29-12-2024, 05:59 PM
auto se utarkar priya ko apni aur aate dekh tough bhouchakka rah gaya.. Wah dusri taraf ghoom gaya taki agar priya ne usko na dekha ho to wo us'se bach sake.. Par priya to usko dekhkar hi utari thhi.. Warna to usko agle gate par jana thha..," hi friend! Kaise ho?" priya uske aagey aakar khadi ho gayi..
Tough ne ab aur tab mein usmein bahut fark dekha.. Tab wah paison ki khatir bikne wali ek veshya lag rahi thhi aur ab apne career ke liye university aane wali ek sabhya ladki...," thheek hoon... Jaao yahan se...!"
"haan haan! Ja rahi hoon.. Ek request karni thhi.." priya ne tough ki taraf pyasi nigaahon se dekha..
"Jaldi bolo.. Mujhe yahan par jaruri kaam hai.." tough ne apni bechaini darshayi...
"Wo... Sir aap badey log hain... Aapke liye paisa koi maayne nahi rakhta hoga... Mere jaisi gharon ki ladkiyon ko paise ki bahut jarurat hoti hai.... Apne aur pariwar ke sapno ko jinda rakhne ke liye... Ummeed hai aap samajh rahe honge... Badle mein hamara shareer hi hota hai.. Aap badey logon ka dil bahlane ke liye......"
"Apni chounch band karo aur bhago yahan se..!" tough gusse se daant pees raha tha... Seema ke aane ka time ho chuka thha...
"Sorry to disturb... But kabhi aap apni sewa ka mouka de sakein to... Pls aap apna no. de dijiye......."
Tabhi mano tough par aasman toot pada...," arey priya! Tum inko kaise jaanti ho? ... Aur aap yahan kaise..?" seema ki aawaj sunkar tough palta... Uski aankhon ke aage andhera chha gaya...
"Main to baad mein bataaungi.. Pahle tum batao.. Tum inko kaise jaanti ho?" priya ne seema ke galey milte huye kaha...
"Bus yunhi... Aap yahan kab aaye... Bataya bhi nahi... Achchha main abhi aati hoon.. 1 ghante mein... Mujhe jaruri asignments jama karana hain... Milenge na..! Main jald se jald aaungi..." Apne sapno ke raajkumar ko dekhkar usne library jaane ka plan cancel kar diya thha...
"Seema.. Ek minute! Suno to sahi...!" tough ka gala bhar aaya..
"Main bus abhi aayi.." kahti huyi seema priya ka haath pakad kar kheenchti huyi le gayi.... Tough apne maathe par haath laga waheen ghutnon ke bal baithh gaya... Seema aur priya ke galey milne ko dekhte huye ye andaja lagana bilkul aasan thha ki dono pakki saheliyan thhi....
Seema ne Priya se poochha," tune bataya nahi.. Ajeet ko kaise jaan'ti hai..?"
Priya ne taalne ki koshish ki," yaar.. Bus aise hi ek friend ke dost ke paas mulaqat ho gayi thhi..."
"Chal chhod! Ye bata.. Kaisa laga tujhe ye.." seema ne apni pasand par mohar lagwani chahi...
"Rocking man! Kuchh bhi to kami nahi hai... Par tu ye bata tu aisa kyun poochh rahi hai..?" priya ne shankit nigaahon se seema ki aur dekha...
"Bus aise hi.. Chal chhod.. Jaldi chal.. Late ho rahe hain!" ab ki baar seema ne taalne ki koshish kari....
"Nahiii ! Tumhe batana padega... Meri kasam!" priya ko daal mein kuchh kala sa laga..
"wo.. Ye.. Ajeet mujhse pyar karta hai..."
"Whaaaaaaaaaat?" priya ne aise react kiya mano 'pyar' shabd pyar na hokar koi bahut badi gali ho...
"kya hua?" priya ka reaction dekhkar seema ki dhadkan badh gayi....
"Tu bahut galat kar rahi hai seema! Tu ek bahut achchhi ladki hai.. Aur ye pyar vyaar tere liye nahi bana." priya ne lumbi saans lete huye kaha....
"achchhi hoon to iska ye matlab to nahi ki main shaadi ke sapne bhi na dekh sakoon!..." seema ne priya se sawaal kiya...
"To tu ye samajhti hai ki ye ladka tujhse shadi karega... Hai na?" priya usko isharon mein samjhana chahti thi... Tough jaison ki taaseer.
"Tu paheliyan kyun bujha rahi hai... Khul kar bata na.. Kya baat hai?"
Priya batati bhi to kya bataati.. Wo seema ke pados mein rahti thi.. Unki bhi colony mein utni hi ijjat thhi.. Jitni seema aur uski maa ki.. Par wo seema ko iss daldal mein nahi jaane dena chahti thhi... Aur seema par bharosa bhi kar sakti thhi.. Uska kala 'sach' chhupa kar rakhne ke liye...," tu asignment de aa seema.. Main tujhe sab batati hoon..."
"O.K... Main abhi aayi" seema ne bechain nigahon se priya ko dekhte huye kaha.. Uska dil baithha ja raha thha.. Jaane.. Priya usko kya bataayegi.... seema jitni jaldi ho saka; wapas aa gayi.. Priya ke paas.. Uske comment ne seema ke dil ki dhadkan badha di thi..," haan priya.. Jaldi bata de.. Tu kahna kya chahti hai..?"
Priya uska haath pakad kar rose park mein le gayi...
"Dekh seema! Main tujhko jo bataane ja rahi hoon.. Wo batane layak nahi hai.. Hum dost hain.. Isiliye main tujhe iss pyar ke gutter mein dhakele jaane se bachana chahti hoon.. Aur jo kuchh main bataaungi.. Sunkar tujhe ek nahi do jhatke lagenge... Pls mujhe maaf kar dena.. Aur meri majboori samajhne ki koshish karna.."
"Yaar tu dara mat pls.. Meri jaan nikli ja rahi hai..." seema sun'ne se pahle hi kuchh kuchh samajhne lagi thhi..
"Mujhe pata hai.. Par tujhe sun hi lena chahiye...!.. Tarun padhayi mein bahut achchha hai.. Tujhe pata hai.. Par competition ke jamaane mein sirf intelligency se kaam nahi chalta... Uski coaching ke liye 50000 rupaiye chahiyein... Ghar walon ne usko B.Sc. Karne ko kahkar apne haath uthha liye hain..."
"Tu seedhi seedhi asli baat par kyun nahi aati?" seema na chahkar bhi wo sun'ne ke liye bechain thhi... Kya pata uska andaja galat hi nikal jaye...