18-03-2025, 02:01 PM
"jo kuchh sochna hai.. ye dono soch lengi.. isko hi fitur sawaar hua tha na.. Rat mein ghar se nikalne ka.. tum kyun pareshan ho rahe ho..?" Viru ne latey latey hi kaha...
Viru ke munh se aisi baat sunkar Riya ko rona aa gaya..," Theek hai priya.. chal kahin aur chalein.. ab hamein hi bhugatna padega.. galati bhi toh humne hi ki hai.. "
"ruko! main bhi sath chaloonga..." Raj ne Riya ka hath pakad liya....
" main Riya hoon.. Priya nahi.." Riya ne subakte huye maasumiyat se kaha..
"pata hai mujhe..!" Raj ne kaha...
Sneha ne vichlit hokar Viru ki aur dekha... wah bhi kahne hi wali thi.. "main bhi chaloongi.." par viru ko aise chhodkar kaise jati..?
"Raj.. idhar aakar khada hone mein madad kar jara.." Viru ne hath ka sahara lekar baithte huye kaha...
Raj uske paas gaya aur usko sahara dekar khada kar diya.. viru ne chot wali jaangh par ek do baar...wajan bana kar dekha," chalo.. 'bhaag' kar dekhte hain..."
Murjhaye huye sabhi ke chehre Viru ke iss andaaj par khilkhiaye bina na rah sake.. khas tour se Riya ka chehra.. wah toh Viru par fida hi ho gayi thi...
"tumhe chot lagi hai kya? isiliye college mein nahi aaye kya tum aaj.." Riya ne viru ko pahli baar toka...
Viru ne uski baat ka koyi jawaab nahi diya," Soch lo.. hum char log hain.. bahar ka kharcha bahut hoga....
" uski chinta mat karo.. main hoon na.." Sneha chahak uthi thi," aur fir mohan aakar fone karega hi.. usko bhi wahin bula lenge.... kya kahte ho..?"
"fir theek hai.. par nikalenge kaise?" Viru ne bahar nikalne ki taiyari shuru kar di...
khamosh khadi Riya ne sab logon ko gina.. wo toh 5 hain.. fir viru 4 ki baat kyun kar raha hai.. hichkichate huye boli," main bhi hoon!"
" tum kya karogi? tum toh wapas ja sakti ho na..." Raj ne kaha...
" main kaise ja sakti hoon ab.. wapas aakar ghar walon ne mujhe bhi toh dhoondha hoga... waise bhi Priya ke bina main nahi rah sakti.. wo jab wapas aayegi.. main bhi aa jaaungi...!" Riya ne viru ki aur dekhte huye kaha.. usko vishvas tha ki viru pakka taang adaayega...
" fir toh mummy papa ko bhi bula lo na... unhone kya jurm kar diya aisa.. wo bhi tum dono ke bagair kaise rahenge.. aakhir!" Viru ne tedhi najar se Riya par vyangya kiya.. Riya Raj ke pichhe chhip gayi..
"le chal yaar.. jab ukhal mein sir de hi liya hai toh moosal se kya darna...!" Raj ne Viru se request si ki.....
"arey main toh tere bhale ke liye hi kah raha hoon.. tu confuse rahega.. kounsi riya hai aur koun priya? tujhe problem nahi hai toh mujhe kya.. mujhe kounsa isko peeth par baithakar le jana hai.." Viru ki baat par sabhi munh par hath rakh kar hansne lage...
"teri peeth par toh chadhkar rahungi beta!" Riya man hi man sochkar khil uthi...
---------------------------------
fir wahi baat, honi taali hi nahi ja sakti.. warna bhagwan ne toh riya ki karun fariyaad sun hi li thi.. jeene main chadhte huye.. vijender ka pair fisal gaya aur wo slip karta hua 3 steps neeche aakar ruka.. uska ghutna jakhmi ho gaya tha...
pichhe pichhe upar chadh rahi unki mummi ne pahle apne aapko bachaya aur fir baithkar vijender ko," aap theek toh hai na..?"
"aah.. mujhe neeche le chalo.. mar gaya ri maa..!" Vijender apna ghutna pakad kar seedhiyon par hi baith gaya tha...
Uski biwi usko sahara dekar neeche le gayi aur wapas le jakar bed par lita diya aur Riya ko aawaj lagayi," Riyaaaa.. jaldi aa.."
Riya wahan thi kahan jo aati..
