Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 2.5 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed
#22
Aaghora apne takht se neeche utar aaya or us jalti hui aag ke paas aakar khada ho gaya..
Ladki ko yaha le aao..
Usne apne wehshi darindo ko hukm diya…
Aagora ke wehsi darindo ne roohi ke hath lakdio ke un khambo se khol kar uski pusht ki taraf baandh diye or use dhakelte hue us jalti hui aag ke taraf le aaye..
Jaise hi un darindo ne roohi ko ek zor ka dhakka diya wo apne ghutno ke bal zameen par gir gayi …. Kyuki haath piche ki jaanib bandhe hue the isi liye kuch kar bhi nahi sakti thi..
Aagora ne ek nazar roohi ki taraf dekha or ek shaitaani muskurahat uske chere par namudaar hui.. Aaghora ne phir us aag ki taraf dekha or zor zor se koi mantra padne laga ..
Aakhir me usne apni raubdaar awaaz me kaha.. Aye shaitaano ke shehanshaa..!!
Aye mere maalik..
Tere ye banda aaj tere saamne apni hi behan ki ek lauti beti ki bali chadata hai..
Tu is qurbaani ko qubool kar aye kaali taqato ke sartaaj .. Or iske badle me mujhe amrituva ka vardaad de..
Achanak hi jalti hui us aag ke shole or badne lage wo itne unche ho gaye
Maano aag ke ye shole us zmeen me lagi us aag ke nahi balki aasmaan se gir rahe ho..
Haalake rehan us aag se kaafi door tha par phir bhi use us aag ki aanch use apne chere par mehsoos hone lagi.. Dekhte hi dekhte aag ke wo bade bade shole ek makhsoos qism ki shakal ikteyaar karne lage..
Maano aag se bana hua koi bohat bada chera ho jiski aankhe bhi aag ke or uske chere ka baaki sata hissa bhi aag ka hi bana hua tha..
Aag se bane hue us chere ke khando khaal itne bhayanak the ke roohi use dekh kar sar se lekar paao tak kaanp uthi.. Dar or khauf ki ye kefiyat shayad lafzo me byaan kar pana mushkil hai….
roohi bas kisi bezubaan janwar ki tarha waha padhi hui thi na wo kuch bol paa rahi thi nahi apne bacaho ke liye kuch soch pa rahi thi..
bechaari boliti bhi kaise dark e maare gala khusk ho chukka tha oe zubaan sukh kar taalu se ja chipki thi..
aag ke us shaitaani chere ko dekhte hi aaghora ke aankho se khushi chalakne lagi… wo khushi ke maare chikhne laga..
haan..!!haan..!!
aja ..aja mere shitaani khuda.. aa..!!
or is ladki ko apni aag ka niwala bana le or mujhe apni apni aseem shaktio se nawaaz de…
us chere ne apna bada sa moo khola or jaise hi wo roohi ki taraf use apne moo me bharne ke liye aage bada rrohi ne dil me khuda ko yaad kiya or or maare darr ke apni aankhe band karli..
achanak hi charo taraf se tez hawaye chalne lagi..
aag ke wo shole in tez hawaao ki tab na la sake or wo maddham padne lage.. aag ke maddham hote hi shaitaan ka wo chera bhi chota hota chala gaya..
chalti hui in tez hawao ke beech rehan us maidaan me daakhil hua,,
rehan ke dono haath hawa me uthe hue the uske jism par maoujood kapde bhi mano hawa me ud rahe the..
rehan ke paon zameen se nahi lag rahe the wo bhi us tez hawa me asaani ke sath apni bahhe phailaaye ud raha tha.. is tez hawa me bhi roohi ne rehan ko pehchaan liya ..
rehan ko pehchaan liya..!!1 par ye kya..?
ye to wo rehan nahi tha jise wo aaj tak dekhti aayi thi..?
rehan ki aankhe bilkul kaali ho chuki thi usme safedi naam ki chiz bhi nahi thi..
itni kaali aankho ke bawajood unme ek alag hi qism ki chamak thi mano wo waha maujood har shey ko apni taraf khinch rahi ho..
rehan hawa me ud raha tha or roohi ko use dekh yun laga jaise chalne waali ye hawaye rehan ke qaaboo me ho.. or uske isharo par apna rukh tabdeel kar rahi ho..
rehan udta hua us aag ke qareeb aaya jisme maujood wo shaitaani chera ab kaafi chota ho chukka tha..
rehan ne apni jholi me hath dala jo ke uske bagal se lipti hui thi or ek chota sa paani ka mashkeeda usme se nikala..
