dino ke aa jayega
SHEFALI ko AYESHA ki baatein sahi lagne lagi thi... Isliye wo ab jaldi se waha nikal kar is bare me sochna chahti thi... Wo AYESHA se kuch der or baate karti hai or uske ghar se nikal jati hai... Apne ghar aane tak wo pure raste bas yahi soch rahi thi ki AYESHA ki har ek baat sahi hai... Or use bhi is bare me aage badhna chahiye... Uske mann me fir AGASTYA ka khyaal aata hai... Ki kaise usne kuch hi time me usse itni nazdiki bana li thi... Dono kai baat physical bhi huye they lekin in sabke bawazood AGASTYA ne kabhi bhi SHEFALI ka fayda uthane ki koshish nahi ki thi, Jabki wo ye bhi janta tha ki SHEFALI usse kai jyada rich hai... Inhi sab baato ko mann me leke wo apne ghar ki taraf badhti hai...
SAUMYA apne cabin me AYESHA ka fir se wait karti hai ki uski AYESHA uska liye khana leke aayegi... Lekin ek or baat use andar se sata rahi thi ki aaj tisra din hai HANEEF ke waha se jane ka lekin abhi tak wo apni AYESHA ko pyaar bhi nahi kar payi... SADIYA naam ki haddi uske gale me atak chuki thi or isi ko rastey se hatane ke liye wo MAYA ko apne cabin me bulati hai...
MAYA:- yes ma'am....
SAU:- kuch karo yaar... Aise to main tadapti reh jaugi... Itna sab kiya karaya pani me chala jayega... I'm really starving for her...
MAYA:- just a wait...
Or MAYA SADIYA ko call lagati hai... SADIYA MAYA ka call dekhte hi waha se khadi ho jati hai or ghar ke bahar aa jati hai...
SAD:- hello ma'am... Boliye
MAYA:- I think tum kuch bhool gayi ho...
SAD:- wo actually ma'am...
MAYA:- bas bas... Mujhe kuch bahana nahi sunna... Tumhe ye manzoor hai ya nahi...
SAD:- mujhe apse kuch kehna tha... If you interested....
MAYA:- kaho...
SAD:- wo main yeh kehna chahti thi ki mere bhai ko bahut mushkil se yeh success mili hai and I know wo deserving nahi hai...
MAYA:- hmmm...
SAD:- to main yeh soch rahi thi ki aap unhe wahi rehne dijiye... Isme apka bhi fayda hai... Sochiye agar unka promotion wapas le liya to kahi wo job se resign karke wapas yaha na chale aaye...
MAYA ko uski baat me dum laga...
SAD:- uske badle me aap mujhe yahi rehne dijiye... Aapke sath... I just want to be like you... Aap sab kaise manage kar lete ho... I'm really wondering... Badle me main humesha chup rahungi... Or apne kaam se kaam rakhugi... Bas yahi kehna tha...
MAYA ko SADIYA ki kuch baate sahi lagi isliye wo bolti hai...
MAYA:- thhik hai... Lekin kuch dino ke liye time se apne room me chale jana or jab SAUMYA ghar par ho to bhool se bhi ghar par na jana...
SAD:- ji madam... Aisa hi karungi...
MAYA:- very good... Or haan,office aa jana apna appointment letter lene ke liye... Or apni model se bol dena ki shoot ke liye ready rahe... Main SAUMYA se baat kar lugi... May be outdoor shoot hoga so tumhe uske sath hi rehna hai... Samjhi
SAD:- ji ma'am.... I'm really thankful to you... Main bol dugi unhe....
Or MAYA phone cut kar deti hai... SAUMYA ka reaction bilkul shock wala hota hai MAYA ki baate sun kar... Jab wo phone cut karke SAUMYA ki taraf dekhti hai to SAUMYA uski taareef me apne facial expression deti hai or yeh dekh kar MAYA ki hansi nikai jati hai...
MAYA:- ab to khush ho... Jaa rahi hai wo bhi kuch din ke liye bahar...
SAUMYA aage badh kar MAYA ko gale laga leti hai....
SAUMYA:- thank you MAYA... Pata nahi tere itne sare ehsaan chukane ka mouka kab milega... Lekin yeh to bata ki tuje use handle kaise kiya...
FLASHBACK.... (SADIYA - MAYA ki deal)
SADIYA ka hath pakad kar MAYA office se bahar le jati hai or paas hi ke cafe me dono beth kar baat kar rahe hote hai...
