18-05-2025, 05:09 PM
Vani ne dandanate huye Gouri ke ghar pravesh kiya.. Masoom sa gussa jhalkati uski aankhein kuchh dhoondh rahi thi.. aur jab wo usko dikh gaya toh pal bhar ke liye uss'se najarein char ki aur apni gardan matkate huye wapas bahar jakar khadi ho gayi...
Manu uske chehre par itne garam tewar dekhkar sakpaka gaya.. Sath baithe Amit ko 'ek minute' bol kar wah uske pichhe bahar nikal gaya.. wahan Vani aur Manasi.. dono khadi thi..
" Hi Vani!" Manu ne jhijhakte huye bola..
Vani apne kandhe uchaka kar thoda sa aur ghoom gayi.. uss'se dusri aur...," kya hai?"
"kuchh nahi.. bus 'hi' bol raha hoon.. tum kuchh gusse mein lag rahi ho.. kya baat hai.. Mujhe aana nahi chahiye tha kya?" Manu ne apni Mansi ki aur dekhte huye batteesi nikali.. taki Manasi ko koyi shak na ho.. ki maamla gambheer hai...
" nahi .. tumhe bilkul nahi aana chahiye tha.. kyun aa gaye tum.. hum par toh bahut bada ahsaan kar diya na!" Vani ne vyangya bano ki bouchhar kar di.. dusri aur dekhte huye hi..
Manu ne Manasi ki aur dekh kar apni batteesi nikal di.. taki Manasi ko shaq na ho.. ki maamla gadbad hai..
par ishaq aur mushq bhi kabhi chhipane se chhipe hain kya.. chahe koyi kitna hi bada turramkhan kyun na ho.. aur yahan toh dono anadi the.. Mansi hatprabh si baar baar dono ki aankhon mein dekhti rahi.. vismit si.. ki kya.. jo wo soch rahi hai.. sach hai? haan.. sach hi toh hai... dono ki hi aankhon mein usko prem ke dore tairte dikhayi diye.. Vani ke gusse mein bhi aseem pyar tha toh Manu ki 'batteesi' dikhane ka andaj bhi bilkul naya tha.. jaise pakde jaane ke dar se khisiya gaya ho..
" Main aati hoon.. " kahkar Manasi ne andar jate huye Vani ki taraf shararat se aankhein matkayi aur dono ko fursat ke chand lamhe dete huye wahan se alag ho gayi.... " wo.. main tumhari khatir hi toh aaya hoon.. tum munh fulaye kyun khadi ho..?" Manasi ke jate hi Manu Vani ke aage natmastak hota hua sa bola...
" Mere liye kyun aaye ho? tum toh Gouri ke liye aaye ho.. tabhi toh yahin par ruk gaye.. seedhe ghar nahi aa sakte the kya?" Vani ne apne dard ko seene se bahar nikala..
"kya? main.. aur Gouri ke liye.. mujhe uss'se kya matlab hai.. main toh seedha wahin aana chahta tha.. par jab wo.. Vicky ji yahan utare toh Amit ne mujhe bhi yahin utaar liya... Mujhe jane hi nahi diya.. fir main kya kahta.. nahi.. mujhe toh Vani ke paas jana hai.. ye?"
" Amit bhi aaya hai kya? par usko kisne bulaya?" Vani hairan hokar Manu ki aur mudi..
" kisi ne nahi.. jab maine usko ye bataya ki main tour par ja raha hoon toh poochhne laga ki koun koun ja rahe hain... fir Gouri ka naam lete hi jid pakad gaya.. Mujhe bhi chalna hai.. Maine Disha se poochha aur unhone haan kar di.."
" chalo achchha hua.. ab tum aur gouri aapas mein baat nahi karoge..."
" Main kab karta hoon uss'se baat.. tum toh yunhi..." Manu man hi man muskura raha tha.. ladki ke pyar ki pahchan uski jalan se hi toh hoti hai...
" baat nahi ki toh kya? tum uss din uski taraf dekh rahe the.. kayi baar dekha tha.. mujhe pata hai.. ab ki baar dekha toh main tumse baat nahi karoongi haan!"
"offoh.. pata nahi kin kin baaton ko lekar baith jati ho.. chalo.. ab andar chalein.. khamkha log jane kya kya sochenge...?" Manu ne usko andar chalne ka ishara kiya...
Vani ne 2 pal uski aankhon mein aankhein dali aur muskura padi.. Manu toh aankh band karke visvas karne layak tha.. wo toh bus yunhi....
Vani uske pichhe pichhe chal padi...
" tum bhi aa gaye Amit! pahle kahan the.." Vani ne jate hi Amit se sawal kiya..
