09-03-2025, 04:53 PM
'Agar wo shreef ladki hai toh mujhe kya kisi ko bhi yun bula nahi sakti.. aur fir meri aur uski jaan pahchaan hi kya hai.. sirf 'file' hi toh maangi thhi..' udhedbun mein fanse Raj ne wo kagaj ka tukda.. ek baar fir nikal liya aur Dobara padhne laga...
"Raj!
Abhi aa jao na pls.. Bahut jaruri hai.. main Riya ko neeche bhej rahi hoon.....
I am waiting
Tumhari Dost
Priya
'kamaal hai.. ismein na toh koyi kaam hi likha huaa hai.. aur na hi koyi wajah batayi gayi hai.. fir wo mera intjaar kar kisliye rahi hai.. kya usko kisi ne bata diya hai ki main usspar marta hoon... nahi! ye kaise ho sakta hai..? Virender ke alawa koyi ye baat jaanta hi nahi.. Fir?????' Raj ka dimag chakra raha thha par dil uchhal raha thha.. Dimag usko dhairya rakhne ko kah raha tha toh dil kuchh kar gujarne ko bawla huaa ja raha thha...
'Kya kiya jaye?' apne makaan ke darwaje par khada hokar Raj Priya ke ghar ki chhat ko niharne laga... wahan kafi andhera thha.. isiliye wah kisi ko bhi khada dikhayi nahi de sakta thha... Priya ke ghar Darwaje se andar ghusna toh lagbhag asambhav hi thha.. par sath satey huye ghar ki seedhhiyan uske aangan se shuru hokar chhat tak jati thhi.. par uss ghar ke aangan mein light jal rahi thhi.. deewar faandkar ghusna khatarnaak ho sakta thha.. 'nahi.. nahi ja sakta' aisa sochkar Raj ne kagaj ke tukde tukde karke wahi faink diya aur colddrink lane ke liye chal diya.. ek lumbi gahri saans chhodkar....
Halanki Raj ne na jane ka poora mann bana liya thha.. par fir bhi jane kyun wah baar baar pichhe mudkar dekh raha thha.. chhat tak jane ka rasta...
kahte hain.. 'jahan chah; wahan raah..' aur Rah mil gayi.. thhoda sa risk jaroor thha.. par Mohabbat mein Risk kahan nahi hota...
Sath wale ghar se aage nikalte huye Raj ko uss ghar ki chardiwari ke sath khali plot mein ek bhainsa dikhayi diya.. wo baitha huaa masti se jugali kar raha thha.. usko kya pata thha ki wo aaj raat ko do pyar karne walon ke beech ki 'deewar' laanghne ka sadhan ban'ne wala hai.. uske upar baith kar Raj seedha 'zeene' mein kood sakta tha.. aur Priya ke sath wale ghar ki chhat tak bina kisi rukawat ke pahuncha ja sakta thha... yani aadhi problem solve ho jane thhi...
"chal beta.. khada ho ja.." Raj ne usko ek laat mari.. aur bechara bhainsa.. bina kisi lag-lapet ke khada hokar deewar ke sath lag gaya...
"shabaash.. A haiiinsha.." aur Raj uske upar ja baithha...
ab tak bilkul shant khade bhainse ko Raj ki ye harkat ganwara nahi huyi.. aur lahraati huyi uski poonchh.. Raj ke chehre par aa takraayi..
"uff.. saaley.. Gobar chipak diya.. kya jata hai tera.. ek minute mein.." aur fir ek pal bhi na ganwaaye Raj ne uchhal kar apne haathhon se 'zeene' ki deewar thham li.. fir latakte huye usne jor lagaya aur agle hi pal wo 'zeene' mein thha...," Ohh..! Raj ka dil koodne ke sath hi dhak dhak karne laga.. yahan se ab agar wo kisi ko bhi dikh jata toh badi musibat aa jani thhi...
