06-04-2025, 07:55 PM
" chupchap apna kaam karo.. jyada bakwas karne ki jarurat nahi hai.. warna yahin thok doonga.. samjha!" Jane kyun Vicky ko Baanke ke Munh se Sneha ke shareer ki kamottejak prashansa sunkar jalan si huyi.. uska tohbda chadh gaya...
"he he he.. isko jara neeche utaro.. Murari ji ne bola tha achchhe se check karna.. Achchhe se..!" Baanke Sneha ko apne sath le jane ko kuchh jyada hi lalayit tha..
Vicky ne khidki khol di," Neeche aao Sneha...!"
" nahi.. main iske sath nahi jaaungi.. mujhe mat bhejo pls.. mujhe yahin maar do.. main nahi jaaungi.." Baanke ka chehra hi kuchh aisa tha.. Sneha apni seat se chipak gayi...
" Neeche aao Sneha.. pls.. natak band karo.. maine tumhe kya kaha tha.." Vicky ne uska hath pakda toh usne apna hath chhuda liya.. ," nahi.. maine kaha na.. main nahi jaaungi.. mujhe maar do.. yahin!" Sneha ki karun chitkar Vicky ke kaleje mein utar gayi.. par usne apne aapko sambhale rakha.. uska kaleja hi kuchh aisa tha..
" isko neeche utaaro.. Vicky ne apne ek aadmi ko ishara kiya aur khud alag hat gaya...
wo aadmi.. Sneha ko kheench kar neeche utaarne ki koshish karne laga.. par jaise Sneha ko toh koyi aur 'hath' apne badan par ab ganwara hi na tha," Door hato.. main utar rahi hoon.." Sneha ne bilakhte huye kaha.. uski aankhon ke saamne andhera sa chhaya hua tha.. jaise mout hi usko pukar rahi ho.. usko vicky ki bagal mein tangi mouser dikhayi di.. aur usko laga usko raasta mil gaya hai.. Wah neeche utar kar vicky ke sath khadi ho gayi.. mouke ke intzaar mein..
"dekh lo jaldi.. mere paas time nahi hai..
" Baanke gour se Sneha ko upar se neeche tak dekhne laga.. uski laar tapak padi.. aankhon mein khoon wasna bankar utar aaya.. Sneha ka har ang itna rasila tha ki kapdon ke upar se hi kisi ki bhi pant geeli ho sakti thi.. Baanke bhool gaya ki wah vicky ke paas khada hai.. ye bhi ki vicky ne usko 2 minute pahle hi chetawani di thi..
Baanke ki najron ko iss tarah apne badan mein chubhta hua dekhna Sneha se sahan
na hua.. wah lajjit hokar vicky se ja lipti aur apne aapko usmein chhupane ki koshish karne lagi.. theek usi tarah jaisa pichhli baar natak ke waqt hua tha..
Vicky ko har pal ye ahsaas ho raha tha ki wah duniya ka sabse gira hua insaan hai.. sabse jyada lalachi aur dhokhebaaj.. usko glani si hone lagi...
" wah Vicky babu.. jawab nahi tera bhi.. maan gaya.. ek baat toh bata.. iska kuchh istemaal bhi kiya ya mere liye kunwari...!"
aagey Baanke ek shabd bhi na bol paya.. uski gardan ghoom gayi.. vicky ka ek jordaar thappad uske gaalon par paanchon ungaliyon ke nishan chhod gaya tha.. gusse se tilmilaye huye Vicky ka hath seedha apni mouser par gaya..

aagey Baanke ek shabd bhi na bol paya.. uski gardan ghoom gayi.. vicky ka ek jordaar thappad uske gaalon par paanchon ungaliyon ke nishan chhod gaya tha.. gusse se tilmilaye huye Vicky ka hath seedha apni mouser par gaya.. aur usne mouser nikal kar Baanke ke seene par taan di.. Vicky ka chehra jillat aur gusse se laal ho chuka tha.. pahli baar jab usne Baanke ko Sneha ko ghoorte dekha tha toh uske dil mein ajeeb si siharan paida huyi thi.. tab usko pahli baar ye ahsaas huaa tha ki Sneha jaane anjaane uski dhadkano mein sama chuki hai.. unke sapne saanjhe ho gaye hain.. Sneha usko apne liye jarurat si lagne lagi thi.. apni ijjat si lagne lagi thi.. 'apni' lagne lagi thi.. par iss baar usko yakeen ho gaya.. wah Sneha ko nahi chhod sakta.. wah uske liye kuchh bhi chhod sakta hai...," unko bolo paisa idhar lekar aa jayein.. main 10 tak ginoonga bus!"
