01-04-2025, 07:04 PM
"Dekhiye vasu ji.. tour mumkin nahi hai.. aap samajhne ki koshish karein... aur mere sir mein dard hai.. aap kripaya mujhe akela chhod dein..." Anjali tunak si padi thi...
Vasu bina kuchh bole munh fulakar wahan se nikal gaya.. usne class nahi li.. jate huye usne chhoti class ki ek ladki ko bulaya aur usko Neeru ko math ki kitab lekar staffroom mein bhej dene ko bol kar khud wahin chala gaya...
"ji Sir.. Aapne bulaya?" kahte huye Neeru seedhi staffroom mein ghus gayi.. usne andar aane ki ijajat tak nahi maangi.. wo khili huyi thi.. jate hi usne apni math ki kitab ko table par patka aur vasu ki aur munh karke khadi ho gayi...," maine poochh liya hai Sir.. gharwalon se.. main bhi chaloongi tour par... "
Vasu bechaini se khada hokar idhar udhar tahlne laga," Saali sari duniya prem ki dushman hai..! Log jodiyan bante dekh hi nahi sakte.. sabko apni apni padi hai.. batao.. agar chal padte toh kounsa pahad toot padna tha.... ?" Vasu badbada raha tha.. Neeru ko bus ek hi baat dhang se sunayi di.. ' Sari duniya prem ki dushman hai'
"kya Sir?" Neeru ne hichkichate huye poochha..
" arey kya kya?" Vasu ne Neeru ke paas aakar usko kandhon par se pakad liya.. uska gussa uski pakad ki majbooti mein jhalak raha tha.. Neeru andar tak hil gayi.. neeche tak.. Vasu ne aawesh mein bakna jari rakha," wo kya samajhte hain..? agar hum ghoomne nahi gaye toh kya hum pyar karna chhod denge.. kya hum yahan pyar nahi kar sakte.. nahi nahi.. ye toh vidyalay hai.." Vasu ne apne hath hata liye," kya tum mere paas ghar nahi aa sakti.. kya main chori chhipe Raat ko deewarein kood kar tumhare ghar nahi aa sakta.. kya hamara pyar itna kamjor hai ki...."
Vasu jane kya kya bak raha tha.. mano bhang kha rakhi ho.. Neeru hairan thi.. abhi tak jo uss'se baat karte huye hichkicha raha tha.. ab deewarein koodne ki baat kar raha hai.. jane kitne rang the uske Vasu ke.. wo toh aaj tak usko samajh hi nahi payi thi...
Par wo man hi man khil uthi thi.. Jo wo bol dena chahti thi.. uski jarurat hi na padi.. sab kuchh akele vasu ne hi bol diya
"toh kya Sir.. hum tour par nahi ja rahe..?" Neeru ne lagataar anaap shanaap bol rahe vasu ko khud bolkar chup kiya...
" nahi.. par tum chinta mat karo.. main tumhare ghar aaunga.. aaj raat ko.. aa jaaun na?"
Neeru se koyi jawaab dete hi na bana.. wah sharma gayi.. kitaabein uthayi aur bahar bhag gayi.. par jawaab toh Vasu ko mil hi gaya tha.. uski muskurahat mein!
Vicky chupchap Sneha ko lekar apni manjil ki aur chalta ja raha tha.. uska man usko kachot raha tha.. kya wah sahi kar raha hai? haan bhi aur nahi bhi.. uske antarman mein virodhabhas goonj raha tha.. Vicky ke paas sab kuchh tha.. par wo manjil par pahunch kar sustaane walon mein se nahi tha.. uska lakshya aur aagey.. fir aur aagey badhte jana tha.. Jaankaron ki rai mein multiplex rupaiyon ki khan tha.. kahne ko net income sirf 2 se 2.5 lakh rupaiye mahina par vastavikta iss-se kafi alag thi.. pahle jab casino par ban nahi tha to uska malik shahar ka sabse bada ameer tha.. karan undergroung floor par casino ki aad mein hone wale har tarah ke dhandhe.. karodon rupaiyon ki paidawar har mahine uss 100x100 ki chhoti si jagah se hoti thi... par pichhli sarkar ne sab kuchh band karwa diya aur Multiplex ka malik bhari dabav mein aa gaya.. par ab.. ab andar ki khabar ye thi ki agli sarkaar aate hi usko fir se chalu karne ja rahi hai.. aur yahi karan tha ki Murari aur Vicky mein usko lekar talwaarein khinchi huyi thi.. aur chakachoundh kar dene wale rupaiyon ki khanak ke saamne kisi ke jajbaat kuchh mayne nahi rakhte the.. kuchh bhi nahi...
