07-01-2025, 06:53 PM
Sunil ne gour se gouri ko dekha.. Uss pyaar ki pyasi gouri ke laal chahre ka rang.. Achanak udd gaya... Wah najrein jhuka kar neeche dekhne lagi.......
"wah utni sharminda nahi thhi.. Jitna sunil usko karne ki soch raha thha.....
"sharam nahi aayi tujhe raat ko..... Aise bahar aakar.." sunil ne apna daanv lagaane ki sochi..
"nahi.. Mujhe utni sharm nahi aayi.. Jitni aapko aani chahiye.. Apni biwi ke hote huye anjali didi ke sath galat hone ke liye.." gouri ne nahle par dahla mara aur wahan se bahar nikal gayi.......
par usko achammbua thha... Duniya se bhidne ki kasam khane wala sanjay.. Ek aadmi ke saamne bhi thhahar na paya....
"nisha sahi kah rahi thi... Wo aisa hi hai... Gouri ko rona sa aa gaya... Wah apne bister par girkar sochne lagi....... Manu 2 din baad bhi vaani ki khumari ko apne dimag se nahi nikal pa raha tha.. Rah rah kar uski hansi uske kaano mein goonj uthhti.. Aur iske sath hi akele baithe Manu ke honto par muskaan tair jati.. Kya bakra bana tha wo uss din..
Manu kitab band karke chair se apna sir sata kar baithh gaya.. Aaj tak usne kabhi kisi ladki mein ruchi nahi dikhayi thhi.. college ki lagbhag sabhi ladkiyan uske liye deewani thhi.. Uska dimag jo itna tej tha.. Yahan tak kicollege ke teacher usko Mr.
Mind bulate thhe... Uske chehre se bholapan aur sharafat ek raah chalte ko bhi dikh jati thi... Sundar gol chehra.. Gora rang.. Moti moti aankhein aur har dil ajeej swabhav uski visheshtaayein thhi jo har kisi ko uska dost bana deti thi.. Pahli najar mein hi har ladki usko dekhkar usko hello bolne ko taras jati thi.. Fir. college ki to baat hi kuchh aur thi.. Sab uske IITian ban'ne ki baat joh rahe thhe....
Koyi ladki uske padhayi ke prati junoon ko nahi diga saki thhi.. Sivay vani ke...
"Maani!" Manu ne Maansi ko pukaara.
"Aayi bhaiya!" maani agle minute hi uske kamre mein thhi..
"Yahan baithho, mere paas!" Manu ne sath rakhi chair ki taraf ishara kiya..
Mansi kursi par baith kar manu ke chehre ko dekhne lagi," kya hai bhaiya?"
"Maani! Kya ... Wo kal sach mein hi main bahut bura lag raha tha.. Ulti shirt mein..
"nahi to.. Mujhe to nahi lage.. Kyun?" mansi ki samajh na aaya.. Manu kal ki baat aaj kyun uthha raha hai..
"Nahi.. Bus aise hi..... Fir wo ladki aise kyun hans rahi thi.. Ghar mein to kisi se bhi chook ho sakti hai.. Actually maine room mein wo shirt..."
"oh! Chhodo bhi.. Wo to aise hi hai.. college mein bhi sara din aise hi khush rahti hai.. Wo to mouka milne par teachers tak ko nahi bakshti.. Par pata nahi.. Fir bhi usse sabhi itna pyar karte hain.. Koi bhi bura nahi maanta uski baat ka..." mansi pata nahi vani ka gungaan kar rahi thi ya uski aalochna... Par manu uske bare mein sab jaan lena chahta thha..," kahan rahti hai.. Vaani..?"
"arey yahi to rahti hai.. Sec. 1 mein hi... Agle road par 1010 unhi ka to ghar hai.. Wo kone wala! Par kyun poochh rahe ho?" maansi ne apne kameej ke kone ko munh se chabate huye tirchhi najar se manu ko dekha.. Uski samajh meim kuchh kuchh aa raha thha...
"nahi.. Kuchh nahi.. Mujhe kya karna hai uske ghar ka.. Main to bus aisa hi poochh baithha tha.." manu apni behan ko apne diwanepan se rubroo kaise karata..
"Thheek hai bhaiya! Ab main jaaun..?" maansi ne khade hote huye poochha..
"thheek hai.. Jao.."
"ek minute ruko...! Wo aayegi kya fir kabhi.... Yahan?"manu vani ko ek baar aur dekhna chahta thha...
"nahi to.. Wo to aaj apne ghar ja rahi hai.. Hamare exam khatam ho gaye na...!"
"Kyaa?.." fir manu apne aapko sambjalta huaa bola," tum milogi nahi kya usse jaane se pahle?"