" haan aa toh gaya hoon.. par shayad kisi ko dikhayi hi nahi de raha.." Amit ne paas se gujar rahi Gouri ko dekh kar comment kiya.. pata nahi kya wajah thi.. par Gouri uss'se jaanboojh kar najre chura rahi thi.. ya fir tarsa rahi thi.. bhagwan jane.. par jab se Amit wahan baitha hua tha.. Gouri rah rah kar ithlati huyi uske saamne se gujar rahi thi.. par usspar dhyan na dene ka natak kar rahi thi...
tabhi wahan par Vasu ji ka aagman hua.. Gouri, Disha, Vani aadi ne jab unko pranam kiya toh sab ladkon ne bhi khade hokar hath jod liye...
" Namaskar ji sabko mera namaskar.. ho gayi taiyaariyan ya abhi kuchh baki hai..." Vasu ki najrein andar aate hi Neeru ko dhoondhne lagi...
" Haan.. Sir.. sabhi aa gaye hain.. bus ab chalte hi honge.. lijiye aap pani lijiye.." Gouri ne Vasu ki taraf tray badhate huye kaha...
Vasu ka matha thanka..," kya? sab aa gaye? Neeru.. wwo.. matlab Neer ka seven toh main thahar kar karunga.. sab aa gaye hain na...!" Vasu ne khud ko sambhala..
" haan.. lagbhag sabhi aa gaye hain Sir.. bus Gaanv se kuchh ladkiyan rahti hain.. wo bhi aati hi hongi.." Vasu ke 'Neeru' kahne se Gouri ko yaad aaya.. Neeru, Neha, Sarita, Divya, Renu, aarzoo aur Sonia abhi aayi nahi hain....
Gouri ne Mushkil se apni baat poori ki hi thi ki unn sabhi ladkiyon ne apne apne bag liye ghar mein kadam rakha...
" Arrey.. yahan toh badi rounak lagi huyi hai... maine toh socha tha ki 5-7 ladkiyan hi ja rahi hain bus.. yahan toh.." Sarita ne aate hi ek ek karke sabhi ladkon ki aur kamuk najron se dekhte huye kaha.. uski toh aish ho gayi.. wahan ka mahoul dekhte hi...
uski iss ada par ladkiyan toh ladkiyan ladke bhi baglein jhankne lage... uski aankhon ke sath uske hav bhav se saaf pata chal sakta tha ki wo 'kheli khayi' ladki hai..
Vasu ki aankhein Neeru ko dekhte hi chamak uthi," ab chala jaye.. yahan baithe baithe kya karenge.. bahut lamba rasta hai...
" Ji abhi main unko fone karti hoon.. Bus aayi kyun nahi... abhi tak!" Disha ne Shamsher ka no. dial kiya aur andar kamre mein nikal gayi...
Kamre mein har taraf josh aur umang ki lahrein uthti dikhayi de rahi thi.. sirf kamre mein khadi Aarzoo, sonia aur Renu ko chhod kar.. Aarzoo aur Sonia ko Neha jabardasti le aayi thi aur Renu Sarita ke kahne se wahan aayi thi.. in sabka iss tarah ghar se bahar nikalne ka pahla mouka tha.. ladkon ko dekhkar hi inki jaan si nikali ja rahi thi.. kahin ghar walon ko pata lag gaya ki unke sath tour par ladke bhi gaye the toh unki khair nahi..... " Kitna time lagega jiju, Nainital tak jane mein...?" Vani ne bus ke aate hi khush hokar Shamsher se poochha...
" 8-10 ghante toh lag hi jayenge.. kyun?" Shamsher ne uska bag pakadte huye kaha...
" Nahi kuchh nahi.. yunhi poochh rahi thi.. aa jao.. sab chadh jao bus mein.." Vani ne chillakar sabko aawaj di...
" lao.. tumhara bag main pakad leti hoon.." Riya lapak kar Viru ke bag ke paas pahunchi...
" Kyun? Raj mar gaya hai kya? Raj! ye le.." Viru ne ek najar Riya ko ghoora aur Raj ko pukar kar apne bag ki aur ishara kiya...
" Le chalne do yaar.. bechari ko.. kitne pyar se toh kah rahi hai.." Raj ne Riya ke achanak mayoos ho gaye chehre ki aur dekhte huye kaha...
" Hunh.. bechari! tumhe bechari lagti hai ye.. dopahar se mujhe 'tooti taang' kah kar bula rahi hai.. agar dusron k ghar na hota toh isko batata ki tooti taang kahte kise hain.." Viru banawati gusse se bola..
