07-02-2025, 07:44 PM
(This post was last modified: 07-02-2025, 08:17 PM by Sriya2. Edited 4 times in total. Edited 4 times in total.)
Update 26
Supriya ki neend ghar ki doorbell se khuli, shayad kuch der se doorbell baj rahi thi. Woh jhoolte hue darwaza kholne gayi, aur dekha ki Atul thode gusse mein ghar aaya tha, uske chehre par jhunjhulahat saaf dikh rahi thi. Woh jaldi se ghar mein ghusa aur joote utaarne laga.
Atul - Kahan thi, itni der se bell baja raha hoon...
Supriya - Haan, sorry, main so gayi thi...
Atul - Ye koi sone ka time hai.. aur ye tshirt jeans kaise pehna hua hai aaj?
Supriya - Aise hi... mann kar raha tha...
Atul ko table par rakhe gulab ke fool dikhe - Koi ghar aaya tha kya?
Supriya - Nahi toh?
Atul - Toh ye fool kahan se aaye..
Supriya ne soch, oh shit, woh fool hatana toh bhool hi gayi thi, ab kya bolu - Woh Megha le kar aayi thi..
Atul ka chehra Megha ka naam sunte hi aur bhi sadd gaya - Maine kitni baar kaha hai ki usse door hi raha karo, par tum sunti hi nahi ho..
Aaj toh Atul ghar aate hi jyada hi chid chid kar raha tha, Supriya ne poocha - Kya hua, itna gussa kyu ho aaj?
Atul - Rahul ki wajah se.
Supriya ek dam se ghabra si gayi, kya Rahul ne Atul ko kuch bata diya tha? Nahi, agar aisa hota toh Atul ghar aane ka intezaar nahi karta shayad.
Supriya - Kya kiya Rahul ne?
Atul - Kuch bhi nahi kiya... aaj bhaisahab din mein office se nikal gaya aur fir shaam ko wapas aaya. Pata nahi kis ladki ke chakkar mein pada hai.
Supriya ne mann hi mann rahat ki saans li, shayad usne kuch nahi bataya tha.
Atul - Kaam uska poora hota nahi hai... aise raha toh uski naukri chali jayegi...
Supriya ye sun kar thoda sa bura feel kar rahi thi, woh nahi chahti ki Rahul ki job chali jaye. Itna bhi bura nahi tha woh. Aaj uski wajah se Rahul ko shayad office mein daant padi hogi.
Supriya - Chalo aap khana kha lo...kafi late ho gaya hai...
Dono ne khana khaya aur Atul bed par lette hi so gaya. Supriya bed mein barabar mein leti thi, par uska mann toh aaj jo bhi us mein hi chal raha tha. Jo hua usse use acha toh laga tha par use Rahul par bhi daya aa rahi thi, aaj kafi bura din gaya tha uska. Usne apna phone uthaya or thodi der sochne ke baad Rahul ko message kiya.
![[Image: istockphoto-1201602484-612x612.jpg]](https://i.ibb.co/JRvYY0yf/istockphoto-1201602484-612x612.jpg)
Supriya - Hi..kya kar rahe ho..
Rahul ghar par abhi bhi office ke kaam mein hi laga tha. Uske phone par message pop-up hua aur Supriya ka naam dekhte hi usne jhat se phone utha liya.
Rahul - Hi...office ke kaam mein hi laga hoon...
Supriya - Acha... kaisa raha office mein sab aaj?
Rahul - Atul ne bataya nahi? Kafi gussa kiya usne mujhpar.
Supriya - Oh...
I am sorry meri wajah se tumhe ye sunna pada... thank you so much aaj help karne ke liye...
Rahul - Aree koi nahi, tumhari wajah se nahi tha woh. Waise maine tumhara CV tumhe email kar diya hai.
Supriya - Thank you! Hope tumhara kaam jaldi se poora ho jaye aur tum so paayo...