"Kyun?" mansi samajh rahi thhi.. Vaani ka jaadu uske bhai par bhi chha gaya hai.."
"Arey har baat mein kyun kyun karti rahti hai.. Itne dino baad aayegi wapas.. Tumhe milkar aana chahiye...
Aakhir tumhari dost hai wo..."
"Fir kya hua bhaiya? Hum aaj hi to mile thhe.. Humne to ek mahine ke liye ek dusre ko gud bye bol bhi diya hai... Mujhe nahi jana.. Ab main jaaun..?"
"Jaa... Khamkha mera time waste kar diya.." khisiyani billi khamba noche ke andaj mein manu badbadaa uthha...
Maansi bahar chali gayi.. Bahar jaate hi usko vaani ka pyara chaehra yaad aa gaya... Uska buai uska diwana ho gaya lagta tha.. Vaani ke baare mein poochhte huye uski aankhon mein chamak aur chehre par sharam ka ahsaas iss haqeekat ko bayan kar rahi thi ki kuchh to jaroor hai uske dil mein...
Sochkar maansiuskura padi.. Kitni achchhi jodi lagti hai dono ki... Wah ulte paanv manu ke kamre mein gayi..," bhaiya mujhe vani se milne jaana hai.. Ek baar sath chal padoge kya??"
"kkyu..n main kya karoonga..?" free mein lagi jaise laakhon ki lottery ke baare mein sochkar uski juban fisal gayi.. Jo uska dil kahna chah raha thha, kah nahi paayi...
"Akeli to main nahi jaaungi.. Unke kutte se mujhe bada darr lagta hai... Thheek hai rahne do.. Koi khas kaam bhi nahi thha..."
Maansi ke mudte hi manu ne usko roka," main thhoda nahi loon... !"
"arey nahaye dhoye to baithhe ho...!"
"Nahi pls.. Bus 10 minute lagaaunga.. Mujhe usse bahut darr lagta hai.. Jane kya kah degi.."
"O.K.!" maansi hansne lagi..... Disha aur vani apna samaan pack karke baithhi thhi...," Vani! Jaldi se naha le nahi to unke aane ke baad der lagegi.. Tera dil nahi kar raha kya ghar jane ka?" disha ne vani ke kandhe par hath rakha...
Vani apna kandha uchka kar khadi ho gayi..," kar rah hai didi... Bahut mann kar raha hai.. Par jiju abbhi tak nahi aaye..!"
"Tu naha to le pahle.. Aur wo abhi aane hi waale honge... Aate hi nikal padenge..." disha ne usko bathroom mein dhakka de diya....
Tabhi disha ka mobile baj uthha... Shamsher ka fone tha..
"Kya baat hai aana nahi kya?" disha ne meethha gussa karte huye boli..
"Aa raha hoon na meri jaan.. Thhoda fans gaya hoon.. Ek ghanta lagega. Wo tumhe apna samaan lena tha na... Sorry.. Agar bura na maano to tum khud hi le aao tab tak.. Nahi to aur late ho jaaunga.."
"Pahle kabhi laaye ho.. Jo aaj laaoge.. Main kya tumhari shaving cream nahi lati.. Thheek hai.. Fone rakho.. Main abhi le aati hoon jakar.."
"Bye jaan.." kahkar shamsher ne fone kaat diya..
Disha ne darwaja kholahi thha ki darwaje par maansi aur ek ladke ko dekhhkar chounk padi..," maansi tum!"
"haan didi.. Mujhe vaani se milna thha.. Fir to ye chal! Jaayegi.. Ye mere bhaiya hain..!"
Manu ne disha ko dono haath jodkar namaste kiye.. Halanki wo usse kareeb saal bhai chhoti thhi.. Par make up mein wo kuchh badi lag rahi thhi...
Disha ne manu ko gour se dekha.. Bada hi bhola aur shakal se hi kitabi keeda lag raha thha..
"Maansi! Meresaath ek baar market tak chalegi kya..?"
"Kyun nahi didi.. Bhaiya bike lekar aaye hain.. Inko le chalein.."
"Disha ne maansi ka haath daba kar kaha," nahi! Bus do minute mein aa jayeinge... Aap andar baithho tab tak.. Hum abhi aaye..." disha ne manu ki aur dekhkar kaha aur maansi ka haath pakad kar kheench le gayi...
"didi.. Bhaiya ko le hi aate..!"
"arey kuchh personal saaman lana hai... Samjha kar.... Manu ki bchain niganhein kamre ke kone kone tak apne hosh udaane wali ki talash mein buatkane lagi.. Par usko diwar par tange vaani ke 24'' by 36'' ke muskuraate haseen foto ke alawa koi nishan dikhayi na diya.. Vaani manu ki aur hi dekh rahi thi.. Mano kah rahi ho," main tumhari hi to hoon..."