" toh.. tum bhi toh mujhko kah rahe the ki main ladkon ki tarah se chalti hoon.. main kuchh bhi na boloon...?" Riya gusse se chilla si padi...
" chalo chalo.. apna rasta naapo.. main Raj nahi hoon samjhi!" Viru ne usko chidane mein koyi kasar nahi chhodi thi..
"Mujhe beech mein kyun ghaseet rahe ho bhai.. Lao bag idhar do.." kahte huye Raj ne bag uthaya aur bahar nikalne laga..
"tooti taang.. tooti taang.. tooti taang.." Riya ne kaha aur jor jor se hanste huye bahar ki aur bhagi...
Viru jane kyun darwaje ki aur kuchh pal ektak dekhta raha.. Riya ke uski aankhon se aujhal ho jane ke baad bhi.. aur fir apne aap hi hansne laga," Pagal hai!"
" Koun pagal hai bhaiya!" Sneha ne taiyaar hokar bedroom se nikalte huye kaha...
" aaa.. haan.. kuchh nahi.. wo aise hi.. ab toh badi khush lag rahi ho.. kya baat hai?" Viru ne baat palat di..
Sneha aur bhi khil uthi.. Vicky ke uski jindagi mein wapas aate hi uske chehre par sada kayam rahne wala noor wapas aa gaya tha," chalo bhi ab!"
" haan haan.. ja raha hoon.." Viru ne kaha aur bahar nikal gaya...
------------------------------------------------------------
Sarita, Neha aur Divya jo pichhli baar ke tour ka kamuk anubhav yaad karke ek baar fir usi tarah ka anand uthane ko tatpar thi, unke aramaano par Pani sa fir gaya.. Vasu jo kisi ke bina kahe hi tour ka prayojak aur Margdarshak ban baitha tha, sabse pahle bus mein sawaar hokar har-ek ko uski seat batane laga tha.. Neeru bus mein chadhne lagi toh usne usko rok diya," tum ruko abhi!"
aur Neeru sharminda si hokar bahar hi khadi rah gayi.. wah toh sabse pahle chadh kar Vasu ke sath wali seat kabja lena chahti thi..
Bus mein chadhne wale ladkon ko usne pichhe ka rasta dikhana shuru kar diya.. Aage wali seaton mein se Ek Shamsher aur Disha ke liye rakh chhodi aur dusri Anjali madam aur Gouri ke liye.. dusre no. ki seaton mein se ek taraf wali usne apne aur vicky ke liye rakh chhodi thi.. aur uske barabar wali pata nahi kiske liye.. par usspar usne kisi ko baithne na diya..
Baki aane wali ladkiyon ko usne teesri pankti se bithana shuru kar diya...
" Shriman ji.. aap yahan aayiye!" Vicky ke bus mein chadhte hi Vasu ne vicky ke liye reserve rakh chhodi seat ki aur ishara kiya..
"oh! thanx shastri ji.." Vicky khush hokar usspar baith gaya.. usne socha sath wali seat uski Sneha ke liye hogi..
uske baad bus mein chadhe Shamsher aur disha ko bhi usne unke liye nirdharit seat bata di..
" aap kyun kast utha rahe hain, vasu ji..? apne aap hi baith jayenge sab.. koyi bachche thode hi na hain.." Shamsher ne muskurate huye kaha...
" Aji, ismein kast ki kya baat hai.. iss karyakram ka sara uttardayittav Anjali ji ne mujh par hi toh dala hua hai.. aap dono sath sath baithiye.." Vasu ne shamsher ki mushkurahat ka jawab dogune josh ke sath diya..
Anjali bina kahe hi shamsher ki barabar wali seat par aa jami... aur uske baad Gouri..
Sneha, jo sabse baad mein aane walon mein se thi, ne upar chadhte hi Vicky ki aur dekha..
" ye mere liye hai devi! aap yahan baith jayiye.. " barabar wali seat ki aur ishara karte huye Vasu ne kaha..
Sneha ne mayoos hokar vicky ki taraf dekha toh vicky ne apna matha pakad liya.. jane kyun Vasu unke beech deewar bana hua tha..
kuchh jawab na pakar Sneha ne wahi seat pakad li jo vasu ne usko dikhayi thi... Vicky ke barabar wali...
" Oho.. tum rah hi gayi thi.. aao.. upar aa jao!" Vasu ne Neeche khadi hokar uske ishare ka intzaar kar rahi Neeru ko dekh kar iss prakar ka natak kiya jaise usko pata hi na ho ki wo neeche khadi hai..."
Neeru upar aa gayi aur Vasu ki aur dekhne lagi...