Rahul - Mujhe acha laga tumne message kiya Supriya..
Supriya - Good night..
Rahul - Good night...
Supriya ne pet mein thodi si gudgudi si ho rahi thi ki woh raat ko kisi ko aise message kar rahi thi. Khaas kar Rahul ko, jisne use bol hi diya tha ki woh use like karta hai. Usne jaldi se apne saare message delete kiye. Use thoda galat lag raha tha jaise woh Atul se cheating kar rahi ho, par fir usne socha ki isme toh kuch bhi galat nahi tha, woh bas ek dost ko hi toh message kar rahi thi.
CV toh ban gaya tha par ab bas job dhoodni thi. Waise toh use yaad tha ki Vikram ne use job ka offer diya tha par woh Vikram ke yahan job nahi karna chahti thi. Vikram aur Pratap ek doosre ko jaante they, shayad sab apas mein mile hue hi honge ye bade log. Use aisi jagah nahi kaam karna tha jahan use darr lage.
Raat bhar, Supriya apne phone par job dhoondti rahi aur un par apply karti rahi. Use lagta tha ki use chahe fresher ki hi job mil jaye woh bhi le legi. Online app par woh job apply karti karti so gayi.
Subah Atul ke jaane ek baad Supriya ne apna email check kiya toh abhi tak toh kisi ka jawab wapas nahi aaya tha. Shaam hote hote woh kafi niraash ho gayi thi ki use ek bhi call nahi aaya. Thoda toh experience tha hi use. Agle 1-2 din bhi yehi haal raha, woh job apply karti rahi par koi call nahi aa rahe they. Shayad uski kismat mein hi job karna nahi likha tha.
Supriya ne thak kar saari asha chhod di thi jab teesre din uske phone par ek ghanti baji. Doosri taraf ek ladki ki awaaz thi.
Ladki - Hello, Miss Supriya?
Supriya - Haanji... aap kaun?
Ladki - Hi, I am Kriti from Creative Exports Limited. Aapne accountant ki job ke liye apply kiya tha.
Supriya ye sun kar ek dam se kaafi excited ho gayi - Yes ma'am. Maine job apply kiya tha...
Kriti - Aap kal aa sakte hai kya interview ke liye, 11 o'clock?
Supriya ne bina soche samjhe jaldi se bola - Yes ma'am, bilkul. I will be there.
Kriti - Ok great, we will see you tomorrow.
Supriya - Ma'am par aana kahan hai...
Kriti - Oh hamare office ka address hoga na job application mein. Gomti Nagar...see you tomorrow...
Supriya ke mann mein aur bahut saare sawal they, par isse pehle woh kuch pooch paati, Kriti ne phone kaat diya. Supriya bahut hi khush aur excited feel kar rahi thi. Aakhir usko ek interview ke liye call aa hi gaya tha. Oh, par interview toh kal hi tha, itni jaldi woh kaise sab manage karegi. Kya kya le kar jaana hoga interview mein, kya kapde pehenne honge, kaise jayegi woh wahan, kya puchenge usse wahan?
Woh besabri se shaam ko Atul ke aane ka intezaar kar rahi thi. Woh use ye khushkhabri sunana chahti thi. Atul hamesha ki tarah thaka hua sa ghar wapas aaya.
Supriya ne uske ghar mein ghuste hai use bata diya - Atul! Aapko pata hai mujhe finally job ke liye call aa gaya aaj...
Atul - Oh, tum abhi bhi job dhoond rahi ho, mujhe laga tha tumne band kar diya hai. Toh kya bola unhone?
Supriya - Yehi ki mujhe kal aana hai.. interview ke liye...
Atul - Acha abhi interview hai, job nahi mili...
Supriya ne chehakte hue kaha - Woh bhi mil jayegi kal, aap dekhna...
Atul - Itna aasan nahi hota, woh bahut saare logo ka interview lenge, aur fir tumhe kyu job denge?