isse pehle ke aaghora kuch samjh paata..
rehan ne us mashkeede se pani nikal kar us jalti hui aag par daal diya..
roohi ne apni aankho se dekha ke rehan ki hatheli se nikle chullu bhar paani ne itne bade alao ki aag ko yu bhuja diya jaise machis ki teeli ko koi phunk mar kar bhuja de…
ek garajdaar cheekh ke sath wo shaitaani chera gehre kale dhue me badal gaya,, uski aakhree cheekhe badi hi dil dehla dene waali thi…
aaghora rehan par jhapat pada par rehan use gaafil nahi tha usne foran use jhukayi dekar apne rukh badla or aaghora moo ke bal zameen par aa raha..
aakhir wo bilbila kar cheekh utha.. kabhakht ,,,!!
Tune mere khuda ko maar dala..
Rehan ne muskuraate hue kaha ..
Wo khuda hi kya ..? Jise maut aajaaye..
Maut to use aati hai jo khuda ke tabe hote hai .. Uske hukm ke ghulam hote hai..
Rehan ka itna kehna tha ke aaghora uspar jhapat pada..
Badi hi zabardast jung hui dono ki beeech..
Is beech roohi ko mehsoos hua ke kai jaga rehan aaghora se kamzor pad raha hai.. Padta bhi kaise nahi..
Aakhir tha to wo ek insaan hi ..
Or uske khilaaaf ladne wala kaali taqato se labrez insaani khoon par jeene wale wehshi darindo ka aaqa tha..
Jab rehan ne dekha ke uska zor kam pad tab usne apna aakhiri hathiyar apna wo divya shaktio wala kada jo use uski maa ne dia tha istemal karni ki sochi..
Rehan foran aaghora se door hata or apni jholi se wo kada nikaal kar use apne daaye hath me pehan liya..
Phir abki baar jo rehan aaghora se bhida tab uski taqat dekhne laayak thi..
Aagjora bhi hairaan pareshaan tha ke aakhir achanak se hi rehan ki taqat me itna izaafa kaise ho gaya..??
Un logo ki is ladayi me kafi waqt guzar chukka tha roohi apni saans roke ye khatarnaak jung dekh rahi.. Kisi ne shalaka ko khabar di to wo bhi daudi daudi aayi or ye nazar dekhti reh gayi..
Par usne is jung me kisi bhi tarha ki dakhal andaazi karne ki koshish nahi ki shayad aaj uske man ki jo ho rahi thi..
Akhir me rehan apni tamam tar shaktiyo ko ek sath ekaakgrit kiya or unhe us kade ki shaktio ke saath mila kar apne dono haatho se aaghora par hamla kiya..
Ek zordar roshni ka jhamaka hua jisse har kisi ki aankhe chaundhiya gayi..
Roshni ka asar khatam hote hi sab ne dekha ke rehan ke dono haath aaghora ke seene ne dhanse hue hai..
Rehan ne jab apne haath aaghora ke seene se bahar nikale to kaale or gaade khoon ka ek phauwwara sa aaghora ke seene se niklaor wo zameen par gir kar dher ho gaya..
Apne sardaar ko marta dekha saare wehshi rehan par hamla bolne aage bade hi the ke shalaka beech me kud padi..
Khabardaar..!!
Khabardaar jo koi aage bada to.. Marne wala mera baap tha..
Or is shaks ne use aamne saamne ki jung me haraya hai is naate ab yahi humaara agla sardaar hua… Ab agar kisi ne iski taraf aankh utha kar bhi dekha to mai uski aankhe noch daalungi..
Chalo hato peeche..
Rehan ne jaldi se aage bad kar roohi ko azaad karwaya..
Roohi badi hi meethi nigaho se rehan ko dekh rahi thi..
Rehan ne shalaka ki baat mante hue kuch dino ke liye waha ki sardaari quboolkarli.. Shalaka ki behno ne uski bohat mukhalifat ki par shalaka nahi maani..
Kuch dino baad rehan ne ek jash ka intezaam kiya or usme apna sardar ka pad aage badate hue shalaka ko wehshio ki agli sardaar ghoshit kar diya..
Ab hume ijazat do shalaka..
Rehan ne shalaka se kaha..
Kuch din aur ruk jaate rehan..
Tumhare hone se mujhe himmat milti hai..
Nahi shalaka tumhare kehne par maine kuch dino ke liye tumhara sardaar banna manzoor kia par ab mere saath ye bhi to hai..(rehan ka ishara roohi ki taraf tha )
Ise bhi iske ghar pohanchwana hai ..