"ummmm.. aap yahan baith jayiye.. ye seat khali hi hai.." Vasu ne Sneha ke barabar wali seat ki aur ishara karte huye kaha.. ya dusre shabdon mein.. apne barabar wali seat...
" Neeru jab apne chehre par muskurahat aane se rok na saki toh usne apne munh par hath rakh liya..
' toh ye sara arrangement mere liye hi tha..' Neeru ne man hi man socha aur khil uthi.. uske man ki murad poori ho gayi thi... Vasu dhamm se apni seat par jakar baith gaya...," Chalo chalak mahashay!" "A Sona.. ye ladke koun hain yaar...?" Aarzoo ne Sonia ke kaan ke paas apne hont late huye poochha... wo dono ladkiyon mein sabse peechhe baithi thi...
" kya khyal hai Razo? koyi pasand aa gaya kya?" Sonia ne hanste huye dheere se uske kaan mein hi sawal ka jawab sawal se diya...
"hunh.. mujhe kyun pasand aayega.. main aisi ladki nahi hoon.. mujhse aisi bakwas tu na hi kar...!" Aarzoo ek dum bhabhak uthi....
" yaar, ismein bura maan'ne wali kya baat hai.. main toh bus majak kar rahi thi.. tujhe bura laga toh sorry... waise...!" kahkar Sonia chup ho gayi...
kuchh der tak uske aage bolne ka intzar karti rahne ke baad Aarzoo se raha na gaya," Waise kya?"
" Kuchh nahi.. tu khamkha bura maan jayegi..." Sonia ne dheere se kahkar apna sir seedha kar liya.. usko pata tha.. na toh wo aage bolne se ruk sakti hai.. aur na hi Aarzoo uski aadhi chhodi gayi baat ko poora sune bina maan'ne wali hai... ladkiyan hoti hi aisi hain... fir bhi wah chup baithi rahi..
" bata na.. kya kah rahi thi tu.. mujhe teri ye aadat bilkul achchhi nahi lagti.. shuru ki hai toh poori baat kah.. mujhe bura lage ya achchha.. chal bol..." Aarzoo se raha na gaya...
" kuchh nahi.. main kah rahi thi.. khidkiyan bhi nahi khukti iss bus ki toh.. tumhe garmi nahi lag rahi..." Sonia ne baat ko jaan boojh kar kha liya...
" jhoothi.. tu ladkon ke baare mein kuchh bol rahi thi.. mujhe pata hai.. aur waise bhi AC bus mein garmi lag hi nahi sakti.. wo bhi raat ke time... jaldi bata kya bol rahi thi.. mera dimag garam na kar..." Aarzoo ne sonia ko pyar se jhidka.. shayad ye tarkeeb kaam kar jaye...
" arey yaar.. tu ye nahi kah rahi thi ki mujhe toh ladke waise bhi achchhe nahi lagte.. bus isi baat par... main kahne wali thi ki hum jaisi jawan ladkiyon ko ladke pasand nahi aayenge toh kya pasand aayega.. bus majak mein.. apne upar mat le jana baat ko....
" Tu bhi na... dhat!" kahkar Aarzoo sharma gayi...
" ismein galat baat kya hai? sahi toh kah rahi hai ye..." Amit aage wali seat par sir tikaye dhyan se unn dono ki baat dhyan se sun raha tha... achanak beech mein tapak pada..
Amit ki baat sunkar dono seat se uchhal si padi.. turant hi Aarzoo ne sambhalte huye Amit par hi morcha khol diya.. par houle houle," ye idiot hamari baat sun raha hai..!"
"main toh janam jaat idiot hoon ji... sikha do na 'kuchh' mujhe bhi..." kahkar Amit khilkhila utha... dono ladkiyan jhenp gayi...
" tu bhi yaar.. jahan dekho shuru ho jata hai.. aaram se nahi baith sakta kya..?" Manu ne usko danta.. wo uske sath hi baitha apni Vani ko dekh raha tha.. wo bhi rah rah kar sabse najrein bachakar uski aur dekh leti... aur apni haseen smile paas kar deti.. Manu ki aur...
" Maine kya kaha hai.. ab ye mujhe idiot kah rahi hai toh isko jaroor 'kuchh kuchh' aata hoga.. maine toh yahi bola hai ki...." Amit bhi ek no. ka besharm tha...
" chup kar yaar.. tu saare tour ka maja kharaab karega..." Manu ne usko beech mein hi tok diya...