Sath wale ghar mein upar koyi kamra wagairah nahi thha.. Raj bina der kiye fatafat chhat paar karke Priya ke ghar ke sath ja chipka.. uski saanse buri tarah ukhad gayi thhi.. jis tarah aur jis haalat mein wo yahan thha.. aisa hona lajimi hi thha.. apni dhadkano par kaabu pana uske liye mushkil ho raha thha...
yahan se usko Priya aur Riya ke hulke hulke bolne ki aawaajein aa rahi thhi.. wahan se aage kareeb 6 feet oonchi deewar ko laanghna 6 feet ke hi Raj ke liye koyi mushkil kaam na thha... Raj ne kuchh der aise hi khada rahkar apni saanson ko kaabu mein kiya.. aur aakhiri deewar bhi laangh gaya.. wahan se sath wale kamre mein hi Priya aur Riya uski hi baaton mein vyast thhi...
par baatein sun'ne ka time kiske paas thha.. uska toh 'bulawa' aaya tha na; fir wo kyun aur kis baat ka intzaar karta.. bina ek bhi pal ganwayein Raj tapaak se kamre mein ghus gaya...
apne saamne yun achanak 'luteron' ki shakal banaye Raj ko dekhkar Priya saham gayi.. Darr ke maare uski toh saans hi gale mein atak gayi.. Riya ki toh cheekh nikal gayi... hangama ho jana thha.. agar Priya samay se pahle hi sthiti bhanp kar uske munh ko apne hathh se na daba deti toh..
"tumm.. yahan.... yahan kya karne aaye ho?" Sahmi huyi Priya ke gale se atak atak kar baat nikal rahi thhi...
"Tumne hi toh bulaya thha..." Raj gale ka thhook gatak kar apni shirt ki aasteen neeche karte huye bola.. dara huaa wah bhi thha..
"bhag jao jaldi.. sab maare jaayenge.. mummy jaag rahi hai.." Priya dheere se hadbadahat mein boli...
"ajeeb log ho tum bhi.. pahle bulaate ho.. fir beijjati karte ho.. pata hai kitna jokhim uthha ke aaya thha.." Raj khisiya sa gaya thha.." Ajeeb majak kiya tum dono ne aaj mere sath.." kahkar wo wapas palta toh ab tak chupchap khadi Riya bol padi...," Nahi, Ruko Raj... ek minute.. tum yahin thhahro.. main mummy ko dekhkar aati hoon..." kahkar Riya kamre se bahar nikli aur turant hi wapis palti," Iss bechare ka chehra toh dhulwa do..!" kahkar apni batteesi nikali aur neeche bhag gayi...
"Kyun? mere chehre ko kya huaa.." kahte huye Raj ne apne chehre ko hath lagaya toh chipka hua gobar uske hathhon ko lag gaya..," ohh... wo.. bhainse ki poonchh..." fir ruk-kar achanak idhar udhar dekhne laga....
"Bathroom idhar hai.. Priya uski shakal dekhkar mushkil se apni hansi rok pa rahi thhi.. iss koshish mein usne apne nichle hont ko hi kaat khaya thha.."
"Ohh.. thanx.." kahkar wah bathroom mein ghus gaya....
bahar aate hi usne seedha sa sawaal kiya..," Mujhe kyun bulaya thha yahan..?"
"Humne?... humne kab bulaya thha.." samanya hone ke baad bhi Priya ki aawaj nahi nikal pa rahi thhi.. wah abhi tak ek taraf khadi thhi.. apne hath baandhe huye.. aur lagataar Raj se najrein chura rahi thhi.. kabhi idhar dekhti.. kabhi udhar.. na khud baithhi aur na hi raj ko baithhne ko kaha...
"toh?.. wo patthar kyun maar rahe thhe.. tum.. mera sir fodne ke liye..?" Priya ko hichkichate dekh Raj 'sher' ho gaya.. khair uska gussa jayaj bhi thha.. bechara kitne border paar karke jo aaya thha..
"wo.. wo toh.. humne file maangi thhi.... gate ke neeche se daalne ko bola thha.. le aaye file..?" Priya ne aakhiri shabd bolte huye ek baar Raj ko najar uthhakar dekha.. par usko apni hi aur dekhte pakar turant hi najar fir se jhuka li...
