24-01-2025, 01:11 PM
Ab vani Disha ko kaise baati jo uske baad ho chuka hai.. Manu usko nirvastra apni bahon mein uthha chuka hai.. Bhale hi majboori mein hi sahi.... wo usko dil de chuki hai.. Anjane mein hi sahi!"
Tujhe meri kasam hai vani.. Abhi chay bana aur lekar bahar aaja.. Aise achchha nahi lagta chhutaki.. Wo dono akele baithe hai.. Chal jaldi kar!"
"Didiiiiii! Vani banawati gusse mein apne pair patakti rah gayi... Manu ko wo achchhi nahi lagi toh!' manu k khayalon mein khoyi Van chay banane lagi.....
"Yahan.. Yun.. Achanak!" Disha ne charpayi par baithhte huye baaton ki shuruaa ki...
"Vani ko itna rukha vavhar karte dekh Manu ka dil utar chuka tha..," Bus yunhi didi.. Rewadi gaye thhe kisi kaam se! Idhar se nikale toh dhan aaa ki aap ahin ho.. Wwo maansi ne bola tha.. Vvani se milkar aane ke liye.."
"Pata nahi kaise swabhav ho gaya hai iska.. Ab dekh lo.. Tumhe dekhte hi andar bhag gayi..."
Manu ko kuchh na soojha.. Dil mein tees si liye sir neeche jhuka liya...
Vani jab chay lekar bahar aayi toh uaka chehra dekhne layak tha.. Gorey galon par laali ne apne paanv pasar liye thhe.. Niche wala rasila hont daanton ke neeche dabaya huaa tha.. Gole gole Chhatiyan tezi se upar neeche ho rahi thi.. Dhyan se dekhne par saaf jhalak raha tha ki wo kaanp rahi hai... Badi mushkil se ek ek kadam naap kar aa rahi Vani ka dhairya table ke paas aate hi jawaab de gaya aur tray ulat kar table par dhumm se aa giri..," Ooyiiiii mummy!"
Chay ke chhente wahan baithhe teeno ke kapdon par ja lagey...
Wo dono hadbadakar khade ho gaye.. Disha aascharya se Vani ko dekh rahi thi par kuchh bol na payi.. Vani ne wahin khade hokar rona shuru kar diya... Disha ajeeb najron se Vani ko dekh rahi thi ki aakhir ye ho kya raha hai.. Manu ka mann huaa ki jaise aagey hath badha kar vani ke galon par aa ludhke aansoono ko pouchh de.. Par wah himmat na kar paya.. Achanak Amit ki aawaj se Manu ko hosh aaya.," Koyi baat nahi! Aap ro kyun rahi hain.."
"aakhir aaj tumhe Kya ho gaya hai vani? .. Chal koyi baat nahi.." fir dono ke kapdon par giri chay ko dekhte huye boli.. "Inn par toh dhabba ban jayega..tum dono shirt nikal do.. Main pani se nikal deti hoon..."
Amit ko jhat se shirt nikalte dekh Sharmatey sakuchate Manu ne bhi waisa hi kiya...
"Koi baat nahi vani.. Ab ro kyun rahi hai? Ja aur chay bana de.. Aur ab ki baar tu lekar mat aana" Disha ne vani ko dularte huye kaha..
Vani ne Badey hi bholepan se sir hilaya.. Uski masumiyat par teeno khil khila kar hans padey.. Disha dono shirt utha kar bahar nikal gayi...
Vani ke chay bana'ne ke liye andar jate hi Amit ne Manu ka hath pakad kar jor se dabaya," Bhai! Iss gaanv mein toh ek se ek badhkar hasinayein hain.. Bada meetha pani lagta hai yahan ka.. Ab tak teen dekhi hain.. Sab ek se badhkar ek!.. aur sach mein yaar.. Tune toh kya teer mara hai nishane par.. Sab kuchh toh hai Vani mein.. Najakat, kayamat, khoobsoorti aur.. Haye.. Kya kya nahi hai.. Maaf karna yaar par mere dil mein paap aa gaya hai...! "
"Nahi yaar! Vani meri kismat mein nahi hai...! Ye mujhe pasand nahi karti..." Manu ne utare huye chehre se kaha...
"Theek usi waqt Vani ne apne kaan unn dono ki fusfusahat mein lagaye thhe.. Ye jaan'ne ke liye ki kahin uski hansi toh nahi kar rahe wo...
"Abey kya kah raha hai tu.. Tujhe dekhkar iski halat patli ho gayi hai aur tu kah raha hai ki tujhe pasand nahi karti..." Amit ne apne anubhav se ye baat kahi!
"Nahi yaar.. Tune dekha nahi kaise mujhe dekhkar andar bhag gayi thi.. Aur mere saamne aane tak se mana kar rahi thi.. Wo toh iski behan..." Manu apna dukhda uske aagey rone laga.