MAYA:- kaho kya baat karni thi...
SAD:- main janti hu ki tum or SAUMYA kya kar rahe ho...
MAYA:- janti ho to yeh bhi janlo ki yeh sab hoke rahega...
SAD:- I'll try my best to stop both of you... Aaj hi main apne bhai ko sab kuchh bataungi...
MAYA:- jao... Batao... Lekin usse tumhe kya fayda hoga...
SAD:- matlab...
MAYA:- matlab yeh ki tumhare sach bolne se kuchh badalne wala nahi hai... SAUMYA ke paas power itna hai ki wo chahe to jabardasti yeh sab kar sakti thi... Usne hi tumhare bhai ko jail bheja tha or usi ne hi wapas bell karwai thi... Bas itna jaanlo ki agar sach bola to tumhe is chiz ka koi fayda nahi hoga... Balki tumhare budhhu bhai jo success ke sapne leke gaya hai wo toot kar reh jayege... Cause we'll gonna sue him... Or tumhara to kaam abhi just shuru hua hai... Wo bhi nahi ho payega... And we'll try our best ki yaha tumhe koi kaam bhi na de...
SADIYA uski baat sunke darr jati hai use ab SAUMYA ki power ke bare me pata chalne lag gaya tha... Use apne bhai ki fikr hone lagi thi ki abhi hi to uske bhai ke sapne pure huye they... Uski bhabhi AYESHA bhi apne shohar ki success se bahut khush thi... Or wo janti thi ki wo akeli SAUMYA ka muqabla nahi kar payegi...
MAYA:- lekin agar tum sach nahi bolti ya sach ko chhupati ho... To apna appointment letter leke chale jana and tumhare bhai ko bhi hum wahi rehne denge...
SADIYA kuchh sochte huye bolti hai...
SAD:- thhik hai... Main sochungi is bare me... Lekin mere bhai ko koi khatra nahi hona chahiye...
MAYA use thumbs up karti hai or table se uth kar chali jati hai...
Flashback ends
MAYA:- uski koi jaroorat nahi hai... Aashiqui ke chakkar me yeh mat bhool jana ki kal NIDHI ke sath meeting hai...
SAU:- oh yeah... That's very important for us...
MAYA:- bas use kisi tarah kuch demands manne ke liye mana lena...
SAU:- you really don't worry... Main sab sambhal lungi... Ye deal hum sabke liye bahut bahut jyada jaroori hai...
Or MAYA muskurate huye uske cabin se bahar aa jati hai....
Idhar pune me HANEEF aaj puri tarah udaas tha... Uska kaam ke mann nahi tha use bas HEENA ne ho raat ko baatein batai thi wo sab khaye ja rahi thi... Wo chahta tha ki abhi ke abhi ghar chale jaye or apni AYESHA se bole ki batado yeh sab jhoot hai... Tum aisa nahi kar sakti... Tum to sirf mujhse pyaar karti ho... Lekin chah kar bhi wo AYESHA se ek bhi baar nahi puch saka... Aakhir badhti tension ki wajah se wo HEENA ke showroom ja pahucha... Or HEENA ke counter par khada ho gaya...
HAN:- tumse kuchh baat karni hai....
HEENA apni aankho se batati hai ki wo is waqt kaha khadi hai or uske aas paas kitne log hai... HANEEF ko HEENA ke counter par khada dekh kar showroom ka manager uske paas aa pahucha...
MANAGER:- sir aap yaha... Koi kaam tha to mujhe bula liya hota...
HAN:- ji nahi.... Mujhe bas wo inse baat karni thi
HANEEF HEENA ki taraf ishara karta hai...
HAN:- chalo tumse kuch naye designs ke bare me baat karni hai... Sasss... SAUMYA madam ne bola hai baat karne ke liye...
SAUMYA ka naam aaye hi MANAGER waha se chala jata hai or HEENA bhi HANEEF ke sath staff room me aa jati hai...
HEENA:- bolo... Ab kya baat karni hai... Sab kuch to bata diya tumko
HAN:- sab kuch to bata diya lekin mera dil abhi bhi nahi manta ki meri biwi bewafai kar sakti hai... Meri AYESHA bewafai kar sakti hai...
Or HANEEF wahi rone lagta hai, HANEEF ko rota dekh HEENA ek sarcastic smile karti hai
HEENA:- kyu nahi kar sakti bewafai...
HANEEF uski baat par gor karta hai...