" usko kyun pareshan kar rahi ho.. sone do bechari ko.. bewajah pareshan hogi.. kuchh khas chot nahi hai.. ek do din mein theek ho jayegi.. tum bus yahan par thodi malish kar do.. bahut dukh raha hai.." vijender ne pichhwade ko hath lagate huye ishara kiya...
"Priya ko toh bula laaoon.. pahle..?"
"Rahne do.. wo wahin so gayi hogi kya pata.. subah apne aap aa jayegi..." vijender ka poora dhyan ab apni chot par tha...
"theek hai.." usne kaha aur 'move' uthakar layi aur darwaja band karke vijender ki pant nikal kar malish karne lagi...
"bus bahut ho gaya.. so jao ab..!" Vijender ne kaha..
" theek hai ji.. kuchh dikkat ho toh utha lena.." kahkar uski biwi ne light band kari aur sath latekar so gayi.................. wo sab ek ek karke bahar nikalne ki taiyari kar hi rahe the ki achanak kisi ne unka darwaja khatkhataya.. ladkiyon samet sabhi saham gaye..," ab kya karein?" isharon hi isharon mein sab ne ek doosre se poochha...
Dobara fir dastak huyi.. iss baar kuchh jyada hi jordaar.. dar kar Priya aur Riya ek dusri se chipak gayi..
"tum sab bathroom mein ghus jao.. main dekhta hoon..!" Raj ne teeno ko bathroom mein band kar diya aur neend mein hone ka natak karta hua darwaje ke paas gaya," koooouuunn hai bhai?"
"darwaja kholo!" bahar se aayi aawaj ekdum kadak thi..
"par batao toh tum ho koun?" Raj aawaj sunkar hi darr gaya tha...
" main vicky.. sorry.. Mohan ka dost hoon.. darwaja kholo jaldi.." Bahar se aawaj aayi..
mohan ka naam sunkar Raj ko thodi rahat pahunchi.. par Darwaja kholte huye Darr ab bhi uske dil mein kayam tha.. kundi kholkar usne darwaja hulka sa khol diya.. baki kaam tough ne khud hi kar diya.. bina der kiye tough kamre ke andar tha..
"Sneha tumhare paas hai na!" Tough ne seedhe seedhe sawaal kiya...
Tough ke deel doul aur upar se uski rough aawaj ne Raj ko jhoothh bolne par
vivash kar hi diya..," kkkoun Sneha..? hum kisi Sneha ko nahi jaante... kkkoun hai... aap?"
" Dekho bhai.. darne ki koyi jarurat nahi hai.. main Mohan ka dost hoon.. Ajeet! usne hi mujhe Sneha ko yahan se le jane ko bola hai.. bata do.. kahan hai wo..?" Tough ne apna lehja nihayat hi naram kar liya.. fir bhi Raj ko tasalli na huyi.. viru chupchap bed par baitha sab kuchh dekh sun raha tha...
" wwo.. Mohan ka fone aaya tha.. wo toh chali gayi.. Mohan ne hii bula liya usko.." Raj ne fir jhooth bola...
" Dekho.. mujhe poora yakeen hai ki tum jhooth bol rahe ho.. par agar ye sach hai toh Sneha ki jaan khatre mein hai.. ye jaan lo! agar tum uss ladki ki jaan bachana chahte ho toh pls bata do.. wo hai kahan..?" Tough ne kamre mein chhanbeen shuru karne se pahle uss'se aakhiri baar poochha...
Raj ki najarein jhuk gayi.. Sneha ki jaan khatre mein hone ki baat kahkar tough ne usko asamanjhas mein daal diya tha... usko samajh nahi aa raha tha.. ki wo kya kare!
Viru aakhirkar bol hi pada," Raj! Sneha ko nikal lao bathroom se.." kahte huye usne apne pair se bed ke neeche rakhi baseball ki stick ko aage sarka liya.. kisi anhoni ka muqabala karne ke liye...
Darwaja kholo Sneha.. Mohan ka dost hai koyi.. bahar aa jao!" Raj ne bathroom ka darwaja thapthapaya...
Sneha darwaja kholkar bahar nikal aayi.. Riya aur Priya abhi bhi bathroom mein hi chhipi huyi thi..
"tumhi ho Sneha..?" tough ne Sneha se sawaal kiya..
Sneha ne apni najrein uthakar jawab diya," Ji.. aap Mohan ke dost hain..?"
"haan.. aur main tumhe lene aaya hoon.. abhi tumhe mere sath chalna hoga!"