" Tujhe maje lene aate bhi hain... ulloo ki tarah dekhte rahna bus uski aur.... mujhe toh darr hai ki.. wo kahin tujhe 'wo' na samajh le.." Amit ne jaan boojh kar ye baat Manu ke sath sath unn dono ko bhi suna di.. aur fir se hansne laga...
" chup ho ja yaar.. tere hath jodta hoon.. !" Manu ne aakhirkar haar maan hi li...
" Dekh ye bhi toh ladka hai... kitni sharafat se baat kar raha hai.. mujhe toh aise hi ladke pasand hain...." Aarzoo ne kankhiyon se Manu ki aur dekha...
" Iski sharafat ka toh tab pata lagega.. jab tumhare gaanv mein barat aayegi iski... 'sharafat se baat kar raha hai..'" Amit ne Aarzoo ki nakal utaarte huye kaha...," aur haan.. main bhi aaoonga.. barat mein.. chehra dekh lo.. achchhi tarah...!"
" Dekh liya.. Bandar jaisa hai.." Aarzoo ne houle se pichhe baat sunayi aur Sonia aur wo dono khilkhila kar hans pahi...
" haan.. bandar se yaad aaya.. ek baar ek bandar ne kutiya se pyar kar liya.. pata hai kya paida hua?" Amit ne kaha toh Manu ne apne dono hathon se apna munh jakad liya.. nahi jakadta toh aisa thahaka goonjta ki sari bus mein tamasha ban jata.. aur fir jawab dena bhi mushkil ho jata ki hansa toh hansa kis baat par...
" Badtameej!" Aarzoo ne apne chehre se nikalne wali hansi ko jaise taise apne aap par kaabu karke Gali ki shakal de di.. par Sonia apne aap ko hansne se na rok saki.. usne pichhe mudkar apne munh ko hathon mein daboche Manu ki aur dekha.. usko uski badi daya aayi..
Manu aur Sonia ki najrein milni thi aur Vani ka pichhe dekhna ho gaya.. dono ki aankhon mein.. bulki charon ki aankhon mein hansi ki jhalak pate hi Vani tilmila uthi... Bus ne mohan nagar T-junction se dayein mudkar Ghaziabad traffic light ki aur highway no. 24 ki aur bayein turn liya....
" Manasi.. tu Manu ko apne paas bula le na.. main pichhe chali jati hoon..!" jal bhun kar rakh ho gayi Vani ne apne sath baithi Manasi se kaha...
" kyun kya hua..?" Manasi ko Vani ki baat atpati si lagi.. usne peechhe mudkar Manu ko dekha.. Vani ki najron ki bhasha samajh kar Manu ki haalat aisi ho gayi thi jaise bina jahar wale saanp ko kisi ne bil mein ghuste dekh uski poonchh se pakad liya ho.. Shakal toh uski shareef pahle hi thi..
" kyun kah rahi hai tu aisa.. kya hua.. batao na..?" Manasi ne fir se Vani par najrein jamakar kaha...
" kuchh nahi.. bus tu usko yahan bula le.. agar meri baat naani hai toh.." kahkar Vani uthkar pichhli seat par chali gayi.. wahan Divya akeli baithi huyi thi...
kuchh der sochne ke baad Manasi ne Manu ko aawaj di," bhaiya.. idhar aana.."
" Le main kah raha tha na saa.. tu meri band bajwayega.. bajwa di na.." badbadata hua manu wahan se uthkar Angare barsati huyi Vani se mehaj ek second ke liye najre milata hua Manasi ke paas ja baitha..," Kya hua Mani?"
" Kuchh nahi.. aap yahin baithe raho.. bus!" Manasi ne dheere se manu se kaha..
" aakhir kuchh hua bhi hoga? main wahan theek toh baitha tha.. Aaram se.. Main toh kuchh bol bhi nahi raha tha kisi se..!" Manu ne ye safayi Manasi ko nahi bulki uske pichhe baithkar uski shirt kheench rahi Vani ko deni jaroori samajhi...
"Vani khansi toh Manu ne pichhe mudkar dekha.. Vani uski aur aankhein nikale huye daant pees rahi thi.. bechara Manu man maar kar rah gaya.. ye time uss'se jyada khulkar safayi dene ka tha bhi toh nahi...
" Main wapas jaaun?" Manu ki ek aankh Manasi par aur dusri Vani par thi..
Manasi ne pichhe mudkar Vani ko dekha.....
" Meri taraf kyun dekh rahi ho.. meri taraf se toh chahe koyi bhad mein jaye.. muje kya..?" Vani ab bhi uski shirt ko pakad kar kheenche huye thi...
"theek hai.. main yahin baith jata hoon.. waise bhi peechhe nahi baithna chah raha main..." Aur bechara Manu.....