HEENA:- kyu nahi kar sakti... Tumne bhi to yahi kiya... Ek akeli ladki jiski abhi tak zindagi shuru bhi nahi hui thi... Uske sath tumhe raat gujari... Us waqt tumhe apni bewafai ka khyaal nahi aaya... Us waqt tumhe AYESHA ke bare me nahi socha... Aadmi ki zaat yahi hoti hai sala dimag se kam or waha se jyada sochta hai...
HEENA HANEEF ke lund ki taraf ishara karti hai...
HEENA:- ek akeli ladki ne zara si baat kya karli,tumhe laga ki tumhe puri chhoot hai... Kisi ladki ne tumhe bhai kya bol diya tumne use hi apne bistar ka saman samajh liya... Are tumhe to koi haq nahi hai apni biwi ki bewafai par rone ka...
HANEEF ki aankho se ab aansu hat chuke they or unki jagah guilt ne le li thi... HANEEF janta tha ki HEENA bilkul sach baat bol rahi hai...
HEENA:- tum sab log sab mard ek jaise hote ho... Tum khud chahe kahi bhi muh maro lekin biwi.... Are tumhari biwi mujhe tumhari jimmedari deke gayi thi or tumhe mujhe hi apne bistar ka maal samajh liya....
HEENA apne gusse ko shant karti hai or dekhti hai ki wo kaha khadi hai... Wo apni bottle khol kar pani ki sip leti hai or apne hair sahi kerke bolti hai...
HEENA:- tumhari biwi ne jo kiya wo uski choice thi or tumhe jo kiya wo tumhari choice... Lekin ab tum kya choose karte ho wo tumhari biwi ki choice bhi ban jayegi chahe use baat sahi Lage ya nahi...
HEENA:- tumhari biwi ke bahut ehsaan hai tumpe HANEEF... Use dukh dene se pahle soch lena ek dafa...
Yeh bolkar HEENA wapas apne counter par chali jati hai...HANEEF ka chehra sharm se or guilt se latak sa gaya tha... Wo yaha apni tension mitane aaya tha lekin use yeh nahi maloom tha ki use yeh sab sunna padega... Wo apni chhoti si surat ko leke wapas apne cabin me aa jata hai...
AGASTYA BUSHRA ke uthne ka wait kar raha tha... Or kuch ghanto baad BUSHRA ek khansi ke sath uthti hai
BUSH:- uhhuuu uhhhuuu
AGASTYA daud kar uske room ka darwaza kholta hai or dekhta hai ki BUSHRA uth chuki thi...
AGAS:- uth gayi tum... Bahut lambi or gehri neend aayi tumhe...
BUSHRA kuchh bhi bolti nahi bas nazar niche kiye hi bed par bethe rehti hai or apni chot ki taraf dekhti hai...
AGAS:- don't worry... Ab tumhe darne ki jaroorat nahi hai maine tumhari chot par bandage kar diya tha jab tum so Rahi thi... BUSHRA uski taraf thankful aankho se dekhti hai...
AGAS:- wese tum kon ho or ho kaha se...
BUSHRA uske sawal ka koi jawab nahi deti hai...
AGAS:- tumhari koi family... Koi friend... Koi friend hai yaha mumbai me
SHEFALI apne ghar pahuchti hai or AGASTYA se milne ke liye excited hoti hai... Wo AGASTYA ke ghar ki bell ring karti hai or kuch hi seconds me AGASTYA darwaza kholta hai... Lekin wo darwaze par khade rehta hai darwaze ko cover karke
SHEF:- hi... Aise kya khade ho mujhe andar to aane do
AGAS:- are andar kyu... Bahar chalte hai na... Mosam bhi kitna sahi hai aaj...
SHEF:- lekin tum aise kyu khade ho,kya hua....
AGAS:- kuch bhi to nahi... Tum niche chalo main just aaya... Ok babe...
Or SHEFALI weird sa face banake niche parking me chali jati hai...
AGASTYA andar aakar BUSHRA ko batata hai ki use abhi ke liye bahar jana padega or wo chahe to yahi rest kar sakti hai uske aane tak... AGASTYA kuch khane ke liye lake deta hai or niche chala jata hai ... Kuch hi minute baad AGASTYA parking me aata hai or dono cafe ke liye nikal jate hai....
Cafe pahuchte hi SHEFALI dono ke liye order karti hai... Kuch der tak dono chup rehte hai... SHEFALI AGASTYA ki taraf ek tak dekhe ja rahi thi jabki AGASTYA apne phone me busy tha... SHEFALI dhire se uska naam bulati hai....