Sha;aka ne muskurate hue kaha Roohi tumhe bohat chati hai .. Kya tum ye bat jante ho..??
Rehan ne hairat se shalaka se pucha.. Kya usne khud tumhe aisa kaha hai..??
Acha to kya tumhe pata nahi tha ke wo tumhe pasand karti hai.. Shalaka ne rehan ko chedte hue kaha..
Nahi shalaka mujhe to nahi pata tha..
Isi tarha ki halki phulki hasi Mazak dono ke darmiyaan chalta raha or shalaka un dono ko jungle jaha tak uski had thi waha tak chodne ayi..
Kabhi mauka mile to tum log mujhse milne aayoge na..?? Shalaka ne udaas lehje me kaha..
Roohi ne aage badkar use apne gale se laga liya or kaha..
Zaroor aayege shalaka .. Aakhir tum meri behan ho..
Tumse milne kyu nahi aayege bhala..??
or is aakhiri alvidaayi mulaqat ke saath ye dono aage bad gaye..
Shalaka ne nam aankho se inhe dekha or uske dil se ek dard bhari aah nikal gayi..”alvida mere mehboob meri zindagi..pata nahi tumhare begair mai or kitne din zinda rahungi..??par tum jaha bhi rahio khush raho ye meri dua hai tumhare liye..
or apne jungle apne logo ke paas laut gayi…
rehan or or roohi saath saath aage badne lage.. roohi ne rehan se kaha ..
pata hai jab maine aapko aaghora se ladte dekha tab mai kitni dar gayi thi..??
rehan ne muskurate hue kaha.. acha tumhe dar bhi lagta hai kya??
Roohi chid kar boli Mazak mat kijiye..
Pata hai us waqt aap ki shaksiyat poori ki poori badal gayi thi kya aap ko ye baat maloom hai..??
Rehan ukta kar bola.. Pata nahi yaar/.!!
Maine dhyaan nahi tha..
Aap suniye to maine scince me pada hai.. Ye ek tarha ki bimaari hai..
Ise dual personality disorder kehte hai ..
Jisme ek hi shaks me kai tarha ke shaksiyat sama jaati hai or use pata tak nahi chalta…
Rehan ne roohi ke dekh kar muskuraate hue kaha chalo yahi sahi..
Ab agar mai tum par akbhi achanak hamla kardu ye samajh kar maaf kar dena ke mujhme koi dusri shaksiyat haavi ho gayi hai..
Aap to har bat ko Mazak me lete hai..
Aise hi wo dono hasi mazaak karte hi=ue aage bad rahe the..
Ek jagah rehan ko uski maa nazar aayi wo ped ke neeche bhaithi thi Or unki god me khargosh ka ek baccha khel raha tha..
Rehan ne roohi se kaha..
Roohi..
ye meri maa hai jinke bare me maine tumse tazkira kiya tha..
Roohi ne jaldi se sar par pallo liya or aage bad kar unhe salaam kiya.. Adaab ammi huzoor..
Maa ne muskurate hue kaha..
Jeeti raho meri bacchii..
Aakhir mere bete ko uski manzil mil hi gayi..
Or sach kehti hun uski zindagi bhar ki mehnat ka bada hi haseen inaam mila hai mere bacche ko .. Kyu beta rehan roohi pasand haina tumhe..
Kkk..kya..ma..maa..aap bhi..khuch bhi bolte ho..
Rehan hairat or maare sharm ke apni bagle jhaankne laga or haklane laga..
Chup kar nigode..
Maa ne use chedte hue kaha.. Maa hun teri .
Tere dil ka haal mujhse behtar bhala or kaun jaan sakta hai.. Rehan ne haklate hue kaha..
pp.pp.p..par maa..mai tehra ek jungle gaon ka gawaar or ye shehar ki padhi likhi mem i..ii.iss..isse bhi to pucho ke..ye kya chati hai..
maa ne sawaliya nazro se roohi ki taraf dekha.. wo bechari kya bolti..??
uska to khud ka chera maare sharm ke laal hua pada tha..
haan to bolo baccho..
manzoor haina ke tum ek dusre ko chate ho..??
dono mese koi kuch na bola..
acha to phir mai rehan ki shaadi kisi or ladki se..
nahi..nahi ammi huzoor aisi bat nahi hai.. roohi jaldi se beech me bol padi..
or apni is besaakhtagi par khud hi sharminda hokar apni nigaahe jhuka li.. rehan or maa hasne lage..
acha to phir mai jald hi tum dono ki shaadi badi hi dhoom dhaam se karwaungi.. or rehan mai tumhe 20 baccho kar vardaan..
nahi ammi huzoor aisa zulm mat kijiye mujhpar..
roohi ne maa ki baat ko beech me hi kaat diya or unke pair pakad liye..