" Nahi.. vicky babu.. pls.. wwo.. mere aadmi nahi hain.. wo Murari ke aadmi hain.. sach mein.. wo kabhi Sneha ko liye bagair paisa nahi denge.. bhagwan ki kasam.. aa.. mm..man toh majak kar raha tha.. ye toh mere liye beti ke jaisi hai.. hai na?.. pls.... mujhe bakhs do..."
Vicky Ginati ginta ja raha tha aur Baanke ki patloon sach mein hi geeli ho gayi.. Bolte bolte... Darr ke marey usne pant ke andar hi 'kar' di..
Vicky 7 tak pahuncha toh Sneha bol padi," Nahi.. aisa mat karo.. main chali jati hoon.. main ja rahi hoon.. " Kahte huye usne khud ko Vicky ke seene se alag karne ki koshish ki par tab tak Vicky ne usko apna hath uski kamar mein daal kar majbooti se apne seene se chipka liya tha.. aur iss baar wo natak nahi tha.. Vicky jud gaya tha.. Sneha ke naam ke sath hamesha ke liye...
9 tak ginte ginte mouser neeche jhuk gaya.. wah Sneha ki najar mein ab aur bura nahi ban'na chahta tha.. usko insaan bankar dikhna chahta tha.. pyar karne wala.. mout baantne wala nahi...
"Bhag jao yahan se.. iss'se pahle ki main apna vichar fir se banaun.. mujhe yahan dikhayi mat dena.." Vicky ne ek ek shabd ko chabate huye kaha...
uske baad toh Baanke ne pichhe mudkar dekha hi nahi... wo sab apni gadiyon mein baithe aur gaadiyan dhool udaati huyi unki aankhon se aujhal ho gayi...
" Chalo wapas!" Vicky ne apne sathiyon se kaha.. unn sabki aankhon mein aansoo aa gaye the.. khushi ke.. Vicky ko pahli baar unhone iss andaj mein dekha tha.. achanak sabne ek dusre ki aankhon mein dekha aur ek sath hawa mein fire kar diya.. Sneha saham kar Vicky ki chhati mein ja dubki..
" aaj tu asli wala leader ban gaya re vicky.. apan tujhe salaam karta hai.." uss aadmi ki aawaj se laga uska koyi kareebi hi hoga.. koyi aur toh iss tarah aalinganbaddh jode ke paas jane ki himmat kar hi nahi sakta tha...
jab sab chale gaye toh Vicky ne Sneha ko apne bahupash se alag karke uski aankhon mein jhanka.. Sneha samajh nahi pa rahi thi ki kya bole!
" Main tumhare layak nahi hoon Sneha.. bulki tumhare sath khada hone layak bhi nahi hoon.. par main tumhari 'wo' ichchha jaroor poori kar ke dikhaunga.. main tumhe galat sabit nahi hone doonga.. Raj aur Priya ko milne se koyi nahi rok sakta.. ..... agar Raj mere jaisa nahi nikla toh... aao tumhe unke paas chhod aaun!" Vicky ne ab tak sahmi khadi Sneha ko Gadi mein bithaya aur fir khud gadi mein baith kar gadi chala di! kafi der yunhi chupchap chalte rahne ke baad Sneha ne najrein ghumakar Vicky ki aur dekha.. Vicky ke haav-bhav bilkul badle huye the.. chehre par Paschatap nahi Garv tha... Glani nahi Sukoon tha..
Sneha ko samajh mein hi na aaya aur baat kahan se shuru kare..." Ab tumhe wo multiplex kaise milega....... Vicky?"