"Yaar! Tu hai toh poora lalloo aur chal pada mohabbat karne.. Wo tujhse chidhti nahi balki sharmati hai.. Aur ladki tabhi sharmati hai jab uske dil mein kuchh ho.. Samjha..!" amit ki aawaj samajhate huye kuchh aur tej ho gayi thi.. Shabd Vani ke kaano mein mishri se bhi meetha ras utpann kar rahe thhe....
"Nahi yaar.. Vani aisi nahi hai.. Wo to itni bebaak aur bholi hai ki agar uske dil mein kuchh hota toh danke ki chot par kah deti.. Aisa kuchh nahi hai yaar!"
"Hey bhagwan! Tujhe bhi iss langoor ko hi angoor dena tha... Abey bholenath! Wo bebaak tab tak rahi hogi jab tak usko pata nahi hoga ki pyar kis chidiya ka naam hai.. Ab uska vyavhaar tere saamne badal gaya hai toh iska ek hi matlab hai.. Usko tumse pyar ho gaya hai.. Ab jara himmat kar aur uske akela hone ka fayda uthha.. Bol de wahin jakar apne dil ki baat.. Agar ikraar na kare toh mera naam badal dena.." Amit ne uske kandhe par hath mara..
Vani ne ye sab sunkar deewar se satkar apne dil par dono hath rakh liye.. Uske ubhar itni tezi se upar neeche ho rahe thhe ki usko swayam par kabu karna mushkil ho raha tha.. Usko darr lag raha tha kahin sach mein hi Manu andar na aa jaye.. Agar aisa ho gaya toh wo toh mar hi jayegi.. Khushi ke marey! Vani aankhein band karke honi ke hone ka intzaar karne lagi...
"Nahi yaar! Mujhmein himmat nahi hai uaka yun saamna karne ki.. Agar inkar kar diya toh main toh ji hi nahi paaoonga...." Manu ne apne hath uthha diye..
Vani ko ahsaas hi nahi tha ki chay dobara ban kar kab ki patile se bahar aa gayi hai... Manu ki baat sunkar wah mayus si ho gayi.. Ab wah khud toh uske paas nahi ja sakti na.... Ajhaare-Ishq ki khatir!
"Thheek hai.. Tu nahi jata toh main hi jakar bol deta hoon sab kuchh.." manu usko rokne ki koshish karta.. Iss'se pahle hi amit kichen ke darwaje tak pahunch gaya tha..
"Ooooooyiiiiiiiii"
Vani ki cheekh itni jordaar thi ki ek baar toh Amit bhi saham gaya.. vani amit ke liye taiyaar nahi thi...
Vani ki cheekh sunkar Disha bina ek pal bhi ganwaye kadhe paanv andar doudi.. Amit ko hakka bakka kichen mein khade dekh jab tak Disha kuchh samajh pati Vani khilkhila kar hans padi," Didi.. Chay!"
"Kya huaa?"
"Nikal gayi...!" Hanste huye hi vani ne jawaab diya....
"Tu kya hai Vani.. Ab Disha bhi hans rahi thi.. Lagta hai inn becharon ki kismat mein hamare ghar ki chay hai hi nahi.. Chal bahar jakar kapde pani mein se nikal de..."
"Thheek hai didi.." Aur vani uchhalte huye bahar nikal gayi.. Usne jo kuchh bhi suna tha, uske baad uske pair jameen par tik hi nahi sakte thhe..'Manu bhi uss'se utna hi pyar karta hai Jitna wo khud uss'se karti hai...
Bahar jakar usne Manu ki shirt ko apne hathon mein pakda aur aankhei. Band karke manu ko chhoone ka ahsaas lene lagi... Kina meethha hota hai Pyar! Sham ke 3 baj gaye thhe... Ye lagbhag wahi samay tha jab Raaka Nisha ko Hisar thhane se lakar bus-stand par chhodkar nikalne hi wala tha.....
"Ab hum chalte hain didi!" Manu ne khana khane ke baad Disha se kaha.. Halanki Vani sara din uske saamne hi baithi baatein karti rahi thi.. Par pyar ke ijhaar ke liye
Jo akelapan chahiye hota hai wo unn dono ko nahi mila.. Vani ke adwitya sundar chehre aur saade kapdon mein bhi damak rahe uske youvan ko ji bhar kar dekhne ke baad bhi chalne ki kahte huye Manu ka gala bhar aaya....
"Kuchh der mein mummy papa aane waley hain khetin se.. Milkar chale jana.." Vani ne bina najrein milaye apni khatir thodi der aur rukne ki gujarish ki.. Haal dono ka hi kharaab tha..