Par Sneha iska shikar kyun bani? kash wah shuru mein hi Sneha ko sab sach bata deta.. kum se kum wo sapne toh na paalti.. usko aaj khud ki hi najron mein yun jaleel toh na hona padta.. Jo sapne Sneha ne dekhe hain.. khud usko bhi toh kabhi na kabhi dekhne hain... iss'se jyada pyar usko karne wali dusri koyi ladki duniya mein usko mil sakegi.. sab kuchh pata chalne ke baad bhi aa gayi..
" Kamaal hai.. Pyar karne wale log kitne beparwah hote hain.. kitne pagal.." Vicky ne ek lumbi saans chhodte huye Sneha ki aur dekha.. uske chehre par koyi bhav nahi tha..
Sneha ne koyi jawaab nahi diya.. par garv se apna sir utha liya.. mano usko apne pagalpan par garv ho.. pyar ko sanjeedagi se samajhne ka ghamand!
" tum kisi aakhiri ichchha ki baat kar rahi thi.. wahi bata do!" khisiyaye huye se vicky ne fir Sneha ko toka...
" tum poori nahi karoge vicky..tum pyar ko samajhte hi nahi ho.. jane do..!" Sneha ne saamne dekhte huye hi jawaab diya...
"kahkar toh dekho! kya pata kar bhi doon?" Vicky ne fir poochhne ki jurrat ki..
"Maine Raj aur Priya dono se baat ki thi.. Dono ek dusre se behad pyar karte hain.. jaise main tumhe kar baithi thi.. bina soche samjhe.. bina jane.. pagal thi na.. tumhare liye.. "
"ye Priya koun hai?" Vicky ne usko toka..
" unke Saamne hi rahti hai.. dono ek hi class mein padhte hain.. ek hi college mein.. wo bhi uske sath hi bhag kar Loharu aa gayi hai.. pata nahi unka kya hoga? Priya ne mujhse kaha tha.." Sneha ne apne aapko jajbaat mein bahne se rokne ki lakh koshish ki par apne aapko subakne se na rok payi.. par wah bolti rahi.." Priya ne kaha tha.. apne Mohan se kahna hamari madad kare.. wo hamara intzaar karenge.. taki hum wapas jakar unki madad kar sakein.. meri tarah wo bhi nadan hain.. agar unke saamne koyi rukawat aayi.. toh mujhe darr hai.. wo bikhar jayenge... main chahti hoon ki tum unki madad karo..!" Sneha ne apni baat poori ki....
"theek hai.. main kar doonga.. par karna kya hai?" Vicky ne baat aage badhane ki koshish ki....
" unko jagah deni hai.. jahan par wo rah sakein.. unko raasta dikhana hai.. nahi Raasta mat dikhana.. wo 'pyar' ko tumse kahin behtar samajhte hain.. ek baat aur maanoge...?" Sneha ne apne aansoo pouchhe...
" Bolo..."
" Unhe kabhi mat batana ki tumne mujhe chhod diya.. mere pyar ki touheen hogi.. unke saamne mein harpal tumhari hi baat karti rahi.. Mohan aisa hai.. Mohan waisa hai..mohan ne mere liye ye kiya.. wo kiya.. wo tumhari bahut ijjat karte hain.. tumhe aadarsh maan'ne lagey hain apna.. agar unko ye sab pata lag gaya toh wo 'pyar' ko hi galat samajhne lagenge.. ek dusre par se bhi visvas uth jayega unka.. aur main nahi chahti ki dil hamesha haare.. aur Dimag hamesha jeete!...
achanak vicky ne kachche raaste par gadi mod di.. wahan 3 gaadiyan khadi thi.. jo unke pichhe chal padi..
" inko sonp dogey mujhe?" Sneha ne vichlit hote huye kaha.. usko laga.. vicky se juda hone ka time aa gaya hai.. mayusi aur majboori uske haseen chehre par achanak bikhar gayi...
" Nahi.. ye apne aadmi hain.. Meri protection ke liye sath aaye hain.. wo bhi poori taiyari ke sath aaye honge.." Vicky ne kaha...