Vicky ne koyi jawaab nahi diya.. bus Sneha ki aur najar bhar kar dekha aur fir seedha ho gaya.. kahna toh chahta tha wah.. bahut kuchh.. kahna chahta tha ki mujhe ahsaas ho gaya hai.. jindagi kya hoti hai.. kahna chahta tha ki.. 'wo' uske liye duniya ki sabse keemati cheej hai.. uske liye wo sabkuchh chhod sakta hai.. agar wo uska hath fir se pakad le toh.. par Vicky ko jab apni Jindagi mein Sneha ki jarurat ka ahsaas hua toh sath hi sath ye bhi ahsaas ho gaya ki wo kya karne ja raha tha.. uske sath.. aur yahi wajah thi ki lakh koshish karne ke baad bhi uske munh se ek shabd tak na nikla...
"Hum kahan ja rahe hain?" Sneha ne usko fir toka...
"Loharu! Mujhe lagta hai wahan tum khush rah sakti ho.. main Shamsher aur tough se baat karoonga.. tumhare liye.. mujhe pata hai.. Sneha.. maine jo kuchh bhi kiya.. wo maafi ke layak nahi.. par pls ho sake toh mujhe maaf kar dena.. ho sake toh!" Vicky ka gala bhar aaya... apni baat kahne ke douran usne kayi baar Sneha ke chehre ki aur dekha.. par jab jab wah najrein milane ki koshish karti.. wah apni najrein hata leta.. usmein ab Sneha ki najron ka saamna karne ki himmat nahi ho pa rahi thi...
" koi farq nahi padta... mujhe tumse koi gila nahi hai.. meri kismat hi aisi hai!" Sneha ke tanha dil mein abhi bhi Vicky ke aagosh mein sama jane ki tadap thi.. par Vicky ko bhi uss'se pyar ho...; tabhi toh! wah toh aisa kuchh bol hi nahi raha tha.. jaise bus uss par daya karke hi usko wapas le aaya ho...
Dono asamanjhas mein the.. dono ek dusre ke liye tadap rahe the par pahal karne se dono hi katra rahe the.. isi asamanjhas mein wo yunhi aadhi adhoori baat karte huye loharu pahunch gaye...
"arey Dekho.... Shayad Sneha didi wapas aa gayi", khoobsoorat si ladki ko Gadi se utarte dekh Vani khushi se uchhalte huye andar bhagi aur usne sabko chounka diya," Black color ki gadi mein hain.."
Andar baithe sabhi ke murjhaye chehre ummeed ki kiran ke sath hi ajeeb dhang se khil uthe.. sabhi bhagte huye bahar ki aur bhage.. Priya ne khidki mein se hi Sneha ko gadi ke paas khadi hokar Vicky ki aur dekhte dekh liya.. wo khushi se jhoom uthi aur bhagti huyi jakar Sneha ko apni baahon mein bhar liya," Mujhe visvas tha; tum jaroor aaogi.. thank you Sneha.. Thank you!"
Sneha ki aankhein chhalak aayi," Shayad tumhara visvas hi mujhe yahan tak le aaya Priya.. warna.." Gadi ke chalne ki aawaj sunte hi Sneha chounk kar palti.. usne chalte huye Vicky ko kuchh bolne ka soch rakha tha.. par.. wo apne se door ja rahi Gadi ko tab tak vismit netron se taakti rahi jab tak ki wo uski aankhon se aujhal na ho gayi..
"ab toh hum chalenge na didi.. tour par.. ab toh Sneha didi bhi aa gayi hain.." Vani Priya ke hath se lipat gayi.. wo thi hi aisi.. ghanta bhar pahle hi wahan aayi thi.. Disha ke sath.. aur Viru se lekar Riya tak.. sabke dilo dimag par chha chuki thi.. sabko lag raha tha jaise usko wo varshon se jaante hain.. Vani apna dil khol kar jo rakh deti thi...
Ab tak sabhi Sneha ke ird-gird jama ho chuke the..
"thahar ja.. nahi toh kaan ke neeche ek lagaaunga.. usko andar toh aane de pahle.." Virender ne Vani ka hath pakad kar ek aur kheench liya...
" aap itne gussail kyun ho.. ? sab aapse darte hain.. aise bologe toh main aapse baat nahi karoongi haan.." Vani ne apni kalai sahlate huye banawati gusse se viru ki aur dekha aur hans padi.. uski hansi hi toh sabki jaan thi... Viru bina muskuraye na rah saka...