Supriya - Kyu nahi denge? Mere paas experience hai.
Atul - Ha ha ha, woh Jhansi ki choti si jagah ka experience...
Supriya ko thoda sa gussa aana shuru ho gaya tha, Atul hamesha use neeche karne mein kyu laga rehta tha. Kya bas uski job ek badi job thi. Ek din woh Atul se bhi badi job par hona chahti thi. Par abhi usne kisi tarah se uski negativity ko ignore kiya.
Supriya - Aap chaloge na mere saath kal interview par...
Atul - Nahi baba, kal nahi ho payega, kal kuch important clients aa rahe hai.
![[Image: 678.png]](https://i.ibb.co/cccC86Xj/678.png)
Supriya haara hua sa mehsoos kar rahi thi, ab woh bina Atul ke kaise interview par jayegi. Auto toh kar hi sakti hai, par agar time par auto na mila toh? Itni subah subah toh kaafi bheed bhi hoti hai. Aur baaki sab sawaal bhi toh they, Atul ka toh mood nahi lag raha tha uski help karne ka. Use kisi aur se hi madad maangni hogi. Megha ko toh kuch bhi chalana aata nahi, toh fir kaun bacha - Rahul??
Ab fir woh us bechare ko pareshaan kare. Par koi aur tha bhi toh nahi...Ab kya kare woh... Use toh laga tha Atul khush hoga aur use samjhayega ki kaise karna hai kal interview mein, par use toh koi interest hi nahi tha is topic mein, jaise usne soch liya ho ki Supriya ko ye job nahi milne wali thi.
Raat ko fir se Supriya ne Rahul ko message kiya. Ab toh woh ek doosre ko fir se message karne lage they. Roz raat ko good night bolna jaise ek aadat si ho gaya tha.
Supriya ne bhaari man se Rahul ko message kiya - Rahul....mujhe ek help chahiye thi please...
Rahul - Haan, bolo na...
Supriya - Kal subah mujhe Gomti Nagar drop kar doge kya? Mera job interview hai..
Rahul - Aree wah... finally... congratulations...
Supriya - Pehle job toh mil jaaye, fir congrats kar dena...
Rahul - Haan batayo na kitne baje subah...
Supriya - Unhone toh 11 baje bulaya hai, par tumhe bhi toh office jaana hoga na, toh subah 11 se pehle kabhi bhi drop kar dena... koi dikkat toh nahi hai na...
Rahul - Theek hai, main tumhe 9.30 baje pick karta hu, tab tak Rahul bhi ghar se nikal gaya hoga, aur 10.15 tak wahan drop kar dunga. Thoda time toh office dhoondne mein bhi lag jayega.
Supriya - Haan ye theek rahega, thank you.
Rahul - Aree, no thank you needed. Kuch bhi aur yaad aaye toh bata dena.
Supriya - Main kya pehnu kal ke liye?
Rahul ko laga ki Supriya usse ye kyu pooch rahi hai, jaise Atul nahi woh uska pati ho. Usne bhi himmat karke message daal diya - Tum toh har cheez mein bahut khoobsurat lagti ho, kuch bhi pehen lo.
Supriya - Batayo na please...
Rahul - Ummm, mujhe pata nahi wahan ka kya dress code hai, par shayad Salwar kameez safe option rahega.
Supriya - Theek hai, ye acha idea hai.
Rahul - Aur suno, apne baal mat baandhna kal, khule rakhna unhe, bahut ache lagte hai khule baal tum par.
Supriya ko uske flirty se messages pad kar halki si muskan chehre par aa gayi. Thodi der baad woh bathroom mein khadi apne aap ko aine mein dekh rahi thi. Pichle kuch dino mein tension se uska weight thoda kam ho gaya tha, uske gol gol gaal thode andar ho gaye they. Woh alag alag tarah se apne baal bana kar dekhne lagi. Sach mein khule baalon mein hi woh sabse khoobsurat lagti thi. Usne toh kabhi is baare mein socha bhi nahi tha par Rahul ne kafi gaur kiya tha us par.