" ek baat bataaoon vicky.. tumhe yaad hai jab hostel se nikalne ke baad unn logon ne hamari gadi rukwayi thi.. aur mujhe le jane ki koshish kar rahe the.. tab mujhe tumse pyar nahi tha.. main apni jaan bachane ke liye tumhare seene se ja chipki thi.. uss waqt main jeena chahti thi.. apne liye... aur jab tumne ek hath se mujhe apne andar samet kar uss aadmi ke munh par ghoonsa mara tha.. wo meri jindagi ka sabse haseen pal tha.. usi ek pal mein mujhe tumse pyar ho gaya.. usi ek pal mein main tumko apna maan baithi.. usi ek pal main mujhe ahsaas hua tha ki pyar kya hota hai.. dusre ke liye jeena kya hota hai.. aur main tumhare liye jeene lagi thi... mujhe nahi pata tha wo sab natak tha.." kahte hi Sneha Vicky ki chhati se chipak gayi aur bachchon ki tarah se rona shuru kar diya.. Vicky ka hath apne aap hi uth kar Sneha ki kamar par chala gaya.. aur usko sakhti se apni chhati mein dubka liya...
" Mujhe wahi maar dena Vicky.. paise lete hi.. unko bhi toh mujhe maarna hi hai.. main tumhe yaad karke tadapna nahi chahti.. main jeena nahi chahti vicky.. please.. mujhe maar dena jaan.. main aur jeekar kya karoongi.. ab har pal mere liye saja ke samaan hoga.. mujhe kyun tadapne ke liye chhod dena chahte ho.. maar dena mujhe.." Sneha ke har shabd mein guhaar thi.. har shabd mein adhuri kasak thi.. uske poora na ho pane ki.. ardhanigini na ban pane ki...
Vicky se kuchh bolte na bana.. ab toh bus ek hi kaam ho sakte tha.. ya toh Sneha ko poori karna.. ya apne armaan..
kareeb 5 minute aur chalne ke baad wo ek teeley ke paas aa gaye.. wahan kuchh aur gadiyan khadi thi... unke theek saamne kuchh doori par Vicky ne gadi rok di.. dusri gadiyan uski barabar mein aa khadi huyi...
Vicky Gadi se neeche utar gaya.. uske utarte hi uski gaadiyon mein se ek aadmi gadi ke bahar Sneha ki bagal mein aa khada hua.. pata nahi kyun?
kuchh aur aadmi nikal kar gadiyon ke paas khade ho gaye.. lagbhag sabhi ke hath mein hathiyar the..
Dusri taraf bhi kuchh aisa hi drishya tha.. farq sirf itna hi tha ki inke paas Sneha thi aur unke paas paisa.. Sneha ki keemat!
Vicky aage gaya toh Udhar se Baanke bhi iss aur chala aaya.. Paas aate hi Baanke ne vicky ki aur hath badhaya.. par vicky ke hath uski jeb se na nikle.. ya pata nahi.. nikal hi nahi paye," paisa?"
" poora hai.. hamare paas aakar dekh sakte ho.. aao!" baanke ne jawaab diya...
Vicky uske sath unki gadiyon ke paas gaya aur dono suitcase check kiye.. hazar hazar ki gaddiyan thi..
" chaho toh gin sakte ho?" Baanke ne batteesi dikhate huye kaha..
" Ek note bhi kum nikla toh tujhe pata hai main kya karoonga...!" Vicky ne rookha sa jawaab diya..
" kaise karna hai..?" Baanke ne adla badli ke baare mein poochha...
" tum apni ek gadi wahan bhej do.. Hum Sneha ko usmein bitha denge.. " vicky ne ek gadi ko apni aur aane ka ishara kiya aur unki gadi uski taraf chal padi..," Idhar hum apni gadi mein Paise rakhenge.. aur udhar tumhari Gadi mein Sneha ko bithayenge.. uske baad humari sabhi gadiyan aage nikal jayengi aur tumhari gadiyan udhar se seedhe... theek hai?" Vicky ne poochha...
"haan.. par main pahle ladki check karoonga...!" Baanke ne kaha...
" aa jao.." Kahkar vicky Sneha ki aur chal pada... Baanke bhi uske pichhe pichhe aane laga...
Sneha gadi mein sahmi huyi si baithi thi.. sab kuchh itna aasan nahi tha jaisa usne socha tha.. dusre aadmi ke sath jane ki kalpana karte huye hi usko darr lag raha tha.. wah toh kahin se bhi apna nahi tha.. jab vicky ne aisa kar diya toh.... wah rone lagi....
Baanke ne ke paas aakar andar jhanaka..," agar main foto sath nahi lata toh kabhi visvas nahi hota ki yah Murari ji ki beti hai.. Dekh na.. kitni garam item hai.. Sasuri rote huye bhi kitni sexy lag rahi hai... nahi?" Baanke ne foto nikal kar Sneha ka chehra milate huye kaha...