27-12-2024, 11:07 AM
"Jaa aish kar saaley!" shamsher ne majak kiya....
"Bhai tune gaali deni seekh li..?" tough ne 'saley' par aitraaj kiya..
"Gaali nahi hai saley.. Apna rishta bata raha hoon.. Tune vaani ko behan bola thha ki nahi...!"
"abbey yaar! Tu to mera falooda karwa kar maanega... Chal thheek hai jija ji.. Ab uss dost ka no. To likhwaao!"
Shamsher ne tough ko uss dost ka no. bataya..," aur haan tum ek dusre ko jaante ho!"
"Koun hai madarchod!" tough ke dil mein utar aayi rangeeniyat uske bol mein jhalakne lagi...
"Vikas..!"
"Vikas koun?"
"Arey vicky yaar... College mein jo mujhse junior thha.. President banwaya tha jisk humne...." shamsher n"Arey vicky yaar! College mein jo mujhse junior tha aur hamne jisko president ka election ladwaya tha.." shamsher ne tough ko yaad dilane ki koshish ki...
"Arrey vickky... Bhai, wo mera dost tha pahle... Ab aapka koi ahsaan nahi hai.... Aapne to had kar di yaar... Usko kayan se dhoondh nikala.. Kya jigar wala ladka tha.." tough vicky ko yaad karke khush ho gaya...
"Chal thheek hai..... Kal sham ka program kah raha tha.. Tu usse baat kar lena..."
"Par bhai usko batana nahi ki ajeet aa raha hai... Main surprise doonga.. Tu usse fone karke poochh lena, wo kahan wait karega... Main achanak entry maarunga..."
"Thheek hai... ! OK, bye..."
"Bye bhai... Thank youuuuuuu....." tough bahut khush tha apne dost ko dobara pakar... Par wo us'se kayi saal bada thha.. Kareeb 4 saal....
Tough beshabri se agle din ka wait karne laga.... Agle din college se chhutti ke waqt vaani ne apni saheli ko kaha," mansi! Tum aaj bhi meri book lekar nahi aayi na... Kal se exam shuru hain.. Ab kya karoon.."
Maansi apne mathe par hath lagakar boli," oho! Yaar.. Tu fone par yaad dila deti!"
"arey mujhe bhi to abbhi yaad aayi hai... Chalo main tumhare ghar hote huye nikal leti hoon." vani ne apna bag uthhate huye kaha...
"What a great idea! Isi bahane tum mera ghar bhi dekh logi... Chalo!" maansi khus ho gayi...
Jaldi hi dono ghar pahunch gayi.. Darwaja maansi ke bhai ne khola..," insey milo! Ye hain mere bhaiya, Manu! Aur bhaiya ye hain meri pyari saheli, vaani! Jiske baare mein ghar mein hamesha baat karti hoon..
Manu vaani ko gour se dekhne laga... Vaani to thhi hi gour se dekhne layak... Aankhon mein chamak, honton par antheen muskaan aur shareer mein kamsin lachak.... Manu vani ko dekhta hi rah gaya...
Achanak vaani apne munh par hath rakhkar thhahaka laga kar hans padi.. Wo lagataar manu ki aur dekhe ja rahi thhi... Aur hans rahi thhi.. Buri tarah...
"Kya hua vaani?" maansi ne vani ko iss tarah bina wajah jor jor se hunste dekhkar poochha... Manu ki haalat kharaab hone lagi...," andar aa jao.. Bahar kyun khade ho..?"
Vaani ne badi mushkil se apni hansi roki," maani! Sach mein yahi tumhara bhai hai..?"
"Haan kyun?" maansi ko sahan nahi ho raha thha..
"Vaani apna bag table par rakhte huye sofe par baith gayi aur fir hanste hanste lotpot ho gayi...!
"Baat ka hai vani.. Batao bhi.." maansi ne rukhe swar mein kaha...
"Maani! Tum to kahti thi.. Tumhara bhai bahut intelligent hai..IIT ki taiyari kar raha hai... Iski shart to dekho.." kahte huye vani fir khilkhila padi..
Ab dono ka dhyan shirt par gaya.. Manu ne shirt ulti pahan rakhi thhi.. Manu dekhte hi jhenp gaya.. Wo jhat se andar chala gaya... Jis vaani ke baare mein apni behan se sunsun kar usse ek baar milwa dene ki bhagwan se duaa karta tha... Usne aate hi usko 'bakra' sabit kar diya.....
"to kya ho gaya vaani.. Tum bhi na.. Mouka milte hi ijjat utaar leti ho bus... Ye bhola hi itna hai... Isko padhayi ke alawa kuchh nahi aata...! Haan padhayi mein iska koi mukabla kar nahi sakta...
Vaani ab tak baat ko bhula chuki thi," achchha mani! Ab book de do! Main chalti hoon...
Itne mein manu ek tray mein chay aur namkeen le aaya... Bakayda shirt seedhi pahan kar..," chay leti jao.."
Maansi manu ka ye roop dekhlar chounk padi..," arey bhaiya! Aaj kaheen suraj paschim se to nahi nikla thha... Kya baat hai.. Itni sewa! Chinta mat karo.. Meri best friend hai.. Shirt wali baat college mein leak nahi hogi.. Hai na vaani.."
"Chay peekar bataaungi... Kya pata ismein bhi kuchh!" kahkar vaani fir hansne lagi.. Usne chay ka cup uthha liya....