Agle din hamesha ki tarah, Supriya ne jaldi jaldi Atul ka khaana pack kiya aur woh office chala gaya. Par aaj use jaldi jaldi apne interview ke liye tayyar hona tha. 8.15 toh baj bhi chuke they. Woh fatafat se naha ke aayi aur raat ko alag nikale hue ek naye salwar kameez ko pehen liya, aur ache se make up kar liya. Usne apne honthon par ek surkh laal lipstick laga li jisse uska poora chehra aur bhi khil utha. Usne apne aap ko aine mein dekha toh woh bahut hi sundar lag rahi thi.
![[Image: eesha-rebba-stills-1911191208-009.jpg]](https://i.ibb.co/NgYvWHT9/eesha-rebba-stills-1911191208-009.jpg)
Tayyar hote hote 9.30 baj hi gaye they, aur Rahul ka call aa raha tha. Woh neeche aa gaya tha, toh Supriya bhi jaldi se bhaagi bhaagi neeche gayi, usne apne saath ek folder le liya tha jisme usne apne college ki marksheet, baaki activities ke certificates, aur pichli job ke sir ka ek letter rakh liya tha.
Rahul gate ke bahar hi uska wait kar raha tha. Supriya jaldi se aage ki seat par baithi. Abhi woh interview ke liye itni nervous thi ki use us din ke seekhe hue koi bhi banawati khel yaad nahi they.
![[Image: 34.webp]](https://i.ibb.co/3y35Lff9/34.webp)
Supriya - Sorry, der toh nahi hui?
Rahul - Nahi nahi, abhi aaya hoon.
Rahul ne uski aur dekha, kya gazab lag rahi tha woh is neeli dress mein, aur uske khule baal, uffff - Bahut achi lag rahi ho...
Supriya ne sharmate hue kaha - Thank you, aur maine baal khule hi rakhe jaise tumne bola tha...
Rahul bhi muskura utha. Sach mein aaj toh bilkul pehle jaisi lag rahi thi Supriya, cute aur bholi bhaali si. Haaye ise toh koi bhi dekh kar job de dega. Rahul ne gaadi chalana shuru kar diya.
Rahul - Nervous toh nahi ho na...
Supriya - Thodi si hoon, par ho jayega sab...
Rahul - Bilkul, sab acha hi hoga. Atul nahi chala tumhare saath?
Supriya ne muh banate hue kaha - Mujhe abhi nahi sochna unke baare mein...
Rahul - Acha theek hai, bas gehri saans lo aur apna mind clear rakhna...
Thodi der ke baad woh log office ke bahar pahuch gaye. Ek bada sa office complex tha jisme kayi saari companies ke office they.
Rahul - Yahan parking milna thoda mushkil hai, toh mujhe yahin drop karna hoga.
Supriya - Haan, koi nahi, main chali jayungi..
Rahul - Mujhe call kar dena jab interview ho jaaye main aa jayunga tumhe lene..
Supriya - Main auto se chali jayungi wapas, par thank you so much.
Supriya gaadi se utarne hi wali thi, usne Rahul ki aur dekha. Sach mein kitna helpful that woh, aur kitni care bhi thi use uski. Aisa banda use kyu nahi mil sakta tha life mein. Pata nahi use kya hua ek dam se, usne jaldi se Rahul ke gaal par ek halki si kiss ki aur fir gaadi se utar kar andar ki aur chali gayi. Shayad bas ye uski nervousness hi thi, aur kuch nahi. Uske tej kadam use jaldi se building ke andar le gaye.