SHEF:- AGASTYA....
AGASTYA ko reply nahi karta or apne phone me laga rehta hai... Wo ek baar fir try karti hai...
SHEF:- AGASTYA....
AGASTYA is dafa uski taraf dekhta hai or bolta hai
AGAS:- yes babe...
SHEF:- I think we should get engaged....
AGASTYA yeh sunte hi apni kursi se apna balance kho deta hai or dagmagane lagta hai...
SHEF:- are kya hua... Gir kaise gaye...
AGAS:- kya... Yeh tum kya keh rahi ho ...
SHEFALI sharma kar uski tarat dekhti hai...
AGAS:- lekin baby iski jaroorat kya hai... I mean yeh ekdam se kaise
SHEF:- haan yaar... I just realise ki humari zindagi kitni adhoori hai
AGAS:- what... Sab kuch to hai humare paas... Achi job hai ghar hai tumhare paas paise hai or humare bich sex bhi hai mazedaar wala... Why should we get engaged
SHEF:- are budhu paisa job sex... Yah sab life nahi hoti hai... Humein ek din to settle hona hi padega na
AGASTYA uski baat me dhyaan lagata hai...
SHEF:- look main abhi 33 ki hu... Kuch saal baad meri body aisi nahi reh payegi ki main bache carry kar saku... And you also know na sperm quality and all that...
AGAS:- lekin baby tumhari to kuch or hi mantality thi... Achanak se yeh sab kaise
SHEF:- are bataya na... Tum mujhe ek baat batao ki tum mere liye kuch feel karte ho ya nahi
AGASTYA ko Darr tha ki kahi SHEFALI ke naraz hone se use jo breakthrough mila tha wo bhi kahi uske hath se chala na jaye or upar se SHEFALI ke paas duniya bhar ka paisa tha jo AGASTYA ki puri life set karne ke liye kafi tha...
SHEF:- kis soch ke pad gaye... Are baba agar time chahiye to aise bolo ki mujhe time chahiye sochne ke liye...
AGAS:- nahi baby... Aisi koi baat nahi hai... Bas achanak tumne aisi baat ki isliye... Actually mujhe apne ghar walo se baat karni padegi... Yeh decision me unse bina puchhe kaise le sakta hu....
SHEFALI ko AGASTYA ki baat sahi lagi or usne kaha...
SHEF:- Haann... Sahi hai .... Tum apni family se puch lo... Fir mujhe bata dena
Or itne me unka order aa jata hai or dono use khane lagte hai... SHEFALI ke face par jaha smile thi,wahi AGASTYA ko ab dohri tension ki maar jhelni thi... Ek taraf BUSHRA thi jisko bina kisi jaan pehchan wo apne ghar le aaya tha or dusri taraf SHEFALI ne use 440 wt. Ka jhatka de diya tha...
Uske chehre par uski tension saaf dikhai de rahi thi.... SHEFALI cafe me AGASTYA ki sath thi ki tabhi uska phone baj uthta hai...
SHEF:- hey SADIYA... Bolo kaise ho
SAD:- bilkul sahi... I just wanna inform you that apki photo ko select kar liya hai boss ne or jaldi hi shoot ka bola hai... Shooting outdoor hogi isliye aap tayari kar lena
SHEF:- oh that's great news yaar... Main aaj hi tayari shuru kar dungi...
AGASTYA khate huye uski baat sun raha tha... SHEFALI call cut karke use sari baat batati hai...
SHEF:- you know meri jo phoot test shoot ke liye di thi wo select ho gayi hai or ab outdoor shooting hogi... Kitna maza aayega na...
AGASTYA ki jaan me jaan aati hai jab wo outdoor shoot ka sunta hai... Kuch time ke liye SHEFALI ke mind me engagement ka sawal nahi aayega....
NIDHI kal hone wali meeting ki tayariyo me juti thi ki use apne bf KEVIN ka text milta hai... Wo uski taraf dekhti nahi or apne kaam me lagi rehti hai... Use ab kal hone wali meeting me SAUMYA ka bharosa jeetna tha... As a freind to SAUMYA uske liye har waqt haazir thi Lekin as a business partner wo ab SAUMYA ko puri tarah se satisfy karna chahti thi... Or jaldi se yeh meeting puri karke or is kaam ke hote hi woo fir se pahle ki tarah SAUMYA ke sath hangout karna chahti thi...