20 bacche khuda ki panah..
Mai to mar jaungi na ammi huzoor ..
Rehan peeche khada apna mooh apna haatho se dabaaye hans raha tha uska apni hasi par control pana bada hi mushkil ho chukka tha..
Wakai me us waqt roohi ki halat dekhne layak thi..
Bees baccho ka naam sunte hi uska chera safed pad chuka tha…
Bees se mera kya hoga maa kam se 30-35 to hone hi chahiye..aap mujhe 35 baccho ka vardaan dijiye.. Rehan hasta hua bola
Roohi tantanati hui rehan ke paas aayi..
Ab agar aap ke zuban se ek lafz bhi nikla na to dekh lijiyega acha nahi hoga..
Are are tum dono lado mat..
Maa ne dono ke bech bich bacaho karaya.. Mai to bas yuhi Mazak kar rahi thi..
Tum dono bas khush raho mujhe bas or kya chahiye..
……….x………..x………x……….x………..x……….
Roohi rehan ko shehar le aayi waha rehan ki maa insaani roop me rehan ki maa ban kar rehane lagi..
Shaher k eek bade hi posh ilaake me rehan ne saabir ali ki madad ( rehan ka dost ek jinn) ek banglow khareeda or ek apne dur=sre qism ke kaam khol liye take logo ko uski daulat par hairat nah o..
Jald hi rehan ki maa ne roohi k baba se rehan ki nisbat ke liye baat cheet daali.. Roohi ke baba ne roohi se rehan ke rishte ke bare me baat ki..
Wo to kab se ek taang par khadi thi rehan se shaadi karne ke liye..
Foran maan gayi..
Rehan or roohi ki shaadi badi hi dhoom dhaam se hui..
Suhagrat wale din saabir ali rehan ke saath sath uske kamre tak use chodne aaye.. Or use chedte rahe..
Miya aaj aap ka sehra bandha hai..
Par jung aaj aap ko akeli hi ladni or fateh karni hai kya samjhe,,>?
Kya saabir bhai aap bhi.. Jao miya jaao..
Sabir miya ne rehan ko andar ki taraf dakhel diya..
Rehan kamre ke andar pohancha..
Usne dekha ke roohi laal jode me ghunghat dale phoolo se saji hui sej par badi hi besabri se uska intezar kar rahi hai..
Rehan uske qareeb jakar bhaitha..
Na jne kyu use ye sab thoda sa ajeeb lag raha tha..
Zindagi me kabhi kisi na darne wala rehan aaj na jaane kyu dar or bechaini ka shikaar tha..
Gala sookh gaya tha or halak me kaante se aa rahe the.. Usne dheeme se kaha..
Roohi..
Hmmmm..!!
Jawab me roohi bas\ itna hi boli..
Aaj humari suhag rat hai..
pp..par isme karte //kkk/kya hai,,?? Rehan haklate hue bola..
Roohi ne chid kar ghunghat apne sar se neeche utara or chid kar boli.. Ab ye bhi mujhe batana padega..
Sharm kijiye..
Itne pahad jaise hog aye hai laikin abhi tak miya biwi ke beech kaise talluqat hote hai..
Rehan ne roohi ka ye rrop dekha to wo gadbada sa gaya.. aa..acha..aa.acha…
dekho shayad tum bohat thak gayi ho isi liye itna gussa kar rahi ho..
ek kaam karo tum abhi araam se so jao mai dusre kamre me chala jata hun baaki ki baate hum kal kar lenge..
rehan itna kehkar waha se bhagne ki koshish kar hi raha tha ke roohi ne uska haath pakad liya.. tehriye..
itni asaani se aaj aap bach kar nahi jaa sakte.. biwi hun aapki..
shadi ki aapse aap par itna haq to mera banta hi hai..
aakhir thi to wo bhi aadhi yaksheene rehan ka haath pakad kar ek zordaar jhatka diya ke rehan seedha palang par jaa gira..
or uske baad roohi jo uspar tooti hai ke rehan kuch samajh hi nahi paya.. aisi lazzat or aisi khooshi use zindagi me kabhi mehsoos nahi hui..
roohi rehan ki faulaadi baaho me apna sar rakhe leti hui thi or rehan dapne dusre haath se uske reshmi balo ko sehla raha tha.. usne dhire se kaha..
roohi..
hmmm.. roohi ka chota sa jawab..