![[Image: istockphoto-1354257804-612x612.jpg]](https://i.ibb.co/PvntB83J/istockphoto-1354257804-612x612.jpg)
Rahul bhi is unexpected kiss se hairaan reh gaya. Supriya kyu fir se uske mann mein pyaar ki asha si jagah rahi thi. Peeche se horn padte hi usne apni gaadi chalani shuru kar di, aur kisi tarah se chalate chalate Supriya ko message kiya - All the best! And thank you for the kiss.
Supriya andar kuch nayi cheezo ka saamna kar rahi thi, uska dhyaan uske phone par nahi tha. Use samajh hi nahi aa raha tha ki woh kahan jaaye. Andar ek board par bahut saari companies ke naam likhe they aur unka floor number bhi likha tha. Itna kuch tha saamne ki kuch bhi pada nahi jaa raha tha. Par aakhir kaar use beech mein kahin - Creative Exports Limited likha dikh gaya. Unka office 9th floor par tha.
Woh jaldi se lift ki aur gayi aur 9th floor daba kar upar pahuch gayi. Us floor par utarte hi usne dekha ki poora floor kitna saaf suthra chamakta hua sa tha. Itna acha office toh usne aaj tak nahi dekha tha. Zameen ek dam marble jaisi, aur bahut hi sundar lights aur painting. Aur saamne ek receptionist ka desk tha. Woh us desk ki taraf gayi.
Supriya - Hello, main yahan interview ke liye aayi hu...
Receptionist - Ok ma'am, kitne baje hai aapka interview?
Supriya - 11 baje.
Reception - Oh, abhi toh sirf 10.30 baje hai. Aap wahan baith kar wait kar le.
Supriya ne time ka toh dhyaan diya hi nahi tha. Rahul ne use thoda jaldi hi drop kar diya tha aur ab use aadha ghanta yahan wait karna padega. Uff, isse acha toh neeche hi wait kar leti. Par neeche aisa lag raha thi ki pata nahi upar kaise jaana hoga.
Woh wahin lobby mein sofe par baith kar wait karne lagi aur idhar udhar dekhne lagi.
![[Image: eesha-rebba-stills-1911191208-011.jpg]](https://i.ibb.co/vCLwbkW3/eesha-rebba-stills-1911191208-011.jpg)
Supriya soch rahi thi ki ye toh kafi badi company lag rahi hai. Kya uski job yahan lag jayegi? Aate jaate log bhi use ghoor rahe they, kuch aapas mein baat karke has rahe they. Kya woh use dekh kar has rahe they? Kya uske kapde toh theek they? Baal? Woh kisi tarah se nervously baithi rahi.
Lagbhag 25 minute ke baad, 2 log uski taraf aaye. 1 aadmi aur ek ladki. Ladki young aur sundar thi aur usne shirt pant aur uske upar ek coat pehna hua tha. Kafi formal kapde they par uski smile se woh bahut hi friendly si lag rahi thi. Aadmi ne bhi shirt pant pehni hui thi, aur uski age thodi badi thi, kam se kam 35 toh hogi, Supriya ne socha. Waise ladko ke paas aur option bhi kya hota hai shirt pant pehenne ke elawa. Pata nahi aise time mein bhi Supriya ke dimaag mein ye sab majak kaise sujh jaata tha.
![[Image: 4985961074058702429.jpg]](https://i.ibb.co/6J7s4tQb/4985961074058702429.jpg)
Kriti ne ek badi si muskaan ke saath kaha - Hi Supriya, I am Kriti, hamari phone par baat hui thi.
Supriya bhi khadi ho gayi - Hi Kriti, kaise ho aap.
Kriti - Main achi hu. How are you? So nice ki aap aa saki aaj. Ye hai mere senior - Mr. Sahil, and hum dono aapka interview lenge.
Sahil ka chehra kaafi serious tha, koi hasi nahi usme, ek dam khadoos - Hello Supriya.
Kriti - So lets go, wahan meeting room mein chalte hai.
Supriya ko Kriti jitni sweet aur pyaari lag rahi thi utna hi darr use Sahil se lag raha tha. Jis tarah se woh use ghoor raha tha.