"kab bola thha.. file ke liye...? mujhe toh yahan aane ke liye bola thha... aur wo bhi abhi!" waise tum Riya ho ya priya..?" Raj toh Priya ke liye hi aaya thha........
"Priya..... tumhe koun chahiye..?" jane kitni himmat jod kar Priya ne ye vyangya kar hi diya...
"Mujhe kuchh nahi chahiye.. bus ye batao.. yahan bulaya kyun?" Raj bhi ab tak samanya ho gaya thha..
"kaha naaa..." Priya ne ab ki baar seedha uski najron mein jhanka thha.. isiliye aage bol nahi payi...
Raj bhi apne mann ki baat kah hi dena chahta thha.. aur aaj mouka bhi thha.. aur mousam bhi..," Ek baat boloon.. Priya.. maine aaj tak kisi ladki se baat tak nahi ki hai.. par.. tumne bulaya toh khud ko rok hi nahi paya.. tum mujhe bahut achchhi lagti ho.. mera toh padhna likhna hi chhoot gaya hai.. jab se tumhe dekha hai... kahte huye Raj hulka sa uski aur badh gaya.. aisa karte hi Priya ne bhi ghabrakar apne aapko utna hi peechhe kheench liya.. Raj se door..!
"kya baat hai..? main tumhe achchha nahi lagta kya?" Raj thhoda sa aur aagey badh gaya...
"Nahi.. Mmmera matlab hai.. aisi baat nahi hai.. wwo.. aane hi wali hogi..!" Priya simat si gayi.. ab pichhe hatne ki jagah nahi bachi thhi.. wah chahkar bhi upar nahi dekh pa rahi thhi...
Raj samajh raha thha ki agar bulaya hai toh pyar toh karti hi hogi.. par bolne se darr rahi hai.. 'ladki' hai na...," main tumse pyar karta hoon Priya.. tumhari wajah se itna bada risk lekar aaya hoon.. ab tum bhi bata hi doh na.. tumhe main achchha lagta hoon ya nahi.. kahte huye Raj thhoda aur aage sarak aaya..
Priya kuchh na boli.. bus bachav ki mudra mein aa gayi.. usko iss khayal se hi itna darr lag raha thha ki kahin Raj usko chhoo na le.. kitni najuk thhi.. bechari.. kitni maasoom!
"Bolti kyun nahi..?" Raj ne aage badhkar uska hath pakad liya.. Priya thar thar.. kaanpne lagi....," Mmmain Priya nahi hoon... Riya hoon.."
"ohh.. pahle kyun nahi bataya.. Sorry.." Raj ko jaise bijli ka jhatka laga ho.. jitni door pahle thha.. palak jhapkte hi uss'se bhi jyada door jakar khada ho gaya..," Sorry.. pls kisi ko mat batana.. maine aapse jo kaha hai.. uski pitayi ho jayegi... wo letter bhi nahi likha thha usne.. main toh aise hi jhoothh bol raha thha.." Raj ko laga Isko letter ke baare mein shayad pata nahi hoga...
Raj ki ye baatein sunkar Priya mann hi mann uchhal rahi thhi... kitni sochta hai.. mere baare mein... fir pratyaksh mein Riya bankar boli..," Mujhe sab pata hai.. wo letter humne milkar hi likha thha.. aur usko tum achchhe bhi bahut lagte ho.. par wo aasani se ye baat sweekar nahi karegi.. wo tumse pyar karti hai.. aur shayad aaj ke baad toh tumhe kabhi bhool hi nahi payegi.."
"kyun.. aaj aisa kya huaa..?" Raj prafullit ho uthha..
"Aaj tumne yahan aane ka itna bada sahas kiya.... tum bahut achchhe ho Raaj.. bahut pyare ho..." Priya ek hi saans mein kah gayi...
"par main agar uske munh se ye sab sunta toh bahut achchha lagta..." Raj ne 'Priya' ke intzaar mein darwaje ki aur dekha...