mai tumhara shukrya kaise ada karu..
aaj tumne mujhe adure se poora kar diya..
isme shukriya kehne wali koi baat nahi rehan aaj mai bhi aduri se poori hui hun aap ki wajha se or hum ek dusre ke liye hi bane hai..
jis tarha aap mujhe chate hai or meri zaroorat mehsoos karte hai usi tarha mai bhi aap ko chati hun or aap ki zaroorat mehsoos karti hun..
khuda ne aakhir kaar rehan par apni rehmat ki bearish kar di..
rehan ne apni zindagi me ek muqaam haasil kar hi lliya or uski sab se badi jeet use usi ki tarha ek anokhe hum safar ne uski shareek-e-hayaat ban kar dilaayi..
Maan gaya.
Maan gaya…teri himmat or hosle ko rehan..
Aaj ye salazaar teri himmat or hosle ki daad deta hai..
Teri itni buri halat ki thi maine ..
Phir bhi tu aaj mere saamne zinda khada hai Kis mitti ka bana hai tu..?
Salazaar ek zehrili muskurahat ke saath bola..
Par mujhse takraane se pehle mere bare me jaan lete to zyada behtar hota rehan..
Rehan zameen se khade hokar salazaar ke saamne kahada hua..
Meri himmat or hosle ko tune abhi poori tarha se nahi jana hai salazaar..
Mere iraade itne mazboot hai ke tere jaise chote mote shaitaan un iraado ko kabhi jhuka nahi sakta.. Naa hi tu mere hoslo ko past kar sakta hai.
Chalo thik hai..
Salazaar muskurate hue bola…..
us din ki kasar aaj puri kiye dete hai.. wada karta hun tumse ..
badi hi dard naak maut dunga tumhe..
itni dardnaak ke aayinda aane wali sadiyon me koi bhi dusra insaan ya adam zaad mere aaqa aaghora ke saamne sar uthane ki koshish na kare..
itna kehte hi salazaar rehan par jhapat pada..
rehan bhi is hamle se gaafil nahi tha usne turant hi paintra badal kar use apne haatho par rok liya…
dono kisi jangli bhense ki tarha ek dusre se bhid gaye the..
salazaar ne apni shaitaani sahktiyo se rehan ki taqat ko aaj phir se baandne ki koshish ki par aaj naa jaane kyu..? wo uski taqato ko baand nahi paya..
usne mehsoos kiya ke kisi tarha ki bandish ( suraksha kavach ) use apne hisaar me liye hue hai..
jiski wajha se slazaar ki kaali taqate use apne wash me nahi kar paa rahi..
iske ilaawa rehan aaj pehle se kahi zyada josh or taqat ke saath lad raha tha..
or jald hi rehan ne salazaar par ek zabardast waar kiya or use apne uski garden or kamar pakad kar use sar se ooncha utha liya..
salazaar hairat or maare darr ke cheekne laga..
mujhe niche utaar….!!!!
Mujhe niche utaar de rehan!!!!!
Ye …!!ye..teri taqat nahi ho sakti…!!!
Yakeenan aaj tujhe kisi nor hi Shakti ka sanrakshan mila hai .. Tabhi mai tujhe zer nahikar paa raha hun…
Rehan ne use hawa me uthaye hue hi kaha..
Mere aade aane se pehle tujhe bhi mere bare jaan lena chaiye tha slazaar..!! Mai kaun hun??
Mere sar par kin sakhtio ka mamt se bhare hue haath hai..??
Itna kehte hi rehan ne Salazar ko uthate hue zameen par patak diya.. Zameen par girte hi
Salazaar ko yun mehsoos hua jaise kea b wo kabhi dobara zameen se uth hi nahi paayega uske reedh ki haddi mano sunn si pad chui thi,,
Rehan ne foran paas hi padi hui ek chattan napne hatho me uthai or use salazaar ke seene par rakh diya..
Or rehan ne apne honto hi honto me koi wird kiya or pad kar us chattan par phoonk diya,,,
Chattan ka wazan achanak hi dhire dhire badne laga or wo apne hi wazan se salazaar ko lekar dhiree dhiree zameen me dhasne lagi..
Salazaar ne jab ye dekha ke wo zameen me dhans raha hai to wo zoro se cheekhne laga,,,
Nahi…nahi….!!!!
Ye …ye ..tu kya kar raha hai…rehan..?? Ttt..ttt..tu mere saath aisa nahi kar sakta…
Tu mujhe wapas zameen me nahi gaad sakta..
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed - by hirarandi - 09-10-2024, 03:06 PM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)