Kriti - So, office dhoondne mein koi problem toh nahi hui?
Supriya - Nahi, koi problem nahi...
Kriti - Water, coffee, kuch chahiye?
Supriya - Nahi, kuch nahi. Thank you.
Aise hi baatein karte hue woh log meeting room mein ghuse aur Supriya un dono ke saamne baithi thi.
Kriti - So Surpiya, maine aapka resume dekha tha, and it was interesting.
Sahil - Supriya aap apna resume dena jara.
Supriya toh apna resume laayi hi nahi thi, uska paas computer ya printer toh tha nahi. Use laga tha ki woh already resume ko online bhej chuki hai.
Supriya - Ummm... sorry sir... woh toh nahi hai mere paas...
Sahil - Aap resume ke bina aa gaye interview mein?
Kriti - No problem, mere paas 2 copies hai. Ye lijiye...
Kriti ne muskura ke Supriya ko dekha jaise use calm down kara rahi ho.
Sahil - So inka experience toh kuch khaas nahi hai, aapne shortlist kyu kiya inhe Kriti?
Supriya ka dil ye sab sun kar baithe jaa raha tha. Sach mein kafi jyada khadoos tha Sahil.
Kriti - Sir, interesting tha, I think inhone CA firm mein job ki hai, aur fir resume bhi kafi ache se bana hua tha. I think ek baar inki story toh samajh lete hai.
Supriya Kriti se kafi impress ho gayi thi. Sahil usse jaise chahe baat kar raha tha, Kriti ke chehre par muskaan gayab nahi hui thi aur na hi uski awaaz uchi neechi hui thi. Ye dekh kar Supriya ko bhi thoda confidence aa gaya, aur woh unhe apne experience ke baare mein batane lagi. Sab kuch usne kafi ache se bata diya aur beech mein unke sawaalon ka bhi jawab de diya.
Sahil - Toh aap housewife ho, abhi aap ye job karna chahte ho, kal chhod doge..
Supriya - Nahi sir, main kafi serious hu job ko lekar, aur main kahin na kahin toh job jaroor karungi.
Sahil - Yahan kafi kaam hota hai, aur abhi itna staff nahi hai toh doosre department mein bhi help karna padta hai..
Supriya - Koi problem nahi sir, main sab seekh sakti hu...
Sahil - Theek hai, hum aapko call karke bata denge.. Kriti mujhe late ho raha hai meeting ke liye toh main jaa raha hoon. Baad mein baat karte hai.
Sahil - Aur Ms Supriya, ye heart wale kapde yahan nahi chalte toh aapko dekhna padega...
Kriti - Ok sir.
Sahil jaldi se room se chala gaya aur Supriya apne documents samet kar wapas rakhne lagi. Sahil ki baaton se use lag raha tha ki use job nahi milegi, usne uske kapdo par bhi comment kar diya tha, jo use kafi kharaab lag raha tha.
Kriti - Congratulations...
Supriya hairaan hote hue - Kis cheez ke liye...
Kriti ne idhar udhar dekha, jaise use koi sun toh nahi raha tha - Thoda jaldi hai par I am sure aapko ye job mil gayi hai...
Supriya - Ummm... mujhe toh nahi laga aisa, Sahil sir ki baatein nahi suni aapne...
Kriti - Aap unki baat ka bura mat maano. It will be great to have another girl in the team. Shhh... par abhi kisi ko bolna mat...
Supriya Kriti ki aur dekh rahi thi. Usme kitna utsah aur chulbulapan tha. Dekhne mein toh itni badi nahi lagti thi, par uska interview toh usne hi liya tha.
Kriti - Aur waise na Sir ko fashion ka sense nahi hai, I love your dress.
Supriya - Thank you...
Kriti aur woh dono lift ki aur chal pade - Chalo, main aapko neeche tak chhod deti hoon.