" par main kaise maan loon.. aap unke dost hain.. unse baat kara dijiye meri.." Sneha ne kaha..
" Dekho jid karne ka waqt nahi hai.. main tumhari baat kara deta.. par uska fone filhaal off hai.. ye dekho.. ye usi ka no. hai na.. dekho kitni baar baat huyi hain uss'se aaj meri.. abhi kuchh ghante pahle tak wo mere hi sath tha... wo aa nahi sakta tha.. isiliye mujhe bhej diya.. ab jaldi chalo.. warna anarth ho jayega..." Tough ne usko apni call detail dikhayi..
" par ismein toh aapne no. vicky naam se save kiya hua hai.." Sneha ne aashankit najron se tough ki aur dekha
"haan.. wo main usko vicky hi bolta hoon.. pyar se..." tough ko bhi tedhi ungali istemaal karni padi...
Sneha ke paas vishvas karne ke alawa koyi aur chara bacha hi nahi tha... Mohan ne ek baar usko bola bhi tha.. ki loharu chhodne ke baad wo usko lene ke liye kisi dost ko bhi bhej sakta hai..
" hum kahan jayenge..abhi..!" Sneha ne aakhiri sawaal kiya...
"kahan jana chahti ho..?"
"Loharu! wahan Mohan ke dost shamsher ki sasural hai.." Sneha ne kaha..
tough ne rahat ki saans li..," Shamsher se baat karwaaun kya abhi?"
" nahi rahne do.. waise bhi main unhe nahi jaan'ti.. par..." kahkar Sneha ne Viru ki aur dekha...
" par kya? .... bolo?" Tough ne kaha..
" mere sath meri 2 saheliyan bhi jayengi.." Sneha ne jhijhakte huye kaha...
" kahan hain tumhari saheliyan? le chalo.. mujhe kya problem hai bhala? Tough ne kamre mein najar doudakar bathroom ke darwaje par najar tika di..
" ek minute.." Sneha ne kaha aur bathroom se dono ko bahar nikal layi.. dono line mein khadi thi.. Priya Riya ke pichhe chipki khadi thi...
"wah bhai wah.. ye toh ek dusri ki photocopy hain.. chalo.. jaldi chalo..!" Tough ne dono ko gour se dekhte huye kaha...
" aap dono rahne do bhaiya... khamkhwah pados walon ko shak hoga.. ab hum chale toh jayenge hi.." Sneha ne Viru aur Raj ki aur dekhte huye kaha..
Raj ka sath chalne ka bahut mann tha.. uske toh sare armaan hi dhare ke dhare rah gaye.. usne Viru ki aur dekha...
"Nahi Sneha! hum bhi sath hi chalenge..!" Viru ne stick uthayi aur uske sahare khada ho gaya.. Sneha ko kisi bhi jokhim mein wo akela nahi chhodna chah raha tha....
Raj ke toh bin bole hi vare nyare ho gaye...
" bhai.. jisko bhi chalna hai.. jaldi se neeche chalkar gadi mein baitho.. hamare paas time nahi hai itna.." Tough ne jhallate huye kaha...
Uske baad kisi ne der nahi lagayi.. wahan se nikalne ki jaldi toh unhe bhi thi.. kismat se ab unko raaston par bhatakna nahi padega.. sabhi jakar Gadi mein baith gaye..
Tough ne road par nikalte hi Shamsher ke paas fone kiya..," haan bhai.. le aaya hoon.. sneha ko.. Shukra hai.. abhi tak pahuncha nahi tha wo..!"
"koun hai.. Mohan hai kya?" Sneha ne aage gardan nikalte huye kaha..
" Nahi shamsher hai.. lo bhai.. ek baar baat karna..."
" namastey Sir!" Sneha ne jhijhakte huye kaha.. Vicky ne Sneha ko bata rakha tha ki Shamsher teacher hai..
" Namastey beta..! kisi baat ki fikar mat karna.. theek hai na..." Shamsher ne pyar se kaha...
" Ji.. ab sab theek hai.. main toh darr gayi thi.." Sneha ne bhi utni hi vinamrata se jawab diya..
" O.K. mera no. bhi le lena.. koyi dikkat ho toh fone kar dena.. waise tough bhi hamara bhai hi hai.. usko fone dena jara.." Shamsher ne kaha...
" ye lo Sir!" Sneha ki aankhein chamak uthi.. ab usko koyi fikar nahi thi.. wo sahi aadmi ke sath the...
" vicky kahan hai ab?" Shamsher ne tough se poochha..