Supriya - Are aap kyu pareshaan ho rahe ho, main chali jayungi…
Kriti - Is bahane thodi si walk ho jayegi chalo…
Supriya soch rahi thi kitna acha nature tha Kriti ka. Sach mein kaash use ye job mil jaye toh Kriti ke saath kaam karna kitna aasan hoga.
Woh neeche pahuch kar lift se bahar nikle hi they ki saamne se Supriya ko Vikram aata dikha. Woh yahan kya kar raha tha. Kya uska office mein isi building mein tha. Agar woh usse job ke baare mein poochega toh woh kya bolegi ki usne Vikram ki job kyu nahi li. Vikram toh unki aur hi aa raha tha, ab woh kya kare.
Vikram - Ms. Supriya aap yahan kaise. Aur woh bhi Ms Kriti ke saath?
Supriya - Woh bas... aise hi...
Kriti has ke boli - Mr. Vikram Singh, aap bataiye aap yahan kaise...aur aap Supriya ko kaise jaante hai?
Shayad Kriti aur Vikram pehle se ek doosre ko jaante they.
Vikram ne ghoor kar Kriti ko dekha aur fir Supriya ko - Ms Supriya, mujhe toh laga tha aap mujhe job ke liye message ya call karengi, par aapka toh koi message nahi aaya. Aur ab yahan Ms.Kriti ke saath? Kahin aap Ms Kriti ki company toh nahi join kar rahi?
Oh god, ab woh kya kare, woh toh in dono ke beech mein fas gayi thi. Kriti uske baare mein kya soch rahi hogi, aur Vikram bhi.
Supriya - Sir... woh....
Tabhi ek dam se Kriti aur Vikram dono hasne lage aur ek doosre ke gale mile. Supriya hairaan ho gayi thi ki ye kya ho raha tha.
Vikram - Bhaiya ki jagah Mr. Vikram kab se bolna shuru kar diya Kriti.
Kriti - Jab se aapne mujhe Ms. Kriti bolna shuru kiya...aur ye company meri kabse ho gayi?
Vikram - Jabse tumne join ki hai, tab se tum hi chala rahi ho
Kriti - Main?? Main to ek junior employee hu yahan, meri toh koi sunta bhi nahi hai yahan. Aur aap pata nahi kahan kahan busy rehte ho.
Vikram - Haan kya karu, itna bada business hai manage karne ke liye. Par tum jaanti ho na mere liye ye kafi khaas hai, kyunki ye maine shuru kiya hai. Baaki sab toh Isha ki family ka hi hai.
Kriti - Oh Supriya, ye meri cousin bhaiya hai - Vikram, par lagta hai aap toh ek dusre ko pehle se jaante ho. Par kaise?
Vikram - Haan, main kab se try kar raha hoon ki Supriya hamari company join kar le, par inhe koi interest hi nahi hai.
Kriti - Par aaj toh inhone aap ki hi company ke liye interview diya hai...
Vikram - Oh acha...thats great...
Supriya ko toh pata hi nahi tha ki woh Vikram ki hi company mein interview dene aayi thi. Usne toh jaan bujh kar Vikram ko message nahi kiya tha par yahan ab woh wapas uske paas hi pahuch gayi thi.
Supriya - Oh sorry, mujhe pata nahi tha ki ye aapki company hai...
Vikram - Acha, toh aap meri company mein kaam nahi karna chahti ho... ab samajh mein aaya..
Supriya - Nahi sir, aisa kuch nahi, main bas apne aap interview de kar job paana chahti thi.
Vikram - Kisi ki help lene se koi chhota nahi ho jaata, Ms Supriya. Aur agar aap mere through bhi aati toh interview toh tab bhi dena hi hota.
Kriti - Bhaiya aap toh Supriya ko jaante hi ho toh aap Sahil sir se baat kar lena na unke liye...
Vikram - Oh Sahil ne interview liya tha? Nahi bhai, uske beech mein toh main bhi nahi padunga, woh jo bole final hai. Sorry Supriya.
Supriya - Koi nahi sir, jo bhi hoga acha ke liye hi hoga.
Kriti - Dont worry Supriya, sab acha hi hoga.
Supriya - Thanks Kriti. Main chalti hoon ab...
Kriti aur Vikram - Bye Supriya...
Supriya unke bye karke bahar ki aur chal padi. Use peeche se Kriti ki awaaz aayi - Kitni pretty hai na woh... Supriya uski awaaz sun kar mand mand has padi aur bahar nikal gayi.
Bahar use jaldi se auto mil gaya aur woh ghar ki aur nikal gayi. Raaste bhar woh sochti rehi ki kya use ye job milegi aur agar mil bhi gayi toh kya use leni chahiye. Shayad Vikram bhi khush nahi tha, toh woh kyu use job dega. Aur Sahil toh bilkul bhi nahi, pata nahi Kriti kyu itna confident thi ki use job mil gayi thi.
Supriya ghar pahuchi thi toh us mein energy hi nahi thi, sab kuch ulta pulta sa ho gaya tha. Uske phone par Rahul ke message they jo pooch rahe they ki uska interview kaisa gaya. Uske use ek line ka reply ki sab theek tha. Abhi woh kisi se bhi baat nahi karna chahti thi. Atul ka koi bhi message nahi tha kuch bhi poochne ke liye. Woh bhi use kuch batane nahi wali thi.
Shaam ko jab Atul ghar aaya toh Supriya ne interview ke baare mein koi baat nahi chhedi, aur Atul ne bhi kuch nahi poocha. Shayad use yaad bhi nahi tha Supriya ke interview ke baare mein. Aaj sach mein kafi kharab din tha Supriya ka.
2-3 din tak koi khabar nahi aayi, shayad use job nahi mili thi. Woh bekar mein hi soch rahi thi use Vikram ki wajah se job ko reject karna padega, yahan toh use job hi nahi mili. Aur Atul kitna khush ho raha tha andar hi andar, jaise uska kaha sach ho gaya ho. Ab toh woh use aur bhi kuch nahi samjhega.
Bina mann ke Supriya kaam mein lagi hui thi ki uska phone baj utha, ek unknown number tha.
Supriya - Hello.
Sahil - Ms Supriya, hello, Sahil this side..
Supriya ne ek dam se saara kaam chhod diya - Hello Sir..kaise hai aap...
Sahil apni khadoos si awaaz mein hi bol raha tha - Good, acha suniye, maine aapko ye batane ke liye call kar raha hoon ki humne kafi logo ka interview liya aur ache se sabko consider kiya...
Supriya ka dil baitha jaa raha tha, lagta hai use job nahi mili thi. Woh shayad ro hi pade is call ke baad.
![[Image: 791.png]](https://i.ibb.co/wZPNGhSq/791.png)
Sahil - Aur, humne paaya ki shayad aap is job ke liye theek rahengi. HR se koi aapko call karke details share karega, aap dekh lena. Joining date, aap soch ke bata dena.
Itni gande se kaun kisi ko ye batata hai ki uski job lag gayi hai. Sahil ne toh poora hi dara diya tha Supriya ko. Hadd ho gayi.
Supriya - Thank you sir, thank you so much.
Sahil - Ok, chaliye, bye..
Supriya ko job mil gayi thi. Kya ye sach tha, use toh yakin hi nahi aa raha tha. Uska sapna tha ek achi company mein kaam karne ka aur aaj woh shayad poora hona shuru hua tha. Uska mann tha ki woh abhi ki abhi kisi ke saath ye khushkhabri share kare.
Usne apna phone uthaya, aur woh Atul ko message bhejne hi wali thi ki usne woh message delete kar diya. Fir ek doosra message type karke Rahul ko bhej diya - Rahul…. Mujhe job mil gayi!!!! Thank you so much tumhari help ke liye…